الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ عِيَادَةِ الْمُشْرِكِ:
Mushrik ki aiyadat bhi jaiz hai.
Hadith Number: 5657
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه" ان غلاما ليهود كان يخدم النبي صلى الله عليه وسلم فمرض، فاتاه النبي صلى الله عليه وسلم يعوده، فقال: اسلم". فاسلم، وقال سعيد بن المسيب عن ابيه: لما حضر ابو طالب جاءه النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Hammad bin Zayd ne bayan kiya, in se Sabit ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne ke ek Yahudi larka (Abdoos naami) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat kiya karta tha woh beemar hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is ki mizaj-pursa ke liye tashreef laaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Islam qabool kar le chunanche us ne Islam qabool kar liya aur Saeed bin al-Musayyab ne bayan kiya apne walid se ke jab Abu Talib ki wafat ka waqt qareeb hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in ke paas mizaj-pursa ke liye tashreef le gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا عَادَ مَرِيضًا فَحَضَرَتِ الصَّلاَةُ فَصَلَّى بِهِمْ جَمَاعَةً:
Koi shakhs kisi mareez ki aiyadat ke liye gaya aur wahin namaz ka waqt ho gaya to wahin logon ke saath bajma'at namaz ada kare.
Hadith Number: 5658
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة رضي الله عنها، ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل عليه ناس يعودونه في مرضه فصلى بهم جالسا، فجعلوا يصلون قياما فاشار إليهم اجلسوا، فلما فرغ قال:" إن الإمام ليؤتم به فإذا ركع فاركعوا، وإذا رفع فارفعوا، وإن صلى جالسا فصلوا جلوسا"، قال ابو عبد الله: قال الحميدي: هذا الحديث منسوخ، لان النبي صلى الله عليه وسلم آخر ما صلى صلى قاعدا والناس خلفه قيام.
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Abi Kaseer ne bayan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne bayan kiya, kaha ke mujhe mere walid ne khabar di aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke kuch sahabah Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki Aap ke ek marz ke dauran mizaj-pursa karne aaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein baith kar namaz parhayi lekin sahabah khare ho kar hi namaz parh rahe thay. Is liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein baithne ka isharah kiya. Namaz se farigh hone ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Imam is liye hai ke is ki iqteda ki jaye pas jab woh rukoo kare to tum bhi rukoo karo, jab woh sar uthaye to tum (muqtadi) bhi uthao aur agar woh baith kar namaz parhe to tum bhi baith kar parho. Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke mutabiq qaul Humaydi yeh hadees mansookh hai kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aakhir (marz-ul-wafat) mein namaz baith kar parhayi aur log Aap ke peeche khare ho kar iqteda kar rahe thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَضْعِ الْيَدِ عَلَى الْمَرِيضِ:
Mareez ke upar haath rakhna.
Hadith Number: 5659
حدثنا المكي بن إبراهيم، اخبرنا الجعيد، عن عائشة بنت سعد، ان اباها، قال: تشكيت بمكة شكوا شديدا، فجاءني النبي صلى الله عليه وسلم يعودني، فقلت:" يا نبي الله إني اترك مالا، وإني لم اترك إلا ابنة واحدة، فاوصي بثلثي مالي، واترك الثلث، فقال: لا، قلت: فاوصي بالنصف، واترك النصف، قال: لا، قلت: فاوصي بالثلث، واترك لها الثلثين، قال: الثلث والثلث كثير"، ثم وضع يده على جبهته، ثم مسح يده على وجهي وبطني، ثم قال:" اللهم اشف سعدا واتمم له هجرته"، فما زلت اجد برده على كبدي فيما يخال إلي حتى الساعة.
Hum se Makki bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum ko Juaid bin Abdur Rahman ne khabar di, unhein Aisha bint Saad ne ke in ke walid (Saad bin Abi Waqqas razi Allahu anhu) ne bayan kiya ke main Makkah mein bahut sakht beemar par gaya to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam meri mizaj-pursa ke liye tashreef laaye. Main ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! (agar wafat ho gayi to) main maal chhoroon ga aur mere paas siwa ek larki ke aur koi waris nahi hai. kiya main apne do tihayi maal ki wasiyat kar doon aur ek tihayi chhorr doon. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi main ne arz kiya phir aadhe ki wasiyat kar doon aur aadha (apni bachi ke liye) chhorr doon farmaya ke nahi phir main ne kaha ke ek tihayi ki wasiyat kar doon aur baqi do tihayi larki ke liye chhorr doon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ek tihayi kar do aur ek tihayi bhi bahut hai. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna hath in ki peshani par rakkha (Saad razi Allahu anhu ne bayan kiya) aur meere chehre aur pait par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apna mubarak hath phera phir farmaya: Ae Allah! Saad ko shifa ata farma aur is ki Hijrat ko mukammal kar. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke dast e mubarak ki thandak apne jigar ke hissa par main ab tak pa raha hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5660
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن إبراهيم التيمي، عن الحارث بن سويد، قال: قال عبد الله بن مسعود: دخلت على رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو يوعك وعكا شديدا، فمسسته بيدي، فقلت: يا رسول الله إنك لتوعك وعكا شديدا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اجل، إني اوعك كما يوعك رجلان منكم، فقلت: ذلك ان لك اجرين، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم اجل ثم، قال: رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما من مسلم يصيبه اذى مرض فما سواه، إلا حط الله له سيئاته كما تحط الشجرة ورقها".
Hum se Qutaybah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Jareer ne bayan kiya, in se Aamash ne bayan kiya, in se Ibrahim Taymi ne bayan kiya, in se Haris bin Suwayd ne bayan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha, main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua to Aap ko bukhar aaya hua thu main ne apne hath se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka jism chhooa aur arz kiya: ya Rasool اللہ! Aap ko to bara teiz bukhar hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan mujhe tum mein ke do aadmiyon ke barabar bukhar charhta hai. Main ne arz kiya yeh is liye ho ga ke Aap ko dugna ajar milta hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi bhi Musalman ko marz ki takleef ya koi aur koi takleef hoti hai to Allah Ta-ala is ke gunahon ko is tarah girata hai jaise darakht apne patton ko gira deta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُقَالُ لِلْمَرِيضِ وَمَا يُجِيبُ:
Aiyadat ke waqt mareez se kya kaha jaaye aur mareez kya jawaab de.
Hadith Number: 5661
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم التيمي، عن الحارث بن سويد، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: اتيت النبي صلى الله عليه وسلم في مرضه فمسسته، وهو يوعك وعكا شديدا، فقلت: إنك لتوعك وعكا شديدا وذلك ان لك اجرين، قال: اجل،" وما من مسلم يصيبه اذى إلا حاتت عنه خطاياه كما تحات ورق الشجر".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Aamash ne bayan kiya, in se Ibrahim Taymi ne, in se Haris bin Suwayd ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein jab Aap beemar thay hazir hua. Main ne Aap ka jism chhooa, Aap ko teiz bukhar tha. Main ne arz kiya Aap ko to bara teiz bukhar hai yeh is liye ho ga ke Aap ko dugna sawab mile ga. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan aur kisi Musalman ko bhi jab koi takleef pahunchti hai to is ke gunah is tarah jhaarr jaate hain jaise darakht ke patte jhaarr jaate hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5662
حدثنا إسحاق، حدثنا خالد بن عبد الله، عن خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم دخل على رجل يعوده، فقال: لا باس طهور إن شاء الله، فقال: كلا بل حمى تفور على شيخ كبير، كيما تزيره القبور، قال: النبي صلى الله عليه وسلم، فنعم إذا".
Hum se Ishaq bin Shaheen Wasiti ne bayan kiya, kaha hum se Khalid bin Abdullah ne bayan kiya, in se Khalid Hazza ne, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ek shakhs ki iyadat ke liye tashreef le gaye aur in se farmaya «la ba-sa tahoorun in sha Allahu» ke ”koi fikr nahi agar Allah ne chaha (yeh marz) gunahon se paak karne wala ho ga“ lekin us ne yeh jawab diya ke hargiz nahi yeh to aisa bukhar hai jo ek burhay par ghalib aa chuka hai aur usay qabr tak pahuncha kar hi rahe ga, is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir aisa hi ho ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِيَادَةِ الْمَرِيضِ رَاكِبًا وَمَاشِيًا وَرِدْفًا عَلَى الْحِمَارِ:
Mareez ki aiyadat ko sawaar ho kar ya paidal ya gadhe par kisi ke peechhe baith kar jaana har tarah jaiz durust hai.
Hadith Number: 5663
حدثني يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة: ان اسامة بن زيد، اخبره ان النبي صلى الله عليه وسلم:" ركب على حمار على إكاف على قطيفة فدكية، واردف اسامة وراءه يعود سعد بن عبادة قبل وقعة بدر، فسار حتى مر بمجلس فيه عبد الله بن ابي ابن سلول، وذلك قبل ان يسلم عبد الله، وفي المجلس اخلاط من المسلمين والمشركين، عبدة الاوثان، واليهود وفي المجلس عبد الله بن رواحة، فلما غشيت المجلس عجاجة الدابة خمر عبد الله بن ابي انفه بردائه، قال: لا تغبروا علينا، فسلم النبي صلى الله عليه وسلم، ووقف، ونزل فدعاهم إلى الله، فقرا عليهم القرآن، فقال له عبد الله بن ابي: يا ايها المرء إنه لا احسن مما تقول، إن كان حقا فلا تؤذنا به في مجلسنا، وارجع إلى رحلك فمن جاءك فاقصص عليه، قال ابن رواحة: بلى يا رسول الله فاغشنا به في مجالسنا فإنا نحب ذلك، فاستب المسلمون، والمشركون، واليهود حتى كادوا يتثاورون، فلم يزل النبي صلى الله عليه وسلم حتى سكتوا، فركب النبي صلى الله عليه وسلم دابته حتى دخل على سعد بن عبادة، فقال له: اي سعد الم تسمع ما قال ابو حباب يريد عبد الله بن ابي، قال سعد: يا رسول الله اعف عنه واصفح، فلقد اعطاك الله ما اعطاك، ولقد اجتمع اهل هذه البحرة على ان يتوجوه فيعصبوه، فلما رد ذلك بالحق الذي اعطاك شرق بذلك فذلك الذي فعل به ما رايت".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, kaha hum se Layth ne bayan kiya, in se Aqeel ne, in se Ibn Shihab ne, in se Urwah ne, unhein Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam gadhe ki palan par Fadak ki chadar daal kar is par sawar huay aur Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ko apne peeche sawar kiya, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Saad bin Ubadah razi Allahu anhu ki iyadat ko tashreef le ja rahe thay, yeh Jang e Badr se pehle ka waqia hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam rawana huay aur ek majlis se guzre jis mein Abdullah bin Ubayy bin Salool bhi tha. Abdullah abhi Musalman nahi hua thu is majlis mein har giroh ke log thay Musalman bhi, mushrikeen bhi yani but-parast aur Yahudi bhi. Majlis mein Abdullah bin Rawaha razi Allahu anhu bhi thay, sawari ki gard jab majlis tak pahunchi to Abdullah bin Ubayy ne apni chadar apni naak par rakh li aur kaha ke hum par gard na urao. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein salam kiya aur sawari rok kar wahan utar gaye phir Aap ne unhein Allah ke taraf bulaya aur Quran Majeed parh kar sunaya. Is par Abdullah bin Ubayy ne kaha miyan tumhari baatein meri samajh mein nahi aatiein agar haq hain to hamari majlis mein unhein bayan kar ke hum ko takleef na pahunchaya karo, apne ghar jao wahan jo tumhare paas aaye is se bayan karo. Is par Ibn Rawaha razi Allahu anhu ne kaha kyun nahi ya Rasool اللہ! Aap hamari majlison mein zaroor tashreef laayein kyunke hum in baaton ko pasand karte hain. Is par Musalmanon, mushrikon aur Yahudiyon mein jhagray-baazi ho gayi aur qareeb thu ke ek doosre par hamla kar baithte lekin Aap unhein khamosh karte rahe yahan tak ke sab khamosh ho gaye phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni sawari par sawar ho kar Saad bin Ubadah razi Allahu anhu ke yahan tashreef le gaye aur in se farmaya Saad! tum ne suna nahi Abu Hubab ne kiya kaha, Aap ka isharah Abdullah bin Ubayy ki taraf thu. Is par Saad razi Allahu anhu bole ke ya Rasool اللہ! Isay maaf kar dijiye aur is se darguzar farmayein. Allah Ta-ala ne Aap ko woh nemat ata farma di jo ata farmayi ku (Aap ke Madinah tashreef laane se pehle) is basti ke log is par muttafiq ho gaye thay ke isay taaj pehna dein aur apna sardar bana lein lekin jab Allah Ta-ala ne is mansoobay ko is haq ke zariye jo Aap ko is ne ata farmaya hai khatam kar diya to woh is par bigar gaya yeh jo kuch muamla us ne Aap ke saath kiya hai isi ka natija hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5664
حدثنا عمرو بن عباس، حدثنا عبد الرحمن، حدثنا سفيان، عن محمد هو ابن المنكدر، عن جابر رضي الله عنه، قال:" جاءني النبي صلى الله عليه وسلم يعودني ليس براكب بغل ولا برذون".
Hum se Amr bin Abbas ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Rahman ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Muhammad ne jo Munkadir ke bete hain aur in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam meri iyadat ke liye tashreef laaye Aap na kisi khachhar par sawar thay na kisi ghore par. (balkay Aap paidal tashreef laaye thay).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا رُخِّصَ لِلْمَرِيضِ أَنْ يَقُولَ إِنِّي وَجِعٌ، أَوْ وَارَأْسَاهْ، أَوِ اشْتَدَّ بِي الْوَجَعُ:
Mareez ka yun kehna ke mujhe takleef hai ya yun kehna ke "haaye mera sar dukh raha hai ya meri takleef bohot barh gayi".
Hadith Number: Q5665
وقول ايوب عليه السلام: {اني مسني الضر وانت ارحم الراحمين}.
Aur Ayub alaihissalam ka yeh kehna bhi isi qabila se hai «annee mas-saniyad-dur-ru wa anta ar-hamur-raahimeena» ke ”Ae mere Rabb! Mujhe sarasar takaleef ne ghair liya hai aur tu hi sab se zyada raham karne wala hai.“
Hadith Number: 5665
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن ابن ابي نجيح وايوب، عن مجاهد، عن عبد الرحمن بن ابي ليلى، عن كعب بن عجرة رضي الله عنه" مر بي النبي صلى الله عليه وسلم وانا اوقد تحت القدر، فقال: ايؤذيك هوام راسك؟، قلت: نعم، فدعا الحلاق فحلقه، ثم امرني بالفداء".
Hum se Qubaysah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Ibn Abi Najih aur Ayub ne, in se Mujahid ne, in se Abdur Rahman bin Abi Layla ne aur in se Kabb bin Ujrah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere qareeb se guzre aur main handiya ke neeche aag sulga raha thu. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kiya tumhare sar ki jooein tumhein takleef pahunchati hain. Main ne arz kiya: ji haan! Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne hajjam bulwaya aur us ne mera sar moond diya is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe fdiya ada kar dene ka hukm farmaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة