الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ اسْتِئْذَانِ الْمَرْأَةِ زَوْجَهَا فِي الْخُرُوجِ إِلَى الْمَسْجِدِ وَغَيْرِهِ:
Bab: Masjid waghera mein jane ke liye aurat ka apne shauhar se ijazat lena.
Show diacritics
Hadith Number: 5238
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، عن سالم، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا استاذنت امراة احدكم إلى المسجد فلا يمنعها".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya, kaha hum se Zuhri ne, un se Salim ne aur un se un ke walid (Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma) ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ke jab tum mein se kisi ki biwi masjid mein (namaz parhne ke liye) jaane ki ijazat maange to usay na roko balkay ijazat de do.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَحِلُّ مِنَ الدُّخُولِ وَالنَّظَرِ إِلَى النِّسَاءِ فِي الرَّضَاعِ:
Bab: Doodh ke rishte se bhi aurat muharram ho jati hai, be-parda use dekh sakte hain.
Show diacritics
Hadith Number: 5239
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، انها قالت:" جاء عمي من الرضاعة، فاستاذن علي، فابيت ان آذن له حتى اسال رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجاء رسول الله صلى الله عليه وسلم فسالته عن ذلك، فقال: إنه عمك، فاذني له، قالت: فقلت: يا رسول الله، إنما ارضعتني المراة ولم يرضعني الرجل، قالت: فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: إنه عمك فليلج عليك، قالت عائشة: وذلك بعد ان ضرب علينا الحجاب، قالت عائشة: يحرم من الرضاعة ما يحرم من الولادة".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya, kaha hum ko Imam Malik rahmahullah ne khabar di, unhein Hisham bin Urwah ne, unhein un ke walid Urwah bin Zubayr ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke mere doodh chacha (raza'i chacha, Aflah) aaye aur mere paas andar aane ki ijazat chaahi lekin main ne kaha ke jab tak main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se pooch na loon, ijazat nahi de sakti. Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye to main ne Aap se is ke mutalliq poocha. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh tumhare raza'i chacha hain, unhein andar bula lo. Main ne is par kaha ke ya Rasool Allah! Aurat ne mujhe doodh pilaya thu koi mard ne thora hi pilaya hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hain to woh tumhare chacha hi (raza'i) is liye woh tumhare paas aa sakte hain, yeh waqia hamare liye parda ka hukm nazil hone ke baad ka hai. Aisha razi Allahu anha ne kaha ke khoon se jo cheezin haram hoti hain raza'at se bhi woh haram ho jaati hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تُبَاشِرُ الْمَرْأَةُ الْمَرْأَةَ فَتَنْعَتَهَا لِزَوْجِهَا:
Bab: Ek aurat doosri aurat se (be-satar ho kar) na chamte is liye ke us ka haal apne khawand se bayan kare.
Show diacritics
Hadith Number: 5240
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تباشر المراة المراة فتنعتها لزوجها كانه ينظر إليها".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri rahmahullah ne byaan kiya, in se Mansoor bin Mutamir ne, un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi aurat kisi aurat se milne ke baad apne shohar se is ka huliya na byaan kare, goya ke woh usay dekh raha hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5241
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني شقيق، قال: سمعت عبد الله، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تباشر المراة المراة فتنعتها لزوجها كانه ينظر إليها".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya, kaha hum se hamare walid ne byaan kiya, in se Aamash ne byaan kiya, kaha ke mujh se Shaqeeq ne byaan kiya, kaha main ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se suna, unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi aurat kisi aurat se mil kar apne shohar se is ke huliya na byaan kare goya ke woh usay dekh raha hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ لأَطُوفَنَّ اللَّيْلَةَ عَلَى نِسَائِهِ:
Bab: Kisi mard ka ye kehna ke aaj raat mein apni tamaam biwiyon ke paas ho aaoon ga.
Show diacritics
Hadith Number: 5242
حدثني محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال:" قال سليمان بن داود عليهما السلام: لاطوفن الليلة بمائة امراة تلد كل امراة غلاما يقاتل في سبيل الله، فقال له الملك: قل إن شاء الله، فلم يقل ونسي فاطاف بهن ولم تلد منهن إلا امراة نصف إنسان، قال النبي صلى الله عليه وسلم: لو قال إن شاء الله لم يحنث وكان ارجى لحاجته".
Mujh se Mahmood bin Ghailan ne byaan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne, kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhein Abdullah bin Taoos ne, unhein un ke walid ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Sulayman bin Dawood alayhis-salam ne farmaya ke aaj raat main apni sau biwiyon ke paas ho aaoon ga (aur is qurbat ke nateeja mein) har aurat ek larka jane gi to sau larke aise paida hon ge jo Allah ke raste mein jihad karein ge. Farishta ne in se kaha ke In sha Allah keh lijiye lekin unhon ne nahi kaha aur bhool gaye. Chunanche Aap tamam biwiyon ke paas gaye lekin ek ke siwa kisi ke bhi bacha paida na hua aur is ek ke yahan bhi aadha bacha paida hua. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar In sha Allah keh lete to in ki murad bar aati aur in ki khwahish poori hone ki umeed zyada hoti.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَطْرُقْ أَهْلَهُ لَيْلاً إِذَا أَطَالَ الْغَيْبَةَ مَخَافَةَ، أَنْ يُخَوِّنَهُمْ أَوْ يَلْتَمِسَ عَثَرَاتِهِمْ:
Bab: Aadmi safar se raat ke waqt apne ghar na aaye yani lambe safar ke baad aisa na ho ke apne ghar walon par tuhmat lagane ka mauqa paida ho ya un ke aib nikaalne ka.
Show diacritics
Hadith Number: 5243
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محارب بن دثار، قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم" يكره ان ياتي الرجل اهله طروقا".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, kaha hum se Muharib bin Disaar ne byaan kiya, kaha ke main ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne suna, unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kisi shakhs se raat ke waqt apne ghar (safar se achanaak) aane par napasandidgi ka izhaar farmate thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5244
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عاصم بن سليمان، عن الشعبي، انه سمع جابر بن عبد الله، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اطال احدكم الغيبة فلا يطرق اهله ليلا".
Hum se Muhammad bin Muqatil Marwazi ne byaan kiya, kaha hum ko Abdullah bin al-Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Aasim bin Sulayman ne khabar di, unhein Aamir Shabi ne aur un se Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tum mein se koi shakhs zyada dinon tak apne ghar se door ho to yak-ayak raat ko apne ghar mein na aa jaye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ طَلَبِ الْوَلَدِ:
Bab: Jima’ se bacha ki khwahish rakhne ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 5245
حدثنا مسدد، عن هشيم، عن سيار، عن الشعبي، عن جابر، قال:" كنت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في غزوة، فلما قفلنا تعجلت على بعير قطوف، فلحقني راكب من خلفي، فالتفت فإذا انا برسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: ما يعجلك؟ قلت: إني حديث عهد بعرس، قال: فبكرا تزوجت ام ثيبا؟ قلت: بل ثيبا، قال: فهلا جارية تلاعبها وتلاعبك، قال: فلما قدمنا ذهبنا لندخل، فقال: امهلوا حتى تدخلوا ليلا اي عشاء لكي تمتشط الشعثة وتستحد المغيبة"، قال: وحدثني الثقة، انه قال في هذا الحديث: الكيس الكيس يا جابر يعني الولد.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya, in se Hushaym bin Bashir ne, un se Sayyar bin Darwan ne, un se Aamir Shabi ne aur un se Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek jihad (Ghazwa Tabook) mein tha, jab hum wapas ho rahe thay to main apne sust-raftar oont ko teiz chalane ki koshish kar raha tha. Itne mein mere peeche se ek sawar mere qareeb aaye. Main ne murr kar dekha to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam thay. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jaldi kyun kar rahe ho? Main ne arz kiya ke meri shadi abhi nayi hui hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya, kunwari aurat se tum ne shadi ki ya bewa se? Main ne arz kiya ke bewa se. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya, kunwari se kyun na ki? Tum is ke saath khelte aur woh tumhare saath khelti. Jabir ne byaan kiya ke phir jab hum Madinah pahunche to hum ne chaha ke shehar mein dakhil ho jayein lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke thehar jao. Raat ho jaye phir dakhil hona taake tumhari biwiyaan jo paraganda baal hain woh kanghi choti kar lein aur jin ke khawand ghaib thay woh mu-e-zer-e-naaf saaf kar lein. Hushaym ne byaan kiya ke mujh se ek motabar rawi ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh bhi farmaya ke «al-kaysu, al-kaysu» yani Ae Jabir! Jab tu ghar pahunche to khoob khoob «kaysu» kijo (Imam Bukhari rahmahullah ne kaha) «kaysu» ka matlab hai ke aulad hone ki khwahish kijo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5246
حدثنا محمد بن الوليد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن سيار، عن الشعبي، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا دخلت ليلا فلا تدخل على اهلك حتى تستحد المغيبة وتمتشط الشعثة"، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فعليك بالكيس الكيس". تابعه عبيد الله، عن وهب، عن جابر، عن النبي صلى الله عليه وسلم: في الكيس.
Hum se Muhammad bin Waleed ne byaan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, in se Sayyar ne, un se Shabi ne aur un se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Ghazwa Tabook se wapsi ke waqt) farmaya, jab raat ke waqt tum Madinah mein pahuncho to is waqt tak apne gharon mein na jaana jab tak un ki biwiyaan jo Madinah Munawwarah mein maujood nahi thay, apna mu-e-zer-e-naaf saaf na kar lein aur jin ke baal paraganda hon woh kangha na kar lein. Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir zaroori hai ke jab tum ghar pahuncho to khoob khoob «kaysu» kijo. Shabi ke saath is hadees ko Ubaidullah ne bhi Wahb bin Kaysan se, unhon ne Jabir razi Allahu anhu se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya, is mein bhi «kaysu» ka zikr hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَسْتَحِدُّ الْمُغِيبَةُ وَتَمْتَشِطُ الشَّعِثَةُ:
Bab: Jab khawand safar se aaye to aurat astara le aur baalon mein kanghi kare.
Show diacritics
Hadith Number: 5247
حدثني يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، اخبرنا سيار، عن الشعبي، عن جابر بن عبد الله، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في غزوة، فلما قفلنا كنا قريبا من المدينة تعجلت على بعير لي قطوف، فلحقني راكب من خلفي فنخس بعيري بعنزة كانت معه فسار بعيري كاحسن ما انت راء من الإبل، فالتفت فإذا انا برسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلت: يا رسول الله، إني حديث عهد بعرس، قال: اتزوجت؟ قلت: نعم، قال: ابكرا ام ثيبا؟ قال: قلت: بل ثيبا، قال: فهلا بكرا تلاعبها وتلاعبك، قال: فلما قدمنا ذهبنا لندخل، فقال: امهلوا حتى تدخلوا ليلا اي عشاء لكي تمتشط الشعثة وتستحد المغيبة".
Mujh se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya, kaha hum se Hushaym ne byaan kiya, kaha hum ko Sayyar ne khabar di, unhein Shabi ne, unhein Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne, unhon ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek ghazwa (Ghazwa Tabook) mein thay. Wapas hote huay jab hum Madinah Munawwarah ke qareeb pahunche to main ne apne sust-raftar oont ko teiz chalane laga. Ek sahab ne peeche se mere qareeb pahunch kar mere oont ko ek chhari se jo un ke paas thi, maara. Is se oont bari achhi chaal chalne laga, jaisa ke tum ne achhe oonton ko chalte huay dekha ho ga. Main ne murr kar dekha to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam thay. Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Meri nayi shadi hui hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par poocha, kya tum ne shadi kar li? Main ne arz kiya ke ji haan. Daryaft farmaya, kunwari se ki hai ya bewa se? Byaan kiya ke main ne arz kiya ke bewa se ki hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kunwari se kyun na ki? Tum is ke saath khelte aur woh tumhare saath khelti. Byaan kiya ke phir jab hum Madinah pahunche to shehar mein dakhil hone lage lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke thehar jao raat ho jaye phir dakhil hona taake paraganda baal aurat choti kangha kar le aur jis ka shohar maujood na raha ho woh mu-e-zer-e-naaf saaf kar le.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة