الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب ما ذكر فى الأسواق:
Bab: Bazaron ka bayan.
Hadith Number: 2123
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابو ضمرة، حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، حدثنا ابن عمر: انهم كانوا يشترون الطعام من الركبان على عهد النبي صلى الله عليه وسلم، فيبعث عليهم من يمنعهم ان يبيعوه، حيث اشتروه حتى ينقلوه، حيث يباع الطعام.
Hum se Ibrahim Bin-al-Munzir ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Zamra Anas Bin Iyas ne bayan kiya, kaha ke hum se Musa Bin Uqba ne bayan kiya, un se Nafay ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke sahaba (Radi Allahu Anhum) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamana mein ghalla qafilon se khareedte thay to aap un ke paas koi aadmi bhej kar wahin par jahan unhon ne ghalla khareeda hota. Is ghalle ko bechne se mana farma dete aur usay wahan se la kar bechne ka hukm hota jahan aam taur par ghalla bikta tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2131
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا الوليد بن مسلم، عن الاوزاعي، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه رضي الله عنه، قال:"رايت الذين يشترون الطعام مجازفة، يضربون على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يبيعوه، حتى يؤووه إلى رحالهم".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha ke hum ko Waleed Bin Muslim ne khabar di, unhein Auzai ne, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne, aur un se un ke baap ne bayan kiya, ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein in logon ko dekha jo anaaj ke dhair (baghair tole hue mahz andaza kar ke) khareed lete un ko maar parti thi. Is liye ke jab tak apne ghar na le jayein na bachein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2137
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني سالم بن عبد الله، ان ابن عمر رضي الله عنه، قال:" لقد رايت الناس في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم يبتاعون جزافا يعني الطعام، يضربون ان يبيعوه في مكانهم، حتى يؤووه إلى رحالهم".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Yunus ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Salim Bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne khabar di, un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ahd-e-mubarak mein dekha ke logon ko is par tanbeeh ki jati jab wo ghalla ka dhair khareed kar ke apne thikane par lane se pehle hi us ko bech daalte. Yaani ghalla to is baat par unhein saza di jati ke wo us ko apne thikane par lane se pehle us ko bech daalte
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2166
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: كنا نتلقى الركبان فنشتري منهم الطعام،" فنهانا النبي صلى الله عليه وسلم ان نبيعه حتى يبلغ به سوق الطعام"، قال ابو عبد الله: هذا في اعلى السوق، يبينه حديث عبيد الله.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Juwayriyah ne bayan kiya, un se Nafay ne aur un se Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum aage qafilon ke paas khud hi pohanch jaya karte thay aur (shehar mein pohanchne se pehle hi) un se ghalla khareed liya karte, lekin Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humein is baat se mana farmaya ke hum is mal ko isi jagah bechein jab tak anaaj ke bazaar mein na layein. Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ka ye milna bazaar ke buland kinare par tha. (jidhar se saudagar aaya karte thay) aur ye baat Ubaidullah ki hadees se nikalti hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2167
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عبيد الله، قال: حدثني نافع، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" كانوا يبتاعون الطعام في اعلى السوق فيبيعونه في مكانه، فنهاهم رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يبيعوه في مكانه حتى ينقلوه".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha ke hum se Yahya Bin Qattan ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne, kaha ke mujh se Nafay ne bayan kiya, aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke log bazaar ki buland janib ja kar ghalla khareedte aur wahin bechne lagte. Is liye Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se mana farmaya ke ghalla wahan na bechein jab tak us ko uthwakar doosri jagah na le jayein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2136
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من ابتاع طعاما فلا يبعه حتى يستوفيه"، زاد إسماعيل: من ابتاع طعاما فلا يبعه حتى يقبضه.
Hum se Abdullah Bin Muslimah ne bayan kiya, kaha ke hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Nafay ne, un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jo shakhs bhi jab ghalla khareede to jab tak usay poori tarah qabza mein na le le, na beche. Ismail ne ye ziyati ki hai ke jo shakhs koi ghalla khareede to is par qabza karne se pehle na beche
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة