الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطَّلَاقِ
The Book of Divorce
بَابُ مَنْ أَجَازَ طَلاَقَ الثَّلاَثِ:
Chapter. Whoever thinks it permissible to divorce one’s wife thrice (at a time), depending on the Statement of Allah: "The divorce is twice; after that either you retain her on reasonable terms or release her with kindness." (V.2:229)
Show diacritics
Hadith Number: Q5259
لقول الله تعالى: الطلاق مرتان فإمساك بمعروف او تسريح بإحسان سورة البقرة آية 229.
Aur Allah Paak ne Surah al-Baqarah mein farmaya talaq do baar hai . Is ke baad ya dastoor ke muwafiq aurat ko rakh lena chahiye ya achhi tarah rukhwat kar dena . Aur Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ne kaha agar kisi beemar shakhs ne apni aurat ko talaq e baain de di to woh apne khawand ki waris na ho gi aur Aamir Shabi ne kaha waris ho gi . (is ko Saeed bin Mansoor ne wasl kiya) aur Ibn Shubrumah (Kufa ke qazi) ne Shabi se kaha , kya woh aurat iddat ke baad doosre se nikah kar sakti hai ? Unhon ne kaha haan . Ibn Shubrumah ne kaha , phir agar is ka doosra khawand bhi mar jaye (to woh kya donon ki waris ho gi ?) is par Shabi ne apne fatway se ruju kiya .


Show diacritics
Hadith Number: 5259
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، ان سهل بن سعد الساعدي اخبره،" ان عويمرا العجلاني جاء إلى عاصم بن عدي الانصاري، فقال له: يا عاصم، ارايت رجلا وجد مع امراته رجلا ايقتله، فتقتلونه، ام كيف يفعل؟ سل لي يا عاصم عن ذلك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسال عاصم عن ذلك رسول الله صلى الله عليه وسلم، فكره رسول الله صلى الله عليه وسلم المسائل وعابها حتى كبر على عاصم ما سمع من رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلما رجع عاصم إلى اهله جاء عويمر، فقال: يا عاصم، ماذا قال لك رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ فقال عاصم: لم تاتني بخير، قد كره رسول الله صلى الله عليه وسلم المسالة التي سالته عنها، قال عويمر: والله لا انتهي حتى اساله عنها، فاقبل عويمر حتى اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم وسط الناس، فقال: يا رسول الله، ارايت رجلا وجد مع امراته رجلا، ايقتله فتقتلونه، ام كيف يفعل؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: قد انزل الله فيك وفي صاحبتك، فاذهب فات بها، قال سهل: فتلاعنا وانا مع الناس عند رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلما فرغا، قال عويمر: كذبت عليها يا رسول الله، إن امسكتها فطلقها ثلاثا قبل ان يامره رسول الله صلى الله عليه وسلم". قال ابن شهاب: فكانت تلك سنة المتلاعنين.
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhein Ibn Shihab ne aur unhein Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne khabar di ke Uwaimir al-Ajlaani razi Allahu anhu Aasim bin Adi Ansari razi Allahu anhu ke paas aaye aur in se kaha ke Ae Aasim! Tumhara kya khayal hai , agar koi apni biwi ke saath kisi ghair ko dekhe to kya usay woh qatl kar sakta hai ? Lekin phir tum qisas mein usay (shohar ko) bhi qatl kar do ge ya phir woh kya kare ga ? Aasim mere liye yeh masla Aap Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se pooch dijiye . Aasim razi Allahu anhu ne jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yeh masla poocha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is sawalat ko napasand farmaya aur is silsile mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke kalimat Aasim razi Allahu anhu par garan guzre aur jab woh wapas apne ghar aa gaye to Uwaimir razi Allahu anhu ne aa kar in se poocha ke bataiye Aap se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kya farmaya ? Aasim ne is par kaha tum ne mujhko aafat mein dala . Jo sawal tum ne poocha tha woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko nagowar guzra . Uwaimir ne kaha ke Allah ki qasam! Yeh masla Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochay baghair mein baaz nahi aaoon ga . Chunanche woh rawana huay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pahunche . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam logon ke darmiyan mein tashreef rakhte thay . Uwaimir razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Agar koi shakhs apni biwi ke saath kisi ghair ko pa leta hai to Aap ka kya khayal hai ? Kya woh usay qatl kar de ? Lekin is surat mein Aap usay qatl kar dein ge ya phir usay kya karna chahiye ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne tumhari biwi ke baare mein wahi nazil ki hai , is liye tum jao aur apni biwi ko bhi saath lao . Sahl ne byaan kiya ke phir donon (miyan biwi) ne liaan kiya . Logon ke saath main bhi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath is waqt maujood tha . Liaan se jab donon farigh huay to Uwaimir razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Agar is ke baad bhi main isay apne paas rakhoon to (is ka matlab yeh ho ga ke) main jhoota hoon . Chunanche unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hukm se pehle hi apni biwi ko teen talaq di . Ibn Shihab ne byaan kiya ke phir liaan karne wale ke liye yahi tariqa jaari ho gaya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5260
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة اخبرته،" ان امراة رفاعة القرظي جاءت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: يا رسول الله، إن رفاعة طلقني، فبت طلاقي، وإني نكحت بعده عبد الرحمن بن الزبير القرظي وإنما معه مثل الهدبة، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: لعلك تريدين ان ترجعي إلى رفاعة، لا حتى يذوق عسيلتك وتذوقي عسيلته".
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , kaha ke mujhe Urwah bin Zubayr ne khabar di aur unhein Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke Rifaa Qurazi razi Allahu anhu ki biwi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huien aur arz kiya: ya Rasool Allah! Rifaa ne mujhe talaq de di thi aur talaq bhi baain , phir main ne is ke baad Abdur Rahman bin Zubayr Qurazi razi Allahu anhu se nikah kar liya lekin un ke paas to kapre ke pallu jaisa hai (yani woh namard hain) . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghaliban tum Rifaa ke paas dobara jaana chahti ho lekin aisa is waqt tak nahi ho sakta jab tak tum apne maujooda shohar ka maza na chakh lo aur woh tumhara maza na chakh le .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5261
حدثني محمد بن بشار، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: حدثني القاسم بن محمد، عن عائشة،" ان رجلا طلق امراته ثلاثا فتزوجت، فطلق، فسئل النبي صلى الله عليه وسلم: اتحل للاول؟ قال: لا حتى يذوق عسيلتها كما ذاق الاول".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , in se Ubaidullah bin Umar Umri ne , kaha ke mujh se Qasim bin Muhammad ne byaan kiya aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke ek sahab ne apni biwi ko teen talaq de di thi . In ki biwi ne doosri shadi kar li , phir doosre shohar ne bhi (hum-bistari se pehle) unhein talaq de di . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se sawal kiya gaya ke kya pehla shohar ab un ke liye halal hai (ke in se dobara shadi kar lein) . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi , yahan tak ke woh yani shohar sani is ka maza chakhe jaisa ke pehle ne maza chakha tha .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain