الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب البيعة فى الحرب أن لا يفروا:
Bab: Larai se na bhagne par aur baazon ne kaha mar jane par bay’at karna.
Show diacritics
Hadith Number: Q2958
وقال بعضهم على الموت لقول الله تعالى: {لقد رضي الله عن المؤمنين إذ يبايعونك تحت الشجرة}.
Aur baaz ne kaha ke maut par (bai'at ki) kyunke Allah paak ne Surah Al-Fatah mein farmaya «lqd rzy allh en almwmny n iz ybayewnk tht alshjrh» "Beshak Allah musalmanon se raazi ho chuka hai jab wo darakht (Shajrat-ul-Ridwan) ke neeche tere hath par bai'at kar rahe thay."
.


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 2958
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، قال: قال ابن عمر رضي الله عنهما، رجعنا من العام المقبل فما اجتمع منا اثنان على الشجرة التي بايعنا تحتها كانت رحمة من الله، فسالت نافعا على اي شيء بايعهم على الموت، قال: لا بل بايعهم على الصبر.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Juvairiah ne bayan kiya, un se Nafi ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke (Sulh-e-Hudaibiyah ke baad) jab hum doosre saal phir aaye, to hum mein se (jinhon ne sulh-e-Hudaibiyah ke mauqe par aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bai'at ki thi) do shakhs bhi is darakht ki nishandahi par muttafiq nahi ho sake. Jis ke neeche hum ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bai'at ki thi aur ye sirf Allah ki rahmat thi. Juvairiah ne kaha, mein ne Nafi se poocha, aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sahaba se kis baat par bai'at ki thi, kya maut par li thi? Farmaya ke nahi, balke sabr o istaqamat par bai'at li thi
.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمنصحابي
نافع مولى ابن عمر، أبو عبد اللهثقة ثبت مشهور
جويرية بن أسماء الضبعي، أبو أسماء، أبو مخراق، أبو مخارقثقة
موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمةثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
2958
بايعهم على الصبر