الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الطَّلَاقِ
The Book of Divorce
بَابُ مَنْ خَيَّرَ نِسَاءَهُ:
Chapter. Whoever gave option to his wives.
Hadith Number: Q5262
وقول الله تعالى: قل لازواجك إن كنتن تردن الحياة الدنيا وزينتها فتعالين امتعكن واسرحكن سراحا جميلا سورة الاحزاب آية 28.
Aur Allah Ta'ala ka (Surah al-Ahzab mein) farman «qul li-azwaajika in kuntunna turidnal hayaatad-duniya wa zeenataha fata-aalaina umatti-kunna wa usarrih-kunna saraahan jameelan» ke ”Aap apni biwiyon se farma dijiye ke agar tum dunyawi zindagi aur is ka maza chahti ho to aao main tumhein kuch mataa (dunyawi) de dila kar achhi tarah se rukhwat kar doon .“
Hadith Number: 5262
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا مسلم، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" خيرنا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاخترنا الله ورسوله، فلم يعد ذلك علينا شيئا".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , kaha hum se Muslim bin Sabeeh ne byaan kiya , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hamain ikhtiyar diya tha aur hum ne Allah aur us ke Rasool ko hi pasand kiya tha lekin is ka hamare haq mein koi shumar (talaq) mein nahi hua tha .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5263
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن إسماعيل، حدثنا عامر، عن مسروق، قال: سالت عائشة عن الخيرة؟ فقالت:" خيرنا النبي صلى الله عليه وسلم، افكان طلاقا؟" قال مسروق: لا ابالي اخيرتها واحدة او مائة بعد ان تختارني.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Qattan ne byaan kiya , in se Ismail bin Abi Khalid ne , kaha hum se Aamir ne byaan kiya , in se Masrooq ne byaan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se ”ikhtiyar“ ke mutalliq sawal kiya to unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain ikhtiyar diya tha to kya mahz yeh ikhtiyar talaq ban jata . Masrooq ne kaha ke ikhtiyar dene ke baad agar tum mujhe pasand kar leti ho to is ki koi haisiyat nahi , chahe main ek martaba ikhtiyar doon ya sau martaba (talaq nahi ho gi) .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة