الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الاِعْتِكَافِ لِلْمُسْتَحَاضَةِ:
Bab: Aurat ke liye istihaza ki haalat mein i’tikaaf.
Hadith Number: 311
حدثنا مسدد، قال: حدثنا معتمر، عن خالد، عن عكرمة، عن عائشة،" ان بعض امهات المؤمنين اعتكفت وهي مستحاضة".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Mu’tamir bin Sulaiman ne Khalid ke waaste se bayan kiya, woh ’Ikrimah se woh Aisha Radhiallahu Anha se ke ba’z Ummahaat-ul-Momineen ne aitekaaf kiya halaanki woh mustahaaza thien. (Upar waali riwayat mein in hi ka zikr hai).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ تُصَلِّي الْمَرْأَةُ فِي ثَوْبٍ حَاضَتْ فِيهِ:
Bab: Kya aurat usi kapre mein namaz parh sakti hai jis mein usay haiz aaya ho?
Hadith Number: 312
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا إبراهيم بن نافع، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، قال: قالت عائشة" ما كان لإحدانا إلا ثوب واحد تحيض فيه، فإذا اصابه شيء من دم، قالت: بريقها فقصعته بظفرها".
Hum se Abu Nu’aim Fazl bin Dukain ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Nafe’ ne bayan kiya, unhon ne Abdullah bin Abi Najeeh se, unhon ne Mujahid se ke Aisha Radhiallahu Anha ne farmaaya ke hamaare paas sirf ek kapda hota tha, jise hum haiz ke waqt pahenti thien. Jab us mein khoon lag jaata to us par thook daal letien aur phir use nakhunon se masal detien.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الطِّيبِ لِلْمَرْأَةِ عِنْدَ غُسْلِهَا مِنَ الْمَحِيضِ:
Bab: Aurat haiz ke ghusl mein khushboo istimal kare.
Hadith Number: 313
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن حفصة، قال ابو عبد الله: او هشام بن حسان، عن حفصة، عن ام عطية، قالت:" كنا ننهى ان نحد على ميت فوق ثلاث، إلا على زوج اربعة اشهر وعشرا، ولا نكتحل ولا نتطيب ولا نلبس ثوبا مصبوغا إلا ثوب عصب، وقد رخص لنا عند الطهر إذا اغتسلت إحدانا من محيضها في نبذة من كست اظفار، وكنا ننهى عن اتباع الجنائز"، قال: رواه هشام بن حسان، عن حفصة، عن ام عطية، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Abdul Wahhab ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub Sikhtiyaani se, unhon ne Hafsa se, woh Umm-e-Atiyyah se, aap ne farmaaya ke hamein kisi mayyat par teen din se ziyada sog karne se mana kiya jaata tha. Lekin shauhar ki maut par chaar mahine das din ke sog ka hukm tha. Un dinon mein hum na surmah lagatein na khusbhoo aur Asb (Yemen ki bani hue ek chaadar jo rangeen bhi hoti thi) ke alawah koi rangeen kapda hum iste’maal nahi karti thien aur hamein (iddat ke dinon mein) haiz ke ghusl ke baad kust-e-azfaar iste’maal karne ki ijazat thi aur hamein janaaze ke peeche chalne se mana kiya jaata tha. Is Hadees ko Hishaam bin Hassan ne Hafsa se, unhon ne Umm-e-Atiyyah se, unhon ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat kiya hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ دَلْكِ الْمَرْأَةِ نَفْسَهَا إِذَا تَطَهَّرَتْ مِنَ الْمَحِيضِ:
Bab: Is bare mein ke haiz se paak hone ke baad aurat ko apne badan ko nahate waqt milna chahiye.
Hadith Number: Q314
وكيف تغتسل، وتاخذ فرصة ممسكة فتتبع بها اثر الدم.
Aur yeh ke aurat kaise ghusl kare, aur mushk mein basa huwa kapda le kar khoon lagi hue jaghon par use phere.
Hadith Number: 314
حدثنا يحيى، قال: حدثنا ابن عيينة، عن منصور ابن صفية، عن امه، عن عائشة، ان امراة سالت النبي صلى الله عليه وسلم، عن غسلها من المحيض؟ فامرها كيف تغتسل، قال:" خذي فرصة من مسك فتطهري بها، قالت: كيف اتطهر؟ قال: تطهري بها، قالت: كيف؟ قال: سبحان الله تطهري، فاجتبذتها إلي، فقلت: تتبعي بها اثر الدم".
hum se Yahya bin Musa ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin ’Uyainah ne Mansoor bin Safiyyah se , unhon ne apni maa Safiyyah bint-e-Shaybah se , woh Aisha Radhiallahu Anha se ke aap ne farmaaya ke ek Ansariyah aurat ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke main haiz ka ghusl kaise karun . aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke mushk mein basa huwa kapda le kar us se paaki haasil kar . us ne poocha . us se kis tarah paaki haasil karun , aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya , us se paaki haasil kar . us ne dobarah poocha ke kis tarah ? aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya Sub-han Allah! paaki haasil kar . phir main ne use apni taraf kheench liya aur kaha ke use khoon lagi hue jaghon par pher liya kar .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غُسْلِ الْمَحِيضِ:
Bab: Haiz ka ghusl kyun kar ho?
Hadith Number: 315
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا وهيب: حدثنا منصور، عن امه، عن عائشة، ان امراة من الانصار، قالت للنبي صلى الله عليه وسلم: كيف اغتسل من المحيض؟ قال:" خذي فرصة ممسكة فتوضئي ثلاثا، ثم إن النبي صلى الله عليه وسلم استحيا فاعرض بوجهه، او قال: توضئي بها، فاخذتها فجذبتها فاخبرتها بما يريد النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib bin Khalid ne, kaha hum se Mansoor bin Abdur Rehman ne apni waalidah Safiyyah se, woh Aisha se ke Ansariyah aurat ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke main haiz ka ghusl kaise karun. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke“ek mushk mein basa huwa kapda le aur paaki haasil kar.”Yeh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen dafa farmaaya. Phir Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam sharmaaye aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apna chehra-e-mubarak pher liya, ya farmaaya ke“us se paaki haasil kar.”Phir main ne unhein pakad kar kheench liya aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jo baat kehna chaahte the woh main ne use samjhaayi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ امْتِشَاطِ الْمَرْأَةِ عِنْدَ غُسْلِهَا مِنَ الْمَحِيضِ:
Bab: Aurat ka haiz ke ghusl ke baad kanghi karna ja’iz hai.
Hadith Number: 316
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا إبراهيم، حدثنا ابن شهاب، عن عروة، ان عائشة، قالت:" اهللت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع، فكنت ممن تمتع ولم يسق الهدي، فزعمت انها حاضت ولم تطهر حتى دخلت ليلة عرفة، فقالت: يا رسول الله، هذه ليلة عرفة وإنما كنت تمتعت بعمرة؟ فقال لها رسول الله صلى الله عليه وسلم: انقضي راسك وامتشطي وامسكي عن عمرتك ففعلت، فلما قضيت الحج امر عبد الرحمن ليلة الحصبة فاعمرني من التنعيم مكان عمرتي التي نسكت".
hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Sa’d ne , kaha hum se Ibn-e-Shihaab Zohri ne Urwah ke waasta se ke Aisha Radhiallahu Anha ne batlaaya ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Hajjat-ul-Wada’ kiya , main Tamattu’ karne waalon mein thi aur Hadi (yani qurbani ka jaanwar) apne saath nahi le gayi thi . Aisha Radhiallahu Anha ne apne mutalliq bataaya ke phir woh haaiza ho gayien aur Arafah ki raat aa gayi aur abhi tak woh paak nahi hue thien . us liye unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ke ya Rasoolullah! aaj Arafah ki raat hai aur main Umrah ki niyyat kar chuki thi , Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke apne sar ko khol daal aur kangha kar aur Umrah ko chhod de . main ne aisa hi kiya . phir main ne Hajj poora kiya . aur Lailat-ul-Hasbah mein Abdur Rahman bin Abu Bakr ko Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm diya . woh mujhe us Umrah ke badla mein jis ki niyyat main ne ki thi Tan’eem se (doosra) Umrah kara laaye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ نَقْضِ الْمَرْأَةِ شَعَرَهَا عِنْدَ غُسْلِ الْمَحِيضِ:
Bab: Haiz ke ghusl ke waqt aurat ka apne baalon ko kholne ke bayan mein.
Hadith Number: 317
حدثنا عبيد بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت: خرجنا موافين لهلال ذي الحجة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من احب ان يهل بعمرة فليهلل، فإني لولا اني اهديت لاهللت بعمرة، فاهل بعضهم بعمرة، واهل بعضهم بحج، وكنت انا ممن اهل بعمرة فادركني يوم عرفة وانا حائض، فشكوت إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: دعي عمرتك وانقضي راسك وامتشطي واهلي بحج، ففعلت حتى إذا كان ليلة الحصبة ارسل معي اخي عبد الرحمن بن ابي بكر، فخرجت إلى التنعيم فاهللت بعمرة مكان عمرتي"، قال هشام: ولم يكن في شيء من ذلك هدي ولا صوم ولا صدقة.
hum se ’Ubaid bin Ismail ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Usamah Hammad ne Hishaam bin ’Urwah ke waaste se bayan kiya , unhon ne apne waalid se , unhon ne Aisha Radhiallahu Anha se ke unhon ne farmaaya hum Zul-Hijjah ka chaand dekhte hi nikle . Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jis ka dil chaahe to use Umrah ka Ehraam baandh lena chaahiye . kiunki agar main Hadi saath na laata to main bhi Umrah ka Ehraam baandhta . us par ba’z Sahaba ne Umrah ka Ehraam baandha aur ba’z ne Hajj ka . main bhi un logon mein se thi jinhon ne Umrah ka Ehraam baandha tha . magar Arafah ka din aa gaya aur main haiz ki haalat mein thi . main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se us ke mutalliq shikaayat ki to aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Umrah chhod aur apna sar khol aur kangha kar aur Hajj ka Ehraam baandh le . main ne aisa hi kiya . yahan tak ke jab Hasba ki raat aayi to Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mere saath mere bhai Abdur Rahman bin Abi Bakr ko bheja . main Tan’eem mein gayi aur wahan se apne Umrah ke badle doosre Umrah ka Ehraam baandha . Hishaam ne kaha ke un mein se kisi baat ki wajah se bhi na Hadi waajib hue aur na Roza aur na sadqa . (Tan’eem hadd haram se qareeb teen mail door ek maqam ka naam hai) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مُخَلَّقَةٍ وَغَيْرِ مُخَلَّقَةٍ:
Bab: Allah Azza wa Jalla ke qawl «makhluqatan wa ghayra makhluqah» (kaamil-ul-khilqat aur naqis-ul-khilqat) ke bayan mein.
Hadith Number: 318
حدثنا مسدد، قال: حدثنا حماد، عن عبيد الله بن ابي بكر، عن انس بن مالك، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن الله عز وجل وكل بالرحم ملكا يقول يا رب نطفة، يا رب علقة، يا رب مضغة، فإذا اراد ان يقضي خلقه، قال: اذكر ام انثى، شقي ام سعيد، فما الرزق والاجل، فيكتب في بطن امه".
hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zaid ne Ubaidullah bin Abi Bakr ke waaste se , woh Anas bin Malik Radhiallahu Anhu se , woh Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke rehm-e-maadar mein Allah Ta’ala ne ek farishta muqarrar kiya hai . woh kehta hai ke aye Rabb! ab yeh «Nutfah» hai , aye Rabb! ab yeh «Alaqah» ho gaya hai , aye Rabb! ab yeh «Muzghah» ho gaya hai . phir jab Allah chaahta hai ke us ki khilqat poori kare to kehta hai ke muzakkar ya muannas , badbakht hai ya nek-bakht , rozi kitni muqaddar hai aur Umar kitni . pas maa ke pet hi main yeh tamaam baatein farishta likh deta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كَيْفَ تُهِلُّ الْحَائِضُ بِالْحَجِّ وَالْعُمْرَةِ:
Bab: Is bare mein ke ha’izah aurat hajj aur umrah ka ihram kis tarah baandhe?
Hadith Number: 319
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، قالت:" خرجنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في حجة الوداع، فمنا من اهل بعمرة ومنا من اهل بحج، فقدمنا مكة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: من احرم بعمرة ولم يهد فليحلل، ومن احرم بعمرة واهدى فلا يحل حتى يحل بنحر هديه، ومن اهل بحج فليتم حجه، قالت: فحضت فلم ازل حائضا حتى كان يوم عرفة ولم اهلل إلا بعمرة، فامرني النبي صلى الله عليه وسلم ان انقض راسي وامتشط واهل بحج واترك العمرة، ففعلت ذلك حتى قضيت حجي، فبعث معي عبد الرحمن بن ابي بكر، وامرني ان اعتمر مكان عمرتي من التنعيم".
Hum se Yahya bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith bin Saad ne bayan kiya, unhon ne Aqeel bin Khalid se, unhon ne Ibn Shihab se, unhon ne Urwah bin Zubair se, unhon ne Aisha Razi Allah Anha se, unhon ne kaha hum Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath Hajjat-ul-Wida ke safar mein nikle, hum mein se baaz ne Umrah ka ihram bandha aur baaz ne hajj ka, phir hum Makkah aaye aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke jis ne Umrah ka ihram bandha ho aur hadi sath na laya ho to woh halal ho jaye aur jis ne Umrah ka ihram bandha ho aur woh hadi bhi sath laya ho to woh hadi ki qurbani se pehle halal na ho ga. Aur jis ne hajj ka ihram bandha ho to use hajj poora karna chahiye. Aisha Razi Allah Anha ne kaha ke main haiza ho gayi aur Arafa ka din aa gaya. Main ne sirf Umrah ka ihram bandha tha mujhe Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm diya ke main apna sar khol loon, kangha kar loon aur hajj ka ihram bandh loon aur Umrah chhod doon, main ne aisa hi kiya aur apna hajj poora kar liya. Phir mere sath Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Abdur Rahman bin Abi Bakr ko bheja aur mujh se farmaya ke main apne chhote hue Umrah ke iwaz Taneem se doosra Umrah karoon. 104655
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة