الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِقْبَالِ الْمَحِيضِ وَإِدْبَارِهِ:
Bab: Is bare mein ke haiz ka aana aur us ka khatm hona kyun kar hai?
Hadith Number: Q320
وكن نساء يبعثن إلى عائشة بالدرجة فيها الكرسف فيه الصفرة، فتقول: لا تعجلن حتى ترين القصة البيضاء تريد بذلك الطهر من الحيضة، وبلغ بنت زيد بن ثابت ان نساء يدعون بالمصابيح من جوف الليل ينظرن إلى الطهر، فقالت: ما كان النساء يصنعن هذا وعابت عليهن.
Aurtein Aisha Radhiallahu Anha ki khidmat mein dibya bhejti thien jis mein kursuf hota. Us mein zardi hoti thi. Aisha Radhiallahu Anha farmaatien ke jaldi na karo yahan tak ke saaf sufaidi dekh lo. Us se un ki muraad haiz se paaki hoti thi. Zaid bin Sabit Radhiallahu Anhu ki sahebzaadi ko ma’loom huwa ke aurtein raat ki tareeki mein chiraagh manga kar paaki hone ko dekhti hain to aap ne farmaaya ke aurtein aisa nahi karti thien. Unhon ne (aurton ke is kaam ko) ma’yoob samjha.
Hadith Number: 320
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثنا سفيان، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، ان فاطمة بنت ابي حبيش كانت تستحاض، فسالت النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" ذلك عرق وليست بالحيضة، فإذا اقبلت الحيضة فدعي الصلاة، وإذا ادبرت فاغتسلي وصلي".
Hum se Abdullah bin Muhammed Musnadi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan bin ’Uyainah ne Hishaam bin ’Urwah se, woh apne baap se, woh Aisha se ke Fatima Bint-e-Abi Hubaish ko istihaaza ka khoon aaya karta tha. To unhon ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se us ke mutalliq poocha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke yeh rag ka khoon hai aur haiz nahi hai. Is liye jab haiz ke din aayen to Namaz chhod diya kar aur jab haiz ke din guzar jaayen to ghusl kar ke Namaz padh liya kar.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تَقْضِي الْحَائِضُ الصَّلاَةَ:
Bab: Is bare mein ke ha’izah aurat namaz qaza na kare.
Hadith Number: Q321
وقال جابر بن عبد الله، وابو سعيد: عن النبي صلى الله عليه وسلم" تدع الصلاة"
Aur Jabir bin Abdullah aur Abu Sa’eed Radhiallahu Anhum Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain ke haaiza Namaz chhod de.
Hadith Number: 321
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا همام، قال: حدثنا قتادة، قال: حدثتني معاذة، ان امراة قالت لعائشة:" اتجزي إحدانا صلاتها إذا طهرت؟ فقالت: احرورية انت، كنا نحيض مع النبي صلى الله عليه وسلم فلا يامرنا به او قالت فلا نفعله".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Hammam bin Yahya ne, kaha hum se Qatadah ne, kaha mujh se Mu’aadhah Bint-e-Abdullah ne ke ek aurat ne Aisha Radhiallahu Anha se poocha ke jis zamaane mein hum paak rehte hain. (Haiz se) Kya hamaare liye usi zamaane ki Namaz kaafi hai. Us par Aisha Radhiallahu Anha ne farmaaya ke kya tum Hurooriyyah ho? Hum Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamaane mein haaiza hoti thien aur Aap hamein Namaz ka hukm nahi dete the. Ya Aisha Radhiallahu Anha ne yeh farmaaya ke hum Namaz nahi padhti thien.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّوْمِ مَعَ الْحَائِضِ وَهْيَ فِي ثِيَابِهَا:
Bab: Ha’izah aurat ke sath sona jab ke woh haiz ke kapron mein ho.
Hadith Number: 322
حدثنا سعد بن حفص، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن زينب بنت ابي سلمة حدثته، ان ام سلمة، قالت:" حضت وانا مع النبي صلى الله عليه وسلم في الخميلة، فانسللت فخرجت منها فاخذت ثياب حيضتي فلبستها، فقال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم: انفست؟ قلت: نعم، فدعاني فادخلني معه في الخميلة، قالت: وحدثتني ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يقبلها وهو صائم، وكنت اغتسل انا والنبي صلى الله عليه وسلم من إناء واحد من الجنابة".
Hum se Sa’d bin Hafs ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shaibaan Nahwi ne bayan kiya, unhon ne Yahya bin Abi Katheer se, unhon ne Abu Salamah se, unhon ne Zainab bint-e-Abi Salamah se, unhon ne bayan kiya ke Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne farmaaya ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath chaadar mein leti hue thi ke mujhe haiz aa gaya, is liye main chupke se nikal aayi aur apne haiz ke kapde pahen liye. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, kya tumhein haiz aa gaya hai? main ne kaha ji haan. Phir mujhe Aap ne bula liya aur apne saath chaadar mein daakhil kar liya. Zainab ne kaha ke mujh se Umm-e-Salamah Radhiallahu Anha ne bayan kiya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam roze se hote aur usi haalat mein un ka bosa lete. Aur main ne aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek hi bartan mein janabat ka ghusl kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اتَّخَذَ ثِيَابَ الْحَيْضِ سِوَى ثِيَابِ الطُّهْرِ:
Bab: Is bare mein ke jis ne (apni aurat ke liye) haiz ke liye paaki mein pehne jane wale kapron ke ilawa kapre banaye.
Hadith Number: 323
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن زينب بنت ابي سلمة، عن ام سلمة، قالت:" بينا انا مع النبي صلى الله عليه وسلم مضطجعة في خميلة حضت، فانسللت فاخذت ثياب حيضتي، فقال: انفست؟ فقلت: نعم، فدعاني فاضطجعت معه في الخميلة".
Hum se Mu’aaz bin Fazalah ne bayan kiya, kaha hum se Hishaam Dastuwaayi ne Yahya bin Abi Katheer se, woh Abu Salamah se, woh Zainab bint-e-Abi Salamah se, woh Umm-e-Salamah se, unhon ne batlaaya ke main Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath ek chaadar mein leti hue thi ke mujhe haiz aa gaya, main chupke se chali gayi aur haiz ke kapde badal liye, Aap ne poocha kya tujh ko haiz aa gaya hai. Main ne kaha, ji haan! Phir mujhe Aap ne bula liya aur main Aap ke saath chaadar mein lait gayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ شُهُودِ الْحَائِضِ الْعِيدَيْنِ، وَدَعْوَةَ الْمُسْلِمِينَ، وَيَعْتَزِلْنَ الْمُصَلَّى:
Bab: Eidayn mein aur musalmanon ke sath dua mein ha’izah auraten bhi shareek hon aur ye auraten namaz ki jagah se ek taraf ho kar rahen.
Hadith Number: 324
حدثنا محمد هو ابن سلام، قال: اخبرنا عبد الوهاب، عن ايوب، عن حفصة، قالت: كنا نمنع عواتقنا ان يخرجن في العيدين، فقدمت امراة فنزلت قصر بني خلف، فحدثت عن اختها، وكان زوج اختها غزا مع النبي صلى الله عليه وسلم ثنتي عشرة غزوة، وكانت اختي معه في ست، قالت: كنا نداوي الكلمى، ونقوم على المرضى، فسالت اختي النبي صلى الله عليه وسلم: اعلى إحدانا باس إذا لم يكن لها جلباب ان لا تخرج؟ قال: لتلبسها صاحبتها من جلبابها، ولتشهد الخير ودعوة المسلمين، فلما قدمت ام عطية سالتها، اسمعت النبي صلى الله عليه وسلم؟ قالت: بابي نعم، وكانت لا تذكره إلا قالت: بابي سمعته يقول:" يخرج العواتق وذوات الخدور او العواتق ذوات الخدور، والحيض وليشهدن الخير ودعوة المؤمنين، ويعتزل الحيض المصلى"، قالت حفصة: فقلت: الحيض، فقالت: اليس تشهد عرفة وكذا وكذا.
Hum se Muhammed bin Salaam Bekandi ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahhaab Saqafi ne Ayyub Sikhtiyaani se, woh Hafsa bint-e-Sireen se, unhon ne farmaaya ke hum apni kunwaari jawaan bachchiyon ko eidgaah jaane se rokti thien, phir ek aurat aayi aur bani khalaf ke mahal mein utri aur unhon ne apni bahen (Umm-e-Atiyyah) ke hawaale se bayan kiya, jin ke shauhar Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath baarah ladaaiyon mein shareek huwe the aur khud un ki apni bahen apne shauhar ke saath chhe jangon mein gayi thien. Unhon ne bayan kiya ke hum zakhmiyon ki marham patti kiya karti thien aur mareezon ki khabargeeri bhi karti thien. Meri bahen ne ek martaba Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke agar hum mein se kisi ke paas chaadar na ho to kya us ke liye is mein koi harj hai ke woh (Namaz-e-Eid ke liye) bahar na nikle. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya us ki saathi aurat ko chaahiye ke apni chaadar ka kuch hissah use bhi udhaa de, phir woh khair ke mawaqe’ par aur musalmaanon ki duaon mein shareek hon, (yani eidgaah jaayen) phir jab Umm-e-Atiyyah Radhiallahu Anha aayein to main ne un se bhi yahi sawaal kiya. Unhon ne farmaaya, mera baap aap par fida ho, haan Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yeh farmaaya tha. Aur Umm-e-Atiyyah Radhiallahu Anha jab bhi Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka zikr kartien to yeh zaroor farmaatien ke mera baap Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par fida ho. (Unhon ne kaha) main ne Aap ko yeh kehte huwe suna tha ke jawaan ladkiyaan, pardah waaliyan aur haaiza aurtein bhi bahar niklien aur khair ke mawaqe’ mein aur musalmaanon ki duaon mein shareek hon aur haaiza aurat jaa-e-namaz se door rahe. Hafsa kehti hain, main ne poocha kya haaiza bhi? To unhon ne farmaaya ke woh Arafaat mein aur falaan falaan jagah nahi jaati. Yani jab woh in muqaddas maqamaat mein jaati hain to phir eidgaah kiun na jaayen.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا حَاضَتْ فِي شَهْرٍ ثَلاَثَ حِيَضٍ وَمَا يُصَدَّقُ النِّسَاءُ فِي الْحَيْضِ وَالْحَمْلِ فِيمَا يُمْكِنُ مِنَ الْحَيْضِ:
Bab: Is bare mein ke agar kisi aurat ko ek hi mahine mein teen baar haiz aaye? aur haiz wa haml se mutalliq jab ke haiz aana mumkin ho to auraton ke bayan ki tasdeeq ki jayegi.
Hadith Number: Q325-2
لقول الله تعالى {ولا يحل لهن ان يكتمن ما خلق الله في ارحامهن}.
Kyunke Allah Tabarak wa Ta’ala ne (Surah al-Baqarah mein) farmaya hai ke un ke liye jaiz nahi ke jo kuch Allah Ta’ala ne un ke reham mein paida kiya hai woh use chhupayen. (Lehaza jis tarah yeh bayan qabil-e-tasleem ho ga usi tarah haiz ke mutaliq bhi un ka bayan mana jaye ga). 104656
Hadith Number: Q325
ويذكر عن علي، وشريح، إن امراة جاءت ببينة من بطانة اهلها ممن يرضى دينه انها حاضت ثلاثا في شهر صدقت، وقال عطاء: اقراؤها ما كانت، وبه قال إبراهيم: وقال عطاء: الحيض يوم إلى خمس عشرة، وقال معتمر: عن ابيه، سالت ابن سيرين، عن المراة ترى الدم بعد قرئها بخمسة ايام، قال: النساء اعلم بذلك.
Aur Ali Razi Allah Anhu aur Qazi Shuraih se manqool hai ke agar aurat ke gharane ka koi aadmi gawahi de aur woh deendar bhi ho ke yeh aurat ek mahina mein teen martaba haiza hoti hai to us ki tasdeeq ki jaye gi aur Ata bin Abi Rabah ne kaha ke aurat ke haiz ke din itne hi qabil-e-tasleem hon ge jitne pehle (is ki aadat ke tehat) hote thay. (Yani talaq waghera se pehle) Ibrahim Nakhi ne bhi yehi kaha hai aur Ata ne kaha ke haiz kam se kam ek din aur zyada se zyada pandrah din tak ho sakta hai. Muatamir apne walid Sulaiman ke hawala se bayan karte hain ke unhon ne Ibn Sireen se ek aisi aurat ke mutaliq poocha jo apni aadat ke mutabiq haiz aa jaane ke panch din baad khoon dekhti hai to Aap ne farmaya ke auratein is ka zyada ilm rakhti hain. 104657
Hadith Number: 325
حدثنا احمد ابن ابي رجاء، قال: حدثنا ابو اسامة، قال: سمعت هشام بن عروة، قال: اخبرني ابي، عن عائشة، ان فاطمة بنت ابي حبيش سالت النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: إني استحاض فلا اطهر افادع الصلاة؟ فقال:" لا، إن ذلك عرق، ولكن دعي الصلاة قدر الايام التي كنت تحيضين فيها، ثم اغتسلي وصلي".
Hum se Ahmad bin Abi Raja ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Abu Usama ne khabar di, unhon ne kaha main ne Hisham bin Urwah se suna, kaha mujhe mere walid ne Aisha Razi Allah Anha ke wasita se khabar di ke Fatima bint Abi Hubaish Razi Allah Anha ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke mujhe istihaza ka khoon aata hai aur main paak nahi ho pati, to kya main namaz chhod diya karoon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi. Yeh to ek rag ka khoon hai, haan itne dinon mein namaz zaroor chhod diya kar jin mein is bemari se pehle tumhe haiz aaya karta tha. Phir ghusl kar ke namaz padha karo. 104658
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة