الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الزَّكَاة
The Book of Zakat
بَابُ أَجْرِ الْمَرْأَةِ إِذَا تَصَدَّقَتْ أَوْ أَطْعَمَتْ مِنْ بَيْتِ زَوْجِهَا غَيْرَ مُفْسِدَةٍ:
Chapter. The reward of the lady who gives in charity, or provides somebody with food from her husband
Show diacritics
Hadith Number: 1439
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا منصور والاعمش، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم تعني إذا تصدقت المراة من بيت زوجها.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya ‘ kaha ke humein Shubah ne khabar di ‘ kaha ke hum se Mansoor bin Mamar aur Aamash dono ne byaan kiya ‘ un se Abu Wa'il ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se ke jab koi aurat apne shauhar ke ghar (ke maal) se sadqa kare .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1440
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن شقيق، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا اطعمت المراة من بيت زوجها غير مفسدة كان لها اجرها، وله مثله، وللخازن مثل ذلك له بما اكتسب، ولها بما انفقت".
(Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha aur mujh se Umar bin Hafs ne byaan kiya ‘ kaha ke mujh se mere baap Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Aamash ne byaan kiya ‘ un se Abu Wa'il Shaqeeq ne ‘ un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab biwi apne shauhar ke maal mein se kisi ko khilaye aur us ka irada ghar ko bigarne ka bhi na ho to usay is ka sawab milta hai aur shauhar ko bhi waisa hi sawab milta hai aur khazanchi ko bhi waisa hi sawab milta hai . Shauhar ko kamane ki wajah se sawab milta hai aur aurat ko kharch karne ki wajah se .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1441
حدثنا يحيى بن يحيى، اخبرنا جرير، عن منصور، عن شقيق، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا انفقت المراة من طعام بيتها غير مفسدة فلها اجرها، وللزوج بما اكتسب، وللخازن مثل ذلك".
Hum se Yahya bin Yahya ne byaan kiya , kaha ke hum se Jarir bin Abdul Hameed ne Mansoor se byaan kiya , un se Abu Wa'il Shaqeeq ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , jab aurat apne ghar ke khane ki cheez se Allah ki raah mein kharch kare aur us ka irada ghar ko bigarne ka na ho to usay is ka sawab mile ga aur shauhar ko kamane ka sawab mile ga ‘ isi tarah khazanchi ko bhi aisa hi sawab mile ga .


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain