الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الغسل
Kitab: Ghusl ke ahkam o masail
باب من أفاض على رأسه ثلاثا:
Bab: Is ke bare mein jo apne sar par teen martaba pani bahaye.
Show diacritics
Hadith Number: 255
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا غندر، قال: حدثنا شعبة، عن مخول بن راشد، عن محمد بن علي، عن جابر بن عبد الله، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يفرغ على راسه ثلاثا".
Muhammed bin Bashshaar ne hum se Hadees bayan ki, unhon ne kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Sho’bah ne bayan kiya, Mikhwal bin Rashid ke waaste se, woh Muhammed bin ’Ali se, woh Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhuma se, unhon ne farmaaya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apne sar par teen martaba paani bahaate the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 248
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان إذا اغتسل من الجنابة بدا فغسل يديه، ثم يتوضا كما يتوضا للصلاة، ثم يدخل اصابعه في الماء فيخلل بها اصول شعره، ثم يصب على راسه ثلاث غرف بيديه، ثم يفيض الماء على جلده كله".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hamein Malik ne Hishaam se khabar di, woh apne waalid se, woh Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zauja-e-mutahharah Aisha Radhiallahu Anha se riwayat karte hain ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab ghusl farmaate to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam pehle apne dono haath dhote phir usi tarah Wuzu karte jaisa Namaz ke liye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Wuzu kiya karte the. Phir paani mein apni ungliyaan daakhil farmaate aur un se baalon ki jadon ka khilaal karte. Phir apne haathon se teen chullu sar par daalte phir tamaam badan par paani baha lete.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 249
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب، عن ابن عباس، عن ميمونة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" توضا رسول الله صلى الله عليه وسلم وضوءه للصلاة غير رجليه، وغسل فرجه وما اصابه من الاذى، ثم افاض عليه الماء، ثم نحى رجليه فغسلهما هذه غسله من الجنابة".
Hum se Muhammed bin Yousuf ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya A’mash se riwayat kar ke, woh Salim Ibn-e-Abi Al-Ja’d se, woh Kuraib se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se, woh Maimunah Radhiallahu Anha Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zauja-e-mutahharah se riwayat karte hain, unhon ne batlaaya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Namaz ke Wuzu ki tarah ek martaba Wuzu kiya, albattah paaon nahi dhoye. Phir apni sharmgaah ko dhoya aur jahaan kahien bhi najasat lag gayi thi, us ko dhoya. Phir apne upar paani baha liya. Phir pehli jagah se hat kar apne dono paaon ko dhoya. Aap ka ghusl-e-janabat isi tarah huwa karta tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 252
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثنا يحيى بن آدم، قال: حدثنا زهير، عن ابي إسحاق، قال: حدثنا ابو جعفر، انه كان عند جابر بن عبد الله هو وابوه وعنده قوم، فسالوه عن الغسل، فقال: يكفيك صاع؟ فقال رجل: ما يكفيني، فقال جابر:" كان يكفي من هو اوفى منك شعرا وخير منك"، ثم امنا في ثوب.
Hum se Abdullah bin Muhammed ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Adam ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha hum se Zubair ne Abu Ishaaq ke waaste se, unhon ne kaha hum se Abu Ja’far (Muhammed Baqir) ne bayan kiya ke woh aur un ke waalid (janab Zain-ul-Aabideen) Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhu ke paas the aur kuch aur log bhi baithe huwe the. Un logon ne aap se ghusl ke baare mein poocha to aap ne farmaaya ke ek Saa’ kaafi hai. Us par ek shakhs bola yeh mujhe to kaafi na hoga. Jabir Radhiallahu Anhu ne farmaaya ke yeh un ke liye kaafi hota tha jin ke baal tum se ziyada the aur jo tum se behtar the (yani Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam) phir Jabir Radhiallahu Anhu ne sirf ek kapda pahan kar hamein Namaz padhaayi. (Note: Saa’ ke andar 2.488 Kilogram hota hai.)


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 254
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا زهير، عن ابي إسحاق، قال: حدثني سليمان بن صرد، قال: حدثني جبير بن مطعم، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اما انا فافيض على راسي ثلاثا، واشار بيديه كلتيهما".
Abu Nu’aim ne hum se bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Zubair ne riwayat ki Abu Ishaaq se, unhon ne kaha ke hum se Jubair bin Mut’im Radhiallahu Anhu ne riwayat ki. Unhon ne kaha ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya main to apne sar par teen martaba paani bahaata hun aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne dono haathon se ishaara kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 256
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا معمر بن يحيى بن سام، حدثني ابو جعفر، قال: قال لي جابر: واتاني ابن عمك يعرض بالحسن بن محمد بن الحنفية، قال: كيف الغسل من الجنابة؟ فقلت" كان النبي صلى الله عليه وسلم ياخذ ثلاثة اكف ويفيضها على راسه، ثم يفيض على سائر جسده، فقال لي الحسن: إني رجل كثير الشعر، فقلت: كان النبي صلى الله عليه وسلم اكثر منك شعرا".
Hum se Abu Nu’aim (Fazl bin Dukain) ne bayan kiya, kaha ke hum se Ma’mar bin Yahya bin Saam ne riwayat kiya, kaha ke hum se Abu Ja’far (Muhammed Baqir) ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Jabir ne bayan kiya ke mere paas tumhaare chacha ke bete (un ki muraad Hasan bin Muhammed Ibn-e-Hanafiyyah se thi) aaye. Unhon ne poocha ke janabat ke ghusl ka kya tareeqa hai? Main ne kaha ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam teen chullu paani lete aur un ko apne sar par bahaate the. Phir apne tamaam badan par paani bahaate the. Hasan ne us par kaha ke main to bahut baalon waala aadmi hun. Main ne jawab diya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke baal tum se ziyada the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 257
حدثنا موسى، قال: حدثنا عبد الواحد، عن الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب، عن ابن عباس، قال: قالت ميمونة:" وضعت للنبي صلى الله عليه وسلم ماء للغسل، فغسل يديه مرتين او ثلاثا، ثم افرغ على شماله فغسل مذاكيره، ثم مسح يده بالارض، ثم مضمض واستنشق وغسل وجهه ويديه، ثم افاض على جسده، ثم تحول من مكانه فغسل قدميه".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Waahid ne A’mash ke waaste se bayan kiya, unhon ne Salim bin Abi-Ja’d se, unhon ne Kuraib se, unhon ne Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se, Aap ne farmaaya ke Umm-ul-Mo’mineen Maimunah Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye ghusl ka paani rakha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath do martaba ya teen martaba dhoye. Phir paani apne baayein haath mein le kar apni sharmgaah ko dhoya. Phir zameen par haath ragda. Us ke baad kulli ki aur naak mein paani daala aur apne chehre aur haathon ko dhoya. Phir apne saare badan par paani baha liya aur apni jagah se hat kar dono paaon dhoye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 259
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، قال: حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني سالم، عن كريب، عن ابن عباس، قال: حدثتنا ميمونة، قالت:" صببت للنبي صلى الله عليه وسلم غسلا، فافرغ بيمينه على يساره فغسلهما، ثم غسل فرجه، ثم قال: بيده الارض فمسحها بالتراب ثم غسلها، ثم تمضمض واستنشق، ثم غسل وجهه وافاض على راسه، ثم تنحى فغسل قدميه، ثم اتي بمنديل فلم ينفض بها".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha ke hum se mere waalid ne bayan kiya, kaha ke hum se A’mash ne, kaha mujh se Salim ne Kuraib ke waasta se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain, kaha hum se Maimunah ne bayan farmaaya ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye ghusl ka paani rakha. To pehle Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne paani ko daayen haath se baayein par giraaya. Is tarah apne dono haathon ko dhoya. Phir apni sharmgaah ko dhoya. Phir apne haath ko zameen par ragad kar use mitti se mila aur dhoya. Phir kulli ki aur naak mein paani daala. Phir apne chehre ko dhoya aur apne sar par paani bahaaya. Phir ek taraf ho kar dono paaon dhoye. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko rumaal diya gaya. Lekin Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us se paani ko khushk nahi kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 260
حدثنا الحميدي، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب، عن ابن عباس، عن ميمونة،" ان النبي صلى الله عليه وسلم اغتسل من الجنابة، فغسل فرجه بيده ثم دلك بها الحائط، ثم غسلها، ثم توضا وضوءه للصلاة، فلما فرغ من غسله غسل رجليه".
Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se A’mash ne bayan kiya Salim bin Abi-Ja’d ke waaste se, unhon ne Kuraib se, unhon ne Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se, unhon ne Maimunah Radhiallahu Anha se ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ghusl-e-janabat kiya to pehle apni sharmgaah ko apne haath se dhoya. Phir haath ko deewaar par ragad kar dhoya. Phir Namaz ki tarah Wuzu kiya aur jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apne ghusl se faarigh ho gaye to dono paaon dhoye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 262
حدثنا مسدد، قال: حدثنا حماد، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اغتسل من الجنابة غسل يده".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad ne Hishaam ke waaste se bayan kiya, woh apne waalid se, woh Aisha Radhiallahu Anha se, aap ne farmaaya ke jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ghusl-e-janabat farmaate to (pehle) apna haath dhote.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 265
حدثنا محمد بن محبوب، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب مولى ابن عباس، عن ابن عباس، قال: قالت ميمونة:" وضعت لرسول الله صلى الله عليه وسلم ماء يغتسل به، فافرغ على يديه فغسلهما مرتين مرتين او ثلاثا، ثم افرغ بيمينه على شماله فغسل مذاكيره، ثم دلك يده بالارض، ثم مضمض واستنشق، ثم غسل وجهه ويديه وغسل راسه ثلاثا، ثم افرغ على جسده، ثم تنحى من مقامه فغسل قدميه".
Hum se Muhammed bin Mahboob ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyaad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A’mash ne Salim bin Abi-Ja’d ke waaste se bayan kiya, unhon ne Kuraib Maula Ibn-e-Abbas se, unhon ne Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se ke Maimunah Radhiallahu Anha ne kaha ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye ghusl ka paani rakha. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pehle paani apne haathon par gira kar unhein do ya teen baar dhoya. Phir apne daahne haath se baayein par gira kar apni sharamgaahon ko dhoya. Phir haath ko zameen par ragda. Phir kulli ki aur naak mein paani daala phir apne chehre aur haathon ko dhoya. Phir apne sar ko teen martaba dhoya, phir apne saare badan par paani bahaaya, phir Aap apni ghusl ki jagah se alag ho gaye. Phir apne qadmon ko dhoya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 266
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو عوانة، حدثنا الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب مولى ابن عباس، عن ابن عباس، عن ميمونة بنت الحارث، قالت:" وضعت لرسول الله صلى الله عليه وسلم غسلا وسترته فصب على يده فغسلها مرة او مرتين، قال سليمان: لا ادري اذكر الثالثة ام لا، ثم افرغ بيمينه على شماله فغسل فرجه، ثم دلك يده بالارض او بالحائط، ثم تمضمض واستنشق وغسل وجهه ويديه وغسل راسه، ثم صب على جسده، ثم تنحى فغسل قدميه فناولته خرقة، فقال: بيده هكذا، ولم يردها".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu ’Awaanah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A’mash ne Salim bin Abi-Ja’d ke waaste se bayan kiya, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ke Maula Kuraib se, unhon ne Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se, unhon ne Maimunah Bint-e-Haris Radhiallahu Anha se, unhon ne kaha ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye (ghusl ka) paani rakha aur pardah kar diya, Aap ne (pehle ghusl mein) apne haath par paani daala aur use ek ya do baar dhoya. Sulaiman Al-A’mash kehte hain ke mujhe yaad nahi rawi (Salim bin Abi-Ja’d) ne teesri baar ka bhi zikr kiya ya nahi. Phir daahne haath se baayein par paani daala. Aur sharmgaah dhoyi, phir apne haath ko zameen par ya deewaar par ragda. Phir kulli ki aur naak mein paani daala aur chehre aur haathon ko dhoya. Aur sar ko dhoya. Phir saare badan par paani bahaaya. Phir ek taraf sarak kar dono paaon dhoye. Baad mein main ne ek kapda diya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath se ishaara kiya is tarah ke ise hataao aur Aap ne us kapde ka iradah nahi farmaaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 273
وقالت: كنت اغتسل انا ورسول الله صلى الله عليه وسلم من إناء واحد نغرف منه جميعا".
Aur Aisha Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ek bartan mein ghusl karte the. Hum dono us se chullu bhar bhar kar paani lete the.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 274
حدثنا يوسف بن عيسى، قال: اخبرنا الفضل بن موسى، قال: اخبرنا الاعمش، عن سالم، عن كريب مولى ابن عباس، عن ابن عباس، عن ميمونة، قالت:" وضع رسول الله صلى الله عليه وسلم وضوءا لجنابة فاكفا بيمينه على شماله مرتين او ثلاثا، ثم غسل فرجه، ثم ضرب يده بالارض او الحائط مرتين او ثلاثا، ثم مضمض واستنشق وغسل وجهه وذراعيه، ثم افاض على راسه الماء، ثم غسل جسده، ثم تنحى فغسل رجليه، قالت: فاتيته بخرقة فلم يردها، فجعل ينفض بيده".
Hum se Yousuf bin Esa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fazl bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A’mash ne bayan kiya unhon ne Salim ke waaste se, unhon ne Kuraib Maula Ibn-e-Abbas se, unhon ne Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se bayan kiya, unhon ne Umm-ul-Mo’mineen Maimunah Radhiallahu Anha se riwayat kiya, unhon ne farmaaya ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ghusl-e-janabat ke liye paani rakha phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pehle do ya teen martaba apne daayen haath se baayein haath par paani daala. Phir sharmgaah dhoyi. Phir haath ko zameen par ya deewaar par do ya teen baar ragda. Phir kulli ki aur naak mein paani daala aur apne chehre aur baazuon ko dhoya. Phir sar par paani bahaaya aur saare badan ka ghusl kiya. Phir apni jagah se sarak kar paaon dhoye. Maimunah Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main ek kapda laayi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne use nahi liya aur haathon hi se paani jhaadne lage.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 276
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا ابو حمزة، قال: سمعت الاعمش، عن سالم، عن كريب، عن ابن عباس، قال: قالت ميمونة" وضعت للنبي صلى الله عليه وسلم غسلا فسترته بثوب وصب على يديه فغسلهما، ثم صب بيمينه على شماله فغسل فرجه فضرب بيده الارض فمسحها، ثم غسلها فمضمض واستنشق وغسل وجهه وذراعيه، ثم صب على راسه وافاض على جسده، ثم تنحى فغسل قدميه، فناولته ثوبا فلم ياخذه، فانطلق وهو ينفض يديه".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha hum se Abu Hamza (Muhammed bin Maymoon) ne, kaha main ne A’mash se suna, unhon ne Salim bin Abi-Ja’d se, unhon ne Kuraib se, unhon ne Ibn-e-Abbas se, aap ne kaha ke Maimunah Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye ghusl ka paani rakha aur ek kapde se pardah kar diya. Pehle Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne dono haathon par paani daala aur unhein dhoya. Phir apne daahne haath se baayein haath mein paani liya aur sharmgaah dhoyi. Phir haath ko zameen par maara aur dhoya. Phir kulli ki aur naak mein paani daala aur chehre aur baazu dhoye. Phir sar par paani bahaaya aur saare badan ka ghusl kiya. Us ke baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam maqam-e-ghusl se ek taraf ho gaye. Phir dono paaon dhoye. Us ke baad main ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko ek kapda dena chaaha. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne use nahi liya aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam haathon se paani jhaadne lage.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 281
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا سفيان، عن الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب، عن ابن عباس، عن ميمونة، قالت:" سترت النبي صلى الله عليه وسلم وهو يغتسل من الجنابة فغسل يديه، ثم صب بيمينه على شماله فغسل فرجه وما اصابه، ثم مسح بيده على الحائط او الارض، ثم توضا وضوءه للصلاة غير رجليه، ثم افاض على جسده الماء، ثم تنحى فغسل قدميه"، تابعه ابو عوانة، وابن فضيل في الستر.
Hum se Abdan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdullah bin Mubarak ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, unhon ne A’mash se, woh Salim bin Abi-Ja’d se, woh Kuraib se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se, woh Maimunah Radhiallahu Anha se, unhon ne kaha ke jab Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ghusl-e-janabat farmaa rahe the main ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka pardah kiya tha. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pehle apne haath dhoye, phir daahne haath se baayein par paani bahaaya aur sharmgaah dhoyi aur jo kuch us mein lag gaya tha use dhoya phir haath ko zameen ya deewaar par ragad kar (dhoya) phir Namaz ki tarah Wuzu kiya. Paaon ke alawah. Phir paani apne saare badan par bahaaya aur us jagah se hat kar dono qadmon ko dhoya. Is Hadees mein Abu ’Awaanah aur Muhammed bin Fuzail ne bhi parde ka zikr kiya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة