الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ وُجُوبِ عِيَادَةِ الْمَرِيضِ:
Bimar ki mazej parsi ka waajib hona.
Show diacritics
Hadith Number: 5649
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ابو عوانة، عن منصور، عن ابي وائل، عن ابي موسى الاشعري، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اطعموا الجائع، وعودوا المريض، وفكوا العاني".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, in se Mansoor ne, in se Abu Wail ne aur in se Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bhookay ko khana khilao aur mareez ki iyadat yani mizaj-pursa karo aur qaidi ko chhirao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5650
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، قال: اخبرني اشعث بن سليم، قال: سمعت معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء بن عازب رضي الله عنهما، قال:" امرنا رسول الله صلى الله عليه وسلم بسبع، ونهانا عن سبع، نهانا عن: خاتم الذهب، ولبس الحرير، والديباج، والإستبرق، وعن القسي، والميثرة وامرنا: ان نتبع الجنائز، ونعود المريض، ونفشي السلام".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha ke mujhe Ash-as bin Sulaym ne khabar di, kaha ke main ne Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin se suna, in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne hamain saat baaton ka hukm diya tha aur saat baaton se mana farmaya tha. Hamain Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sone ki angoothi, resham, deeba, istabraq (reshmi kapre) pehnne se aur qasi aur maseera (reshmi) kapron ki digar jumla qismein pehnne se mana farmaya tha aur Aap ne hamain yeh hukm diya tha ke hum janaza ke peeche chalein, mareez ki mizaj-pursa karein aur salam ko phailayein.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِيَادَةِ الْمُغْمَى عَلَيْهِ:
Beyhoosh ki aiyadat karna.
Show diacritics
Hadith Number: 5651
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن ابن المنكدر سمع جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول: مرضت مرضا، فاتاني النبي صلى الله عليه وسلم يعودني، وابو بكر، وهما ماشيان فوجداني اغمي علي، فتوضا النبي صلى الله عليه وسلم، ثم صب وضوءه علي، فافقت فإذا النبي صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله كيف اصنع في مالي، كيف اقضي في مالي؟، فلم يجبني بشيء، حتى نزلت آية الميراث.
Hum se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, in se Ibn al-Munkadir ne, unhon ne Jabir bin Abdullah se suna, unhon ne bayan kiya ke main ek martaba beemar para to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu paidal meri iyadat ko tashreef laye in buzurgon ne dekha ke mujh par be-hoshi ghalib hai. Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne wuzu kiya aur apne wuzu ka pani mujh par chhirka, is se mujhe hosh aa gaya to main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam tashreef rakhte hain, main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main apne maal mein kya karoon kis tarah is ka faisla karoon? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe koi jawab nahi diya. Yahan tak ke mirath ki aayat nazil hui.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ مَنْ يُصْرَعُ مِنَ الرِّيحِ:
Riyah ruk jaane se jisay mirgi ka aaraz ho us ki fazilat ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5652
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن عمران ابي بكر، قال: حدثني عطاء بن ابي رباح، قال: قال لي ابن عباس" الا اريك امراة من اهل الجنة؟، قلت: بلى، قال: هذه المراة السوداء اتت النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت: إني اصرع، وإني اتكشف فادع الله لي، قال: إن شئت صبرت ولك الجنة، وإن شئت دعوت الله ان يعافيك، فقالت: اصبر، فقالت: إني اتكشف، فادع الله لي ان لا اتكشف، فدعا لها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya bin Abi Kaseer ne bayan kiya, in se Imran Abu Bakr ne bayan kiya, in se Ata bin Abi Rabah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha, tumhein main ek jannati aurat ko na dikha doon? Main ne arz kiya ke zaroor dikhayein, kaha ke ek siyah aurat Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aayi aur kaha ke mujhe mirgi aati hai aur is ki wajah se mera satar khul jata hai. Mere liye Allah Ta'ala se dua kar dijiye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tu chahe to sabr kar tujhe jannat mile gi aur agar chahe to main tere liye Allah se is marz se najat ki dua kar doon. Us ne arz kiya ke main sabr karoon gi phir us ne arz kiya ke mirgi ke waqt mera satar khul jata hai. Aap Allah Ta'ala se is ki dua kar dein ke satar na khula kare. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ke liye dua farmayi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5652M
حدثنا محمد، اخبرنا مخلد، عن ابن جريج اخبرني عطاء انه راى ام زفر تلك امراة طويلة سوداء على ستر الكعبة.
Hum se Muhammad bin al-Munkadir ne bayan kiya, kaha hum ko Makhlad bin Yazid ne khabar di, unhein Ibn Jurayj ne, kaha mujhko Ata bin Abi Rabah ne khabar di ke unhon ne Umm Zafar razi Allahu anha in, lambi aur siyah khatoon ko Kaba ke parda par dekha. (hadees e bala mein is ka zikr hai)


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ مَنْ ذَهَبَ بَصَرُهُ:
Is ka sawab jis ki nainai jaati rahe.
Show diacritics
Hadith Number: 5653
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني ابن الهاد، عن عمرو مولى المطلب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول: إن الله قال:" إذا ابتليت عبدي بحبيبتيه فصبر، عوضته منهما الجنة"، يريد عينيه، تابعه اشعث بن جابر، وابو ظلال بن هلال، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yazid bin Abdullah bin Haad ne bayan kiya, in se Mutlib bin Abdullah bin Jazb ke ghulam Amr ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ka irshad hai ke jab main apne kisi banda ko is ke do mehboob aaza (aankhon) ke baare mein aazmata hoon (yani nabeena kar deta hoon) aur woh is par sabr karta hai to is ke badle mein usay jannat deta hoon.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِيَادَةِ النِّسَاءِ الرِّجَالَ:
Auraton mardon ki bimaari mein poochhne ke liye ja sakti hain.
Show diacritics
Hadith Number: Q5654
وعادت ام الدرداء رجلا من اهل المسجد من الانصار.
Umm al-Darda razi Allahu anha masjid walon mein se ek Ansari ki iyadat ko aayi thien.


Show diacritics
Hadith Number: 5654
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة انها قالت: لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة، وعك ابو بكر، وبلال رضي الله عنهما، قالت: فدخلت عليهما، قلت: يا ابت كيف تجدك؟ ويا بلال كيف تجدك؟ قالت: وكان ابو بكر إذا اخذته الحمى يقول: كل امرئ مصبح في اهله والموت ادنى من شراك نعله، وكان بلال إذا اقلعت عنه يقول: الا ليت شعري، هل ابيتن ليلة بواد وحولي إذخر وجليل وهل اردن يوما مياه مجنة وهل تبدون لي شامة وطفيل، قالت عائشة: فجئت إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبرته، فقال:" اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة، او اشد، اللهم وصححها وبارك لنا في مدها، وصاعها، وانقل حماها فاجعلها بالجحفة".
Hum se Qutaybah ne bayan kiya, in se Imam Malik ne, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Hijrat kar ke Madinah tashreef laaye to Abu Bakr razi Allahu anhu aur Bilal razi Allahu anhu ko bukhar ho gaya. Bayan kiya ke phir main in ke paas (iyadat ke liye) gayi aur poochha, muhtaram walid buzurgwar Aap ka mizaj kaisa hai? Bilal razi Allahu anhu se bhi poochha ke Aap ka kya haal hai? Bayan kiya ke jab Abu Bakr razi Allahu anhu ko bukhar hua to woh yeh shair parha karte thay ”har shakhs apne ghar walon mein subah karta hai aur maut is ke tasme se bhi zyada qareeb hai.“ Aur Bilal razi Allahu anhu ko jab afaqa hota to yeh shair parhte thay ”kaash mujhe maloom hota ke kya phir ek raat waadi mein guzar sakoon ga aur mere charon taraf izkhir aur jaleel (Makkah Mukarramah ki ghaas) ke jangal hon ge aur kya main kabhi Mijannah (Makkah se chand meel ke fasila par ek bazaar) ke pani par utroon ga aur kya phir kabhi Shamah aur Tufail (Makkah ke qareeb do paharon) ko main apne samne dekh sakoon ga.“ Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke phir main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hui aur Aap ko is ki ittila di Aap salla Allahu alaihi wasallam ne dua farmayi ke Ae Allah! Hamare dil mein Madinah ki mohabbat bhi itni hi kar de jitni Makkah ki mohabbat hai balkay is se bhi zyada aur is ki aab o hawa ko hamare muwafiq kar de aur hamare liye is ke mudd aur saa mein barkat ata farma, Allah is ka bukhar kahin aur jagah muntaqil kar de usay Maqam e Juhfa mein bhej de.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِيَادَةِ الصِّبْيَانِ:
Bachon ki aiyadat bhi jaiz hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5655
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عاصم، قال: سمعت ابا عثمان، عن اسامة بن زيد رضي الله عنهما" ان ابنة للنبي صلى الله عليه وسلم ارسلت إليه، وهو مع النبي صلى الله عليه وسلم وسعد، وابي، نحسب ان ابنتي قد حضرت فاشهدنا فارسل إليها السلام، ويقول إن لله ما اخذ وما اعطى وكل شيء عنده مسمى، فلتحتسب ولتصبر فارسلت تقسم عليه، فقام النبي صلى الله عليه وسلم، وقمنا فرفع الصبي في حجر النبي صلى الله عليه وسلم ونفسه تقعقع، ففاضت عينا النبي صلى الله عليه وسلم، فقال له سعد: ما هذا يا رسول الله؟، قال: هذه رحمة وضعها الله في قلوب من شاء من عباده، ولا يرحم الله من عباده إلا الرحماء".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha ke mujhe Aasim ne khabar di, kaha ke main ne Abu Usman se suna aur unhon ne Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek sahibzadi (Zaynub razi Allahu anha) ne Aap ko kahlwa bheja. Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Saad razi Allahu anhu aur hamara khayal hai ke Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu thay ke meri bachi bistar e marg par pari hai is liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamare yahan tashreef laayein. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein salam kahlwaya aur farmaya ke Allah Ta-ala ko ikhtiyar hai jo chahe de aur jo chahe le le har cheez is ke yahan mutayyan o maloom hai. Is liye Allah se is musibat par ajar ki umeedar raho aur sabr karo. Sahibzadi ne phir dobara qasam de kar ek aadmi bulane ko bheja. Chunanche Aap khare huay aur hum bhi Aap ke saath khare ho gaye phir bachi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki goad mein utha kar rakkhi gayi aur woh jaankani ke aalam mein pareshan ku. Aap ki aankhon mein aansu aa gaye. Is par Saad razi Allahu anhu ne arz kiya ke ya Rasool اللہ! Yeh kiya hai? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya yeh rahmat hai. Allah Ta-ala apne bandon mein se jis ke dil mein chahta hai rakhta hai aur Allah Ta-ala bhi apne unhi bandon par raham karta hai jo khud bhi raham karne wale hote hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِيَادَةِ الأَعْرَابِ:
Gaon mein rehne walon ki aiyadat ke liye jaana.
Show diacritics
Hadith Number: 5656
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا عبد العزيز بن مختار، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما" ان النبي صلى الله عليه وسلم دخل على اعرابي يعوده، قال: وكان النبي صلى الله عليه وسلم إذا دخل على مريض يعوده، فقال له: لا باس طهور إن شاء الله، قال: قلت طهور، كلا بل هي حمى تفور او تثور على شيخ كبير تزيره القبور، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" فنعم إذا".
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Aziz bin Mukhtar ne bayan kiya, kaha hum se Khalid ne bayan kiya, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek dehati ke paas is ki iyadat ke liye tashreef le gaye. Rawi ne bayan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi ki iyadat ko tashreef le jaate to mareez se farmate «la ba-sa tahoorun in sha Allahu» ”koi fikr ki baat nahi. In sha Allah yeh marz gunahon se paak karne wala hai“ lekin is dehati ne Aap ke in mubarak kalma-t ke jawab mein kaha ke Aap kehte hain ke yeh paak karne wala hai hargiz nahi balkay yeh bukhar ek burhay par ghalib aa gaya hai aur usay qabr tak pahuncha ke rahe ga. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir aisa hi ho ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة