الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب كَفَّارَاتِ الْأَيْمَانِ
The Book of The Expiation of Unfulfilled Oaths
بَابُ الْكَفَّارَةِ قَبْلَ الْحِنْثِ وَبَعْدَهُ:
Chapter. To make expiation for one’s oath before or after dissolving it.
Show diacritics
Hadith Number: 6721
حدثنا علي بن حجر، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، عن ايوب، عن القاسم التميمي، عن زهدم الجرمي، قال: كنا عند ابي موسى وكان بيننا وبين هذا الحي، من جرم إخاء ومعروف، قال: فقدم طعام، قال: وقدم في طعامه لحم دجاج، قال: وفي القوم رجل من بني تيم الله احمر كانه مولى، قال: فلم يدن، فقال له ابو موسى: ادن فإني قد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم ياكل منه، قال: إني رايته ياكل شيئا قذرته، فحلفت ان لا اطعمه ابدا، فقال: ادن اخبرك عن ذلك، اتينا رسول الله صلى الله عليه وسلم في رهط من الاشعريين استحمله، وهو يقسم نعما من نعم الصدقة، قال ايوب: احسبه قال: وهو غضبان، قال:" والله لا احملكم وما عندي ما احملكم عليه"، قال: فانطلقنا، فاتي رسول الله صلى الله عليه وسلم بنهب إبل، فقيل: اين هؤلاء الاشعريون، فاتينا فامر لنا بخمس ذود غر الذرى، قال: فاندفعنا، فقلت لاصحابي: اتينا رسول الله صلى الله عليه وسلم نستحمله، فحلف ان لا يحملنا، ثم ارسل إلينا فحملنا، نسي رسول الله صلى الله عليه وسلم يمينه، والله لئن تغفلنا رسول الله صلى الله عليه وسلم يمينه لا نفلح ابدا، ارجعوا بنا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلنذكره يمينه، فرجعنا فقلنا: يا رسول، الله اتيناك نستحملك، فحلفت ان لا تحملنا ثم حملتنا، فظننا او فعرفنا انك نسيت يمينك، قال:" انطلقوا، فإنما حملكم الله، إني والله إن شاء الله لا احلف على يمين، فارى غيرها خيرا منها، إلا اتيت الذي هو خير، وتحللتها"، تابعه حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة، والقاسم بن عاصم الكليبي.
Hum se Ali bin Hujr ne bayan kiya , kaha hum se Ismail bin Ibrahim ne bayan kiya , in se Ayub Sakhtiyani ne , in se Qasim Tameemi ne , in se Zahdam Jurmi ne bayan kiya ke hum Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ke paas thay aur hamare qabila aur is qabila Jarm mein bhai-chargi aur bahami husn e muamla ki rawish thi . Rawi ne bayan kiya ke phir khana laya gaya aur khane mein murghi ka gosht bhi thu . Rawi ne bayan kiya ke hazireen mein Bani Taymullah ka ek shakhs surkh rang ka bhi thu jaise mola ho . Bayan kiya ke woh shakhs khane par nahi aaya to Musa razi Allahu anhu ne is se kaha ke shareek ho jao , main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko is ka gosht khate dekha hai . Is shakhs ne kaha ke main ne usay gandagi khate dekha thu jab se is se ghin aane lagi aur isi waqt main ne qasam kha li ke kabhi is ka gosht nahi khaoon ga . Abu Musa ne kaha: qareeb aao main tumhein is ke mutalliq bataoon ga . Hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke yahan Ash'ariyon ki ek jama'at ke saath aaye aur main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se sawari ka janwar maanga . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt sadqa ke oonton mein se taqseem kar rahe thay . Ayub ne bayan kiya ke mera khayal hai ke Abu Musa razi Allahu anhu ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt ghussa thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ki qasam! Main tumhein sawari ke janwar nahi de sakta aur na mere paas koi aaisi cheez hai jo sawari ke liye tumhein de sakoon . Bayan kiya ke phir hum wapas aa gaye . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas ghaneemat ke oont aaye , to poochha gaya ke Ash'ariyon ki jama'at kahan hai . Hum hazir huay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain paanch umdah oont diye jaane ka hukm diya . Bayan kiya ke hum wahan se rawana huay to main ne apne saathiyon se kaha ke hum pehle Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas sawari ke liye aaye thay to Aap ne qasam kha li thi ke sawari ka intizham nahi kar sakte . Phir hamain bula bheija aur sawari ka janwar inayat farmaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni qasam bhool gaye hon ge . Wallah! Agar hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Aap ki qasam ke baare mein ghaflat mein rakkha to hum kabhi kamyab nahi hon ge . Chalo hum sab Aap ke paas wapas chalein aur Aap ko Aap ki qasam yaad dilayein . Chunanche hum wapas aaye aur arz kiya ke ya Rasool Allah! Hum pehle aaye thay aur Aap se sawari ka janwar maanga thu to Aap ne qasam kha li thi ke Aap is ka intizham nahi kar sakte , hum ne samjha ke Aap apni qasam bhool gaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jao , tumhein Allah ne sawari di hai , wallah agar Allah ne chaha to main jab bhi koi qasam kha loon aur phir doosri cheez ko is ke muqabil behtar samjhoon to wahi karoon ga jo behtar ho ga aur apni qasam torr doon ga . Is riwayat ki mutabia-t Hammad bin Zayd ne Ayub se ki , in se Abu Qulabah aur Qasim bin Aasim Kulaibi ne .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6721M
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Wahhab ne bayan kiya , in se Ayub ne , in se Abu Qulabah aur Qasim Tameemi ne aur in se Zahdam ne yahi hadees naqal ki .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6721M
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا ايوب، عن القاسم، عن زهدم، بهذا.
Hum se Abu Mamar ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya , kaha hum se Ayub ne , in se Qasim ne aur in se Zahdam ne yahi hadees bayan ki .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 6722
حدثنا محمد بن عبد الله، حدثنا عثمان بن عمر بن فارس، اخبرنا ابن عون، عن الحسن، عن عبد الرحمن بن سمرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تسال الإمارة، فإنك إن اعطيتها من غير مسالة، اعنت عليها، وإن اعطيتها عن مسالة، وكلت إليها، وإذا حلفت على يمين، فرايت غيرها خيرا منها، فات الذي هو خير، وكفر عن يمينك"، تابعه اشهل بن حاتم، عن ابن عون، وتابعه يونس، وسماك بن عطية، وسماك بن حرب، وحميد، وقتادة، ومنصور، وهشام، والربيع.
Mujh se Muhammad bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Usman bin Amr bin Faris ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Abdullah ibn Aun ne khabar di , unhein Imam Hasan Basri ne , in se Abd-ur-Rahman bin Samura razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kabhi tum hukoomat ka ohda talab na karna kyunke agar bila maange tumhein yeh mil jaye ga to is mein tumhari min-janib-allaah madad ki jaye gi , lekin agar maangne par mila to saara bojh tumhein par daal diya jaye ga aur agar tum koi qasam kha lo aur is ke siwa koi aur baat behtar nazar aaye to wahi karo jo behtar ho aur qasam ka kaf-fara ada kar do . Usman bin Amr ke saath is hadees ko Ash-hal bin Hatim ne bhi Abdullah bin Aun se riwayat kiya , is ko Abu Awanah aur Hakim ne wasal kiya aur Abdullah bin Aun ke saath is hadees ko Yunus aur Simak bin Atiy-yah aur Simak bin Harb aur Humayd aur Qatadah aur Mansoor aur Hisham aur Rabee ne bhi riwayat kiya .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain