الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان (صفة الصلوة)
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein (Sifat-us-Salat)
باب إلى أين يرفع يديه:
Bab: Haathon ko kahan tak uthana chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 738
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرنا سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم افتتح التكبير في الصلاة، فرفع يديه حين يكبر حتى يجعلهما حذو منكبيه، وإذا كبر للركوع فعل مثله، وإذا قال سمع الله لمن حمده فعل مثله وقال ربنا ولك الحمد، ولا يفعل ذلك حين يسجد ولا حين يرفع راسه من السجود".
Hum se Abul Yaman Hukm bin Nafi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Shoaib ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Salim bin Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz takbeer tahreema se shuru karte aur takbeer kehtay waqt apne donon haathon ko kandhon tak utha kar le jatay aur jab ruku ke liye takbeer kehtay tab bhi isi tarah karte aur jab «sami Allahu liman hamidah» kehtay tab bhi isi tarah karte aur «rabbana wa lakal hamd» kehtay . Sajda karte waqt ya sajde se sar uthate waqt is tarah rafaa yadayn nahi karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 735
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يرفع يديه حذو منكبيه، إذا افتتح الصلاة وإذا كبر للركوع وإذا رفع راسه من الركوع رفعهما، كذلك ايضا، وقال: سمع الله لمن حمده ربنا ولك الحمد، وكان لا يفعل ذلك في السجود".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , unhon ne Imam Malik se , unhon ne Ibn Shihab Zuhri se , unhon ne Salim bin Abdullah se , unhon ne apne baap (Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma) se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam namaaz shuru karte waqt apne donon haathon ko kandhon tak uthate , isi tarah jab ruku ke liye «Allahu akbar» kehtay aur jab apna sar ruku se uthate to donon haath bhi uthate (rafaa yadayn karte) aur ruku se sar mubarak uthate huay «sami Allahu liman hamidah , rabbana wa lakal hamd» kehtay thay . Sajde mein jate waqt rafaa yadayn nahi karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 736
حدثنا محمد بن مقاتل، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا يونس، عن الزهري، اخبرني سالم بن عبد الله، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قام في الصلاة رفع يديه حتى يكونا حذو منكبيه، وكان يفعل ذلك حين يكبر للركوع، ويفعل ذلك إذا رفع راسه من الركوع ويقول: سمع الله لمن حمده، ولا يفعل ذلك في السجود".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha ke hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hum ko Yunus bin Yazid Aili ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Salim bin Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di , unhon ne batlaya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke jab Aap salla Allahu alaihi wasallam namaaz ke liye kharay huay to takbeer tahreema ke waqt Aap salla Allahu alaihi wasallam ne rafaa yadayn kiya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ke donon haath us waqt mondhon (kandhon) tak uthay aur isi tarah jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku ke liye takbeer kehtay us waqt bhi (rafaa yadayn) karte . Us waqt Aap salla Allahu alaihi wasallam kehtay «sami Allahu liman hamidah» albatta sajde mein Aap rafaa yadayn nahi karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 737
حدثنا إسحاق الواسطي، قال: حدثنا خالد بن عبد الله، عن خالد، عن ابي قلابة،" انه راى مالك بن الحويرث إذا صلى كبر ورفع يديه، وإذا اراد ان يركع رفع يديه، وإذا رفع راسه من الركوع رفع يديه، وحدث ان رسول الله صلى الله عليه وسلم صنع هكذا".
Hum se Ishaaq bin Shaheen Wasti ne byaan kiya , kaha ke hum se Khalid bin Abdullah Tahhan ne byaan kiya Khalid Haza se , unhon ne Abu Qilabah se ke unhon ne Malik bin Huwayrith Sahabi ko dekha ke jab woh namaaz shuru karte to takbeer tahreema ke saath rafaa yadayn karte , phir jab ruku mein jate us waqt bhi rafaa yadayn karte aur jab ruku se sar uthate tab bhi karte aur unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam bhi isi tarah kiya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 739
حدثنا عياش، قال: حدثنا عبد الاعلى، قال: حدثنا عبيد الله، عن نافع،" ان ابن عمر كان إذا دخل في الصلاة كبر ورفع يديه، وإذا ركع رفع يديه، وإذا قال: سمع الله لمن حمده رفع يديه، وإذا قام من الركعتين رفع يديه"، ورفع ذلك ابن عمر إلى نبي الله صلى الله عليه وسلم، رواه حماد بن سلمة، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم، ورواه ابن طهمان، عن ايوب، وموسى بن عقبة مختصرا.
Hum se Ayyash bin Waleed ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Aala bin Abdul Aala ne byaan kiya , kaha ke hum se Ubaydullah Umari ne Nafi se byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma jab namaaz mein daakhil hote to pehle takbeer tahreema kehtay aur saath hi rafaa yadayn karte . Isi tarah jab woh ruku karte tab aur jab «sami Allahu liman hamidah» kehtay tab bhi (rafaa yadayn karte) donon haathon ko uthate aur jab qadah oola se uthate tab bhi rafaa yadayn karte . Aap ne is fail ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tak pohancheya . (ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam isi tarah namaaz parha karte thay .)


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 757
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: حدثني سعيد بن ابي سعيد، عن ابيه، عن ابي هريرة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم دخل المسجد فدخل رجل فصلى فسلم على النبي صلى الله عليه وسلم، فرد وقال: ارجع فصل فإنك لم تصل، فرجع يصلي كما صلى ثم جاء فسلم على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: ارجع فصل فإنك لم تصل ثلاثا، فقال: والذي بعثك بالحق ما احسن غيره فعلمني، فقال: إذا قمت إلى الصلاة فكبر، ثم اقرا ما تيسر معك من القرآن، ثم اركع حتى تطمئن راكعا، ثم ارفع حتى تعدل قائما، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تطمئن جالسا وافعل ذلك في صلاتك كلها".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne Ubaydullah Umari se byaan kiya , kaha ke mujh se Saeed bin Abi Saeed Maqabri ne apne baap Abu Saeed Maqabri se byaan kiya , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam masjid mein tashreef laye us ke baad ek aur shakhs aaya . Us ne namaaz parhi , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko salam kiya . Aap ne salam ka jawab de kar farmaya ke wapas jao aur phir namaaz parh , kyunke tune namaaz nahi parhi . Woh shakhs wapas gaya aur pehle ki tarah namaaz parhi aur phir aa kar salam kiya . Lekin Aap ne is marteba bhi yahi farmaya ke wapas ja aur dobara namaaz parh , kyunke tune namaaz nahi parhi . Aap ne is tarah teen marteba kiya . Aakhir us shakhs ne kaha ke us Zaat ki qasam! jis ne Aap ko haq ke saath maboos kiya hai . Main is ke ilawa aur koi achha tareeqa nahi jaanta , is liye Aap mujhe namaaz sikha deejiye . Aap ne farmaya ke jab namaaz ke liye khara ho to pehle takbeer tahreema keh . Phir aasani ke saath jitna Quran tujhe yaad ho us ki tilawat kar . Us ke baad ruku kar , achhi tarah se ruku ho le to phir sar utha kar poori tarah khara ho ja . Us ke baad sajda kar poore itminan ke saath . Phir sar utha aur achhi tarah baith ja . Isi tarah apni tamam namaaz poori kar .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 784
حدثنا إسحاق الواسطي، قال: حدثنا خالد، عن الجريري، عن ابي العلاء، عن مطرف، عن عمران بن حصين، قال: صلى مع علي رضي الله عنه بالبصرة، فقال: ذكرنا هذا الرجل صلاة كنا نصليها مع رسول الله صلى الله عليه وسلم،" فذكر انه كان يكبر كلما رفع وكلما وضع".
Hum se Ishaaq bin Shaheen Wasti ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Khalid bin Abdullah Tahhan ne Saeed bin Iyas Jurayri se byaan kiya , unhon ne Abul Alaa Yazid bin Abdullah se , unhon ne Mutarrif bin Abdullah se , unhon ne Imran bin Husayn se ke unhon ne Ali razi Allahu anhu ke saath Basrah mein ek marteba namaaz parhi . Phir kaha ke hamein unhon ne woh namaaz yaad dila di jo hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath parhaya karte thay . Phir kaha ke Ali razi Allahu anhu jab sar uthate aur jab sar jhukate us waqt takbeer kehtay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 785
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة،" انه كان يصلي بهم فيكبر كلما خفض ورفع، فإذا انصرف، قال: إني لاشبهكم صلاة برسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha ke hamein Imam Malik rahimahullah alayhi ne Ibn Shihab se khabar di , unhon ne Abu Salamah bin Abdur Rahman se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Aap logon ko namaaz parhate thay to jab bhi woh jhukte aur jab bhi woh uthate takbeer zaroor kehtay . Phir jab farigh hote to farmate ke main namaaz parhne mein tum sab logon se zyada Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz se mushabahat rakhne wala hoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 786
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا حماد، عن غيلان بن جرير، عن مطرف بن عبد الله، قال:" صليت خلف علي بن ابي طالب رضي الله عنه انا وعمران بن حصين، فكان إذا سجد كبر وإذا رفع راسه كبر وإذا نهض من الركعتين كبر، فلما قضى الصلاة اخذ بيدي عمران بن حصين، فقال: قد ذكرني هذا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم، او قال لقد صلى بنا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم".
Hum se Abun Numan Muhammad bin Fadl ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , unhon ne Ghaylan bin Jareer se byaan kiya , unhon ne Mutarrif bin Abdullah bin Shikhayr se , unhon ne kaha ke main ne aur Imran bin Husayn ne Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ke peeche namaaz parhi . To woh jab bhi sajda karte to takbeer kehtay . Isi tarah jab sar uthate to takbeer kehtay . Jab do rakaton ke baad uthate to takbeer kehtay . Jab namaaz khatam hui to Imran bin Husayn ne mera haath pakar kar kaha ke Ali razi Allahu anhu ne aaj Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz yaad dilayi , ya yeh kaha ke is shakhs ne hum ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz ki tarah aaj namaaz parhayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 787
حدثنا عمرو بن عون، قال: حدثنا هشيم، عن ابي بشر، عن عكرمة، قال:" رايت رجلا عند المقام يكبر في كل خفض ورفع وإذا قام وإذا وضع، فاخبرت ابن عباس رضي الله عنه، قال: اوليس تلك صلاة النبي صلى الله عليه وسلم لا ام لك".
Hum se Amr bin Awn ne byaan kiya , kaha ke hamein Hisham bin Bashir ne Abu Bishr Hafs bin Abi Wahshiyyah se khabar di , unhon ne Ikrimah se , unhon ne byaan kiya ke main ne ek shakhs ko maqaam Ibrahim mein (namaaz parhte huay) dekha ke har jhukne aur uthne par woh takbeer kehta tha . Isi tarah kharay hote waqt aur baithte waqt bhi . Main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko is ki ittila di . Aap ne farmaya , are teri maan mare! kya yeh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki si namaaz nahi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 789
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابو بكر بن عبد الرحمن بن الحارث، انه سمع ابا هريرة، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قام إلى الصلاة يكبر حين يقوم، ثم يكبر حين يركع، ثم يقول: سمع الله لمن حمده حين يرفع صلبه من الركعة، ثم يقول وهو قائم ربنا لك الحمد"، قال عبد الله بن صالح: عن الليث، ولك الحمد، ثم يكبر حين يهوي، ثم يكبر حين يرفع راسه، ثم يكبر حين يسجد، ثم يكبر حين يرفع راسه، ثم يفعل ذلك في الصلاة كلها حتى يقضيها ويكبر حين يقوم من الثنتين بعد الجلوس.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth bin Saad ne Aqeel bin Khalid ke wastay se byaan kiya , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne kaha ke mujhe Abu Bakr bin Abdur Rahman bin Haarith ne khabar di ke unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se suna , unhon ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab namaaz ke liye kharay hote to takbeer kehtay . Phir jab ruku karte tab bhi takbeer kehtay thay . Phir jab sar uthate to «sami Allahu liman hamidah» kehtay aur kharay hi kharay «rabbana lakal hamd» kehtay . Phir jab (doosre) sajde ke liye jhukte tab takbeer kehtay aur jab sajde se sar uthate tab bhi takbeer kehtay . Isi tarah Aap tamam namaaz poori kar lete thay . Qadah oola se uthne par bhi takbeer kehtay thay . (is hadees mein) Abdullah bin Saleh ne Layth ke wastay se (bajaye «rabbana lakal hamd» ke) «rabbana wa lakal hamd» naql kiya hai . ( «rabbana lakal hamd» kahe ya «rabbana wa lakal hamd» waw ke saath har do tareeqa durust hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 793
حدثنا مسدد، قال: اخبرني يحيى بن سعيد، عن عبيد الله، قال: حدثنا سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة،" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل المسجد، فدخل رجل فصلى ثم جاء فسلم على النبي صلى الله عليه وسلم فرد النبي صلى الله عليه وسلم عليه السلام، فقال: ارجع فصل فإنك لم تصل، فصلى ثم جاء فسلم على النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: ارجع فصل فإنك لم تصل ثلاثا، فقال: والذي بعثك بالحق فما احسن غيره فعلمني، قال: إذا قمت إلى الصلاة فكبر ثم اقرا ما تيسر معك من القرآن، ثم اركع حتى تطمئن راكعا، ثم ارفع حتى تعتدل قائما، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تطمئن جالسا، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم افعل ذلك في صلاتك كلها".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibn Abi Zib ne byaan kiya , unhon ne Saeed Maqabri se byaan kiya , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab «sami Allahu liman hamidah» kehtay to us ke baad «Allahumma rabbana wa lakal hamd» bhi kehtay . Isi tarah jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku karte aur sar uthate to takbeer kehtay . Donon sajdon se kharay hote waqt bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam «Allahu akbar» kaha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 803
حدثنا ابو اليمان، قال: حدثنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابو بكر بن عبد الرحمن بن الحارث بن هشام، وابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة" كان يكبر في كل صلاة من المكتوبة وغيرها في رمضان وغيره، فيكبر حين يقوم، ثم يكبر حين يركع، ثم يقول: سمع الله لمن حمده، ثم يقول: ربنا ولك الحمد قبل ان يسجد، ثم يقول: الله اكبر حين يهوي ساجدا، ثم يكبر حين يرفع راسه من السجود، ثم يكبر حين يسجد، ثم يكبر حين يرفع راسه من السجود، ثم يكبر حين يقوم من الجلوس في الاثنتين، ويفعل ذلك في كل ركعة حتى يفرغ من الصلاة، ثم يقول حين ينصرف: والذي نفسي بيده إني لاقربكم شبها بصلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم إن كانت هذه لصلاته حتى فارق الدنيا".
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Shoaib ne khabar di , unhon ne Zuhri se , unhon ne kaha ke mujh ko Abu Bakr bin Abdur Rahman bin Haarith bin Hisham aur Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di ke Abu Hurayrah razi Allahu anhu tamam namazon mein takbeer kaha karte thay . Khwah farz hon ya na hon . Ramzan ka mahina ho ya koi aur mahina ho , chunanchay jab Aap namaaz ke liye kharay hote to takbeer kehtay , ruku mein jate to takbeer kehtay . Phir «sami Allahu liman hamidah» kehtay aur us ke baad «rabbana wa lakal hamd» sajde se pehle , phir jab sajde ke liye jhukte to «Allahu akbar» kehtay . Phir sajde se sar uthate to «Allahu akbar» kehtay . Phir doosra sajda karte waqt «Allahu akbar» kehtay . Isi tarah sajde se sar uthate to «Allahu akbar» kehtay . Do rakaton ke baad qadah oola karne ke baad jab kharay hote tab bhi takbeer kehtay aur Aap har rakat mein aisa hi karte yahan tak ke namaaz se farigh hone tak . Namaaz se farigh hone ke baad farmate ke us Zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai main tum mein sab se zyada Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz se mushabahat rakhne wala hoon . Aur Aap isi tarah namaaz parhte rahe yahan tak ke Aap dunya se tashreef le gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 824
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، قال:" جاءنا مالك بن الحويرث فصلى بنا في مسجدنا هذا، فقال: إني لاصلي بكم وما اريد الصلاة، ولكن اريد ان اريكم كيف رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي، قال ايوب: فقلت لابي قلابة: وكيف كانت صلاته؟ قال: مثل صلاة شيخنا هذا يعني عمرو بن سلمة، قال ايوب: وكان ذلك الشيخ يتم التكبير، وإذا رفع راسه عن السجدة الثانية جلس واعتمد على الارض ثم قام".
Hum se Muali bin Asad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya , unhon ne Ayyub Sakhtiyani se , unhon ne Abu Qilabah se , unhon ne byaan kiya ke Malik bin Huwayrith razi Allahu anhu hamare yahan tashreef laye aur Aap ne hamari is masjid mein namaaz parhayi . Aap ne farmaya ke main namaaz parha raha hoon lekin meri niyat kisi farz ki adaigi nahi hai balkay main sirf tum ko yeh dikhana chahta hoon ke Nabi Karim kis tarah namaaz parha karte thay . Ayyub Sakhtiyani ne byaan kiya ke main ne Abu Qilabah se poocha ke Malik razi Allahu anhu kis tarah namaaz parhte thay ? To unhon ne farmaya ke hamare Shaykh Amr bin Salamah ki tarah . Ayyub ne byaan kiya ke Shaykh tamam takbeerat kehtay thay aur jab doosre sajde se sar uthate to thori der baithte aur zameen ka sehaara le kar phir uthate .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 825
حدثنا يحيى بن صالح، قال: حدثنا فليح بن سليمان، عن سعيد بن الحارث، قال:" صلى لنا ابو سعيد فجهر بالتكبير حين رفع راسه من السجود وحين سجد وحين رفع وحين قام من الركعتين"، وقال: هكذا رايت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Yahya bin Saleh ne byaan kiya , kaha ke hum se Fulayh bin Sulayman ne , unhon ne Saeed bin Haarith se , unhon ne kaha ke hamein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne namaaz parhayi aur jab unhon ne sajde se sar uthaya to pukaar kar takbeer kahi phir jab sajda kiya to aisa hi kiya phir sajde se sar uthaya to bhi aisa hi kiya isi tarah jab do rakatein parh kar kharay huay us waqt bhi Aap ne buland awaaz se takbeer kahi aur farmaya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko isi tarah karte dekha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 826
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا حماد بن زيد، قال: حدثنا غيلان بن جرير، عن مطرف، قال: صليت انا وعمران صلاة خلفعلي بن ابي طالب رضي الله عنه،" فكان إذا سجد كبر، وإذا رفع كبر، وإذا نهض من الركعتين كبر"، فلما سلم اخذ عمران بيدي، فقال: لقد صلى بنا هذا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم، او قال: لقد ذكرني هذا صلاة محمد صلى الله عليه وسلم.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ghaylan bin Jareer ne byaan kiya , unhon ne Mutarrif bin Abdullah se , unhon ne kaha ke main ne aur Imran bin Husayn razi Allahu anhuma ne Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ki iqtida mein namaaz parhi . Aap ne jab sajda kiya , sajde se sar uthaya do rakaton ke baad kharay huay to har marteba takbeer kahi . Jab Aap ne salam pher diya to Imran bin Husayn ne mera haath pakar kar kaha ke unhon ne waqai hamein Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki tarah namaaz parhayi hai , ya yeh kaha ke mujhe unhon ne Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz yaad dila di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 828
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن خالد، عن سعيد، عن محمد بن عمرو بن حلحلة، عن محمد بن عمرو بن عطاء، وحدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، ويزيد بن محمد، عن محمد بن عمرو بن حلحلة، عن محمد بن عمرو بن عطاء،" انه كان جالسا مع نفر من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، فذكرنا صلاة النبي صلى الله عليه وسلم، فقال ابو حميد الساعدي: انا كنت احفظكم لصلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم رايته إذا كبر جعل يديه حذاء منكبيه، وإذا ركع امكن يديه من ركبتيه ثم هصر ظهره، فإذا رفع راسه استوى حتى يعود كل فقار مكانه، فإذا سجد وضع يديه غير مفترش ولا قابضهما واستقبل باطراف اصابع رجليه القبلة، فإذا جلس في الركعتين جلس على رجله اليسرى ونصب اليمنى، وإذا جلس في الركعة الآخرة قدم رجله اليسرى ونصب الاخرى وقعد على مقعدته"، وسمع الليث يزيد بن ابي حبيب، ويزيد من محمد بن حلحلة، وابن حلحلة من ابن عطاء، قال ابو صالح: عن الليث كل فقار، وقال ابن المبارك: عن يحيى بن ايوب، قال: حدثني يزيد بن ابي حبيب، ان محمد بن عمرو حدثه كل فقار.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth ne byaan kiya , unhon ne Khalid se byaan kiya , un se Saeed ne byaan kiya , un se Muhammad bin Amr bin Halhalah ne byaan kiya , un se Muhammad bin Amr bin Ata ne byaan kiya (doosri sanad) aur kaha ke mujh se Layth ne byaan kiya , aur un se Yazid bin Abi Habeeb aur Yazid bin Muhammad ne byaan kiya , un se Muhammad bin Amr bin Halhalah ne byaan kiya , un se Muhammad bin Amr bin Ata ne byaan kiya ke woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chand ashaab ridwan Allah alayhim ajmaeen ke saath baithe huay thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz ka zikr hone laga to Abu Hameed Saidi razi Allahu anhu ne kaha ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki namaaz tum sab se zyada yaad hai main ne Aap ko dekha ke jab Aap takbeer kehtay to apne haathon ko kandhon tak le jate , jab Aap ruku karte to ghatnon ko apne haathon se poori tarah pakar lete aur peeth ko jhuka dete . Phir jab ruku se sar uthate to is tarah seedhe kharay ho jate ke tamam jod seedhe ho jate . Jab Aap sajda karte to Aap apne haathon ko (zameen par) is tarah rakhte ke na bilkul phele huay hote aur na samte huay . Paon ki ungliyon ke munh qiblah ki taraf rakhte . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam do rakaton ke baad baithte to bayen paon par baithte aur daayan paon khara rakhte aur jab aakhri rakat mein baithte bayen paon ko aage kar lete aur daayen ko khara kar dete phir maqad par baithte . Layth ne Yazid bin Abi Habeeb se aur Yazid bin Muhammad bin Halhalah se suna aur Muhammad bin Halhalah ne Ibn Ata se , aur Abu Saleh ne Layth se «kull faqar makaanahu» naql kiya hai aur Ibn Mubarak ne Yahya bin Ayyub se byaan kiya unhon ne kaha ke mujh se Yazid bin Abi Habeeb ne byaan kiya ke Muhammad bin Amr bin Halhalah ne un se hadees mein «kull faqar» byaan kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6251
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا عبد الله بن نمير، حدثنا عبيد الله، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رجلا دخل المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم جالس في ناحية المسجد فصلى، ثم جاء فسلم عليه، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم:" وعليك السلام، ارجع فصل فإنك لم تصل"، فرجع فصلى، ثم جاء فسلم، فقال:" وعليك السلام، فارجع فصل، فإنك لم تصل"، فقال في الثانية او في التي بعدها: علمني يا رسول الله، فقال:" إذا قمت إلى الصلاة فاسبغ الوضوء، ثم استقبل القبلة فكبر، ثم اقرا بما تيسر معك من القرآن، ثم اركع حتى تطمئن راكعا، ثم ارفع حتى تستوي قائما، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تطمئن جالسا، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تطمئن جالسا، ثم افعل ذلك في صلاتك كلها"، وقال ابو اسامة في الاخير: حتى تستوي قائما،
Hum se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya unhon ne kaha hum ko Abdullah bin Numayr ne khabar di, in se Ubaidullah ne bayan kiya, in se Saeed bin Abi Saeed Muqbiri ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke ek shakhs masjid mein dakhil hua, Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam masjid ke kinare baithe huay thay. Is ne namaz parhi aur phir hazir ho kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko salam kiya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya wa alaik-as-salaam wapas ja aur dobara namaz parh, kyunke tum ne namaz nahi parhi. Woh wapas gaye aur namaz parhi. Phir (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam) ke paas aaye aur salam kiya Aap ne farmaya wa alaik-as-salaam. Wapas jao phir namaz parho. Kyunke tum ne namaz nahi parhi. Woh wapas gaya aur us ne phir namaz parhi. Phir wapas aaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein salam arz kiya. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne jawab mein farmaya wa alaik-um-us-salaam. Wapas jao aur dobara namaz parho. Kyunke tum ne namaz nahi parhi. In sahab ne doosri martaba, ya is ke baad, arz kiya: ya Rasool Allah! Mujhe namaz parhni sikha dijiye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab namaz ke liye khade hua karo to pehle poori tarah wuzu kiya karo, phir qibla-ru ho kar takbeer (takbeer e tahreema) kaho, is ke baad Quran Majeed mein se jo tumhare liye aasaan ho woh parho, phir rukoo karo aur jab rukoo ki halat mein barabar ho jao to sar uthao. Jab seedhe khade ho jao to phir sajda mein jao, jab sajda poori tarah kar lo to sar uthao aur achhi tarah se baith jao. Yahi amal apni har rakat mein karo. Aur Abu Usamah rawi ne doosre sajda ke baad yun kaha ke phir sar utha yahan tak ke seedha khada ho ja.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6667
حدثني إسحاق بن منصور، حدثنا ابو اسامة، حدثنا عبيد الله بن عمر، عن سعيد بن ابي سعيد، عن ابي هريرة، ان رجلا دخل المسجد فصلى، ورسول الله صلى الله عليه وسلم في ناحية المسجد، فجاء فسلم عليه، فقال له:" ارجع فصل، فإنك لم تصل"، فرجع فصلى ثم سلم، فقال:" وعليك، ارجع فصل فإنك لم تصل"، قال في الثالثة: فاعلمني، قال:" إذا قمت إلى الصلاة، فاسبغ الوضوء، ثم استقبل القبلة، فكبر واقرا بما تيسر معك من القرآن، ثم اركع حتى تطمئن راكعا، ثم ارفع راسك حتى تعتدل قائما، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تستوي وتطمئن جالسا، ثم اسجد حتى تطمئن ساجدا، ثم ارفع حتى تستوي قائما، ثم افعل ذلك في صلاتك كلها".
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya , kaha hum se Ubaidullah bin Umar ne bayan kiya , in se Saeed bin Abi Saeed ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke ek sahabi Masjid e Nabwi mein namaz parhne ke liye aaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam masjid ke ek kinare tashreef rakhte thay . Phir woh sahabi aaye aur salam kiya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ja phir namaz parh , is liye ke tu ne namaz nahi parhi . Woh wapas gaye aur phir namaz parh kar aaye aur salam kiya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is martaba bhi in se yahi farmaya ke wapas ja aur namaz parh kyunke tu ne namaz nahi parhi . Aakhir teesri martaba mein woh sahabi bole ke phir mujhe namaz ka tariqa sikha dijiye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum namaz ke liye khade hua karo to pehle poori tarah wuzu kar liya karo , phir qibla-ru ho kar takbeer kaho aur jo kuch Quran Majeed mein tumhein yaad hai aur tum aasani ke saath parh sakte ho usay parha karo , phir rukoo karo aur sukoon ke saath rukoo kar chuko to apna sar uthao aur jab seedhe khare ho jao to sajda karo , jab sajde ki halat mein achhi tarah ho jao to sajda se sar uthao , yahan tak ke seedhe ho jao aur itminan se baith jao , phir sajda karo aur jab itminan se sajda kar lo to sar uthao yahan tak ke seedhe khare ho jao , yeh amal tum apni poori namaz mein karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة