الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب إذا شرب الكلب فى إناء أحدكم فليغسله سبعا:
Bab: Jab kutta bartan mein pi le (to kya karna chahiye).
Hadith Number: 173
حدثنا إسحاق، اخبرنا عبد الصمد، حدثنا عبد الرحمن بن عبد الله بن دينار، سمعت ابي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" ان رجلا راى كلبا ياكل الثرى من العطش، فاخذ الرجل خفه، فجعل يغرف له به حتى ارواه، فشكر الله له، فادخله الجنة".
Hum se Ishaaq ne bayan kiya, kaha hum ko Abdus Samad ne khabar di, kaha hum ko Abdur Rahman bin Abdullah bin Dinaar ne bayan kiya, unhon ne apne baap se suna, woh Abu Saleh se, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke ek shakhs ne ek kutte ko dekha, jo piyaas ki wajah se geeli mitti khaa raha tha. To us shakhs ne apna moza liya aur us se paani bhar kar pilaane laga, hatta ke us ko khoob sairaab kar diya. Allah ne us shakhs ke us kaam ki qadr ki aur use jannat mein daakhil kar diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2363
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بينا رجل يمشي فاشتد عليه العطش، فنزل بئرا فشرب منها، ثم خرج، فإذا هو بكلب يلهث ياكل الثرى من العطش، فقال: لقد بلغ هذا مثل الذي بلغ بي، فملا خفه، ثم امسكه بفيه، ثم رقي، فسقى الكلب، فشكر الله له، فغفر له، قالوا: يا رسول الله، وإن لنا في البهائم اجرا، قال: في كل كبد رطبة اجر". تابعه حماد بن سلمة، والربيع بن مسلم، عن محمد بن زياد.
Hum se Abdullah Bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Sumi ne, unhein Abu Salih ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ek shakhs ja raha tha ke ise sakht piyas lagi, us ne ek kunwen mein utar kar pani piya. Phir bahar aya to dekha ke ek kutta haanp raha hai aur piyas ki wajah se keechar chaat raha hai. Us ne (apne dil mein) kaha, ye bhi is waqt aisi hi piyas mein mubtala hai jaise abhi mujhe lagi hui thi. (Chunanche wo phir kunwen mein utra aur) apne chamre ke moze ko (pani se) bhar kar ise apne munh se pakre hue oopar aya, aur kutte ko pani pilaya. Allah Ta'ala ne is ke is kaam ko qabool kiya aur is ki maghfirat farmayi. Sahaba ne arz kiya Ya Rasul Allah! kya humein chopayon par bhi ajr milega ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, har jandar mein sawab hai. Is Riwayat ki mutabiyat Hammad Bin Salama aur Rabi Bin Muslim ne Muhammad Bin Ziyad se ki hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3466
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن عبد الرحمن حدثه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" بينما امراة ترضع ابنها إذ مر بها راكب وهي ترضعه، فقالت: اللهم لا تمت ابني حتى يكون مثل هذا، فقال: اللهم لا تجعلني مثله ثم رجع في الثدي ومر بامراة تجرر ويلعب بها، فقالت: اللهم لا تجعل ابني مثلها، فقال: اللهم اجعلني مثلها، فقال: اما الراكب فإنه كافر واما المراة فإنهم يقولون: لها تزني، وتقول: حسبي الله، ويقولون: تسرق، وتقول: حسبي الله".
Hum se Abu Al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, kaha hum se Abu Az-Zinad ne bayan kiya, un se Abdur Rahman ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna aur unhon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ek aurat apne bacche ko doodh pila rahi thi ke ek sawar idhar se guzra, wo is waqt bhi bacche ko doodh pila rahi thi (sawar ki shan dekh kar) aurat ne dua ki: Ae Allah! Mere bacche ko is waqt tak mout na dena jab tak ke is sawar jaisa na ho jaye. Isi waqt (ba-qudrat-e-Ilahi) baccha bol para. Ae Allah! Mujhe is jaisa na karna. Aur phir wo doodh peene laga. Is ke baad ek aurat ko idhar se le jaya gaya, ise le jane wale ise ghasit rahe thay aur is ka mazaq ura rahe thay. Maan ne dua ki: Ae Allah! Mere bacche ko is aurat jaisa na karna, lekin bacche ne kaha ke ae Allah! Mujhe isi jaisa bana dena (phir to maan ne poocha, arey ye kya maamla hai? Is bacche ne bataya ke sawar to kafir-o-zalim tha aur aurat ke mutaliq log kehte thay ke tu zina karati hai to wo jawab deti «hasbi-Allahu» (Allah mere liye kafi hai, wo meri pak-damni janta hai) log kehte ke tu chori karti hai to wo jawab deti «hasbi-Allahu» (Allah mere liye kafi hai aur wo meri pak-damni janta hai)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6009
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن سمي مولى ابي بكر، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" بينما رجل يمشي بطريق اشتد عليه العطش فوجد بئرا فنزل فيها فشرب، ثم خرج فإذا كلب يلهث ياكل الثرى من العطش، فقال الرجل: لقد بلغ هذا الكلب من العطش مثل الذي كان بلغ بي، فنزل البئر فملا خفه ثم امسكه بفيه فسقى الكلب، فشكر الله له فغفر له" قالوا: يا رسول الله وإن لنا في البهائم اجرا فقال:" نعم، في كل ذات كبد رطبة اجر".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Abu Bakr ke ghulam Sumay ne, in se Abu Salih Samman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ek shakhs rasta mein chal raha tha ke usay shiddat ki pyas lagi usay ek kunwaan mila aur us ne is mein utar kar pani piya. Jab bahar nikla to wahan ek kutta dekha jo haanp raha thu aur pyas ki wajah se tari ko chaat raha thu. Is shakhs ne kaha ke yeh kutta bhi itna hi zyada pyasa maloom ho raha hai jitna main thu. Chunanche woh phir kunwien mein utra aur apne jootay mein pani bhara aur munh se pakar kar oopar laya aur kutte ko pani pilaya. Allah Ta'ala ne is ke is amal ko pasand farmaya aur is ki maghfirat kar di. Sahabah ikraam razi Allahu anhum ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Kya hamain janwaron ke saath naiki karne mein bhi sawab milta hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein har taza kaleje wale par naiki karne mein sawab milta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة