الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تقصير الصلاة
Kitab: Namaz mein qasr karne ka bayan
باب يصلي المغرب ثلاثا فى السفر:
Bab: Maghrib ki namaz safar mein bhi teen hi rak’at hain.
Hadith Number: 1091
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اعجله السير في السفر يؤخر المغرب حتى يجمع بينها وبين العشاء، قال سالم: وكان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يفعله إذا اعجله السير.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamen Shu'aib ne khabar di , Zuhri se unhon ne kaha ke mujhe Salim ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di aap ne farmaya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha jab safar mein chalne ki jaldi hoti to Aap salla Allahu alaihi wasallam maghrib ki namaaz der se parhte yahan tak ke maghrib aur isha aik saath mila kar parhte . Salim ne kaha ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ko bhi jab safar mein jaldi hoti to is tarah karte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1092
وزاد الليث قال: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال سالم: كان ابن عمر رضي الله عنهما يجمع بين المغرب والعشاء بالمزدلفة، قال سالم: واخر ابن عمر المغرب وكان استصرخ على امراته صفية بنت ابي عبيد فقلت له: الصلاة، فقال: سر، فقلت: الصلاة، فقال: سر، حتى سار ميلين او ثلاثة، ثم نزل فصلى، ثم قال: هكذا رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي إذا اعجله السير، وقال عبد الله:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم إذا اعجله السير يؤخر المغرب فيصليها ثلاثا ثم يسلم، ثم قلما يلبث حتى يقيم العشاء فيصليها ركعتين ثم يسلم، ولا يسبح بعد العشاء حتى يقوم من جوف الليل".
Laith bin Saad ne is riwayat mein itna ziyada kiya ke mujh se Yunus ne Ibn Shihab se byaan kiya , ke Salim ne byaan kiya ke Ibn Umar razi Allahu anhuma Muzdalifah mein maghrib aur isha aik saath jama kar ke parhte thay . Salim ne kaha ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne maghrib ki namaaz us din der mein parhi thi jab unhen un ki biwi Safiyyah bint Abi Ubaid ki sakht bimari ki ittila mili thi (chalte huay) main ne kaha ke namaaz! (yani waqt khatam hua chahta hai) lekin aap ne farmaya ke chale chalo phir dobara main ne kaha ke namaaz! aap ne phir farmaya ke chale chalo is tarah jab hum do ya teen meel nikal gaye to aap utre aur namaaz parhi phir farmaya ke main ne khud dekha hai ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam safar mein tezi ke saath chalna chahte to isi tarah karte thay Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne yeh bhi farmaya ke main ne khud dekha ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (manzil-e-maqsood tak) jaldi pohanchna chahte to pehle maghrib ki takbeer kehlwate aur Aap is ki teen rakat parha kar salam pherte . Phir thori der thehar kar isha parhate aur is ki do hi rakat par salam pherte . Isha ke farz ke baad aap sunnaten waghaira nahi parhte thay aadhi raat ke baad kharay ho kar namaaz parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1106
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: سمعت الزهري، عن سالم، عن ابيه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يجمع بين المغرب والعشاء إذا جد به السير".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Zuhri se suna , unhon ne Salim se aur unhon ne apne baap Abdullah bin Umar se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko agar safar mein jald chalna manzoor hota to maghrib aur isha aik saath mila kar parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1109
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اعجله السير في السفر يؤخر صلاة المغرب حتى يجمع بينها وبين العشاء"، قال سالم: وكان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يفعله إذا اعجله السير ويقيم المغرب فيصليها ثلاثا ثم يسلم، ثم قلما يلبث حتى يقيم العشاء فيصليها ركعتين ثم يسلم، ولا يسبح بينهما بركعة ولا بعد العشاء بسجدة حتى يقوم من جوف الليل.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , kaha ke hamen Shu'aib ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Salim ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di . Aap ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko jab jaldi safar tey karna hota to maghrib ki namaaz mu'akhkhar kar dete . Phir use isha ke saath mila kar parhte thay . Salim ne byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma bhi agar safar sur'at ke saath tey karna chahte to isi tarah karte thay . Maghrib ki takbeer pehle kahi jati aur aap teen rakat maghrib ki namaaz parh kar salam pher dete . Phir maamooli se tawaqquf ke baad isha ki takbeer kahi jati aur aap is ki do rakaten parh kar salam pher dete . Donon namazon ke darmiyan aik rakat bhi sunnat waghaira na parhte aur isi tarah isha ke baad bhi namaaz nahi parhte thay . Yahan tak ke darmiyan shab mein aap uthte (aur Tahajjud ada karte) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1668
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جويرية، عن نافع، قال:" كان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يجمع بين المغرب والعشاء بجمع، غير انه يمر بالشعب الذي اخذه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فيدخل فينتفض ويتوضا ولا يصلي حتى يصلي بجمع".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Juwayriyah ne Nafi se bayan kiya, unhon ne kaha ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) Muzdalifah mein aa kar namaz Maghrib aur Isha mila kar ek sath parhte, albatta aap is ghati mein bhi murte jahan Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) mure thay. Wahan aap qaza-e-hajat karte phir wazu karte lekin namaz na parhte, namaz aap Muzdalifah mein aa kar parhte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1673
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن سالم بن عبد الله، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" جمع النبي صلى الله عليه وسلم بين المغرب والعشاء بجمع كل واحدة منهما بإقامة، ولم يسبح بينهما، ولا على إثر كل واحدة منهما".
Hum se Adam Bin Abi Al-Ala ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zaib ne bayan kiya, un se Zuhri ne un se Salim Bin Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Muzdalifah mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Maghrib aur Isha ek sath mila kar parheen theen har namaz alag alag takbeer ke sath na in dono ke darmiyan koi nafal-o-sunnat parhi thi aur na in ke baad
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1805
حدثنا سعيد بن ابي مريم , اخبرنا محمد بن جعفر، قال: اخبرني زيد بن اسلم، عن ابيه، قال: كنت مع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما بطريق مكة، فبلغه عن صفية بنت ابي عبيد شدة وجع، فاسرع السير حتى كان بعد غروب الشفق نزل فصلى المغرب والعتمة جمع بينهما، ثم قال:" إني رايت النبي صلى الله عليه وسلم إذا جد به السير اخر المغرب، وجمع بينهما".
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Muhammad Bin Jafar ne khabar di, unhon ne kaha ke mujhe Zaid Bin Aslam ne khabar di, un se un ke baap ne bayan kiya ke mein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ke sath Makkah ke raste mein tha ke unhein (apni biwi) Safiyah Bint Abi Ubaid ki sakht bimari ki khabar mili aur wo nihayat tezi se chalne lage, phir jab surkhi ghuroob ho gayi to sawari se neeche utre aur Maghrib aur Isha ek sath mila kar parhin, is ke baad farmaya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekha ke jab jaldi chalna hota to Maghrib mein dair kar ke donon (Isha aur Maghrib) ko ek sath mila kar parhte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3000
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، قال: اخبرني زيد هو ابن اسلم، عن ابيه، قال: كنت مع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما بطريق مكة فبلغه عن صفية بنت ابي عبيد شدة وجع، فاسرع السير حتى إذا كان بعد غروب الشفق، ثم نزل فصلى المغرب والعتمة يجمع بينهما، وقال: إني رايت النبي صلى الله عليه وسلم" إذا جد به السير اخر المغرب، وجمع بينهما".
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, kaha hum ko Muhammad Bin Jafar ne khabar di, kaha ke mujhe Zaid Bin Aslam ne khabar di, in se un ke walid ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ke sath Makkah ke raste mein tha, itne mein un ko Safiyyah Bint Abi Ubaid (Radi Allahu Anha) (un ki biwi) ke mutalliq sakht bemari ki khabar mili. Chunancha Aap ne tez chalna shuru kar diya aur jab (sooraj ghuroob hone ke baad) shafaq doob gayi to Aap sawari se utre aur maghrib aur isha ki namaz mila kar parhi, phir kaha ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekha ke jab Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) tezi ke sath safar karna chahte to maghrib mein takheer kar ke donon namazein (maghrib aur isha) ek sath ada farmate
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة