الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الصُّفْرَةِ وَالْكُدْرَةِ فِي غَيْرِ أَيَّامِ الْحَيْضِ:
Bab: Is bayan mein ke zard aur matiyala rang haiz ke dinon ke ilawa ho (to kya hukm hai?).
Hadith Number: 326
حدثنا قتيبة بن سعيد، قال: حدثنا إسماعيل، عن ايوب، عن محمد، عن ام عطية، قالت:" كنا لا نعد الكدرة والصفرة شيئا".
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail bin Aliyyah ne bayan kiya, unhon ne Ayyub Sakhtiyani se, woh Muhammad bin Sireen se, woh Umm Atiyyah se, Aap ne farmaya ke hum zard aur matiyale rang ko koi ahmiyat nahi deti thin. 104659
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عِرْقِ الاِسْتِحَاضَةِ:
Bab: Istihaza ki rag ke bare mein.
Hadith Number: 327
حدثنا إبراهيم بن المنذر، قال: حدثنا معن، قال: حدثني ابن ابي ذئب، عن ابن شهاب، عن عروة، وعن عمرة، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، ان ام حبيبة استحيضت سبع سنين، فسالت رسول الله صلى الله عليه وسلم عن ذلك،" فامرها ان تغتسل، فقال: هذا عرق" فكانت تغتسل لكل صلاة.
Hum se Ibrahim bin al-Munzir Hizami ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Maan bin Isa ne bayan kiya, unhon ne Ayyub bin Abi Zaib se, unhon ne Ibn Shihab se, unhon ne Urwah aur Amrah se, unhon ne Aisha Razi Allah Anha se (jo Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwi hain) ke Umm Habibah Razi Allah Anha saat saal tak mustahaza rahin. Unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se is ke baare mein poocha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unhein ghusl karne ka hukm diya aur farmaya ke yeh rag (ki wajah se bemari) hai. Pas Umm Habibah Razi Allah Anha har namaz ke liye ghusl karti thin. 104660
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَرْأَةِ تَحِيضُ بَعْدَ الإِفَاضَةِ:
Bab: Jo aurat (hajj mein) tawaf-e-ifaza ke baad ha’izah ho (us ke mutalliq kya hukm hai?).
Hadith Number: 328
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الله بن ابي بكر بن محمد بن عمرو بن حزم، عن ابيه، عن عمرة بنت عبد الرحمن، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، انها قالت لرسول الله صلى الله عليه وسلم: يا رسول الله،" إن صفية بنت حيي قد حاضت، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: لعلها تحبسنا الم تكن طافت معكن؟ فقالوا: بلى، قال: فاخرجي".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Imam Malik ne khabar di, unhon ne Abdullah bin Abi Bakr bin Amr bin Hazm se, unhon ne apne baap Abu Bakr se, unhon ne Abdur Rahman ki beti Amrah se, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Zauja Mutahira Aisha Razi Allah Anha se ke unhon ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ke Ya Rasool Allah! Safiyyah bint Huyai Razi Allah Anha ko (hajj mein) haiz aa gaya. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, shayad ke woh humein rokein gi. Kya unhon ne tumhare sath tawaf (ziyarat) nahi kiya. Auraton ne jawab diya ke kar liya hai. Aap ne is par farmaya ke phir niklo. 104661
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 329
حدثنا معلى بن اسد، قال: حدثنا وهيب، عن عبد الله بن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس، قال:" رخص للحائض ان تنفر إذا حاضت.
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne Abdullah bin Tawus ke hawala se, woh apne baap Tawus bin Kaisan se, woh Abdullah bin Abbas Razi Allah Anhuma se, Aap ne farmaya ke haiza ke liye (jab ke us ne tawaf-e-ifaza kar liya ho) ruxat hai ke woh ghar jaye (aur tawaf-e-wida ke liye na ruki rahe). 104662
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 330
وكان ابن عمر يقول في اول امره: إنها لا تنفر، ثم سمعته يقول: تنفر، إن رسول الله صلى الله عليه وسلم رخص لهن".
Ibn Umar ibtida mein is masle mein kehte thay ke ise (baghair tawaf-e-wida ke) jaana nahi chahiye. Phir main ne unhein kehte hue suna ke chali jaye kyunke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ko is ki ruxat di hai. 104663
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا رَأَتِ الْمُسْتَحَاضَةُ الطُّهْرَ:
Bab: Jab mustahaza apne jism mein paaki dekhe to kya kare?
Hadith Number: Q331
قال ابن عباس: تغتسل وتصلي ولو ساعة، وياتيها زوجها إذا صلت الصلاة اعظم.
Ibn Abbas Razi Allah Anhuma ne farmaya ke ghusl kare aur namaz padhe agarchay din mein thodi der ke liye aisa hua ho aur is ka shohar namaz ke baad is ke paas aaye. Kyunke namaz sab se zyada azmat wali cheez hai. 104664
Hadith Number: 331
حدثنا احمد بن يونس، عن زهير، قال: حدثنا هشام، عن عروة، عن عائشة، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا اقبلت الحيضة فدعي الصلاة، وإذا ادبرت فاغسلي عنك الدم وصلي".
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Zuhair bin Muawiyah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham bin Urwah ne Aisha Razi Allah Anha se, unhon ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke jab haiz ka zamana aaye to namaz chhod de aur jab yeh zamana guzar jaye to khoon ko dho aur namaz padh. 104665
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّلاَةِ عَلَى النُّفَسَاءِ وَسُنَّتِهَا:
Bab: Is bare mein ke nafaas mein marne wali aurat par namaz-e-janaza aur us ka tareeqa kya hai?
Hadith Number: 332
حدثنا احمد بن ابي سريج، قال: اخبرنا شبابة، قال: اخبرنا شعبة عن حسين المعلم، عن عبد الله بن بريدة، عن سمرة بن جندب،" ان امراة ماتت في بطن فصلى عليها النبي صلى الله عليه وسلم، فقام وسطها".
Hum se Ahmad bin Abi Saraih ne bayan kiya, kaha hum se Shababa bin Sawwar ne, kaha hum se Shuba ne Husain se. Woh Abdullah bin Buraidah se, woh Samurah bin Jundub se ke ek aurat (Umm Kaab) zachgi mein mar gayi, to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ki namaz-e-janaza padhi, is waqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallam un ke (jism ke) wast mein khade ho gaye. 104666
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 333
حدثنا الحسن بن مدرك، قال: حدثنا يحيى بن حماد، قال: اخبرنا ابو عوانة اسمه الوضاح من كتابه، قال: اخبرنا سليمان الشيباني، عن عبد الله بن شداد، قال: سمعت خالتي ميمونة زوج النبي صلى الله عليه وسلم" انها كانت تكون حائضا لا تصلي وهي مفترشة بحذاء مسجد رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو يصلي على خمرته، إذا سجد اصابني بعض ثوبه".
Hum se Hasan bin Mudrik ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Hammad ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Abu Awanah Wazzah ne apni kitab se dekh kar khabar di. Unhon ne kaha ke humein khabar di Sulaiman Shaibani ne Abdullah bin Shaddad se, unhon ne kaha main ne apni khala Maimunah Razi Allah Anha se jo Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Zauja Mutahira thin suna ke main haiza hoti to namaz nahi padhti thi aur yeh ke Aap Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke (ghar mein) namaz padhne ki jagah ke qareeb leti hoti thi. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam namaz apni chatai par padhte. Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam sajda karte to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke kapre ka koi hissa mujh se lag jata tha. 104667
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة