الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأيمان والنذور
Kitab: Qasmon aur nazron ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {لا يؤاخذكم الله باللغو فى أيمانكم ولكن يؤاخذكم بما عقدتم الأيمان فكفارته إطعام عشرة مساكين من أوسط ما تطعمون أهليكم أو كسوتهم أو تحرير رقبة فمن لم يجد فصيام ثلاثة أيام ذلك كفارة أيمانكم إذا حلفتم واحفظوا أيمانكم كذلك يبين الله لكم آياته لعلكم تشكرون} :
Allah Taala ne Surat Al-Maida mein farmaya "Allah Taala laghw qasmon par tum ko nahin pakde ga, balkeh un qasmon par pakde ga jinhen tum pakke taur se khao. Pas us ka kaffara das miskeenon ko mamooli khana khilana hai, us ausat khane ke mutabiq jo tum apne ghar walon ko khilate ho ya un ko kapra pehnana ya ek ghulam aazaad karna. Pas jo shakhs yeh cheezen na paaye to us ke liye teen din ke roze rakhna hai. Yeh tumhari qasmon ka kaffara hai jis waqt tum qasam khao aur apni qasmon ki hifazat karo. Isi tarah Allah Taala apne hukmon ko khol kar bayaan karta hai. Shayad ke tum shukr karo.
Hadith Number: 6622
حدثنا ابو النعمان محمد بن الفضل، حدثنا جرير بن حازم، حدثنا الحسن، حدثنا عبد الرحمن بن سمرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" يا عبد الرحمن بن سمرة، لا تسال الإمارة، فإنك إن اوتيتها عن مسالة وكلت إليها، وإن اوتيتها من غير مسالة اعنت عليها، وإذا حلفت على يمين فرايت غيرها خيرا منها، فكفر عن يمينك، وات الذي هو خير".
Hum se Abu Nuaym Muhammad bin Fadl Sadoosi ne bayan kiya , kaha hum se Jareer bin Hazim ne bayan kiya , kaha hum se Imam Hasan Basri ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Rahman bin Samura razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Ae Abd-ul-Rahman bin Samura! Kabhi kisi hukoomat ke ohde ki darkhast na karna kyunke agar tumhein yeh maangne ke baad mile ga to Allah Paak apni madad tujh se utha le ga , tu jaan , tera kaam jaane aur agar woh ohda tumhein baghair maange mil gaya to is mein Allah ki taraf se tumhari ianat ki jaye gi aur jab tum koi qasam kha lo aur is ke siwa kisi aur cheez mein bhalayi dekho to apni qasam ka kaf-fara de do aur woh kaam karo jo bhalayi ka ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6722
حدثنا محمد بن عبد الله، حدثنا عثمان بن عمر بن فارس، اخبرنا ابن عون، عن الحسن، عن عبد الرحمن بن سمرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تسال الإمارة، فإنك إن اعطيتها من غير مسالة، اعنت عليها، وإن اعطيتها عن مسالة، وكلت إليها، وإذا حلفت على يمين، فرايت غيرها خيرا منها، فات الذي هو خير، وكفر عن يمينك"، تابعه اشهل بن حاتم، عن ابن عون، وتابعه يونس، وسماك بن عطية، وسماك بن حرب، وحميد، وقتادة، ومنصور، وهشام، والربيع.
Mujh se Muhammad bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Usman bin Amr bin Faris ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah ibn Aun ne khabar di , unhein Imam Hasan Basri ne , in se Abd-ur-Rahman bin Samura razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kabhi tum hukoomat ka ohda talab na karna kyunke agar bila maange tumhein yeh mil jaye ga to is mein tumhari min-janib-allaah madad ki jaye gi , lekin agar maangne par mila to saara bojh tumhein par daal diya jaye ga aur agar tum koi qasam kha lo aur is ke siwa koi aur baat behtar nazar aaye to wahi karo jo behtar ho aur qasam ka kaf-fara ada kar do . Usman bin Amr ke saath is hadees ko Ash-hal bin Hatim ne bhi Abdullah bin Aun se riwayat kiya , is ko Abu Awanah aur Hakim ne wasal kiya aur Abdullah bin Aun ke saath is hadees ko Yunus aur Simak bin Atiy-yah aur Simak bin Harb aur Humayd aur Qatadah aur Mansoor aur Hisham aur Rabee ne bhi riwayat kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6777
حدثنا قتيبة، حدثنا ابو ضمرة انس، عن يزيد بن الهاد، عن محمد بن إبراهيم، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه" اتي النبي صلى الله عليه وسلم برجل قد شرب، قال: اضربوه، قال ابو هريرة: فمنا الضارب بيده، والضارب بنعله، والضارب بثوبه، فلما انصرف، قال بعض القوم: اخزاك الله، قال: لا تقولوا هكذا، لا تعينوا عليه الشيطان".
Hum se Qutaybah ne bayan kiya , in se Abu Dhamra ne bayan kiya , in se Anas ne bayan kiya , in se Yazid bin al-Haad ne bayan kiya , in se Muhammad bin Ibrahim ne bayan kiya , in se Abu Salamah ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas ek shakhs ko laya gaya jo sharab piye huay thu to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya usay maro , Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum mein baaz woh thay jinon ne usay hath se mara , baaz ne joote se mara aur baaz ne apne kapre se mara . Jab maar chuke to kisi ne kaha ke Allah tujhe ruswa kare . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is tarah ke jumle na kaho , is ke muamla mein shaytan ki madad na kar .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7146
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا جرير بن حازم، عن الحسن، عن عبد الرحمن بن سمرة، قال: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" يا عبد الرحمن بن سمرة، لا تسال الإمارة، فإنك إن اعطيتها عن مسالة وكلت إليها، وإن اعطيتها عن غير مسالة اعنت عليها، وإذا حلفت على يمين، فرايت غيرها خيرا منها فكفر عن يمينك وات الذي هو خير".
`Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Hazim ne bayan kiya, un se Hasan ne aur un se Abdur Rahman bin Samura Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Abdur Rahman! hukumat ke talib na banna kyunke agar tumhein mangne ke baad hukumat mili to tum is ke hawale kar diye jao ge aur wo tumhein bila mange mili to is mein tumhari (Allah ki taraf se) madad ki jaye gi aur agar tum ne qasam kha li ho phir is ke siwa doosri cheez mein bhalayi dekho to apni qasam ka kaffara ada kar do aur wo kaam karo jis mein bhalayi ho.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7147
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا يونس، عن الحسن، قال: حدثني عبد الرحمن بن سمرة، قال: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا عبد الرحمن بن سمرة، لا تسال الإمارة، فإن اعطيتها عن مسالة وكلت إليها، وإن اعطيتها عن غير مسالة اعنت عليها، وإذا حلفت على يمين، فرايت غيرها خيرا منها فات الذي هو خير وكفر عن يمينك".
`Hum se Abu Ma'mar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yunus ne bayan kiya, un se Hasan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Samura Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke un se Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ae Abdur Rahman ibn Samura! hukumat talab mat karna kyunke agar tumhein mangne ke baad ameeri mili to tum is ke hawale kar diye jao ge aur agar tumhein mange bagair mili to is mein tumhari madad ki jaye gi aur agar tum kisi baat par qasam kha lo aur phir is ke siwa doosri cheez mein bhalayi dekho to wo karo jis mein bhalayi ho aur apni qasam ka kaffara ada kar do.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7149
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال:" دخلت على النبي صلى الله عليه وسلم انا ورجلان من قومي، فقال احد الرجلين: امرنا يا رسول الله، وقال الآخر مثله، فقال: إنا لا نولي هذا من ساله، ولا من حرص عليه".
`Hum se Muhammad bin al-Ala ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraida ne, un se Abu Burda ne aur un se Abu Musa Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein apni qaum ke do aadmiyon ko le kar hazir hua. In mein se ek ne kaha ke ya Rasul Allah! humein kahin ka hakim bana dijiye aur doosre ne bhi yahi khwahish zahir ki. Is par Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke hum aise shakhs ko yeh zimmedari nahi saunpte jo ise talab kare aur na ise dete hain jo is ka harees ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة