الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الجهاد والسير
Kitab: Jihad ka bayan
باب الغدوة والروحة فى سبيل الله، وقاب قوس أحدكم من الجنة:
Bab: Allah ke raste mein subah o shaam chalne ki aur jannat mein ek kamaan barabar jagah ki fazilat.
Show diacritics
Hadith Number: 2794
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الروحة والغدوة في سبيل الله افضل من الدنيا وما فيها".
Hum se Qabisah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya unhon ne Abu Hazim se aur un se Sahl Bin Saad (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah ke raste mein guzarne wali ek subah o shaam duniya aur jo kuch duniya mein hai sab se barh kar hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2792
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، حدثنا حميد، عن انس بن مالك رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لغدوة في سبيل الله او روحة خير من الدنيا وما فيها".
Hum se Mualla Bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wahb Bin Khalid ne (fazl jihad mein) bayan kiya, kaha hum se Humaid Tawil ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah ke raste mein guzarne wali ek subah ya ek shaam duniya se aur jo kuch duniya mein hai sab se behtar hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2796
وسمعت انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم" لروحة في سبيل الله، او غدوة خير من الدنيا وما فيها، ولقاب قوس احدكم من الجنة، او موضع قيد يعني سوطه خير من الدنيا وما فيها، ولو ان امراة من اهل الجنة اطلعت إلى اهل الارض لاضاءت ما بينهما، ولملاته ريحا ولنصيفها على راسها خير من الدنيا وما فيها".
Aur mein ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna wo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hawale se bayan karte thay ke Allah ke raste mein ek subah ya ek shaam bhi guzar dena duniya aur jo kuch is mein hai, sab se behtar hai aur kisi ke liye jannat mein ek hath ke barabar jagah bhi ya (rawi ko shubah hai) ek «ghid» jagah, «ghid» se murad kora hai, «dunya uma fyha» se behtar hai aur agar jannat ki koi aurat zameen ki taraf jhank bhi le to zameen o aasman apni tamam wusaton ke sath munawwar ho jayein aur khushbu se muattar ho jayein. Is ke sar ka dupatta bhi duniya aur is ki sari cheezon se barh kar hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2892
حدثنا عبد الله بن منير، سمع ابا النضر، حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد الساعدي رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" رباط يوم في سبيل الله خير من الدنيا وما عليها، وموضع سوط احدكم من الجنة خير من الدنيا وما عليها، والروحة يروحها العبد في سبيل الله، او الغدوة خير من الدنيا وما عليها".
Hum se Abdullah Bin Muneer ne bayan kiya, unhon ne Abu-ul-Nazr Hashim Bin Qasim se suna, unhon ne kaha hum se Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Dinar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abu Hazim (Salama Bin Dinar) ne bayan kiya aur un se Sahl Bin Saad Saidi (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah ke raste mein dushman se mili hui sarhad par ek din ka pahra «dunya uma fyha» se barh kar hai jannat mein kisi ke liye ek kore jitni jagah «dunya uma fyha» se barh kar hai aur jo shakhs Allah ke raste mein shaam ko chale ya subah ko to wo «dunya uma fyha» se behtar hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3250
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد الساعدي، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"موضع سوط في الجنة خير من الدنيا وما فيها".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, un se Abu Hazim ne aur un se Sahl Bin Saad Sa'idi (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jannat mein ek kode ki jagah dunya se aur jo kuch dunya mein hai, sab se behtar hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6415
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا عبد العزيز بن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" موضع سوط في الجنة خير من الدنيا وما فيها، ولغدوة في سبيل الله، او روحة خير من الدنيا وما فيها".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Abu Salamah ne bayan kiya , in se un ke walid ne aur in se Sahl razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Aap ko yeh farmate huay suna ke jannat mein ek koray jitni jagah duniya aur is mein jo kuch hai sab se behtar hai aur Allah ke raste mein subah ko ya shaam ko thora sa chalna bhi «ad-dunyaa wa maa feehaa» se behtar hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6568
وقال:" غدوة في سبيل الله او روحة، خير من الدنيا وما فيها، ولقاب قوس احدكم، او موضع قدم من الجنة، خير من الدنيا وما فيها، ولو ان امراة من نساء اهل الجنة اطلعت إلى الارض، لاضاءت ما بينهما، ولملات ما بينهما ريحا، ولنصيفها، يعني: الخمار، خير من الدنيا وما فيها".
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ke raaste mein jihad ke liye ek subah ya ek shaam safar karna duniya aur jo kuch is mein hai , se barh kar hai aur jannat mein tumhari ek kaman ke barabar jagah ya ek qadam ke fasile ke barabar jagah duniya aur jo kuch is mein hai , se behtar hai aur agar jannat ki auraton mein se koi aurat roye zameen ki taraf jhaank kar dekh le to aasman se le kar zameen tak munawwar kar de aur in tamam ko khushboo se bhar de aur is ka dupatta «dunyaa wa maa feehaa» se barh kar hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة