الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ أَخَذَ حَقَّهُ أَوِ اقْتَصَّ دُونَ السُّلْطَانِ:
Jis ne apna haq ya qisaas sultan ki ijazat ke baghair le liya.
Hadith Number: 6887
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، ان الاعرج حدثه، انه سمع ابا هريرة، يقول: إنه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" نحن الآخرون السابقون يوم القيامة".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, kaha hum se Abu al-Zinad ne bayan kiya, in se Aaraj ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna, bayan kiya ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hum aakhri ummat hain lekin (Qayamat ke din) sab se aage rehne wale hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6888
وبإسناده" لو اطلع في بيتك احد ولم تاذن له، خذفته بحصاة، ففقات عينه، ما كان عليك من جناح".
Aur isi asnad ke saath (riwayat hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya) agar koi shakhs tere ghar mein (kisi surakh ya jangle waghaira se) tum se ijazat liye baghair jhaank raha ho aur tum usay kankari maaro jis se is ki aankh phoot jaye to tum par koi saza nahi hai na gunah ho ga na duniya ki koi saza lagu ho gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6889
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن حميد،" ان رجلا اطلع في بيت النبي صلى الله عليه وسلم، فسدد إليه مشقصا"، فقلت: من حدثك، قال: انس بن مالك.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, in se Humayd ne ke ek sahab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ghar mein jhaank rahe thay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ki taraf teer ka phal barhaya tha. Main ne poochha ke yeh hadees tum se kis ne bayan ki hai? To unhon ne bayan kiya Anas bin Malik razi Allahu anhu ne.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا مَاتَ فِي الزِّحَامِ أَوْ قُتِلَ:
Jab koi hujoom mein mar jaaye ya maara jaaye to us ka kya hukm hai?
Hadith Number: 6890
حدثني إسحاق بن منصور، اخبرنا ابو اسامة، قال: هشام اخبرنا، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" لما كان يوم احد، هزم المشركون، فصاح إبليس: اي عباد الله اخراكم، فرجعت اولاهم، فاجتلدت هي واخراهم"، فنظر حذيفة فإذا هو بابيه اليمان، فقال: اي عباد الله: ابي ابي، قالت: فوالله ما احتجزوا حتى قتلوه، قال حذيفة: غفر الله لكم، قال عروة: فما زالت في حذيفة منه بقية خير حتى لحق بالله.
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum ko Abu Usamah ne khabar di, unhein Hisham ne khabar di, kaha hamako hamare walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Uhud ki larayi mein mushrikeen ko pehle shikast ho gayi thi lekin Iblees ne chilla kar kaha Ae Allah ke bando! peeche ki taraf walon se bacho! Chunanche aage ke log palat pare aur aage wale peeche walon se (jo Musalman hi thay) bhirr gaye. Achanaak Huzayfah razi Allahu anhu ne dekha to in ke walid Yaman razi Allahu anhu thay. Huzayfah razi Allahu anhu ne kaha: Allah ke bando! Yeh to mere walid hain, mere walid. Bayan kiya ke Allah ki qasam Musalman unhein qatl kar ke hi hate. Is par Huzayfah razi Allahu anhu ne kaha Allah tumhari maghfirat kare. Urwah ne bayan kiya ke is waqia ka sadma Huzayfah razi Allahu anhu ko aakhri waqt tak raha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا قَتَلَ نَفْسَهُ خَطَأً فَلاَ دِيَةَ لَهُ:
Agar kisi ne ghalti se apne aap hi ko maar daala to us ki koi deet nahin hai.
Hadith Number: 6891
حدثنا المكي بن إبراهيم، حدثنا يزيد بن ابي عبيد، عن سلمة، قال:" خرجنا مع النبي صلى الله عليه وسلم إلى خيبر، فقال رجل منهم: اسمعنا يا عامر من هنيهاتك، فحدا بهم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: من السائق؟، قالوا: عامر، فقال: رحمه الله، فقالوا: يا رسول الله، هلا امتعتنا به، فاصيب صبيحة ليلته، فقال القوم: حبط عمله قتل نفسه، فلما رجعت وهم يتحدثون ان عامرا حبط عمله، فجئت إلى النبي صلى الله عليه وسلم فقلت: يا نبي الله فداك ابي وامي، زعموا ان عامرا حبط عمله، فقال كذب من قالها، إن له لاجرين اثنين: إنه لجاهد مجاهد، واي قتل يزيده عليه".
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Abi Ubaid ne, aur in se Salama razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Khaibar ki taraf nikle. Jama'at ke ek sahab ne kaha Aamir! Hamain apni hudi sunayiye. Unhon ne hudi-khwani shuru ki to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne poochha ke kaun sahab ga ga kar oonton ko hanka rahe hain? Logon ne kaha ke Aamir hain. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya, Allah in par raham kare. Sahabah ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap ne hamain Aamir se faida kyun nahi uthane diya. Chunanche Aamir razi Allahu anhu isi raat ko apni hi talwar se shaheed ho gaye. Logon ne kaha ke in ke aamal barbad ho gaye, unhon ne khud-kushi kar li (kyunke ek Yahudi par hamla karte waqt khud apni talwar se zakhmi ho gaye thay) jab main wapas aaya aur main ne dekha ke log aapas mein keh rahe hain ke Aamir ke aamal barbad ho gaye to main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Aap par mere baap aur maan fida hon, yeh log kehte hain ke Aamir ke saare aamal barbad huay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs yeh kehta hai ghalat kehta hai. Aamir ko dohra ajar mile ga woh (Allah ke raaste mein) mashaq-qat uthane wale aur jihad karne wale thay aur kis qatl ka ajar is se barh kar ho ga?
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا عَضَّ رَجُلاً فَوَقَعَتْ ثَنَايَاهُ:
Jab kisi ne kisi ko daant se kaata aur kaatne wale ka daant toot gaya to us ki koi deet nahin hai.
Hadith Number: 6892
حدثنا آدم حدثنا شعبة، حدثنا قتادة، قال: سمعت زرارة بن اوفى، عن عمران بن حصين، ان رجلا عض يد رجل، فنزع يده من فمه، فوقعت ثنيتاه، فاختصموا إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" يعض احدكم اخاه كما يعض الفحل لا دية لك".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha hum se Qatadah ne bayan kiya ke main ne Zhuraara bin Abi Aufa se suna, in se Imran bin Husain razi Allahu anhuma ne ke ek shakhs ne ek shakhs ke hath mein daant se kaata to is ne apna hath kaatne wale ke munh mein se khainch liya jis se is ke aage ke do daant toot gaye phir donon apna jhagra Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas laaye to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum apne hi bhai ko is tarah daant se kaat-te ho jaise oont kaat-ta hai tumhein diyat nahi mile gi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6893
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن عطاء، عن صفوان بن يعلى، عن ابيه، قال: خرجت في غزوة،" فعض رجل، فانتزع ثنيته، فابطلها النبي صلى الله عليه وسلم".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya, in se Ibn Jurayj ne, in se Ata ne, in se Safwan bin Yala ne aur in se un ke walid ne ke main ek ghazwa mein bahar tha aur ek shakhs ne daant se kaat liya tha jis ki wajah se is ke aage ke daant toot gaye thay phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne is muqaddama ko batil qarar de kar is ki diyat nahi dilayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السِّنِّ بِالسِّنِّ:
Daant ke badle daant.
Hadith Number: 6894
حدثنا الانصاري، حدثنا حميد، عن انس رضي الله عنه" ان ابنة النضر لطمت جارية، فكسرت ثنيتها، فاتوا النبي صلى الله عليه وسلم فامر بالقصاص".
Hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne bayan kiya, kaha hum se Humayd Taweel ne bayan kiya, in se Anas razi Allahu anhu ne ke Nazhrat ki beti ne ek larki ko tamancha mara tha aur is ke daant toot gaye thay. Log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas muqaddama laaye to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne qisas ka hukm diya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ دِيَةِ الأَصَابِعِ:
Ungliyon ki deet ka bayaan.
Hadith Number: 6895
حدثنا آدم حدثنا شعبة عن قتادة عن عكرمة عن ابن عباس عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: «هذه وهذه سواء» ، يعني الخنصر والإبهام.
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Qatadah ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”yeh aur yeh barabar yani chhangliya aur angootha diyat mein barabar hain.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6895M
حدثنا محمد بن بشار حدثنا ابن ابي عدي عن شعبة عن قتادة عن عكرمة عن ابن عباس قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, in se Shubah ne in se Qatadah ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se isi tarah suna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة