الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْغُسْل
The Book of Ghusl (Washing of the Whole Body)
بَابُ الْغُسْلِ بِالصَّاعِ وَنَحْوِهِ:
Chapter. Taking a bath with a Sa of water or so. (One Sa = 3 kilograms approx.)
Hadith Number: 251
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثني عبد الصمد، قال: حدثني شعبة، قال: حدثني ابو بكر بن حفص، قال: سمعت ابا سلمة، يقول: دخلت انا واخو عائشة على عائشة، فسالها اخوها عن غسل النبي صلى الله عليه وسلم؟" فدعت بإناء نحوا من صاع، فاغتسلت وافاضت على راسها وبيننا وبينها حجاب"، قال ابو عبد الله: قال يزيد بن هارون، وبهز، والجدي، عن شعبة: قدر صاع.
Hum se Abdullah bin Muhammed ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha ke hum se Abdus Samad ne, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne, unhon ne kaha hum se Abu Bakr bin Hafs ne, unhon ne kaha ke main ne Abu Salamah se yeh Hadees suni ke main (Abu Salamah) aur Aisha Radhiallahu Anha ke bhai Aisha Radhiallahu Anha ki khidmat mein gaye. Un ke bhai ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke ghusl ke baare mein sawaal kiya. To Aap ne Saa’ jaisa ek bartan mangwaaya. Phir ghusl kiya aur apne upar paani bahaaya. Us waqt hamaare darmiyaan aur un ke darmiyaan pardah haayil tha. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) kehte hain ke Yazeed bin Haroon, Bahz aur Juddi ne Sho’bah se qadr Saa’ ke alfaaz riwayat kiye hain. (Note: Saa’ ke andar 2.488 Kilogram hota hai.)
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 252
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثنا يحيى بن آدم، قال: حدثنا زهير، عن ابي إسحاق، قال: حدثنا ابو جعفر، انه كان عند جابر بن عبد الله هو وابوه وعنده قوم، فسالوه عن الغسل، فقال: يكفيك صاع؟ فقال رجل: ما يكفيني، فقال جابر:" كان يكفي من هو اوفى منك شعرا وخير منك"، ثم امنا في ثوب.
Hum se Abdullah bin Muhammed ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Adam ne Hadees bayan ki, unhon ne kaha hum se Zubair ne Abu Ishaaq ke waaste se, unhon ne kaha hum se Abu Ja’far (Muhammed Baqir) ne bayan kiya ke woh aur un ke waalid (janab Zain-ul-Aabideen) Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhu ke paas the aur kuch aur log bhi baithe huwe the. Un logon ne aap se ghusl ke baare mein poocha to aap ne farmaaya ke ek Saa’ kaafi hai. Us par ek shakhs bola yeh mujhe to kaafi na hoga. Jabir Radhiallahu Anhu ne farmaaya ke yeh un ke liye kaafi hota tha jin ke baal tum se ziyada the aur jo tum se behtar the (yani Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam) phir Jabir Radhiallahu Anhu ne sirf ek kapda pahan kar hamein Namaz padhaayi. (Note: Saa’ ke andar 2.488 Kilogram hota hai.)
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 253
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا ابن عيينة، عن عمرو، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس،" ان النبي صلى الله عليه وسلم وميمونة كانا يغتسلان من إناء واحد"، قال ابو عبد الله: كان ابن عيينة، يقول: اخيرا، عن ابن عباس، عن ميمونة، والصحيح ما روى ابو نعيم.
Hum se Abu Nu’aim ne riwayat ki, unhon ne kaha ke hum se Sufyan bin ’Uyainah ne ’Amr ke waasta se bayan kiya, woh Jabir bin Zaid se, woh Abdullah bin Abbas se ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam aur Maimunah Radhiallahu Anha ek bartan mein ghusl kar lete the. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) farmaate hain ke Ibn-e-’Uyainah akheer umr mein is Hadees ko yun riwayat karte the Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se unhon ne Maimunah Radhiallahu Anha se aur sahih wahi riwayat hai jo Abu Nu’aim ne ki hai.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة