الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابُ أَجْرِ الْخَادِمِ إِذَا تَصَدَّقَ بِأَمْرِ صَاحِبِهِ غَيْرَ مُفْسِدٍ:
Chapter. The servant gets a reward for giving charity when ordered by the owner of the property, as long as the servant has no intention of spoiling it (his master’s property).
Show diacritics
Hadith Number: 1437
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا تصدقت المراة من طعام زوجها غير مفسدة كان لها اجرها، ولزوجها بما كسب، وللخازن مثل ذلك".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke hum se Jarir ne Aamash se byaan kiya ‘ un se Abu Wa'il ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab biwi apne khawand ke khane mein se kuch sadqa kare aur us ki niyat usay barbad karne ki nahi hoti to usay bhi is ka sawab milta hai aur us ke khawand ko kamane ka sawab milta hai . Isi tarah khazanchi ko bhi is ka sawab milta hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1438
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، عن بريد بن عبد الله، عن ابي بردة، عن ابي موسى، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" الخازن المسلم الامين الذي ينفذ، وربما قال: يعطي ما امر به كاملا موفرا طيب به نفسه فيدفعه إلى الذي امر له به احد المتصدقين".
Hum se Muhammad bin Alaa ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Abu Usama ne byaan kiya ‘ un se Bureid bin Abdullah ne ‘ un se Abu Burdah ne aur un se Abu Musa razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «khazin» musalman amanatdar jo kuch bhi kharch karta hai aur baaz dafa farmaya woh cheez poori tarah deta hai jis ka usay sarmaya ke maalik ki taraf se hukm diya gaya aur us ka dil bhi is se khush hai aur isi ko diya hai jisay dene ke liye maalik ne kaha tha to woh dene wala bhi sadqa dene walon mein se ek hai .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain