الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب بدء الخلق
Kitab: Is bayan mein ke makhlooq ki paidaish kyonkar shuru hui
باب صفة النار وأنها مخلوقة:
Bab: Dozakh ka bayan aur ye bayan ke dozakh ban chuki hai, woh maujood hai.
Hadith Number: Q3258
وغساقا سورة النبا آية 25، يقال: غسقت عينه ويغسق الجرح وكان الغساق والغسق واحد غسلين سورة الحاقة آية 36 كل شيء غسلته، فخرج منه شيء فهو غسلين فعلين من الغسل من الجرح والدبر، وقال: عكرمة حصب جهنم سورة الانبياء آية 98 حطب بالحبشية، وقال: غيره حاصبا سورة الإسراء آية 68 الريح العاصف والحاصب ما ترمي به الريح ومنه حصب جهنم يرمى به في جهنم هم حصبها، ويقال: حصب في الارض ذهب والحصب مشتق من حصباء الحجارة صديد سورة إبراهيم آية 16 قيح ودم خبت سورة الإسراء آية 97 طفئت تورون سورة الواقعة آية 71 تستخرجون، اوريت اوقدت للمقوين سورة الواقعة آية 73 للمسافرين والقي القفر، وقال ابن عباس: صراط الجحيم سواء الجحيم ووسط الجحيم لشوبا من حميم سورة الصافات آية 67 يخلط طعامهم ويساط بالحميم زفير وشهيق سورة هود آية 106 صوت شديد وصوت ضعيف وردا سورة مريم آية 86 عطاشا غيا سورة مريم آية 59 خسرانا، وقال: مجاهد يسجرون سورة غافر آية 72 توقد بهم النار ونحاس سورة الرحمن آية 35 الصفر يصب على رءوسهم، يقال ذوقوا سورة آل عمران آية 181 باشروا وجربوا وليس هذا من ذوق الفم مارج خالص من النار مرج الامير رعيته إذا خلاهم يعدو بعضهم على بعض مريج سورة ق آية 5 ملتبس مرج امر الناس اختلط مرج البحرين سورة الفرقان آية 53 مرجت دابتك تركتها.
Surah Al-Naba mein jo lafz "ghassaqan" aaya hai is ka maane peep lahu, Arab log kehte hain "ghassaqat ainuhu" is ki aankh beh rahi hai. "yaghsaqu-l-jarhu" zakham beh raha hai. "ghassaqun" aur "ghasaqun" dono ke ek hi maane hain. "ghisleenun" ka lafz jo Surah Al-Haqqa mein hai is ka maane "dahoonun" yaani kisi cheez ke dhone mein jaise aadmi ka zakham ho ya ont ka jo nikle "filenun" ke wazan par ghusl se mushtaq hai. Ikrima ne kaha "hasabu" ka lafz jo Surah Al-Anbiya mein hai maane "hatabu" yaani indhan ke hain. Ye lafz Habshi zaban ka hai. Doosron ne kaha, "hasiban" ka maane jo Surah Bani Israil mein hai tund hawa, aandhi aur "hasibun" is ko bhi kehte hain jo hawa uda kar laye. Isi se lafz "hasabu jahannama" nikla hai jo Surah Al-Anbiya mein hai. Yaani dozakh mein jhonke jayenge wo is ke indhan baneinge. Arab log kehte hain "hasaba fil ardhi" yaani wo zameen mein chala gaya. "hasabun" "hasba-u" se nikla hai. Yaani pathreeli kankariyan. "sadeedun" ka lafz jo Surah Ibrahim mein hai is ka maane peep aur lahu ke hain. "khabat" ka lafz jo Surah Bani Israil mein hai is ka maane bujh jaye gi. "tooroona" ka lafz jo Surah Al-Waqi'a mein hai is ka maane aag sulgate ho, kehte hain "auraitu" yaani mein ne aag sulgayi. "muqweena" ka lafz jo Surah Al-Waqi'a mein hai ye lafz "qaiyun" se nikla hai. "qaiyun" ujaad zameen ko kehte hain aur Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne "sawa-il-jaheemi" ki tafseer mein kaha jo Surah Al-Saffat mein hai dozakh ka beechon beech ka hissa, "lashauban min hamimin" (jo isi surat mein hai) is ka maane ye hai ke dozakhiyon ke khane mein garam kholta hua pani milaya jaye ga. Alfaz "zafeer" aur "shaheeq" jo Surah Hud mein hain in ke maane awaz se rona aur aahista se rona, lafz "wirdan" jo Surah Maryam mein hai yaani pyaase, lafz "ghaiya" jo isi surat mein hai. Yaani tota nuqsan, aur Mujahid ne kaha lafz "yusjaroona" jo Surah Momin mein hai, yaani aag ka indhan baneinge. Lafz "nuhaasun" jo Surah Al-Rahman mein hai is ka maane tanba jo pighla kar un ke saron par dala jaye ga. Lafz "zooqoo" jo kai suraton mein aaya hai is ka maane ye hai ke azab ko dekho, munh se chakhna murad nahi hai. Lafz "maarijun" jo Surah Al-Rahman mein hai yaani khalis aag. Arab log kehte hain, "maraja-l-ameeru r'aiyyatahu" yaani badshah apni r'aiyyat ko chhod baitha, wo ek doosre par zulm kar rahe hain. Lafz "mareejun" jo Surah Qaaf mein hai, yaani mila hua, mushtaba. Kehte hain "maraja amru-n-nasi ikhtalata" yaani logon ka muamla sab khalt malt ho gaya. Lafz "maraja-l-bahrayni" jo Surah Al-Rahman mein hai "marajat dabbatuka" se nikla hai, yaani tu ne apna janwar chhod diya hai
.
.
تخریج الحدیث:
Hadith Number: 3258
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن مهاجر ابي الحسن، قال: سمعت زيد بن وهب، يقول: سمعت ابا ذر رضي الله عنه، يقول: كان النبي صلى الله عليه وسلم في سفر، فقال:" ابرد ثم قال: ابرد حتى فاء الفيء يعني للتلول، ثم قال: ابردوا بالصلاة فإن شدة الحر من فيح جهنم".
Hum se Abu-ul-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhajir Abu-ul-Hasan ne bayan kiya ke mein ne Zaid Bin Wahb se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abu Zarr (Radi Allahu Anhu) se suna wo bayan karte thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek safar mein thay (jab Bilal Radi Allahu Anhu zuhar ki azan dene utthe to) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke waqt zara thanda ho lene do, phir dobara (jab wo azan ke liye utthe to phir) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein yahi hukm diya ke waqt aur thanda ho lene do, yahan tak ke teelon ke neeche se sayah dhal gaya, is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke namaz thande waqt auqat mein parha karo, kyunke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se paida hoti hai
.
.
تخریج الحدیث:
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Narrators:
Famous Name | Rank | Ahadith |
|---|---|---|
| أبو ذر الغفاري، أبو ذر | صحابي | |
| زيد بن وهب الجهني، أبو سليمان | ثقة | |
| المهاجر التيمي، أبو الحسن | ثقة | |
| شعبة بن الحجاج العتكي، أبو بسطام | ثقة حافظ متقن عابد | |
| هشام بن عبد الملك الباهلي، أبو الوليد | ثقة ثبت |
Referencing of the Hadith:
Book Name | Number | Short Arabic Text |
|---|---|---|
صحيح البخاري |
535
| شدة الحر من فيح جهنم فإذا اشتد الحر فأبردوا عن الصلاة |
صحيح البخاري |
3258
| أبردوا بالصلاة فإن شدة الحر من فيح جهنم |
صحيح البخاري |
539
| شدة الحر من فيح جهنم فإذا اشتد الحر فأبردوا بالصلاة |
صحيح البخاري |
629
| شدة الحر من فيح جهنم |
صحيح مسلم | 1400 | شدة الحر من فيح جهنم فإذا اشتد الحر فأبردوا عن الصلاة |
جامع الترمذي | 158 | شدة الحر من فيح جهنم فأبردوا عن الصلاة |
سنن أبي داود | 401 | شدة الحر من فيح جهنم فإذا اشتد الحر فأبردوا بالصلاة |