الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الديات
Kitab: Diyatton ke bayan mein
باب جنين المرأة وأن العقل على الوالد وعصبة الوالد لا على الولد:
Pait ke bache ka bayaan aur agar koi aurat khoon kare to us ki deet dadihaal walon par ho gi na ke us ki aulaad par.
Show diacritics
Hadith Number: 6910
حدثنا احمد بن صالح، حدثنا ابن وهب، حدثنا يونس، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، وابي سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال:" اقتتلت امراتان من هذيل، فرمت إحداهما الاخرى بحجر، فقتلتها وما في بطنها، فاختصموا إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقضى ان دية جنينها غرة عبد او وليدة وقضى ان دية المراة على عاقلتها".
Hum se Ahmad bin Salih ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, kaha hum se Yunus ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne, in se Ibn al-Musayyab aur Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Bani Huzayl ki do auratein aapas mein larein aur ek ne doosri aurat par patthar phenk mara jis se woh aurat apne pait ke bache (janeen) samait mar gayi. Phir (maqtula ke rishta-dar) muqaddama Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ke darbar mein le gaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne faisla kiya ke pait ke bache ka khoon-baha ek ghulam ya kaneez deni ho gi aur aurat ke khoon-baha ko qatil aurat ke aaqila (aurat ke baap ki taraf se rishta-dar asba) ke zimma wajib qarar diya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5758
حدثنا سعيد بن عفير، حدثنا الليث، قال: حدثني عبد الرحمن بن خالد، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة:" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قضى في امراتين من هذيل، اقتتلتا فرمت إحداهما الاخرى بحجر، فاصاب بطنها وهي حامل، فقتلت ولدها الذي في بطنها، فاختصموا إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقضى ان دية ما في بطنها غرة عبد او امة، فقال ولي المراة التي غرمت: كيف اغرم يا رسول الله من لا شرب، ولا اكل، ولا نطق، ولا استهل، فمثل ذلك يطل، فقال النبي صلى الله عليه وسلم إنما هذا من إخوان الكهان".
Hum se Saeed bin Afir ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abd-ur-Rahman bin Khalid ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne, in se Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman bin Auf razi Allahu anhu ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke qabila Huzail ki do auraton ke baare mein jinon ne jhagray kiya tha yahan tak ke in mein se ek aurat (Umm Ateef bint Marwah) ne doosri ko patthar phenk kar maara (jis ka naam Malika bint Uwaimir tha) woh patthar aurat ke pait mein ja kar laga. Yeh aurat hamila thi is liye is ke pait ka bacha (patthar ki chot se) mar gaya. Yeh muamla donon fareeq Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas le gaye to Aap ne faisla kiya ke aurat ke pait ke bacha ki diyat ek ghulam ya baandi aazad karna hai jis aurat par tawan wajib hua tha is ke wali (Hamal bin Malik bin Nabigha) ne kaha ya Rasool Allah! Main aaisi cheez ki diyat kaise de doon jis ne na khaya na piya na bola aur na wiladat ke waqt is ki aawaz hi sunayi di? Aaisi surat mein to kuch bhi diyat nahi ho sakti. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke yeh shakhs to kaahinon ka bhai maloom hota hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5760
وعن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب:" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قضى في الجنين، يقتل في بطن امه بغرة عبد او وليدة، فقال الذي قضي عليه: كيف اغرم ما لا اكل، ولا شرب، ولا نطق، ولا استهل، ومثل ذلك يطل، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنما هذا من إخوان الكهان".
Aur Ibn Shihab ne bayan kiya, in se Saeed bin al-Musayyab ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne janeen jise is ki maan ke pait mein maar dala gaya ho, ki diyat ke taur par ek ghulam ya ek baandi diye jaane ka faisla kiya tha jise diyat deni thi us ne kaha ke aise bacha ki diyat aakhir kyun doon jis ne na khaya, na piya, na bola aur na wiladat ke waqt hi aawaz nikaali? Aaisi surat mein to diyat nahi ho sakti. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh shakhs to kaahinon ka bhai maloom hota hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6740
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، عن ابي هريرة، انه قال:" قضى رسول الله صلى الله عليه وسلم في جنين امراة من بني لحيان سقط ميتا، بغرة عبد او امة، ثم إن المراة التي قضى لها بالغرة توفيت، فقضى رسول الله صلى الله عليه وسلم بان ميراثها لبنيها، وزوجها، وان العقل على عصبتها".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Layth ne , in se Ibn Shihab ने , in se Ibn al-Musayyab ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne Bani Lihyan ki ek aurat Mulya bint Uwaimir ke bache ke baare mein jo ek aurat ki maar se murda paida hua thu ke maarne wali aurat ko khoon-baha ke taur par ek ghulam ya londi ada karne ka hukm farmaya thu . Phir woh aurat bacha giraane wali jis ke mutalliq Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne faisla diya thu mar gayi to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne faisla kiya ke is ki meras is ke larkon aur shohar ko de di jaye aur yeh diyat ada karne ka hukm is ke kunba walon ko diya thu .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6904
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، وحدثنا إسماعيل، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه" ان امراتين من هذيل رمت إحداهما الاخرى، فطرحت جنينها، فقضى رسول الله صلى الله عليه وسلم فيها بغرة عبد او امة".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di. (Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke aur hamase Ismail ne bayan kiya, in se Imam Malik ne, in se Ibn Shihab ne, in se Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke qabila Huzayl ki do auraton ne ek doosri ko (patthar se) mara jis se ek ke pait ka bacha (janeen) gir gaya phir is (silsila) mein Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne usay ek ghulam ya kaneez dene ka faisla kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6906
فشهد محمد بن مسلمة، انه شهد النبي صلى الله عليه وسلم" قضى به".
Phir Muhammad bin Maslamah razi Allahu anhu ne bhi gawahi di ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ka faisla kiya thu to woh maujood thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6908
قال: ائت من يشهد معك على هذا، فقال محمد بن مسلمة: انا اشهد على النبي صلى الله عليه وسلم بمثل هذا".
Umar razi Allahu anhune kaha ke is par اپنا koi gawah lao. Chunanche Muhammad bin Maslamah razi Allahu anhu ne kaha ke main gawahi deta hoon ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh faisla kiya thu.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6909
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" قضى في جنين امراة من بني لحيان بغرة عبد او امة، ثم إن المراة التي قضى عليها بالغرة توفيت، فقضى رسول الله صلى الله عليه وسلم ان ميراثها لبنيها وزوجها وان العقل على عصبتها".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Ibn Shihab ne, in se Saeed bin al-Musayyab ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Bani Lihyan ki ek aurat ke janeen (ke girne) par ek ghulam ya kaneez ka faisla kiya thu. Phir woh aurat jis ke mutalliq Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne diyat dene ka faisla kiya thu is ka intiqal ho gaya to Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne faisla kiya ke is ki meras is ke larkon aur is ke shohar ko mile gi aur diyat is ke dadhyal walon ko deni ho gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7317
حدثنا محمد، اخبرنا ابو معاوية، حدثنا هشام، عن ابيه، عن المغيرة بن شعبة، قال: سال عمر بن الخطاب عن إملاص المراة هي التي يضرب بطنها فتلقي جنينا؟، فقال: ايكم سمع من النبي صلى الله عليه وسلم فيه شيئا؟، فقلت: انا، فقال: ما هو؟، قلت: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول فيه:" غرة عبد او امة، فقال: لا تبرح حتى تجيئني بالمخرج فيما قلت.
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hamako Abu Muawiyah ne khabar di, kaha hum se Hisham ne, in se un ke walid ne aur in se Mugheera bin Shubah razi Allahu anhune bayan kiya ke Umar bin Khattab razi Allahu anhune aurat ke imlaas ke mutalliq (sahabah se) poochha. Yeh is aurat ko kehte hain jis ke pait par maar diya gaya (jabke woh hamila ho) ho aur is ka na-tamam (adhura) bacha gir gaya ho. Umar razi Allahu anhune poochha Aap logon mein se kisi ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ke baare mein koi hadees suni hai? Main ne kaha ke main ne suni hai. Poochha kiya hadees hai? Main ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke aaisi surat mein ek ghulam ya baandi tawan ke taur par hai. Umar razi Allahu anhune kaha ke tum ab chhoot nahi sakte yahan tak ke tum ne jo hadees bayan ki hai is silsile mein najat ka koi zariya (yani koi shahadat ke waqeyi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh hadees farmayi thi) lao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة