الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب هل يصلي الإمام بمن حضر وهل يخطب يوم الجمعة فى المطر:
Bab: Jo log (barish ya aur kisi aafat mein) masjid mein aa jayen to kya imam un ke sath namaz parh le aur barsaat mein jumu’ah ke din khutba parhe ya nahi?
Show diacritics
Hadith Number: 670
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا انس بن سيرين، قال: سمعت انسا، يقول: قال رجل من الانصار: إني لا استطيع الصلاة معك وكان رجلا ضخما،" فصنع للنبي صلى الله عليه وسلم طعاما فدعاه إلى منزله، فبسط له حصيرا ونضح طرف الحصير صلى عليه ركعتين"، فقال رجل من آل الجارود لانس: اكان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الضحى، قال: ما رايته صلاها إلا يومئذ.
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Anas bin Sireen ne byaan kiya , kaha ke main ne Anas razi Allahu anhu se suna ke Ansar mein se ek mard ne uzr pesh kiya ke main Aap ke saath namaaz mein shareek nahi ho sakta aur woh mota aadmi tha . Us ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye khana tayyar kiya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ko apne ghar dawat di aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ke liye ek chataai bichha di aur us ke ek kinaare ko (saaf kar ke) dho diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne us boriye par do rakatein parheen . Aal Jarood ke ek shakhs (Abdul Hameed) ne Anas razi Allahu anhu se poocha ke kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chasht ki namaaz parhte thay to unhon ne farmaya ke us din ke siwa aur kabhi main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko parhte nahi dekha .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
أنس بن مالك الأنصاري، أبو حمزة، أبو النضرصحابي
أنس بن سيرين الأنصاري، أبو موسى، أبو عبد الله، أبو حمزةثقة
شعبة بن الحجاج العتكي، أبو بسطامثقة حافظ متقن عابد
آدم بن أبي إياس، أبو الحسنثقة
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
670
نضح طرف الحصير صلى عليه ركعتين