الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب من كره القعود على الصورة:
Is shakhs ki daleel jis ne toshak aur takiya aur farsh par jab us par tasweeren bani hui hon baithna makrooh rakha hai.
Hadith Number: 5958
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن بكير، عن بسر بن سعيد، عن زيد بن خالد، عن ابي طلحة صاحب رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إن الملائكة لا تدخل بيتا فيه الصورة" قال بسر: ثم اشتكى زيد فعدناه، فإذا على بابه ستر فيه صورة، فقلت لعبيد الله ربيب ميمونة زوج النبي صلى الله عليه وسلم: الم يخبرنا زيد عن الصور يوم الاول؟، فقال عبيد الله: الم تسمعه حين قال: إلا رقما في ثوب، وقال ابن وهب: اخبرنا عمرو هو ابن الحارث، حدثه بكير، حدثه بسر، حدثه زيد، حدثه ابو طلحة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Bukayr bin Abdullah ne, in se Busr bin Saeed ne aur in se Zayd bin Khalid razi Allahu anhu ne aur in se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke sahabi Abu Talha razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”farishte is ghar mein nahi dakhil hote jis mein tasveerein hon.“ Busr ne bayan kiya ke (is hadees ko riwayat karne ke baad) phir Zayd razi Allahu anhu beemar paray to hum in ki mizaj-pursa ke liye gaye. Hum ne dekha ke in ke darwaza par ek parda para hua hai jis par tasveer hai. Main ne Umm al-Momineen Maymoonah razi Allahu anha ke rabeeb Ubaidullah bin Aswad se kaha ke Zayd bin Khalid razi Allahu anhu ne hamain is se pehle ek martaba tasveeron ke mutalliq hadees sunayi thi. Ubaidullah ne kaha ke kya tum ne suna nahi tha, hadees bayan karte huay unhon ne yeh bhi kaha tha ke jo murat kapre mein ho woh jaiz hai (bashart-e-ke ghair zhil-rooh ki ho). Aur Abdullah bin Wahb ne kaha, unhein Amr ne khabar di woh Ibn Haris hain, in se Bukayr ne bayan kiya, in se Busr ne bayan kiya, in se Zayd ne bayan kiya, in se Abu Talha razi Allahu anhu ne bayan kiya aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bayan farmaya jaisa ke oopar mazkoor hua.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
5958
| الملائكة لا تدخل بيتا فيه الصورة |
صحيح البخاري |
3226
| لا تدخل الملائكة بيتا فيه صورة |
صحيح مسلم | 5519 | لا تدخل الملائكة بيتا فيه كلب ولا تماثيل |
صحيح مسلم | 5518 | لا تدخل الملائكة بيتا فيه صورة |
صحيح مسلم | 5517 | الملائكة لا تدخل بيتا فيه صورة |
سنن أبي داود | 4153 | لا تدخل الملائكة بيتا فيه كلب ولا تمثال |
سنن أبي داود | 4155 | الملائكة لا تدخل بيتا فيه صورة |
سنن النسائى الصغرى | 5353 | لا تدخل الملائكة بيتا فيه صورة |