الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْمَعْدِنُ جُبَارٌ وَالْبِئْرُ جُبَارٌ:
Kaan mein dab kar aur kunwen mein gir kar marne wale ki deet nahin hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6912
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، حدثنا ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، وابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" العجماء جرحها جبار، والبئر جبار، والمعدن جبار، وفي الركاز الخمس".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya, in se Saeed bin al-Musayyab aur Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”chaupaye agar kisi ko zakhmi kar dein to in ka khoon-baha nahi, kunwien mein girne ka koi khoon-baha nahi, kaan mein dabne ka koi khoon-baha nahi aur dafeena mein panchwan hissa hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْعَجْمَاءُ جُبَارٌ:
Chopayon ke nuqsaan karne ka kuch tawaana nahin.
Show diacritics
Hadith Number: Q6913
وقال ابن سيرين: كانوا لا يضمنون من النفحة، ويضمنون من رد العنان، وقال حماد: لا تضمن النفحة إلا ان ينخس إنسان الدابة، وقال شريح: لا تضمن ما عاقبت ان يضربها فتضرب برجلها، وقال الحكم، وحماد: إذا ساق المكاري حمارا عليه امراة فتخر لا شيء عليه، وقال الشعبي: إذا ساق دابة فاتعبها فهو ضامن لما اصابت، وإن كان خلفها مترسلا لم يضمن.
Aur Ibn Sireen ne bayan kiya ke ulama, janwar ke laat maar dene par tawan nahi dilate thay lekin agar koi lagam moarte waqt janwar ko zakhmi kar deta to sawar se tawan dilate thay aur Hammad ne kaha ke laat maarne par tawan nahi hota lekin agar koi shakhs kisi janwar ko uksaye (aur is ki wajah se janwar kisi doosre ko laat maare) to uksane wale par tawan ho ga. Shuraih ne kaha ke is surat mein tawan nahi ho ga jabke badla liya ho ke pehle us ne janwar ko mara aur phir janwar ne usay laat se mara. Hakam ne kaha agar koi mazdoor kisi gadhe ko hanka raha ho jis par aurat sawar ho phir woh aurat gir jaye to mazdoor par koi tawan nahi aur Shabi ne kaha ke jab koi janwar hanka raha ho aur phir usay thaka de to is ki wajah se agar janwar ko koi nuqsan pahuncha to hanke-ne wala zhaamin ho ga aur agar janwar ke peeche reh kar is ko (mamooli taur se) aahistagi se hanka raha ho to hanke-ne wala zhaamin na ho ga.


Show diacritics
Hadith Number: 6913
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" العجماء عقلها جبار، والبئر جبار، والمعدن جبار، وفي الركاز الخمس".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, unhon ne Muhammad bin Ziyad se, unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”be-zaban janwar kisi ko zakhmi kare to is ki diyat kuch nahi hai, isi tarah kaan mein kaam karne se koi nuqsan pahunche, isi tarah kunwien mein kaam karne se aur jo kafiron ka maal dafan kiya hua mile is mein panchwan hissa sarkar mein liya jaye ga.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِثْمِ مَنْ قَتَلَ ذِمِّيًّا بِغَيْرِ جُرْمٍ:
Jo be-gunaah zimmi kaafir ko maar daale us ke gunaah ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 6914
حدثنا قيس بن حفص، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الحسن، حدثنا مجاهد، عن عبد الله بن عمرو، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من قتل نفسا معاهدا لم يرح رائحة الجنة، وإن ريحها ليوجد من مسيرة اربعين عاما".
Hum se Qays bin Hafs ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahid bin Ziyad ne, kaha hum se Hasan bin Amr Faqeemi ne, kaha hum se Mujahid ne, unhon ne Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo shakhs aaisi jaan ko maar daale jis se ahad kar chuka ho (is ki aman de chuka ho) jaise zhimmi, kafir ko to woh jannat ki khushboo bhi na soonghe ga (cheh jaye ke is mein dakhil ho) haalan-ke bahisht ki khushboo chalis baras ki raah se maloom hoti hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُقْتَلُ الْمُسْلِمُ بِالْكَافِرِ:
Musalman ko (zimmi) kaafir ke badle qatl nahin kiya jaayega.
Show diacritics
Hadith Number: 6915
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا مطرف، ان عامرا حدثهم، عن ابي جحيفة، قال: قلت: لعلي. ح حدثنا صدقة بن الفضل،اخبرنا ابن عيينة، حدثنا مطرف، سمعت الشعبي، يحدث، قال: سمعت ابا جحيفة، قال: سالت عليا رضي الله عنه: هل عندكم شيء مما ليس في القرآن؟، وقال ابن عيينة مرة: ما ليس عند الناس، فقال:" والذي فلق الحبة، وبرا النسمة، ما عندنا إلا ما في القرآن إلا فهما يعطى رجل في كتابه وما في الصحيفة، قلت: وما في الصحيفة؟، قال: العقل وفكاك الاسير وان لا يقتل مسلم بكافر".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhayr bin Muawiyah ne, kaha hum se Mutarrif bin Tareef ne, in se Aamir Shabi ne bayan kiya. Abu Juhaifah se riwayat kar ke, kaha main ne Ali razi Allahu anhu se kaha. (Doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur hamase Sadaqah bin Fadl ne, kaha hamain ko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di, kaha hum se Mutarrif bin Tareef ne bayan kiya, kaha main ne Aamir Shabi se suna, woh bayan karte thay ke main ne Abu Juhaifah se suna, unhon ne kaha main ne Ali razi Allahu anhu se poochha kiya Aap ke paas aur bhi kuch aayitein ya suratein hain jo is Quran mein nahi hain (yani mashhoor mushaf mein) aur kabhi Sufyan bin Uyaynah ne yun kaha ke jo aam logon ke paas nahi hain. Ali razi Allahu anhu ne kaha qasam is Allah ki jis ne dana cheer kar ugaya aur jaan ko paida kiya hamare paas is Quran ke siwa aur kuch nahi hai. Albatta ek samajh hai jo Allah Ta'ala apni kitab ki jis ko chahta hai inayat farmata hai aur woh jo is varaq pe likha hua hai. Abu Juhaifah ne kaha is varaq pe kiya likha hai? Unhon ne kaha diyat aur qadi chhurane ke ahkaam aur yeh masla ke Musalman kafir ke badle qatl na kiya jaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَطَمَ الْمُسْلِمُ يَهُودِيًّا عِنْدَ الْغَضَبِ:
Jab Musalman ghusse mein Yahoodi ko thappar maar daale.
Show diacritics
Hadith Number: Q6916
رواه ابو هريرة عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is ko Abu Hurairah razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya hai.


Show diacritics
Hadith Number: 6916
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن عمرو بن يحيى، عن ابيه، عن ابي سعيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تخيروا بين الانبياء".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne, unhon ne Amr bin Yahya se, unhon ne apne walid se, unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”dekho aur Paighambaron se mujhko fazeelat mat do.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6917
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عمرو بن يحيى المازني، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري، قال:" جاء رجل من اليهود إلى النبي صلى الله عليه وسلم قد لطم وجهه، فقال: يا محمد، إن رجلا من اصحابك من الانصار قد لطم وجهي، قال: ادعوه، فدعوه، قال: لم لطمت وجهه؟، قال: يا رسول الله، إني مررت باليهود، فسمعته يقول: والذي اصطفى موسى على البشر، قال: قلت: وعلى محمد صلى الله عليه وسلم، قال: فاخذتني غضبة، فلطمته، قال: لا تخيروني من بين الانبياء، فإن الناس يصعقون يوم القيامة فاكون اول من يفيق فإذا انا بموسى آخذ بقائمة من قوائم العرش فلا ادري افاق قبلي ام جوزي بصعقة الطور".
Hum se Muhammad bin Yusuf Bikandi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne, unhon ne Amr bin Yahya Maazni se unhon ne apne walid (Yahya bin Ammarah) se, unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se, unhon ne kaha Yahood mein se ek shakhs Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas aaya, is ko kisi ne tamancha lagaya thu. Kehne laga: Ae Muhammad! (salla Allahu alaihi wasallam) tumhare as-hab mein se ek Ansari shakhs ne mujhko tamancha mara. Aap ne logon se farmaya is ko bulao to unhon ne bulaya (woh hazir hua) Aap ne poochha tu ne is ke munh par tamancha kyun mara. Woh kehne laga: ya Rasool Allah! Aaisa hua ke main Yahudiyon ke paas se guzra, main ne suna yeh Yahudi yun qasam kha raha thu qasam is Parvardigar ki jis ne Musa alaihissalam ko saare aadmiyon mein se chun liya. Main ne kaha kiya Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se bhi woh afzhal hain? Aur is waqt mujhe ghussa aa gaya. Main ne ek tamancha laga diya (ghusse mein yeh khata mujh se ho gayi) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya (dekho khayal rakkho) aur Paighambaron par mujhko fazeelat na do Qayamat ke din aisa ho ga sab log (haibat e khuda-wandi se) be-hosh ho jayein ge phir main sab se pehle hosh mein aaoon ga. kiya dekhoon ga Musa alaihissalam (mujh se bhi pehle) arsh ka ek kona thaame khare hain. Ab yeh main nahi jaanta ke woh mujh se pehle hosh mein aa jayein ge ya Koh e Toor par jo (duniya mein) be-hosh ho chuke thay is ke badal woh aakhirat mein be-hosh hi na hon ge.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة