الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المناقب
Kitab: Fazeelaton ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {يا أيها الناس إنا خلقناكم من ذكر وأنثى وجعلناكم شعوبا وقبائل لتعارفوا إن أكرمكم عند الله أتقاكم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Hujurat mein) irshad“Ay logo! Hum ne tum sab ko ek hi mard Adam aur ek hi aurat Hawwa se paida kiya hai aur tum ko mukhtalif qaumein aur khandanan bana diya hai taake tum butaur rishta-dari ek doosre ko pehchaan sako, beshak tum sab mein se Allah ke nazdeek mu’azzaz-tar woh hai jo zyada parhezgaar ho”.
Hadith Number: 3498
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن إسماعيل، عن قيس، عن ابي مسعود يبلغ به النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من ها هنا جاءت الفتن نحو المشرق والجفاء وغلظ القلوب في الفدادين اهل الوبر عند اصول اذناب الإبل والبقر في ربيعة ومضر".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Ismail ne, un se Qais ne aur un se Abu Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, aur unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat kiya ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Isi taraf se fitne uthein ge yani mashriq se aur be-wafayi aur sakht-dili in logon mein hai jo onton aur gayon ki dum ke pas chalate rehte hain yani Rabee-ah aur Muzar ke logon mein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3302
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن إسماعيل، قال: حدثني قيس، عن عقبة بن عمرو ابي مسعود، قال: اشار رسول الله صلى الله عليه وسلم بيده نحو اليمن، فقال:" الإيمان يمان ها هنا الا إن القسوة وغلظ القلوب في الفدادين عند اصول اذناب الإبل حيث يطلع قرنا الشيطان في ربيعة ومضر".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Ismail ne bayan kiya ke mujh se Qais ne bayan kiya aur un se Uqba Bin Amr Abu Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Yemen ki taraf apne hath se isharah karte hue farmaya ke iman to idhar hai Yemen mein! Haan, aur qasawat aur sakht dili in logon mein hai jo onton ki dumein pakde chalate rehte hain. Jahan se shaitan ki chotiyan namudar hongi, yaani Rabi'a aur Muzar ki qaumon mein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3499
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" الفخر والخيلاء في الفدادين اهل الوبر والسكينة في اهل الغنم والإيمان يمان والحكمة يمانية، سميت اليمن لانها عن يمين الكعبة والشام لانها عن يسار الكعبة والمشامة الميسرة، واليد اليسرى الشؤمى، والجانب الايسر الاشام".
Hum se Abu Al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhein Abu Salamah Bin Abdur Rahman ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe thay ke fakhr aur takabbur in cheekhne aur shour machane wale ont walon mein hai aur bakri charane walon mein narm-dili aur malaimat hoti hai aur iman to Yaman mein hai hikmat (hadees) bhi Yamani hai, Abu Abdullah yani (Imam Bukhari (Rahimahullah)) ne kaha ke Yaman ka naam Yaman is liye hua ke ye Kaabah ke dahni jaanib hai aur Shaam ko Shaam is liye kehte hain ke ye Kaabah ke bain jaanib hai. «al-mash-amatu» bain jaanib ko kehte hain. Bain hath ko «al-shu-ma» kehte hain aur bain jaanib ko «al-ash-amu» kehte hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4387
حدثني عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا وهب بن جرير، حدثنا شعبة، عن إسماعيل بن ابي خالد، عن قيس بن ابي حازم، عن ابي مسعود: ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" الإيمان ها هنا واشار بيده إلى اليمن والجفاء، وغلظ القلوب في الفدادين عند اصول اذناب الإبل من حيث يطلع قرنا الشيطان ربيعة ومضر".
Hum se Abdullah bin Muhammad Jafi ne byaan kiya , kaha hum se Wahb bin Jareer ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Qays bin Abi Hazim ne aur un se Abu Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke iman to idhar hai aur Aap ne apne hath se Yaman ki taraf isharah kiya aur be-rahmi aur sakht dili oont ki dum ke peeche peeche chalane walon mein hai , jidhar se Shaytan ke donon seeng nikalte hain (yani Mashriq) qabila Rabiah aur Mudar ke logon mein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4388
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن شعبة، عن سليمان، عن ذكوان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" اتاكم اهل اليمن هم ارق افئدة والين قلوبا، الإيمان يمان، والحكمة يمانية، والفخر والخيلاء في اصحاب الإبل، والسكينة والوقار في اهل الغنم"، وقال غندر، عن شعبة، عن سليمان: سمعت ذكوان، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Abi Adi ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Sulayman ne , un se Zhakwan ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhare yahan Ahl e Yaman aa gaye hain , un ke dil ke parde bareek , dil narm hote hain , iman Yaman walon ka hai aur hikmat bhi Yaman ki achhi hai aur fakhr o takabbur oont walon mein hota hai aur itminan aur sahoolat bakri walon mein . Aur Ghundar ne byaan kiya is hadees ko Shubah se , un se Sulayman ne , unhon ne Zhakwan se suna , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4389
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني اخي، عن سليمان، عن ثور بن زيد، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" الإيمان يمان، والفتنة ها هنا ها هنا يطلع قرن الشيطان".
Hum se Ismail bin Abi Uways ne byaan kiya , kaha ke mujh se mere bhai Abdul Hameed ne byaan kiya , un se Ibn Bilal ne , un se Sawr bin Zayd ne , un se Abu al-Ghais (Salim) ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke iman Yaman ka hai aur fitna (deen ki kharabi) idhar se hai aur idhar hi se Shaytan ke sar ka kona namoodar ho ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4390
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" اتاكم اهل اليمن اضعف قلوبا وارق افئدة، الفقه يمان، والحكمة يمانية".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hum se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhare yahan Ahl e Yaman aaye hain jo narm dil raqeeq al-qalb hain , deen ki samajh Yaman walon mein hai aur hikmat bhi Yaman ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5303
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى بن سعيد، عن إسماعيل، عن قيس، عن ابي مسعود، قال:" واشار النبي صلى الله عليه وسلم بيده نحو اليمن الإيمان ها هنا مرتين، الا وإن القسوة وغلظ القلوب في الفدادين حيث يطلع قرنا الشيطان ربيعة ومضر".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed ne byaan kiya , in se Ismail ne , in se Qays ne aur in se Abu Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne hath se Yaman ki taraf isharah kar ke farmaya ke barkatein idhar hain . دو martaba (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh farmaya) haan aur sakhti aur qasawat e qalb un ki karakht aawaz walon mein hai jahan se Shaytan ki donon seingien tuloo hoti hain yani Rabia aur Muzar mein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة