الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب المغازي
Kitab: Ghazwat ke bayan mein
باب غزوة الرجيع ورعل وذكوان وبئر معونة:
Bab: Ghazwah-e-Rajee’ ka bayan aur Ra’l wa Dhakwan aur Bi’r Ma’unah ke ghazwah ka bayan.
Hadith Number: Q4086
وحديث عضل والقارة وعاصم بن ثابت , وخبيب واصحابه , قال ابن إسحاق: حدثنا عاصم بن عمر انها بعد احد.
Aur Rial-o-Zakwan aur Bir Mauna ke ghazwa ka bayan aur Azal aur Qara ka qissa aur Asim Bin Sabit aur Khubaib aur in ke sathiyon ka qissa. Ibn Ishaq ne bayan kiya ke hum se Asim Bin Umar ne bayan kiya ke Ghazwa Raji Ghazwa Uhud ke baad pesh aaya
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 4086
حدثني إبراهيم بن موسى , اخبرنا هشام بن يوسف , عن معمر , عن الزهري , عن عمرو بن ابي سفيان الثقفي , عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال:" بعث النبي صلى الله عليه وسلم سرية عينا وامر عليهم عاصم بن ثابت وهو جد عاصم بن عمر بن الخطاب فانطلقوا حتى إذا كان بين عسفان ومكة ذكروا لحي من هذيل يقال لهم بنو لحيان , فتبعوهم بقريب من مائة رام , فاقتصوا آثارهم حتى اتوا منزلا نزلوه فوجدوا فيه نوى تمر تزودوه من المدينة , فقالوا: هذا تمر يثرب فتبعوا آثارهم حتى لحقوهم , فلما انتهى عاصم واصحابه لجئوا إلى فدفد , وجاء القوم فاحاطوا بهم , فقالوا: لكم العهد والميثاق إن نزلتم إلينا ان لا نقتل منكم رجلا , فقال عاصم: اما انا فلا انزل في ذمة كافر , اللهم اخبر عنا نبيك فقاتلوهم حتى قتلوا عاصما في سبعة نفر بالنبل وبقي خبيب وزيد ورجل آخر فاعطوهم العهد والميثاق , فلما اعطوهم العهد والميثاق نزلوا إليهم , فلما استمكنوا منهم حلوا اوتار قسيهم فربطوهم بها , فقال الرجل الثالث الذي معهما: هذا اول الغدر , فابى ان يصحبهم فجرروه وعالجوه على ان يصحبهم فلم يفعل فقتلوه , وانطلقوا بخبيب وزيد حتى باعوهما بمكة فاشترى خبيبا بنو الحارث بن عامر بن نوفل وكان خبيب هو قتل الحارث يوم بدر , فمكث عندهم اسيرا حتى إذا اجمعوا قتله استعار موسى من بعض بنات الحارث ليستحد بها , فاعارته , قالت: فغفلت عن صبي لي فدرج إليه حتى اتاه فوضعه على فخذه , فلما رايته فزعت فزعة عرف ذاك مني وفي يده الموسى , فقال: اتخشين ان اقتله ما كنت لافعل ذاك إن شاء الله , وكانت تقول: ما رايت اسيرا قط خيرا من خبيب لقد رايته ياكل من قطف عنب وما بمكة يومئذ ثمرة وإنه لموثق في الحديد , وما كان إلا رزق رزقه الله , فخرجوا به من الحرم ليقتلوه , فقال: دعوني اصلي ركعتين , ثم انصرف إليهم , فقال: لولا ان تروا ان ما بي جزع من الموت لزدت , فكان اول من سن الركعتين عند القتل هو , ثم قال: اللهم احصهم عددا , ثم قال: ما ابالي حين اقتل مسلما على اي شق كان لله مصرعي وذلك في ذات الإله وإن يشا يبارك على اوصال شلو ممزع ثم قام إليه عقبة بن الحارث فقتله , وبعثت قريش إلى عاصم ليؤتوا بشيء من جسده يعرفونه , وكان عاصم قتل عظيما من عظمائهم يوم بدر , فبعث الله عليه مثل الظلة من الدبر فحمته من رسلهم فلم يقدروا منه على شيء".
Mujh se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham Bin Yusuf ne khabar di, unhein Ma'mar Bin Rashid ne, unhein Zuhri ne, unhein Amr Bin Abi Sufyan Saqafi ne aur un se Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne jasoosi ke liye ek jamaat (Makka, Quraish ki khabar lane ke liye) bheji aur is ka ameer Asim Bin Sabit Radi Allahu Anhu ko banaya, jo Asim Bin Umar Bin Khattab ke nana hain. Ye jamaat ravana hui aur jab Usfan aur Makka ke darmiyan pahunchi to qabila-e-Huzail ke ek qabile ko jise Banu Lihyan kaha jata tha, in ka ilm ho gaya aur qabile ke taqreeban sau teer andazon ne in ka peecha kiya aur in ke nishanaat-e-qadam ko talash karte hue chale. Aakhir ek aisi jagah pahunchne mein kamyab ho gaye jahan sahaba ki is jamaat ne parao kiya tha. Wahan in khajooron ki ghuthliyan milin jo sahaba Madina se laye thay. Qabila walon ne kaha ke ye to Yasrib ki khajoor (ki ghuthli) hai ab unhon ne phir talash shuru ki aur sahaba ko pa liya. Asim Radi Allahu Anhu aur in ke sathiyon ne jab ye surat-e-haal dekhi to sahaba ki is jamaat ne ek teele par charh kar panah li. Qabila walon ne wahan pahunch kar teele ko apne ghere mein le liya aur sahaba se kaha ke hum tumhein yaqeen dilate hain aur ahd karte hain ke agar tum ne hathiyar daal diye to hum tum mein se kisi ko bhi qatl nahi karein ge. Is par Asim Radi Allahu Anhu bole ke mein to kisi kafir ki hifazat-o-aman mein khud ko kisi surat mein bhi nahi de sakta. Ai Allah! Hamare sath pesh aane wale haalat ki khabar apne nabi ko pahuncha de. Chunancha in sahaba ne in se qital kiya aur Asim apne saat sathiyon ke sath in ke teeron se shaheed ho gaye. Khubaib, Zaid aur ek aur sahabi in ke hamlon se abhi mahfooz thay. Qabila walon ne phir hifazat-o-aman ka yaqeen dilaya. Ye hazrat in ki yaqeen dehani par utar aaye. Phir jab qabila walon ne unhein poori tarah apne qabze mein le liya to in ki kaman ki taant utaar kar in sahaba ko unhein se baandh diya. Teesre sahaba jo Khubaib aur Zaid ke sath thay, unhon ne kaha ke ye tumhari pehli ghaddari hai. Unhon ne in ke sath jane se inkar kar diya. Pehle to qabila walon ne unhein ghaseeta aur apne sath le jane ke liye zor lagate rahe lekin jab wo kisi tarah tayyar na hue to unhein wahin qatl kar diya aur Khubaib aur Zaid ko sath le kar ravana hue. Phir unhein Makka mein la kar bech diya. Khubaib Radi Allahu Anhu ko to Harith Bin Amir Bin Naufal ke beton ne khareed liya kyunke Khubaib Radi Allahu Anhu ne Badr ki jung mein Harith ko qatl kiya tha. Wo in ke yahan kuch dinon tak qaidi ki haisiyat se rahe. Jis waqt in sab ka Khubaib Radi Allahu Anhu ke qatl par ittifaq ho chuka to ittifaq se unhi dinon Harith ki ek larki (Zainab) se unhon ne moay-e-zer-e-naaf saaf karne ke liye ustra manga aur unhon ne in ko ustra bhi de diya tha. In ka bayan tha ke mera larka meri ghaflat mein Khubaib Radi Allahu Anhu ke pas chala gaya. Unhon ne ise apni raan par bitha liya. Mein ne jo ise is halat mein dekha to bahut ghabrayi. Unhon ne meri ghabrahat ko jaan liya, ustra in ke hath mein tha. Unhon ne mujh se kaha, kya tumhein is ka khatra hai ke mein is bacche ko qatl kar doonga? In-sha-Allah mein hargiz aisa nahi kar sakta. In ka bayan tha ke Khubaib Radi Allahu Anhu se behtar qaidi mein ne kabhi nahi dekha tha. Mein ne unhein angoor ka khosha khate hue dekha halanke is waqt Makka mein kisi tarah ka phal maujood nahi tha jabke wo zanjeeron mein jakre hue bhi thay, to wo Allah ki bheji hui rozi thi. Phir Harith ke bete qatl karne ke liye unhein le kar haram ke hudood se bahar gaye. Khubaib Radi Allahu Anhu ne in se farmaya ke mujhe do rakat namaz parhne ki ijazaat do (unhon ne ijazaat de di aur). Jab wo namaz se farigh hue to in se farmaya ke agar tum ye khayal na karne lagte ke mein maut se ghabra gaya hoon to aur zyada namaz parhta. Khubaib Radi Allahu Anhu hi pehle wo shakhs hain jin se qatl se pehle do rakat namaz ka tariqa chala hai. Is ke baad unhon ne in ke liye bad-dua ki, Ai Allah! Unhein ek ek kar ke halak kar de aur ye ashaar parhe ”Jab ke mein musalman hone ki halat mein qatl kiya ja raha hoon to mujhe is ki koi parwah nahi ke kis pehlu par Allah ki rah mein mujhe qatl kiya jaye ga. Ye sab kuch Allah ki rah mein hai aur agar wo chahe ga to jism ke ek ek kate hue tukre mein barkat de ga.“ Phir Uqbah Bin Harith ne kharay ho kar unhein shaheed kar diya aur Quraish ne Asim Radi Allahu Anhu ki lash ke liye aadmi bheje taake in ke jism ka koi bhi hissa layein jis se unhein pehchana ja sake. Asim Radi Allahu Anhu ne Quraish ke ek bahut bare, sardar ko Badr ki larayi mein qatl kiya tha lekin Allah Ta'ala ne bhiron ki ek fauj ko badal ki tarah in ke upar bheja aur in bhiron ne in ki lash ko Quraish ke aadmiyon se mahfooz rakha aur Quraish ke bheje hue ye log (in ke pas na phatak sake) kuch na kar sake
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو هريرة الدوسي | صحابي | |
| عمرو بن أبي سفيان الثقفي | ثقة | |
| محمد بن شهاب الزهري، أبو بكر | الفقيه الحافظ متفق على جلالته وإتقانه | |
| معمر بن أبي عمرو الأزدي، أبو عروة | ثقة ثبت فاضل | |
| هشام بن يوسف الأبناوي، أبو عبد الرحمن | ثقة | |
| إبراهيم بن موسى التميمي، أبو إسحاق | ثقة حافظ |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
3989
| بعث رسول الله عشرة عينا وأمر عليهم عاصم بن ثابت الأنصاري جد عاصم بن عمر بن الخطاب حتى إذا كانوا بالهدة بين عسفان ومكة ذكروا لحي من هذيل يقال لهم بنو لحيان فنفروا لهم بقريب من مائة رجل رام فاقتصوا آثارهم حتى وجدوا مأكلهم التمر في منزل نزلوه فقالوا تمر يثرب |
صحيح البخاري |
4086
| بعث النبي سرية عينا وأمر عليهم عاصم بن ثابت وهو جد عاصم بن عمر بن الخطاب فانطلقوا حتى إذا كان بين عسفان ومكة ذكروا لحي من هذيل يقال لهم بنو لحيان فتبعوهم بقريب من مائة رام فاقتصوا آثارهم حتى أتوا منزلا نزلوه فوجدوا فيه نوى تمر تزودوه من المدينة فقالوا هذا |
سنن أبي داود | 2660 | بعث رسول الله عشرة عينا وأمر عليهم عاصم بن ثابت فنفروا لهم هذيل بقريب من مائة رجل رام فلما أحس بهم عاصم لجئوا إلى قردد فقالوا لهم انزلوا فأعطوا بأيديكم ولكم العهد والميثاق أن لا نقتل منكم أحدا فقال عاصم أما أنا فلا أنزل في ذمة كافر فرموهم بالنبل فقتلوا عا |