الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب البيوع
Kitab: Khareed o farokht ke masail ka bayan
باب قول الله تعالى: {أنفقوا من طيبات ما كسبتم} :
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Baqarah mein) farman ke“apni paak kamaai mein se kharch karo“.
Hadith Number: 2066
حدثني يحيى بن جعفر، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا انفقت المراة من كسب زوجها عن غير امره، فله نصف اجره".
Mujh se Yahya Bin Jafar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Abdul Razzaq ne bayan kiya, un se Mamar ne bayan kiya, un se Hammam ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, agar aurat apne shohar ki kamayi is ki ijazat ke baghair bhi (Allah ke raste mein) kharch karti hai to usay aadha sawab milta hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1425
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن شقيق، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا انفقت المراة من طعام بيتها غير مفسدة كان لها اجرها بما انفقت، ولزوجها اجره بما كسب، وللخازن مثل ذلك لا ينقص بعضهم اجر بعض شيئا".
Hum se Uthman bin Abi Shaiba ne byaan kiya ‘ kaha hum se Jarir ne byaan kiya ‘ un se Mansoor ne . Un se Shaqeeq ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya agar aurat apne shauhar ke maal se kuch kharch kare aur us ki niyat shauhar ki poonji barbad karne ki na ho to usay kharch karne ka sawab mile ga aur shauhar ko bhi us ka sawab mile ga us ne kamaya hai aur khazanchi ka bhi yahi hukm hai . Ek ka sawab doosre ke sawab mein koi kami nahi karta .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1437
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا تصدقت المراة من طعام زوجها غير مفسدة كان لها اجرها، ولزوجها بما كسب، وللخازن مثل ذلك".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Jarir ne Aamash se byaan kiya ‘ un se Abu Wa'il ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab biwi apne khawand ke khane mein se kuch sadqa kare aur us ki niyat usay barbad karne ki nahi hoti to usay bhi is ka sawab milta hai aur us ke khawand ko kamane ka sawab milta hai . Isi tarah khazanchi ko bhi is ka sawab milta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1440
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن شقيق، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا اطعمت المراة من بيت زوجها غير مفسدة كان لها اجرها، وله مثله، وللخازن مثل ذلك له بما اكتسب، ولها بما انفقت".
(Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha aur mujh se Umar bin Hafs ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere baap Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Aamash ne byaan kiya ‘ un se Abu Wa'il Shaqeeq ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab biwi apne shauhar ke maal mein se kisi ko khilaye aur us ka irada ghar ko bigarne ka bhi na ho to usay is ka sawab milta hai aur shauhar ko bhi waisa hi sawab milta hai aur khazanchi ko bhi waisa hi sawab milta hai . Shauhar ko kamane ki wajah se sawab milta hai aur aurat ko kharch karne ki wajah se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1441
حدثنا يحيى بن يحيى، اخبرنا جرير، عن منصور، عن شقيق، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا انفقت المراة من طعام بيتها غير مفسدة فلها اجرها، وللزوج بما اكتسب، وللخازن مثل ذلك".
Hum se Yahya bin Yahya ne byaan kiya , kaha ke hum se Jarir bin Abdul Hameed ne Mansoor se byaan kiya , un se Abu Wa'il Shaqeeq ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , jab aurat apne ghar ke khane ki cheez se Allah ki raah mein kharch kare aur us ka irada ghar ko bigarne ka na ho to usay is ka sawab mile ga aur shauhar ko kamane ka sawab mile ga ‘ isi tarah khazanchi ko bhi aisa hi sawab mile ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2065
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا انفقت المراة من طعام بيتها غير مفسدة، كان لها اجرها بما انفقت، ولزوجها بما كسب، وللخازن مثل ذلك، لا ينقص بعضهم اجر بعض شيئا".
Hum se Usman Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Jareer ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Abu Wail ne, un se Masrooq ne, aur un se Umm-ul-Momineen Aisha Siddiqa (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jab aurat apne ghar ka khana (ghalla waghera) ba-shart-e-kay ghar bigarne ki niyat na ho kharch kare to usay kharch karne ka sawab milta hai aur is ke shohar ko kamane ka aur khazanchi ko bhi aisa hi sawab milta hai ek ka sawab doosre ke sawab ko kam nahi karta
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5192
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تصوم المراة وبعلها شاهد إلا بإذنه".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah ne khabar di , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Hammam bin Munabbih ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar shohar ghar par maujood hai to koi aurat is ki ijazat ke baghair (nafli) roza na rakkhe .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5195
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يحل للمراة ان تصوم وزوجها شاهد إلا بإذنه، ولا تاذن في بيته إلا بإذنه، وما انفقت من نفقة عن غير امره فإنه يؤدى إليه شطره". ورواه ابو الزناد ايضا، عن موسى، عن ابيه، عن ابي هريرة في الصوم.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hum se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aurat ke liye jaiz nahi ke apne shohar ki maujoodgi mein is ki ijazat ke baghair (nafli) roza rakkhe aur aurat kisi ko is ke ghar mein is ki marzi ke baghair aane ki ijazat na de aur aurat jo kuch bhi apne shohar ke maal mein se is ki sareeh ijazat ke baghair kharch kar de to usay bhi is ka aadha sawab mile ga . Is hadees ko Abu al-Zinad ne Musa bin Abi Usman se bhi aur in se un ke walid ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne riwayat kiya hai aur is mein sirf roza ka hi zikr hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5360
حدثنا يحيى، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن همام، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا انفقت المراة من كسب زوجها عن غير امره فله نصف اجره".
Hum se Yahya bin Musa ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , in se Mamar bin Rashid ne , in se Hammam bin Uyaynah ne , kaha ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar aurat apne shohar ki kamayi mein se , is ke hukm ke baghair (dastoor ke mutabiq) Allah ke rasta mein kharch kar de to usay bhi aadha sawab milta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة