الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي كَفَّارَةِ الْمَرَضِ:
Bimaari ke kaffara hone ka bayaan aur Allah Taala ne Surat An-Nisa mein farmaya "jo koi bura karega us ko badla milega".
Show diacritics
Hadith Number: Q5640
وقول الله تعالى: {من يعمل سوءا يجز به}.
Aur Allah Ta'ala ne Surah Nisa mein farmaya «man ya-mal soo-an yujza bihi» ”jo koi bura kare ga is ko badla mile ga.“


Show diacritics
Hadith Number: 5640
حدثنا ابو اليمان الحكم بن نافع اخبرنا شعيب عن الزهري قال: اخبرني عروة بن الزبير ان عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم قالت قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «ما من مصيبة تصيب المسلم إلا كفر الله بها عنه، حتى الشوكة يشاكها» .
Hum se Abu al-Yaman Hakam bin Nafi ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Shuayb ne khabar di, in se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha mujhko Urwah bin Zubayr ne khabar di aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha Siddiqah razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo musibat bhi kisi Musalman ko pahunchti hai Allah Ta'ala usay is ke gunah ka kaffara kar deta hai (kisi Musalman ke) ek kanta bhi agar jism ke kisi hissa mein chubh jaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5641
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الملك بن عمرو، حدثنا زهير بن محمد، عن محمد بن عمرو بن حلحلة، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري، وعن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما يصيب المسلم من نصب، ولا وصب، ولا هم، ولا حزن، ولا اذى، ولا غم، حتى الشوكة يشاكها، إلا كفر الله بها من خطاياه".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Malik bin Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Zuhayr bin Muhammad ne bayan kiya, in se Muhammad bin Amr bin Halhala ne, in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Saeed Khudri aur Abu Hurairah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musalman jab bhi kisi pareshani, beemari, ranj o malal, takleef aur gham mein mubtala ho jata hai yahan tak ke agar usay koi kanta bhi chubh jaye to Allah Ta'ala usay is ke gunahon ka kaffara bana deta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5642
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الملك بن عمرو، حدثنا زهير بن محمد، عن محمد بن عمرو بن حلحلة، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري، وعن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما يصيب المسلم من نصب، ولا وصب، ولا هم، ولا حزن، ولا اذى، ولا غم، حتى الشوكة يشاكها، إلا كفر الله بها من خطاياه".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Malik bin Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Zuhayr bin Muhammad ne bayan kiya, in se Muhammad bin Amr bin Halhala ne, in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Saeed Khudri aur Abu Hurairah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musalman jab bhi kisi pareshani, beemari, ranj o malal, takleef aur gham mein mubtala ho jata hai yahan tak ke agar usay koi kanta bhi chubh jaye to Allah Ta'ala usay is ke gunahon ka kaffara bana deta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5643
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، عن سعد، عن عبد الله بن كعب، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مثل المؤمن كالخامة من الزرع تفيئها الريح مرة وتعدلها مرة، ومثل المنافق كالارزة لا تزال حتى يكون انجعافها مرة واحدة"، وقال زكرياء، حدثني سعد، حدثنا ابن كعب، عن ابيه كعب، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, in se Sufyan ne, in se Saad ne, in se Abdullah bin Kabb ne aur in se un ke walid ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke momin ki misal paude ki sab se pehli nikli hui hari shakh jaisi hai ke hawa usay kabhi jhuka deti hai aur kabhi barabar kar deti hai aur munafiq ki misal sanobar ke darakht jaisi hai ke woh seedha hi khara rehta hai aur aakhir ek jhoukay mein kabhi ukharr hi jata hai. Aur Zakariya ne bayan kiya ke hum se Saad ne bayan kiya, in se Ibn Kabb ne bayan kiya, in se un ke walid majid muhtaram al-maqam Kabb razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yahi bayan kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5644
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثني محمد بن فليح، قال: حدثني ابي، عن هلال بن علي من بني عامر بن لؤي، عن عطاء بن يسار، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" قال رسول الله صلى الله عليه وسلم مثل المؤمن كمثل الخامة من الزرع، من حيث اتتها الريح كفاتها، فإذا اعتدلت تكفا بالبلاء، والفاجر كالارزة، صماء معتدلة حتى يقصمها الله إذا شاء".
Hum se Ibrahim bin al-Munzhir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Muhammad bin Falih ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere walid ne, in se Bani Aamir bin Luway ke ek mard Hilal bin Ali ne, in se Ata bin Yasar ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke momin ki misal paude ki pehli nikli hui hari shakh jaisi hai ke jab bhi hawa chalti hai usay jhuka deti hai phir woh seedha ho kar musibat bardasht karne mein kamyab ho jata hai aur bad-kaar ki misal sanobar ke darakht jaisi hai ke sakht hota hai aur seedha khara rehta hai yahan tak ke Allah Ta'ala jab chahta hai usay ukharr kar phenk deta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5645
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن محمد بن عبد الله بن عبد الرحمن بن ابي صعصعة، انه قال: سمعت سعيد بن يسار ابا الحباب، يقول: سمعت ابا هريرة يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من يرد الله به خيرا يصب منه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Muhammad bin Abdullah bin Abdur Rahman bin Abi Sasa'a ne, unhon ne bayan kiya ke main ne Saeed bin Yasar Abu al-Hubab se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala jis ke saath khair o bhalayi karna chahta hai usay beemari ki takaleef aur digar musibaton mein mubtala kar deta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ شِدَّةِ الْمَرَضِ:
Bimaari ki sakhti (koi cheez nahin hai).
Show diacritics
Hadith Number: 5646
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن الاعمش. ح حدثني بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا شعبة، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما رايت احدا اشد عليه الوجع من رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan se bayan kiya, in se Aamash ne (doosri sanad) aur Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke mujh se Bishr bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Shubah ne khabar di, unhein Aamash ne, unhein Abu Wail ne, unhein Masrooq ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne (marz e wafat ki takleef) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se zyada aur kisi mein nahi dekhi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5647
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم التيمي، عن الحارث بن سويد، عن عبد الله رضي الله عنه، اتيت النبي صلى الله عليه وسلم في مرضه، وهو يوعك وعكا شديدا، وقلت: إنك لتوعك وعكا شديدا، قلت: إن ذاك بان لك اجرين، قال:" اجل ما من مسلم يصيبه اذى، إلا حات الله عنه خطاياه، كما تحات ورق الشجر".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Ibrahim Taymi ne, in se Haris bin Suwayd ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein Aap ke marz ke zamana mein hazir hua Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt bare teiz bukhar mein thay. Main ne arz kiya: (ya Rasool Allah!) Aap ko bara teiz bukhar hai. Main ne yeh bhi kaha ke yeh bukhar Aap ko is liye itna teiz hai ke Aap ka sawab bhi dugna hai Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan jo Musalman kisi bhi takleef mein giraftar hota hai to Allah Ta'ala is ki wajah se is ke gunah is tarah jhaarr deta hai jaise darakht ke patte jhaarr jaate hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَشَدُّ النَّاسِ بَلاَءً الأَنْبِيَاءُ ثُمَّ الأَوَّلُ فَالأَوَّلُ:
Balaon mein sab se zyada sakht aazmaish Anbiya ki hoti hai us ke baad darja badarja dusre Allah ke bandon ki hoti rahti hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5648
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة،، عن الاعمش، عن إبراهيم التيمي، عن الحارث بن سويد، عن عبد الله، قال: دخلت على رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو يوعك، فقلت: يا رسول الله إنك توعك وعكا شديدا، قال: اجل إني اوعك كما يوعك رجلان منكم، قلت: ذلك ان لك اجرين، قال: اجل ذلك كذلك:" ما من مسلم يصيبه اذى شوكة فما فوقها إلا كفر الله بها سيئاته كما تحط الشجرة ورقها".
Hum se Abdan ne bayan kiya, in se Abu Hamza ne bayan kiya, in se Aamash ne, in se Ibrahim Taymi ne, in se Haris bin Suwayd ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua Aap ko shadeed bukhar tha main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap ko bahut teiz bukhar hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan mujhe tanha aisa bukhar hota hai jitna tum mein ke do aadmiyon ko hota hai main ne arz kiya yeh is liye ke Aap ka sawab bhi dugna hai? Farmaya ke haan yahi baat hai, Musalman ko jo bhi takleef pahunchti hai kanta ho ya is se zyada takleef dene wali koi cheez to jaise darakht apne patton ko girata hai isi tarah Allah Paak is takleef ko is ke gunahon ka kaffara bana deta hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة