الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
(بَابٌ:)
...
Show diacritics
Hadith Number: 7268
حدثنا الحميدي حدثنا سفيان عن مسعر وغيره عن قيس بن مسلم عن طارق بن شهاب قال: قال رجل من اليهود لعمر يا امير المؤمنين لو ان علينا نزلت هذه الآية: {اليوم اكملت لكم دينكم واتممت عليكم نعمتي ورضيت لكم الإسلام دينا} لاتخذنا ذلك اليوم عيدا. فقال عمر إني لاعلم اي يوم نزلت هذه الآية، نزلت يوم عرفة في يوم جمعة. سمع سفيان من مسعر ومسعر قيسا وقيس طارقا.
`Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, un se Mis'ar bin Kidam aur un ke ilawa (Sufyan Sauri) ne, un se Qais bin Muslim ne, un se Tariq bin Shihab ne bayan kiya ke ek Yahudi (Ka'b Ahbar Islam lane se pehle) ne Umar Radi Allahu Anhu se kaha: ay Ameerul Momineen! agar hamare yahan Surah al-Ma'idah ki yeh ayat nazil hoti «al-Yauma akmaltu lakum deenakum wa atmamtu alaikum ni'mati wa razeetu lakumul Islama deenan» ke ”Aaj mein ne tumhare liye tumhare deen ko mukammal kar diya aur tum par apni ni'mat ko poora kar diya aur tumhare liye Islam ko ba-taur deen ke pasand kar liya.“ to hum is din ko eid (khushi) ka din bana lete. Umar Radi Allahu Anhu ne kaha ke mein jaanta hoon ke yeh ayat kis din nazil hui thi, Arafa ke din nazil hui aur Jumua ka din tha. Imam Bukhari ne kaha yeh riwayat Sufyan ne Mis'ar se suni, Mis'ar ne Qais se suna aur Qais ne Tariq se.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7269
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، اخبرني انس بن مالك، انه سمع عمر الغد حين بايع المسلمون ابا بكر واستوى على منبر رسول الله صلى الله عليه وسلم تشهد قبل ابي بكر، فقال:" اما بعد، فاختار الله لرسوله صلى الله عليه وسلم الذي عنده على الذي عندكم وهذا الكتاب الذي هدى الله به رسولكم، فخذوا به تهتدوا وإنما هدى الله به رسوله".
`Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel bin Khalid ne, un se Ibn Shihab ne aur unhein Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne khabar di ke unhon ne Umar Radi Allahu Anhu se wo khutba suna jo unhon ne wafat-e-nabwi ke doosre din parha tha, jis din musalmanon ne Abu Bakr Radi Allahu Anhu se bai'at ki thi. Umar Radi Allahu Anhu Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke mimbar par chadhe aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu se pehle khutba parha phir kaha: Amma ba'du! Allah Ta'ala ne apne Rasul ke liye wo cheez (Aakhirat) pasand ki jo us ke paas thi is ke bajaye jo tumhare paas thi yaani duniya aur yeh Kitab Allah maujood hai jis ke zariya Allah Ta'ala ne tumhare Rasul ko deen o seedha rasta batlaya pas ise tum thaame raho to hidayat-yab raho ge. Yaani is raste par raho ge jo Allah ne apne paigambar ko batlaya tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7270
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال:" ضمني إليه النبي صلى الله عليه وسلم، وقال: اللهم علمه الكتاب".
`Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne bayan kiya, un se Khalid Hazza ne, un se Ikrima ne, un se Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe apne seene se lagaya aur farmaya ”Ae Allah! ise Quran ka ilm sikha.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7271
حدثنا عبد الله بن صباح، حدثنا معتمر، قال: سمعت عوفا، ان ابا المنهال حدثه، انه سمع ابا برزة، قال:" إن الله يغنيكم او نغشكم بالإسلام وبمحمد صلى الله عليه وسلم"، قال ابو عبد الله: وقع هاهنا يغنيكم، وإنما هو نعشكم، ينظر في اصل كتاب الاعتصام.
`Hum se Abdullah bin Sabah ne bayan kiya, kaha hum se Mu'tamir bin Sulaiman ne bayan kiya, kaha ke mein ne Auf Aarabi se suna ‘ un se Abul Minhal ne bayan kiya, unhon ne Abu Barza Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne kaha ke Allah Ta'ala ne tumhein Islam aur Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ke zariya gani kar diya hai ya buland darja kar diya hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7272
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار،" ان عبد الله بن عمر كتب إلى عبد الملك بن مروان يبايعه: واقر لك بذلك بالسمع والطاعة على سنة الله وسنة رسوله فيما استطعت".
`Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abdullah bin Dinar ne ke Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma ne Abdul Malik bin Marwan ko khat likha ke wo is ki bai'at qabool karte hain aur yeh likha ke mein tera hukm sunoon ga aur manoon ga ba-shart-e-ke Allah ki shariat aur is ke Rasul ki sunnat ke muwafiq ho jahan tak mujh se mumkin ho ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «بُعِثْتُ بِجَوَامِعِ الْكَلِمِ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka irshaad ke "jawami' al-kalim" ke saath bheja gaya hoon.
Show diacritics
Hadith Number: 7273
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" بعثت بجوامع الكلم ونصرت بالرعب وبينا انا نائم رايتني اتيت بمفاتيح خزائن الارض، فوضعت في يدي، قال ابو هريرة: فقد ذهب رسول الله صلى الله عليه وسلم وانتم تلغثونها او ترغثونها او كلمة تشبهها".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Said bin al-Musayyib ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Mujhe «Jawami'ul Kalim» (mukhtasar alfaz mein bahut se ma'ani ko samo dena) ke saath bheja gaya hai aur meri madad ru'b ke zariya ki gayi aur mein soya hua tha ke mein ne khwab mein dekha ke mere paas zameen ke khazanon ki kunjiyaan rakh di gayeen.“ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم to chale gaye aur tum maze kar rahe ho ya isi jaisa koi kalma kaha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7274
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا الليث، عن سعيد، عن ابيه، عن ابي هريرة عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما من الانبياء نبي إلا اعطي من الآيات ما مثله، اومن او آمن عليه البشر، وإنما كان الذي اوتيت وحيا اوحاه الله إلي، فارجو اني اكثرهم تابعا يوم القيامة".
`Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Uwaisi ne bayan kiya, kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, un se Said bin Abi Said ne, un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Ambiya mein se koi Nabi aisa nahi jin ko kuch nishaniyan (yaani mu'jizat) na diye gaye hon jin ke mutabiq un par iman laya gaya (Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke) insan iman laye aur mujhe jo bada mu'jiza diya gaya wo Quran Majeed hai jo Allah ne meri taraf bheja, pas mein umeed karta hoon ke qayamat ke din shumar mein tamam ambiya se zyada pairwi karne wale mere hon ge.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِقْتِدَاءِ بِسُنَنِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ki sunnaton ki pairwi karna.
Show diacritics
Hadith Number: Q7275
وقول الله تعالى: واجعلنا للمتقين إماما سورة الفرقان آية 74 قال ايمة نقتدي بمن قبلنا ويقتدي بنا من بعدنا وقال ابن عون ثلاث احبهن لنفسي ولإخواني هذه السنة ان يتعلموها ويسالوا عنها والقرآن ان يتفهموه ويسالوا عنه ويدعوا الناس إلا من خير
Aur Allah Ta'ala ka (Surah al-Furqan mein) farmana «Waj'alna lil-muttaqeena imaman» ke ”Ae Parwardigar! hum ko parhezgaron ka peshwa bana de.“ Mujahid ne kaha yaani imam bana de ke hum log agle logon sahabah aur tabiyeen ki pairwi karein aur hamare baad jo log aayein wo hamari pairwi karein aur Abdullah bin Aun ne kaha teen baatein aisi hain jin ko mein khaas apne liye aur doosre musalman bhaiyon ke liye pasand karta hoon, ek to ilm-e-hadees, musalmanon ko ise zaroor hasil karna chahiye. Doosre Quran Majeed, ise samajh kar parhein aur logon se Quran ke matalib ki tahqeeq karte rahein. Teesre yeh ke musalmanon ka zikr hamesha khair o bhalayi ke saath kiya karein, kisi ki burayi ka zikr na karein.


Show diacritics
Hadith Number: 7275
حدثنا عمرو بن عباس، حدثنا عبد الرحمن، حدثنا سفيان، عن واصل، عن ابي وائل، قال: جلست إلى شيبة في هذا المسجد قال: جلس إلي عمر في مجلسك هذا، فقال:" لقد هممت ان لا ادع فيها صفراء ولا بيضاء، إلا قسمتها بين المسلمين، قلت: ما انت بفاعل، قال: لم قلت لم يفعله صاحباك؟ قال: هما المرءان يقتدى بهما".
`Hum se Amr bin Abbas ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Rahman bin Mahdi ne, kaha hum se Sufyan Sauri ne, un se Wasil ne, un se Abu Wa'il ne bayan kiya ke is masjid (Khana-e-Ka'ba) mein, mein Shaiba bin Usman Hujabi (jo Ka'ba ke kaleed-bardar thay) ke paas baitha to unhon ne kaha ke jahan tum baithe ho, wahin Umar Radi Allahu Anhu bhi mere paas baithe thay aur unhon ne kaha tha ke mera irada hai ke Ka'ba mein kisi tarah ka sona chandi na chhodoon aur sab musalmanon mein taqseem kar doon jo nazr-e-Allah Ka'ba mein jama hai. Mein ne kaha ke aap aisa nahi kar sakte. Kaha kyun? Mein ne kaha ke aap ke donon sathiyon (Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم aur Abu Bakr Radi Allahu Anhu) ne aisa nahi kiya tha. Is par unhon ne kaha ke wo donon buzurg aise hi thay jin ki iqtida karni hi chahiye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7276
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: سالت الاعمش، فقال: عن زيد بن وهب، سمعت حذيفة، يقول: حدثنا رسول الله صلى الله عليه وسلم" ان الامانة نزلت من السماء في جذر قلوب الرجال ونزل القرآن، فقرءوا القرآن، وعلموا من السنة".
`Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaina ne bayan kiya, kaha ke mein ne A'mash se poocha to unhon ne Zaid bin Wahb se bayan kiya ke mein ne Huzaifa bin Yaman Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke amanat-dari aasman se baaz logon ke dilon ki jadon mein utri, (yaani un ki fitrat mein dakhil hai) aur Quran Majeed nazil hua to unhon ne Quran Majeed ka matlab samjha aur sunnat ka ilm hasil kiya to Quran o hadees donon se is imandari ko jo fitrati thi poori quwwat mil gayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة