الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل الصحابة
Kitab: Nabi (S.A.W) ke ashab ki fazeelat
باب مناقب عثمان بن عفان أبى عمرو القرشي رضي الله عنه:
Bab: Abu Amr Usman bin Affan al-Qurashi (Umawi) Radiallahu Anhu ke fazail ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3699
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عثمان هو ابن موهب، قال: جاء رجل من اهل مصر حج البيت فراى قوما جلوسا، فقال: من هؤلاء القوم؟، فقال: هؤلاء قريش، قال: فمن الشيخ فيهم؟ قالوا: عبد الله بن عمر، قال: يا ابن عمر إني سائلك عن شيء فحدثني هل تعلم ان عثمان فر يوم احد؟ قال: نعم , قال: تعلم انه تغيب عن بدر ولم يشهد، قال: نعم، قال: تعلم انه تغيب عن بيعة الرضوان فلم يشهدها، قال: نعم، قال: الله اكبر، قال ابن عمر: تعال ابين لك اما فراره يوم احد فاشهد ان الله عفا عنه وغفر له , واما تغيبه عن بدر فإنه كانت تحته بنت رسول الله صلى الله عليه وسلم وكانت مريضة، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن لك اجر رجل ممن شهد بدرا وسهمه" , واما تغيبه عن بيعة الرضوان فلو كان احد اعز ببطن مكة من عثمان لبعثه مكانه" فبعث رسول الله صلى الله عليه وسلم عثمان وكانت بيعة الرضوان بعد ما ذهب عثمان إلى مكة فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بيده اليمنى هذه يد عثمان فضرب بها على يده، فقال: هذه لعثمان" فقال له ابن عمر: اذهب بها الآن معك.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne, kaha hum se Usman bin Mawhab ne bayan kiya ke Misr walon mein se ek naam-na-maloom aadmi aaya aur Hajj-e-Baitullah kiya, phir kuch logon ko baithe hue dekha to us ne poocha ke yeh kon log hain? Kisi ne kaha ke yeh Quraishi hain. Us ne poocha ke in mein buzurg kon sahib hain? Logon ne bataya ke yeh Abdullah bin Umar hain. Us ne poocha. Ae Ibn Umar! Mein Aap se ek baat poochna chahta hun. Umeed hai ke Aap mujhe batayein gay. Kya Aap ko maloom hai ke Uthman Radi Allahu Anhu ne Uhud ki ladayi se raah-e-farar ikhtiyar ki thi? Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne farmaya ke haan aisa hua tha. Phir unhon ne poocha: Kya Aap ko maloom hai ke woh Badr ki ladayi mein shareek nahi hue thay? Jawab diya ke haan aisa hua tha. Us ne poocha kya Aap ko maloom hai ke woh Bai'at-e-Ridwan mein bhi shareek nahi thay. Jawab diya ke haan yeh bhi sahi hai. Yeh sun kar us ki zaban se nikla Allahu Akbar to Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne kaha ke qareeb aa jao, ab mein tumhein in waqiat ki tafseel samajhaunga. Uhud ki ladayi se farar ke mutalliq mein gawahi deta hun ke Allah Ta'ala ne unhein maaf kar diya hai. Badr ki ladayi mein shareek na hone ki wajah yeh hai ke in ke nikah mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sahibzadi thin aur is waqt woh bimar thin aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya tha ke tumhein (mareez-ah ke pas thehrne ka) itna hi ajr-o-sawab milega jitna is shakhs ko jo Badr ki ladayi mein shareek hoga aur isi ke mutabiq maal-e-ghaneemat se hissa bhi milega aur Bai'at-e-Ridwan mein shareek na hone ki wajah yeh hai ke is mauqay par Waadi-e-Makkah mein koi bhi shakhs (Musalmanon mein se) Uthman Radi Allahu Anhu se zyada izzat wala aur ba-asar hota to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam isi ko in ki jagah wahan bhejte, yahi wajah hui thi ke Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhein (Quraish se batein karne ke liye) Makkah bhej diya tha aur jab Bai'at-e-Ridwan ho rahi thi to Uthman Radi Allahu Anhu Makkah ja chuke thay, is mauqay par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne dahne hath ko utha kar farmaya tha ke yeh Uthman ka hath hai aur phir ise apne doosre hath par hath rakh kar farmaya tha ke yeh bai'at Uthman ki taraf se hai. Is ke baad Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ne sawal karne wale shakhs se farmaya ke ja, in baton ko hamesha yaad rakhna. Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, in se Sa'id ne, in se Qatadah ne aur in se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab Uhud pahar par charhe aur Aap ke sath Abu Bakr, Umar aur Uthman Radi Allahu Anhum bhi thay to pahar kanpne laga. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is par farmaya Uhud thehar ja mera khayal hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ise apne paon se maara bhi tha ke tujh par ek nabi, ek siddiq aur do shaheed hi to hain.


تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name
Rank
Ahadith
عبد الله بن عمر العدوي، أبو عبد الرحمنصحابي
عثمان بن عبد الله التميمي، أبو عبد اللهثقة
الوضاح بن عبد الله اليشكري، أبو عوانةثقة ثبت
موسى بن إسماعيل التبوذكي، أبو سلمةثقة ثبت
Referencing of the Hadith:
Book Name
Number
Short Arabic Text
صحيح البخاري
4066
أتعلم أن عثمان بن عفان فر يوم أحد قال نعم قال فتعلمه تغيب عن بدر فلم يشهدها قال نعم قال فتعلم أنه تخلف عن بيعة الرضوان فلم يشهدها قال نعم قال فكبر قال ابن عمر تعال لأخبرك ولأبين لك عما سألتني عنه أما فراره يوم أحد فأشهد أن الله عفا عنه وأما تغيبه عن بدر ف
صحيح البخاري
3699
تعلم أن عثمان فر يوم أحد قال نعم قال تعلم أنه تغيب عن بدر ولم يشهد قال نعم قال تعلم أنه تغيب عن بيعة الرضوان فلم يشهدها قال نعم قال الله أكبر قال ابن عمر تعال أبين لك أما فراره يوم أحد فأشهد أن الله عفا عنه وغفر له وأما تغيبه عن بدر فإنه كانت تحته بنت
صحيح البخاري
3130
لك أجر رجل ممن شهد بدرا وسهمه
جامع الترمذي
3706
لك أجر رجل شهد بدرا وسهمه وأمره أن يخلف عليها وكانت عليلة أما تغيبه عن بيعة الرضوان فلو كان أحد أعز ببطن مكة من عثمان لبعثه رسول الله مكان عثمان بعث رسول الله عثمان إلى مكة وكانت بيعة الرضوان بعد ما ذهب عثمان إلى م
سنن أبي داود
2726
ضرب له رسول الله بسهم ولم يضرب لأحد غاب غيره