الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ دُعَاءِ الْعَائِدِ لِلْمَرِيضِ:
Jo shakhs bimar ki aiyadat ko jaaye woh kya kare.
Hadith Number: 5675
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن منصور، عن إبراهيم، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا اتى مريضا او اتي به، قال:" اذهب الباس رب الناس، اشف وانت الشافي لا شفاء إلا شفاؤك شفاء لا يغادر سقما"، قال عمرو بن ابي قيس: وإبراهيم بن طهمان، عن منصور، عن إبراهيم، وابي الضحى، إذا اتي بالمريض.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, in se Mansoor ne, in se Ibrahim ne, in se Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jab kisi mareez ke paas tashreef le jaate ya koi mareez Aap ke paas laya jata to Aap salla Allahu alaihi wasallam yeh dua farmate «azh-hibil-ba'sa rabban-naasi, ish-fi wa antash-shaafi la shifa-a illa shifauka, shifa-al-la yughadiru saqaman» ”Ae Parvardigar logon ke! Beemari door kar de, Ae insaanon ke paalne wale! Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai. Teri shifa ke siwa aur koi shifa nahi, aaisi shifa de jis mein marz bilkul baqi na rahe.“ Aur Amr bin Abi Qays aur Ibrahim bin Tahman ne Mansoor se bayan kiya, unhon ne Ibrahim aur Abu al-Duha se ke ”jab koi mareez Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas laya jata.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5675M
Aur Jareer bin Abd-ul-Hameed ne Mansoor se, unhon ne Abu al-Duha akele se yun riwayat kiya ke ”Aap jab kisi beemar ke paas tashreef le jaate.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وُضُوءِ الْعَائِدِ لِلْمَرِيضِ:
Aiyadat karne wale ka bimar ke liye wuzu karna.
Hadith Number: 5676
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن محمد بن المنكدر، قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: دخل علي النبي صلى الله عليه وسلم وانا مريض، فتوضا فصب علي، او قال: صبوا عليه، فعقلت، فقلت: لا يرثني إلا كلالة، فكيف الميراث؟، فنزلت آية الفرائض.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar (Muhammad bin Jafar) ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Muhammad bin al-Munkadir ne, kaha ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere yahan tashreef laaye main beemar tha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne wuzu kiya aur wuzu ka pani mujh par dala ya farmaya ke is par yeh pani daal do is se mujhe hosh aa gaya. Main ne arz kiya ke main to kalalah hoon (jis ke walid aur aulad na ho) mere tarka mein taqseem kaise ho gi is par mirath ki aayat nazil hui.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ دَعَا بِرَفْعِ الْوَبَاءِ وَالْحُمَّى:
Jo shakhs waba aur bukhaar ke door karne ke liye dua kare.
Hadith Number: 5677
حدثنا إسماعيل، حدثني مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، انها قالت:" لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم، وعك ابو بكر، وبلال، قالت: فدخلت عليهما، فقلت: يا ابت كيف تجدك؟، ويا بلال كيف تجدك؟ قالت: وكان ابو بكر إذا اخذته الحمى، يقول: كل امرئ مصبح في اهله والموت ادنى من شراك نعله، وكان بلال إذا اقلع عنه يرفع عقيرته، فيقول: الا ليت شعري، هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل وهل اردن يوما مياه مجنة وهل تبدون لي شامة وطفيل قال: قالت عائشة: فجئت رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبرته، فقال:" اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة، او اشد، وصححها وبارك لنا في صاعها، ومدها، وانقل حماها فاجعلها بالجحفة".
Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Hijrat kar ke Madinah tashreef laaye to Abu Bakr aur Bilal razi Allahu anhuma ko bukhar ho gaya. Bayan kiya ke phir main in ke paas (beemar-pursi ke liye) gayi aur poochha ke muhtaram walid buzurgwar! Aap ka kya haal hai aur Ae Bilal! Aap ka kya haal hai bayan kiya ke jab Abu Bakr razi Allahu anhu ko bukhar hota to woh yeh shair parha karte thay. ”har shakhs apne ghar walon mein subah karta hai aur maut is ke tasme se bhi zyada qareeb hai“ aur Bilal razi Allahu anhu ka jab bukhar utarta to buland aawaz se woh yeh ashaar parhte. ”kaash mujhe maloom hota ke main ek raat waadi (Makkah) mein is tarah guzar sakoon ga ke mere charon taraf izkhir aur jaleel (ghaas) ke darakht hon ge aur kya kabhi phir main Mijannah ke ghaat par utar sakoon ga aur kya kabhi Shamah aur Tufail main apne samne dekh sakoon ga.“ Rawi ne bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne kaha phir main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hui aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq kaha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh dua farmayi «allahumma habbib ilaynal-madeenata kahubbina makkata au ashadda wa sahih-ha wa baarik lana fee saa-iha wa muddi-ha wanqul humma-ha faj-al-ha bil-juhfati» ”Ae Allah! Hamare dilon mein Madinah ki mohabbat paida kar jaisa ke hamain (apne watan) Makkah ki mohabbat thi balkay is se bhi zyada Madinah ki mohabbat ata kar aur is ki aab o hawa ko sehat-bakhsh bana de aur hamare liye is ke saa aur mudd mein barkat ata farma aur is ke bukhar ko kahin aur jagah muntaqil kar de usay Juhfa (naami gaon) mein bhej de.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة