الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {لاَ تَقْتُلُوا الصَّيْدَ وَأَنْتُمْ حُرُمٌ وَمَنْ قَتَلَهُ مِنْكُمْ مُتَعَمِّدًا فَجَزَاءٌ مِثْلُ مَا قَتَلَ مِنَ النَّعَمِ يَحْكُمُ بِهِ ذَوَا عَدْلٍ مِنْكُمْ هَدْيًا بَالِغَ الْكَعْبَةِ أَوْ كَفَّارَةٌ طَعَامُ مَسَاكِينَ أَوْ عَدْلُ ذَلِكَ صِيَامًا لِيَذُوقَ وَبَالَ أَمْرِهِ عَفَا اللَّهُ عَمَّا سَلَفَ وَمَنْ عَادَ فَيَنْتَقِمُ اللَّهُ مِنْهُ وَاللَّهُ عَزِيزٌ ذُو انْتِقَامٍ أُحِلَّ لَكُمْ صَيْدُ الْبَحْرِ وَطَعَامُهُ مَتَاعًا لَكُمْ وَلِلسَّيَّارَةِ وَحُرِّمَ عَلَيْكُمْ صَيْدُ الْبَرِّ مَا دُمْتُمْ حُرُمًا وَاتَّقُوا اللَّهَ الَّذِي إِلَيْهِ تُحْشَرُونَ}:
Bab: Allah Taala ka farman (Surah Al-Ma'idah mein) ke ihram ki halat mein shikar na maro, aur jo koi tum mein se is ko jaan kar mare ga to is par is mare hue shikar ke barabar badla hai maweshiyon mein se, jo tum mein se do mo'tabar aadmi faisla kar den is tarah se ke woh janwar badle ka butor-e-niaz Ka'bah pohanchaya jaye ya is par kaffara hai chand mohtajon ko khilana ya is ke barabar roze taake apne kiye ki saza chakhay, Allah Taala ne maaf kiya jo kuch ho chuka aur jo koi phir kare ga Allah Taala is ka badla is se le ga aur Allah Zordast badla lene wala hai, halat ihram mein darya ka shikar aur darya ka khana tumhare faide ke waste halal hua aur sab musafiron ke liye. Aur haram hua tum par jangal ka shikar jab tak tum ihram mein raho aur darte raho Allah se jis ke paas tum jama ho ge“.
Show diacritics
Hadith Number: Q1821-2
n
(Note: Is bab mein hadees nahi hai)
.


بَابُ إِذَا صَادَ الْحَلاَلُ فَأَهْدَى لِلْمُحْرِمِ الصَّيْدَ أَكَلَهُ:
Bab: Agar be-ihram wala shikar kare aur ihram wale ko tahfa bheje to woh kha sakta hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q1821
ولم ير ابن عباس، وانس بالذبح باسا وهو غير الصيد نحو الإبل، والغنم، والبقر، والدجاج، والخيل، يقال عدل ذلك مثل، فإذا كسرت عدل فهو زنة ذلك قياما قواما يعدلون يجعلون عدلا.
Aur Anas aur Ibn Abbas (Radi Allahu Anhum) (muhrim ke liye) shikar ke siwa doosre janwar maslan ont, bakri, gaye, murghi aur ghore ke zabah karne mein koi haraj nahi samajhte thay. Quran mein lafz «ghadl» (bafath ghain) misl ke maani mein bola gaya hai aur «adl» (ain ko) jab zair ke sath parha jaye to wazan ke maani mein ho ga, «qiyaman» «qiwaman» (ke maani mein hai, «qayyim») «ya'dilun» ke maani mein misl banane ke
.


Show diacritics
Hadith Number: 1821
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن عبد الله بن ابي قتادة، قال:" انطلق ابي عام الحديبية، فاحرم اصحابه ولم يحرم، وحدث النبي صلى الله عليه وسلم ان عدوا يغزوه، فانطلق النبي صلى الله عليه وسلم، فبينما انا مع اصحابه تضحك بعضهم إلى بعض، فنظرت، فإذا انا بحمار وحش، فحملت عليه، فطعنته، فاثبته واستعنت بهم، فابوا ان يعينوني، فاكلنا من لحمه وخشينا ان نقتطع، فطلبت النبي صلى الله عليه وسلم ارفع فرسي شاوا واسير شاوا، فلقيت رجلا من بني غفار في جوف الليل، قلت: اين تركت النبي صلى الله عليه وسلم؟ قال: تركته بتعهن وهو قائل السقيا، فقلت: يا رسول الله، إن اهلك يقرءون عليك السلام ورحمة الله، إنهم قد خشوا ان يقتطعوا دونك فانتظرهم، قلت: يا رسول الله،" اصبت حمار وحش، وعندي منه فاضلة؟ فقال للقوم: كلوا وهم محرمون".
Hum se Maaz Bin Fadalah ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne bayan kiya, un se Yahya Ibn Kathir ne, un se Abdullah Bin Abi Qatadah ne bayan kiya ke mere walid sulh-e-Hudaibiyah ke mauqe par (dushmanon ka pata lagane) nikle. Phir un ke sathiyon ne to ihram bandha liya lekin (khud unhon ne abhi) nahi bandha tha (asal mein) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko kisi ne ye ittela di thi ke maqam-e-Ghaiqah mein dushman aap ki taak mein hai, is liye Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (Abu Qatadah aur chand Sahaba Radi Allahu Anhum ko un ki talash mein) rawan kiya mere walid (Abu Qatadah Radi Allahu Anhu) apne sathiyon ke sath thay ke ye log ek doosre ko dekh kar hansne lage (mere walid ne bayan kiya ke) mein ne jo nazar uthayi to dekha ke ek jangli gadha samne hai. Mein is par jhapta aur neze se usay thanda kar diya. Mein ne apne sathiyon ki madad chahi thi lekin unhon ne inkar kar diya tha, phir hum ne gosht khaya. Ab humein ye darr hua ke kahin (Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se) door na ho jayein, chunanche mein ne Aap ko talash karna shuru kar diya kabhi apne ghore taiz kar deta aur kabhi aahista, aakhir raat gaye Bano Ghifar ke ek shakhs se mulaqat ho gayi. Mein ne poocha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) kahan hain ? Unhon ne bataya ke jab mein aap se juda hua to aap maqam-e-Tahan mein thay aur aap ka irada tha ke maqam-e-Saqya mein pohanch kar dopahar ka aaram karein ge. Gharz mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho gaya aur mein ne arz ki ya Rasul Allah! Aap ke ashab aap par salam aur Allah ki rahmat bhejte hain. Unhein ye darr hai ke kahin wo bahut peeche na reh jayein. Is liye aap thehar kar un ka intezar karein, phir mein ne kaha ya Rasul Allah! mein ne ek jangli gadha shikar kiya tha aur is ka kuch bacha hua gosht ab bhi mere paas maujood hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne logon se khane ke liye farmaya halankay wo sab ihram bandhe hue thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا رَأَى الْمُحْرِمُونَ صَيْدًا فَضَحِكُوا فَفَطِنَ الْحَلاَلُ:
Bab: Ihram wale log shikar dekh kar hans den aur be-ihram wala samajh jaye phir shikar kare to woh ihram wale bhi kha sakte hain.
Show diacritics
Hadith Number: 1822
حدثنا سعيد بن الربيع، حدثنا علي بن المبارك، عن يحيى، عن عبد الله بن ابي قتادة، ان اباه حدثه، قال:" انطلقنا مع النبي صلى الله عليه وسلم عام الحديبية، فاحرم اصحابه ولم احرم، فانبئنا بعدو بغيقة فتوجهنا نحوهم، فبصر اصحابي بحمار وحش، فجعل بعضهم يضحك إلى بعض، فنظرت فرايته، فحملت عليه الفرس، فطعنته، فاثبته، فاستعنتهم، فابوا ان يعينوني فاكلنا منه، ثم لحقت برسول الله صلى الله عليه وسلم وخشينا ان نقتطع ارفع فرسي شاوا واسير عليه شاوا، فلقيت رجلا من بني غفار في جوف الليل، فقلت: اين تركت رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ فقال: تركته بتعهن وهو قائل السقيا، فلحقت برسول الله صلى الله عليه وسلم حتى اتيته، فقلت: يا رسول الله، إن اصحابك ارسلوا يقرءون عليك السلام ورحمة الله وبركاته، وإنهم قد خشوا ان يقتطعهم العدو دونك فانظرهم، ففعل، فقلت: يا رسول الله، إنا اصدنا حمار وحش وإن عندنا فاضلة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم لاصحابه: كلوا وهم محرمون".
Hum se Saeed Bin Rabee ne bayan kiya, kaha hum se Ali Bin Mubarak ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kathir ne, un se Abdullah Bin Abi Qatadah ne, kaha un se un ke baap ne bayan kiya unhon ne kaha ke hum sulh-e-Hudaibiyah ke mauqe par Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath chale un ke sathiyon ne to ihram bandh liya tha lekin un ka bayan tha ke mein ne ihram nahi bandha tha. Humein Ghaiqah mein dushman ke maujood hone ki ittela mili is liye hum un ki talash mein (Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke hukm ke mutabiq) nikle phir mere sathiyon ne gor-khar dekha aur ek doosre ko dekh kar hansne lage mein ne jo nazar uthayi to usay dekh liya ghore par (sawar ho kar) is par jhapta aur usay zakhmi kar ke thanda kar diya. Mein ne apne sathiyon se kuch imdad chahi lekin unhon ne inkar kar diya phir hum sab ne usay khaya aur is ke baad mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua (pehle) humein darr hua ke kahin hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se door na reh jayein is liye mein kabhi apna ghora taiz kar deta aur kabhi aahista aakhir meri mulaqat ek Bani Ghifar ke aadmi se aadhi raat mein hui mein ne poocha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) kahan hain ? Unhon ne bataya ke mein Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Tahan nami jagah mein alag hua tha aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka irada ye tha ke dopahar ko maqam-e-Saqya mein aaram karein ge phir jab mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to mein ne arz ki ya Rasul Allah! Aap ke ashab ne aap ko salam kaha hai aur unhein darr hai ke kahin dushman aap ke aur un ke darmiyan hayal na ho jaye is liye aap un ka intezar kijiye chunanche aap ne aisa hi kiya, mein ne ye bhi arz ki ke ya Rasul Allah! mein ne ek gor-khar ka shikar kiya aur kuch bacha hua gosht ab bhi maujood hai is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne ashab se farmaya ke khao halankay wo sab ihram bandhe hue thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُعِينُ الْمُحْرِمُ الْحَلاَلَ فِي قَتْلِ الصَّيْدِ:
Bab: Shikar karne mein ihram wala ghair muhrim ki kuch bhi madad na kare.
Show diacritics
Hadith Number: 1823
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، حدثنا صالح بن كيسان، عن ابي محمد نافع مولى ابي قتادة، سمع ابا قتادة رضي الله عنه، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بالقاحة من المدينة على ثلاث. ح وحدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا صالح بن كيسان، عن ابي محمد، عن ابي قتادة رضي الله عنه، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بالقاحة، ومنا المحرم ومنا غير المحرم، فرايت اصحابي يتراءون شيئا فنظرت، فإذا حمار وحش يعني وقع سوطه، فقالوا: لا نعينك عليه بشيء إنا محرمون، فتناولته فاخذته، ثم اتيت الحمار من وراء اكمة، فعقرته فاتيت به اصحابي، فقال بعضهم: كلوا، وقال بعضهم: لا تاكلوا، فاتيت النبي صلى الله عليه وسلم وهو امامنا، فسالته، فقال: كلوه حلال"، قال لنا عمرو: اذهبوا إلى صالح فسلوه عن هذا وغيره، وقدم علينا هاهنا.
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, kaha hum se Salih Bin Kaisan ne bayan kiya, un se Abu Muhammad ne, un se Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ke ghulam Nafi ne, unhon ne Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne farmaya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Madinah se teen manzil door maqam-e-Qahah mein thay. (Doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne) kaha ke hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya kaha hum se Salih Bin Kaisan ne bayan kiya, un se Abu Muhammad ne aur un se Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath maqam-e-Qahah mein thay, baaz to hum mein se muhrim thay aur baaz ghair muhrim. Mein ne dekha ke mere sathi ek doosre ko kuch dikha rahe hain, mein ne jo nazar uthayi to ek gor-khar samne tha, un ki murad ye thi ke un ka kora gir gaya, (aur apne sathiyon se usay uthane ke liye unhon ne kaha), lekin sathiyon ne kaha ke hum tumhari kuch bhi madad nahi kar sakte kyunke hum muhrim hain) is liye mein ne wo khud uthaya is ke baad mein is gor-khar ke nazdeek ek teele ke peeche se aya aur usay shikar kiya, phir mein usay apne sathiyon ke paas laya, baaz ne to ye kaha ke (humein bhi) kha lena chahiye lekin baaz ne kaha ke nahi khana chahiye. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein aya. Aap hum se aage thay, mein ne aap se masla poocha to aap ne bataya ke kha lo ye halal hai. Hum se Amr Bin Dinar ne kaha ke Salih Bin Kaisan ki khidmat mein hazir ho kar is hadees aur is ke ilawa ke mutabiq pooch sakte ho aur wo hamare paas yahan aaye thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُشِيرُ الْمُحْرِمُ إِلَى الصَّيْدِ لِكَيْ يَصْطَادَهُ الْحَلاَلُ:
Bab: Ghair muhrim ke shikar karne ke liye ihram wala shikar ki taraf ishara bhi na kare.
Show diacritics
Hadith Number: 1824
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عثمان هو ابن موهب، قال: اخبرني عبد الله بن ابي قتادة، ان اباه اخبره،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم خرج حاجا فخرجوا معه، فصرف طائفة منهم فيهم ابو قتادة، فقال: خذوا ساحل البحر حتى نلتقي، فاخذوا ساحل البحر، فلما انصرفوا احرموا كلهم إلا ابو قتادة لم يحرم، فبينما هم يسيرون إذ راوا حمر وحش، فحمل ابو قتادة على الحمر، فعقر منها اتانا، فنزلوا فاكلوا من لحمها، وقالوا: اناكل لحم صيد ونحن محرمون؟ فحملنا ما بقي من لحم الاتان، فلما اتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، قالوا: يا رسول الله، إنا كنا احرمنا، وقد كان ابو قتادة لم يحرم، فراينا حمر وحش، فحمل عليها ابو قتادة فعقر منها اتانا، فنزلنا فاكلنا من لحمها، ثم قلنا: اناكل لحم صيد ونحن محرمون! فحملنا ما بقي من لحمها، قال: امنكم احد امره ان يحمل عليها، او اشار إليها؟ قالوا: لا، قال: فكلوا ما بقي من لحمها".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Usman Bin Mauhab ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abdullah Bin Abi Qatadah (Radi Allahu Anhu) ne khabar di aur unhein un ke walid Abu Qatadah ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) (Hajj ka) irada kar ke nikle. Sahaba Rizwanullahi Alaihim bhi aap ke sath thay. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sahaba ki ek jamaat ko jis mein Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) bhi thay ye hidayat de kar raste se wapas bheja ke tum log darya ke kinare kinare ho kar jao, (aur dushman ka pata lagao) phir hum se aa milo. Chunanche ye jamaat darya ke kinare kinare chali, wapasi mein sab ne ihram bandh liya tha lekin Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ne abhi ihram nahi bandha tha. Ye qafila chal raha tha ke kai gor-khar dikhayi diye, Abu Qatadah ne un par hamla kiya aur ek mada ka shikar kar liya, phir ek jagah thehar kar sab ne is ka gosht khaya aur sath hi ye khayal bhi aya ke kya hum muhrim hone ke bawajood shikar ka gosht bhi khate hain ? Chunanche jo kuch gosht bacha wo hum sath laye aur jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein pohanche to arz ki ya Rasul Allah! hum sab log to muhrim thay lekin Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ne ihram nahi bandha tha phir hum ne gor-khar dekhe aur Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ne un par hamla kar ke ek mada ka shikar kar liya, is ke baad ek jagah hum ne qayam kiya aur is ka gosht khaya phir khayal aya ke kya hum muhrim hone ke bawajood shikar ka gosht kha bhi sakte hain ? Is liye jo kuch gosht baqi bacha hai wo hum sath laye hain. Aap ne poocha kya tum mein se kisi ne Abu Qatadah (Radi Allahu Anhu) ko shikar karne ke liye kaha tha ? Ya kisi ne is shikar ki taraf ishara kiya tha ? Sab ne kaha nahi. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir bacha hua gosht bhi kha lo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا أَهْدَى لِلْمُحْرِمِ حِمَارًا وَحْشِيًّا حَيًّا لَمْ يَقْبَلْ:
Bab: Agar kisi ne muhrim ke liye zinda gor-khar tahfa bheja ho to ise qabool na kare.
Show diacritics
Hadith Number: 1825
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن عبد الله بن عباس، عن الصعب بن جثامة الليثي،" انه اهدى لرسول الله صلى الله عليه وسلم حمارا وحشيا وهو بالابواء، او بودان فرده عليه، فلما راى ما في وجهه، قال: إنا لم نرده عليك، إلا انا حرم".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhein Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba Bin Masood ne, unhein Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne aur unhein Saab Bin Jathama Laithi (Radi Allahu Anhu) ne ke jab wo Abwa ya Waddan mein thay to unhon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ek gor-khar ka tuhfa diya to aap ne usay wapas kar diya tha, phir jab aap ne un ke chehron par narazgi ka rang dekha to aap ne farmaya wapasi ki wajah sirf ye hai ke hum ihram bandhe hue hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَقْتُلُ الْمُحْرِمُ مِنَ الدَّوَابِّ:
Bab: Ihram wala kon kon se janwar maar sakta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1826
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" خمس من الدواب ليس على المحرم في قتلهن جناح".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi ne khabar di, aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya panch janwar aise hain jinhein marne mein muhrim ke liye koi haraj nahi hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: Q1827
وعن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال.
(Doosri sanad) Aur Imam Malik ne Abdullah Bin Dinar se, unhon ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) se riwayat ki ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (jo oopar mazkoor hua)
.


Show diacritics
Hadith Number: 1827
حدثنا مسدد، حدثنا ابو عوانة، عن زيد بن جبير، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنه، يقول:" حدثتني إحدى نسوة النبي صلى الله عليه وسلم، عن النبي صلى الله عليه وسلم يقتل المحرم".
(Teesri sanad) Aur hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Zaid Bin Jubair ne bayan kiya, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) se suna Aap ne farmaya ke mujh se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki baaz biwiyon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya muhrim (panch janwaron ko) maar sakta hai. (Jin ka zikr aage aa raha hai)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة