الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْجِهَادِ وَالسِّيَرِ
The Book of Jihad (Fighting For Allah’S Cause)
بَابُ الْبَيْعَةِ فِي الْحَرْبِ أَنْ لاَ يَفِرُّوا:
Chapter. To give a Bai’a for not to flee during a battle.
Hadith Number: Q2958
وقال بعضهم على الموت لقول الله تعالى: {لقد رضي الله عن المؤمنين إذ يبايعونك تحت الشجرة}.
Aur baaz ne kaha ke maut par (bai'at ki) kyunke Allah paak ne Surah Al-Fatah mein farmaya «lqd rzy allh en almwmny n iz ybayewnk tht alshjrh» "Beshak Allah musalmanon se raazi ho chuka hai jab wo darakht (Shajrat-ul-Ridwan) ke neeche tere hath par bai'at kar rahe thay."
.
.
Hadith Number: 2958
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، قال: قال ابن عمر رضي الله عنهما، رجعنا من العام المقبل فما اجتمع منا اثنان على الشجرة التي بايعنا تحتها كانت رحمة من الله، فسالت نافعا على اي شيء بايعهم على الموت، قال: لا بل بايعهم على الصبر.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Juvairiah ne bayan kiya, un se Nafi ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke (Sulh-e-Hudaibiyah ke baad) jab hum doosre saal phir aaye, to hum mein se (jinhon ne sulh-e-Hudaibiyah ke mauqe par aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bai'at ki thi) do shakhs bhi is darakht ki nishandahi par muttafiq nahi ho sake. Jis ke neeche hum ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bai'at ki thi aur ye sirf Allah ki rahmat thi. Juvairiah ne kaha, mein ne Nafi se poocha, aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sahaba se kis baat par bai'at ki thi, kya maut par li thi? Farmaya ke nahi, balke sabr o istaqamat par bai'at li thi
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2959
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا عمرو بن يحيى، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد رضي الله عنه، قال:" لما كان زمن الحرة اتاه آت، فقال له: إن ابن حنظلة يبايع الناس على الموت، فقال: لا ابايع على هذا احدا بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wahb ne bayan kiya, kaha hum se Amr Bin Yahya ne, un se Abbad Bin Tamim ne aur un se Abdullah Bin Zaid (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Harrah ki larayi ke zamana mein ek sahab un ke paas aaye aur kaha ke Abdullah Bin Hanzala logon se (Yazid ke khilaf) maut par bai'at le rahe hain. To unhon ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke baad ab mein maut par kisi se bai'at nahi karun ga
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2960
حدثنا المكي بن إبراهيم، حدثنا يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة رضي الله عنه، قال: بايعت النبي صلى الله عليه وسلم ثم عدلت إلى ظل الشجرة فلما خف الناس، قال:" يا ابن الاكوع الا تبايع، قال: قلت: قد بايعت يا رسول الله، قال: وايضا فبايعته الثانية، فقلت له: يا ابا مسلم على اي شيء كنتم تبايعون يومئذ، قال: على الموت".
Hum se Makki Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Abi Ubaid ne bayan kiya, aur un se Salama Bin Al-Akwa ne bayan kiya (Hudaibiyah ke mauqe par) mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bai'at ki. Phir ek darakht ke saye mein aa kar khara ho gaya. Jab logon ka hujoom kam hua to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft kiya, Ibn-ul-Akwa kya bai'at nahi karo ge? Unhon ne kaha ke mein ne arz kiya, ya Rasul Allah! Mein to bai'at kar chuka hoon. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, dobara aur bhi! Chunancha mein ne dobara bai'at ki (Yazid Bin Abi Ubaidullah kehte hain ke) mein ne Salama Bin Al-Akwa (Radi Allahu Anhu) se poocha, Abu Muslim is din aap hazrat ne kis baat par bai'at ki thi? Kaha ke maut par
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2961
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن حميد، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، يقول: كانت الانصار يوم الخندق تقول: نحن الذين بايعوا محمدا على الجهاد ما حيينا ابدا فاجابهم النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اللهم لا عيش إلا عيش الآخره فاكرم الانصار والمهاجره".
Hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya. Kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Humaid ne bayan kiya aur unhon ne Anas (Radi Allahu Anhu) se suna. Aap bayan karte thay ke Ansar khandaq khodte hue (Ghazwah-e-Khandaq ke mauqe par) kehte thay «nhn alzyn bayew mhmda ely aljhad ma hyyna abda» "Hum wo log hain jinhon ne Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) se jihad par bai'at ki hai hamesha ke liye, jab tak hamare jism mein jaan hai."
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2962
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، سمع محمد بن فضيل، عن عاصم، عن ابي عثمان، عن مجاشع رضي الله عنه، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم انا واخي، فقلت: بايعنا على الهجرة، فقال:" مضت الهجرة لاهلها"، فقلت: علام تبايعنا، قال:" على الإسلام والجهاد".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne Muhammad Bin Fudail se suna, unhon ne Aasim se, unhon ne Abu Usman Nahdi se, aur un se Mujashia Bin Masood Sulami (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein apne bhai ke sath (Fatah Makkah ke baad) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua. Aur arz kiya ke hum se hijrat par bai'at le lijaiye. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke hijrat to (Makkah ke fatah hone ke baad, wahan se) hijrat kar ke aane walon par khatam ho gayi. Mein ne arz kiya, phir aap hum se kis baat par bai'at leinge? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Islam aur jihad par
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2963