الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: Q4936
وقال مجاهد: الآية الكبرى: عصاه ويده، يقال: الناخرة والنخرة سواء مثل الطامع والطمع والباخل والبخيل، وقال بعضهم: النخرة البالية والناخرة العظم المجوف الذي تمر فيه الريح فينخر، وقال ابن عباس: الحافرة: التي امرنا الاول إلى الحياة، وقال غيره: ايان مرساها: متى منتهاها ومرسى السفينة حيث تنتهي.
Mujahid ne kaha «al-aayat-ul-kubra» se murad Musa alaihissalam ki asa aur un ka hath hai . «izhaaman nakhira-tan» aur «naakhira-tan» donon tarah se parha hai jaise «taamiun» aur «tamiun» aur «baakhilun» aur «bakheelun» aur baazon ne kaha «nakhira-tun» aur «naakhira-tun» mein farq hai . «nakhira-tun» kehte hain gali hui haddi ko aur «naakhira-tun» khokhli haddi jis ke andar hawa jaye to aawaz nikle aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «haafira-tun» hamari woh halat jo duniya ki (zindagi) mein hai . Auron ne kaha «ay-yaana mursaaha» yani is ki intiha kahan hai yeh lafz «mursa-s-safeenati» se nikla hai . Yani jahan kashti aakhir mein ja kar theharti hai .


تخریج الحدیث:
Show diacritics
Hadith Number: 4936
حدثنا احمد بن المقدام حدثنا الفضيل بن سليمان حدثنا ابو حازم حدثنا سهل بن سعد رضي الله عنه قال رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم قال بإصبعيه هكذا بالوسطى والتي تلي الإبهام: «بعثت والساعة كهاتين» .
Hum se Ahmad bin Miqdam ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Fudayl bin Sulayman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Hazim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha kaha Aap apni beech ki ungli aur angoothe ke qareeb wali ungli ke isharay se farma rahe thay ke main aise waqt mein maboos hua hoon ke mere aur Qayamat ke darmiyan sirf in do ke barabar fasla hai .


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
6503
بعثت أنا والساعة هكذا
صحيح البخاري
5301
بعثت أنا والساعة كهذه من هذه أو كهاتين وقرن بين السبابة والوسطى
صحيح البخاري
4936
بإصبعيه هكذا بالوسطى والتي تلي الإبهام بعثت والساعة كهاتين
صحيح مسلم
7404
بعثت أنا والساعة هكذا
مسندالحميدي
954
بعثت أنا والساعة كهذه من هذه