الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَلاَ يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلاَّ لِبُعُولَتِهِنَّ} إِلَى قَوْلِهِ: {لَمْ يَظْهَرُوا عَلَى عَوْرَاتِ النِّسَاءِ}:
Bab: Allah ka Surah An-Noor mein ye farmana“Aur auraten apne zeenat apne shauhar ke siwa kisi par zahir na hone den”.
Show diacritics
Hadith Number: 5248
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن ابي حازم، قال:" اختلف الناس باي شيء دووي جرح رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم احد، فسالوا سهل بن سعد الساعدي وكان من آخر من بقي من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم بالمدينة، فقال: وما بقي من الناس احد اعلم به مني، كانت فاطمة عليها السلام تغسل الدم عن وجهه وعلي ياتي بالماء على ترسه، فاخذ حصير، فحرق، فحشي به جرحه".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Uyaynah ne byaan kiya, in se Abu Hazim Salamah bin Dinar ne byaan kiya ke is waqia mein logon mein ikhtilaf tha ke Uhud ki jang ke mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke liye kaun si dawa istemal ki gayi thi. Phir logon ne Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu se sawal kiya, woh is waqt aakhri sahabi thay jo Madinah Munawwarah mein maujood thay. Unhon ne batlaya ke ab koi shakhs aisa zinda nahi jo is waqia ko mujh se zyada jaanta ho. Fatima razi Allahu anha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak se khoon dho rahi thien aur Ali razi Allahu anhu apne dhaal mein pani bhar kar la rahe thay. (jab band na hua to) ek boriya jala kar Aap ke zakham mein bhar diya gaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَالَّذِينَ لَمْ يَبْلُغُوا الْحُلُمَ}:
Bab: Is ayat mein jo bayan hai ke aur woh bache jo abhi sinn-e-buloogh ko nahi pahunche hain us ke liye kya hukm hai?
Show diacritics
Hadith Number: 5249
حدثنا احمد بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا سفيان، عن عبد الرحمن بن عابس، سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، ساله رجل:" شهدت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم العيد اضحى او فطرا؟ قال: نعم، ولولا مكاني منه ما شهدته يعني من صغره، قال: خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم، فصلى ثم خطب ولم يذكر اذانا ولا إقامة، ثم اتى النساء فوعظهن وذكرهن وامرهن بالصدقة، فرايتهن يهوين إلى آذانهن وحلوقهن يدفعن إلى بلال، ثم ارتفع هو وبلال إلى بيته".
Hum se Ahmad bin Muhammad ne byaan kiya, kaha hum ko Abdullah bin al-Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Sufyan Sawri ne khabar di, in se Abdur Rahman bin Aabis ne, kaha main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna, in se ek shakhs ne yeh sawal kiya tha ke tum Baqr-Eid ya Eid ke mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath maujood thay? Unhon ne kaha ke haan. Agar main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka rishta-dar na hota to main apni kam-sini ki wajah se aise mauqa par hazir nahi ho sakta tha. In ka isharah (is zamane mein) apne bachpan ki taraf tha. Unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar tashreef le gaye aur (logon ke saath Eid ki) namaz parhi aur is ke baad khutba diya. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne azaan aur iqamat ka zikr nahi kiya, phir Aap auraton ke paas aaye aur unhein waaz o nasihat ki aur unhein khairat dene ka hukm diya. Main ne unhein dekha ke phir woh apne kaanon aur gale ki taraf hath barha barha kar (apne zewaraat) Bilal razi Allahu anhu ko dene lagein. Is ke baad Bilal razi Allahu anhu ke saath Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wapas tashreef laye.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ الرَّجُلِ لِصَاحِبِهِ هَلْ أَعْرَسْتُمُ اللَّيْلَةَ:
Bab: Ek mard ka doosre se ye poochna ke kya tum ne raat apni aurat se suhbat ki hai? aur kisi shakhs ka apni beti ke kokh mein ghusse ki wajah se maarna.
Show diacritics
Hadith Number: 5250
حدثنا عبد الله بن يوسف اخبرنا مالك عن عبد الرحمن بن القاسم عن ابيه عن عائشة قالت" عاتبني ابو بكر وجعل يطعنني بيده في خاصرتي فلا يمنعني من التحرك إلا مكان رسول الله صلى الله عليه وسلم وراسه على فخذي".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Abdur Rahman bin Qasim ne, unhein un ke walid Qasim bin Muhammad ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke (un ke walid) Abu Bakr razi Allahu anhu in par ghussa huay aur meri kokh mein hath se kachoke lagane lage lekin main harakat is wajah se na kar saki ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ka sar mubarak meri raan par rakkha hua tha۔


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة