الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب الرجل يدعى إلى طعام فيقول وهذا معي:
Kisi shakhs ki khane ki dawat ho.
Hadith Number: Q5461-2
فيه: عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم
Is masle mein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ek hadees Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat ki hai .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: Q5461
وقال انس:" إذا دخلت على مسلم لا يتهم فكل من طعامه واشرب من شرابه".
Aur doosra shakhs bhi is ke saath tufaili ho jaye to ijazat lene ke liye woh kahe ke yeh bhi meere saath aa gaya hai aur Anas razi Allahanhu ne kaha ke jab tum kisi aise Musalman ke ghar jao (jo apne deen o maal mein) ghalat kaamon se bad-naam na ho to is ka khana khao aur is ka pani piyo .
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 5461
حدثنا عبد الله بن ابي الاسود، حدثنا ابو اسامة، حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، حدثنا ابو مسعود الانصاري، قال:" كان رجل من الانصار يكنى ابا شعيب وكان له غلام لحام، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم وهو في اصحابه فعرف الجوع في وجه النبي صلى الله عليه وسلم، فذهب إلى غلامه اللحام، فقال: اصنع لي طعاما يكفي خمسة لعلي ادعو النبي صلى الله عليه وسلم خامس خمسة، فصنع له طعيما، ثم اتاه فدعاه، فتبعهم رجل، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: يا ابا شعيب، إن رجلا تبعنا فإن شئت اذنت له وإن شئت تركته، قال: لا، بل اذنت له".
Hum se Abdullah bin Abi al-Aswad ne bayan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne , in se Aamash ne , in se Shaqeeq ne , aur in se Abu Masood Ansari razi Allahu anhu ne bayan kiya , unhon ne bayan kiya ke jama'at Ansar ke ek sahabi Abu Shuaib razi Allahu anhu ke naam se mashhoor thay . In ke paas ek ghulam tha jo gosht becha karta thay . Woh sahabi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki majlis mein hazir huay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne sahabah ke saath tashreef rakhte thay . Unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak se faqa ka andaza laga liya . Chunanche woh apne gosht-faroosh ghulam ke paas gaye aur kaha ke meere liye paanch aadmiyon ka khana tayyar kar do . Main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko char doosre aadmiyon ke saath dawat doon ga . Ghulam ne khana tayyar kar diya . Is ke baad Abu Shuaib razi Allahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein gaye aur Aap ko khane ki dawat di . In ke saath ek aur sahab bhi chalne lage to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ae Abu Shuaib! Yeh sahab bhi hamare saath aa gaye hain , agar tum chaho to unhein bhi ijazat de do aur agar chaho to chhor do . Unhon ne arz kiya nahi balkay main unhein bhi ijazat deta hoon .
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو مسعود الأنصاري، أبو مسعود | صحابي | |
| شقيق بن سلمة الأسدي، أبو وائل | مخضرم | |
| سليمان بن مهران الأعمش، أبو محمد | ثقة حافظ | |
| حماد بن أسامة القرشي، أبو أسامة | ثقة ثبت | |
| عبد الله بن أبي الأسود البصري، أبو بكر | ثقة |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
2456
| هذا قد اتبعنا أتأذن له قال نعم |
صحيح البخاري |
5461
| تبعنا فإن شئت أذنت له وإن شئت تركته قال لا بل أذنت له |
صحيح البخاري |
5434
| هذا رجل قد تبعنا فإن شئت أذنت له وإن شئت تركته قال بل أذنت له |
صحيح البخاري |
2081
| إن هذا قد تبعنا فإن شئت أن تأذن له فأذن له وإن شئت أن يرجع رجع فقال لا بل قد أذنت له |
جامع الترمذي | 1099 | اتبعنا رجل لم يكن معنا حين دعوتنا فإن أذنت له دخل |