الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْبُيُوعِ
The Book of Sales (Bargains)
بَابُ مَا يُذْكَرُ فِي بَيْعِ الطَّعَامِ وَالْحُكْرَةِ:
Chapter. What is said about the selling of the foodstuff and its storage.
Hadith Number: 2131
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا الوليد بن مسلم، عن الاوزاعي، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه رضي الله عنه، قال:"رايت الذين يشترون الطعام مجازفة، يضربون على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يبيعوه، حتى يؤووه إلى رحالهم".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha ke hum ko Waleed Bin Muslim ne khabar di, unhein Auzai ne, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne, aur un se un ke baap ne bayan kiya, ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein in logon ko dekha jo anaaj ke dhair (baghair tole hue mahz andaza kar ke) khareed lete un ko maar parti thi. Is liye ke jab tak apne ghar na le jayein na bachein
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2132
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، عن ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى ان يبيع الرجل طعاما حتى يستوفيه"، قلت لابن عباس: كيف ذاك؟ قال: ذاك دراهم بدراهم، والطعام مرجا، قال ابو عبد الله: مرجئون مؤخرون.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Ibn Taous ne, un se un ke baap ne, un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ghalla par poori tarah qabza se pehle usay bechne se mana farmaya. Taous ne kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se poocha ke aisa kyun hai ? to unhon ne farmaya ke ye to rupaye ka rupayon ke badle bechna hua jab ke abhi ghalla to miyad hi par diya jaye ga. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke «murji-oona» se murad «mu'akh-kharoona» yaani mu'akh-khar karna hai
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2133
حدثني ابو الوليد، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الله بن دينار، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من ابتاع طعاما، فلا يبعه حتى يقبضه".
Mujh se Abu-al-Walid ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Dinar ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ko ye kehte suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo shakhs bhi koi ghalla khareede to is par qabza karne se pehle usay na beche
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2134
حدثنا علي، حدثنا سفيان، كان عمرو بن دينار يحدثه، عن الزهري، عن مالك بن اوس، انه قال: من عنده صرف؟ فقال طلحة: انا، حتى يجيء خازننا من الغابة، قال سفيان: هو الذي حفظناه الزهري ليس فيه زيادة، فقال: اخبرني مالك بن اوس بن الحدثان، سمع عمر بن الخطاب رضي الله عنه يخبر، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الذهب بالذهب ربا إلا هاء وهاء، والبر بالبر ربا إلا هاء وهاء، والتمر بالتمر ربا إلا هاء وهاء، والشعير بالشعير ربا إلا هاء وهاء".
Hum se Ali Bin Madini ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya ke Amr Bin Dinar un se bayan karte thay, aur un se Zuhri ne, un se Malik Bin Aus ne, ke unhon ne poocha ke aap logon mein se koi bai-e-sarf (yaani dinar, dirham, ashrafi waghera badalne ka kaam) karta hai. Talha ne kaha ke mein karta hoon, lekin is waqt kar sakoon ga jab ke hamara khazanchi Ghaba se aa jaye ga. Sufyan ne bayan kiya ke Zuhri se hum ne isi tarah hadees yaad ki thi. Is mein koi ziyati nahi thi. Phir unhon ne kaha ke mujhe Malik Bin Aus ne khabar di ke unhon ne Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) se suna. Wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal karte thay ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, sona sone ke badle mein (khareedna) sood mein dakhil hai magar ye ke naqda naqd ho. Gehun, gehun ke badle mein (khareedna bechna) sood mein dakhil hai magar ye ke naqda naqd ho, khajoor, khajoor ke badle mein sood hai magar ye ke naqda naqd ho aur jau, jau ke badle mein sood hai magar ye ke naqda naqd ho
.
.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة