الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ وَمِنَ الدَّلِيلِ عَلَى أَنَّ الْخُمُسَ لِنَوَائِبِ الْمُسْلِمِينَ مَا سَأَلَ هَوَازِنُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِرَضَاعِهِ فِيهِمْ فَتَحَلَّلَ مِنَ الْمُسْلِمِينَ:
Bab: Is baat ki daleel ke khums mein imam ko ikhtiyar hai woh ise apne baaz (mustahiqq) rishtedaron ko bhi de sakta hai aur jis ko chahe na de, daleel ye hai ke Nabi Karim ﷺ ne Khaybar ke khums mein se Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib ko diya (aur doosre Quraish ko nahi diya).
Show diacritics
Hadith Number: 3135
حدثنا يحيى بن بكير، اخبرنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن سالم، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كان ينفل بعض من يبعث من السرايا لانفسهم خاصة سوى قسم عامة الجيش".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Laith ne khabar di, unhein Aqeel ne, unhein Ibn Shihab ne, unhein Salim ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) baaz muhimmon ke mauqa par is mein shareek hone walon ko ghaneemat ke aam hisson ke alawa (khums waghera mein se) apne taur par bhi diya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3136
حدثنا محمد بن العلاء، حدثنا ابو اسامة، حدثنا بريد بن عبد الله، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال: بلغنا مخرج النبي صلى الله عليه وسلم ونحن باليمن فخرجنا مهاجرين إليه انا واخوان لي انا اصغرهم احدهما ابو بردة والآخر ابو رهم إما قال: في بضع وإما، قال: في ثلاثة وخمسين او اثنين وخمسين رجلا من قومي فركبنا سفينة فالقتنا سفينتنا إلى النجاشي بالحبشة، ووافقنا جعفر بن ابي طالب واصحابه عنده، فقال جعفر: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بعثنا هاهنا وامرنا بالإقامة فاقيموا معنا فاقمنا معه حتى قدمنا جميعا فوافقنا النبي صلى الله عليه وسلم حين افتتح خيبر فاسهم لنا او، قال: فاعطانا منها وما قسم لاحد غاب عن فتح خيبر منها شيئا إلا لمن شهد معه إلا اصحاب سفينتنا مع جعفر واصحابه قسم لهم معهم".
Hum se Muhammad Bin Ala ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Buraid Bin Abdullah ne bayan kiya, un se Abu Burdah ne aur un se Abu Musa Ashari (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hijrat ki khabar humein mili, to hum Yemen mein thay. Is liye hum bhi Aap ki khidmat mein muhajir ki haisiyat se hazir hone ke liye rawana hue. Mein tha, mere bhai thay. (Meri umar un dono se kam thi, dono bhaiyon mein) ek Abu Burdah (Radi Allahu Anhu) thay aur doosre Abu Ruhm. Ya unhon ne ye kaha ke apni qaum ke chand afrad ke sath ya ye kaha tirpan ya bawan aadmiyon ke sath (ye log rawana hue thay) hum kashti mein sawar hue to hamari kashti Najashi ke mulk Habsha pahunch gayi aur wahan humein Jafar Bin Abi Talib (Radi Allahu Anhu) apne doosre sathiyon ke sath mile. Jafar (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humein yahan bheja tha aur hukm diya tha ke hum yahin rahein. Chunanche hum bhi wahin thehar gaye. Aur phir sab ek sath (Madinah) hazir hue, jab hum khidmat-e-Nabwi mein pahunche, to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Khaibar fatah kar chuke thay. Lekin Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (doosre mujahidon ke sath) hamara bhi hissa mal-e-ghaneemat mein lagaya. Ya unhon ne ye kaha ke Aap ne ghaneemat mein se humein bhi ata farmaya, halanke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kisi aise shakhs ka ghaneemat mein hissa nahi lagaya jo ladai mein shareek na raha ho. Sirf unhi logon ko hissa mila tha, jo ladai mein shareek thay. Albatta hamari kashti ke sathiyon aur Jafar aur un ke sathiyon ko bhi Aap ne ghaneemat mein shareek kiya tha (halanke hum log ladai mein shareek nahi hue thay)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3137
حدثنا علي، حدثنا سفيان، حدثنا محمد بن المنكدر، سمع جابرا رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو قد جاءني مال البحرين لقد اعطيتك هكذا وهكذا وهكذا، فلم يجئ حتى قبض النبي صلى الله عليه وسلم فلما جاء مال البحرين امر ابو بكر مناديا فنادى من كان له عند رسول الله صلى الله عليه وسلم دين او عدة فلياتنا فاتيته، فقلت: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال لي: كذا وكذا فحثا لي ثلاثا وجعل سفيان يحثو بكفيه جميعا، ثم قال: لنا هكذا، قال: لنا ابن المنكدر، وقال: مرة فاتيت ابا بكر فسالت فلم يعطني، ثم اتيته فلم يعطني، ثم اتيته الثالثة، فقلت: سالتك فلم تعطني، ثم سالتك فلم تعطني، ثم سالتك فلم تعطني، فإما ان تعطيني، وإما ان تبخل عني، قال: قلت: تبخل عني ما منعتك من مرة إلا، وانا اريد ان اعطيك"، قال: سفيان، وحدثنا عمرو، عن محمد بن علي، عن جابر فحثا لي حثية، وقال: عدها فوجدتها خمس مائة، قال: فخذ مثلها مرتين، وقال: يعني ابن المنكدر واي داء ادوا من البخل".
Hum se Ali Bin Abdullah Madini ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne, kaha hum se Muhammad Bin Munkadir ne, aur unhon ne Jabir (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke jab Bahrain se wasool ho kar mere paas mal aaye ga to mein tumhein is tarah is tarah, is tarah (teen lipp) doon ga is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki wafat ho gayi aur Bahrain ka mal is waqt tak na aaya. Phir jab wahan se mal aaya to Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ke hukm se munadi ne elan kiya ke jis ka bhi Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par koi qarz ho ya Aap ka koi waada ho to hamare paas aaye. Mein Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein gaya aur arz kiya ke mujh se Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye farmaya tha. Chunanche unhon ne teen lipp bhar kar mujhe diya. Sufyan Bin Uyaina ne apne dono hathon se isharah kar ke (lipp bharne ki) kaifiyat batayi phir hum se Sufyan ne bayan kiya ke Ibn Munkadir ne bhi hum se isi tarah bayan kiya tha. Aur ek martaba Sufyan ne (sabiqa sanad ke sath) bayan kiya ke Jabir (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein hazir hua to unhon ne mujhe kuch nahi diya. Phir mein hazir hua, aur is martaba bhi mujhe unhon ne kuch nahi diya. Phir mein teesri martaba hazir hua aur arz kiya ke mein ne ek martaba Aap se manga aur Aap ne inayait nahi farmaya. Dobara manga, phir bhi Aap ne inayait nahi farmaya aur phir manga lekin Aap ne inayait nahi farmaya. Ab ya Aap mujhe dijiye ya phir mere bare mein bukhl se kaam lijiye, Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne farmaya ke tum kehte ho ke mere muamle mein bukhl se kaam leta hai. Halanke tumhein dene se jab bhi mein ne munh phera to mere dil mein ye baat hoti thi ke tumhein kabhi na kabhi dena zaroori hai. Sufyan ne bayan kiya ke hum se Amr ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ali ne aur un se Jabir ne, phir Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne mujhe ek lipp bhar kar diya aur farmaya ke ise shumar kar mein ne shumar kiya to paanch so ki tadaad thi, is ke baad Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne farmaya ke itna hi do martaba aur le le. Aur Ibn-ul-Munkadir ne bayan kiya (ke Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne farmaya tha) bukhl se zyada badtareen aur kya bimari ho sakti hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3138
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا قرة بن خالد، حدثنا عمرو بن دينار، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال: بينما رسول الله صلى الله عليه وسلم يقسم غنيمة بالجعرانة، إذ قال له:" رجل اعدل، فقال له: شقيت إن لم اعدل".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Qurrah Bin Khalid ne bayan kiya, kaha hum se Amr Bin Dinar ne bayan kiya aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) maqam-e-Jarana mein ghaneemat taqseem kar rahe thay ke ek shakhs Zul Khuwaisira ne Aap se kaha, insaf se kaam lijiye, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Agar mein bhi insaf se kaam na loon to bad-bakht hua."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا مَنَّ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَلَى الأُسَارَى مِنْ غَيْرِ أَنْ يُخَمَّسَ:
Bab: Nabi Karim ﷺ ka ihsan rakh kar qaidiyon ko muft chhor dena, aur khums waghera na nikaalna.
Show diacritics
Hadith Number: 3139
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن محمد بن جبير، عن ابيه رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال في اسارى بدر:" لو كان المطعم بن عدي حيا، ثم كلمني في هؤلاء النتنى لتركتهم له".
Hum se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya, kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di, unhein Ma'mar ne, unhein Zuhri ne, unhein Muhammad Bin Jubair ne aur unhein un ke walid (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Badr ke qaidiyon ke bare mein farmaya tha ke agar Mut'im Bin Adi (jo kufr ki halat mein mar gaye thay) zinda hote aur in najis, na-paak logon ki sifarish karte to mein un ki sifarish se unhein (fidya liye baghair) chhod deta
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَمِنَ الدَّلِيلِ عَلَى أَنَّ الْخُمُسَ لِلإِمَامِ وَأَنَّهُ يُعْطِي بَعْضَ قَرَابَتِهِ دُونَ بَعْضٍ مَا قَسَمَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِبَنِي الْمُطَّلِبِ وَبَنِي هَاشِمٍ مِنْ خُمُسِ خَيْبَرَ:
Bab: Is ki daleel ke khums mein imam ko ikhtiyar hai woh ise apne baaz (mustahiqq) rishtedaron ko bhi de sakta hai aur jis ko chahe na de, daleel ye hai ke Nabi Karim ﷺ ne Khaybar ke khums mein se Bani Hashim aur Bani Abdul Muttalib ko diya.
Show diacritics
Hadith Number: Q3140
قال عمر بن عبد العزيز:" لم يعمهم بذلك ولم يخص قريبا دون من هو احوج إليه، وإن كان الذي اعطى لما يشكو إليه من الحاجة، ولما مستهم في جنبه من قومهم وحلفائهم".
Umar Bin Abdul Aziz (Rahimahullah) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne tamam rishtedaron ko nahi diya aur is ki bhi riyayait nahi ki ke jo qareebi rishtedar ho isi ko dein. Balki jo zyada muhtaj hota, Aap ise inayait farmate, khwah rishta mein wo door hi kyun na ho. Agarchay Aap ne jin logon ko diya wo yahi dekh kar wo muhtaji ka Aap se shikwa karte thay aur ye bhi dekh kar ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki janib-dari aur taraf-dari mein un ko jo nuqsan apni qaum walon aur un ke ham-qasmon se pahuncha (wo bahut tha)
.


Show diacritics
Hadith Number: 3140
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، عن جبير بن مطعم، قال: مشيت انا وعثمان بن عفان إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقلنا: يا رسول الله، اعطيت بني المطلب وتركتنا ونحن وهم منك بمنزلة واحدة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إنما بنو المطلب وبنو هاشم شيء واحد، قال الليث: حدثني يونس وزاد، قال جبير: ولم يقسم النبي صلى الله عليه وسلم لبني عبد شمس ولا لبني نوفل، وقال ابن إسحاق: عبد شمس وهاشم والمطلب إخوة لام وامهم عاتكة بنت مرة وكان نوفل اخاهم لابيهم".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Ibn Musayyab ne bayan kiya aur un se Jubair Bin Mut'im (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein aur Usman Bin Affan (Radi Allahu Anhu) Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya, Ya Rasul Allah! Aap ne Banu Muttalib ko to inayait farmaya lekin hum ko chhod diya, halanke hum ko Aap se wahi rishta hai jo Banu Muttalib ko Aap se hai. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Banu Muttalib aur Banu Hashim ek hi hai. Laith ne bayan kiya ke mujh se Yunus ne bayan kiya aur (is riwayat mein) ye ziyadati ki ke Jubair (Radi Allahu Anhu) ne kaha Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Banu Abd-e-Shams aur Banu Naufal ko nahi diya tha, aur Ibn Ishaq (Sahib-e-Maghazi) ne kaha hai ke Abd-e-Shams, Hashim aur Muttalib ek maan se thay aur un ki maan ka naam Aatika Bin Murra tha aur Naufal baap ki taraf se un ke bhai thay (un ki maan doosri theen)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يُخَمِّسِ الأَسْلاَبَ:
Bab: Jo koi maqtool kafiron ke saaz-o-samaan mein khums na de.
Show diacritics
Hadith Number: Q3141
ومن قتل قتيلا فله سلبه من غير ان يخمس، وحكم الإمام فيه.
Maqtool ke jism par jo saman ho (kapde, hathyar waghera) wo saman taqseem mein shareek ho ga na is mein se khums liya jaye ga balki wo sara qatil ko milega aur Imam ka aisa hukm
.


Show diacritics
Hadith Number: 3141
حدثنا مسدد، حدثنا يوسف بن الماجشون، عن صالح بن إبراهيم بن عبد الرحمن بن عوف، عن ابيه، عن جده، قال: بينا انا واقف في الصف يوم بدر فنظرت عن يميني وعن شمالي، فإذا انا بغلامين من الانصار حديثة اسنانهما تمنيت ان اكون بين اضلع منهما فغمزني احدهما، فقال: يا عم هل تعرف ابا جهل؟ قلت: نعم ما حاجتك إليه يا ابن اخي، قال: اخبرت انه يسب رسول الله صلى الله عليه وسلم والذي نفسي بيده لئن رايته لا يفارق سوادي سواده حتى يموت الاعجل منا فتعجبت لذلك فغمزني الآخر، فقال لي: مثلها فلم انشب ان نظرت إلى ابي جهل يجول في الناس، قلت: الا إن هذا صاحبكما الذي سالتماني فابتدراه بسيفيهما فضرباه حتى قتلاه، ثم انصرفا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فاخبراه، فقال:" ايكما قتله، قال: كل واحد منهما انا قتلته، فقال: هل مسحتما سيفيكما، قالا: لا فنظر في السيفين، فقال: كلاكما قتله سلبه معاذ بن عمرو بن الجموح وكانا معاذ بن عفراء ومعاذ بن عمرو بن الجموح".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yusuf Bin Majishoon ne, un se Salih Bin Ibrahim Bin Abdur Rahman Bin Auf ne, un se un ke baap ne aur un se Salih ke dada (Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Badr ki ladai mein, mein saff ke sath khada hua tha. Mein ne jo dayein bayein janib dekha, to mere dono taraf qabile Ansar ke do nau-umar larke thay. Mein ne aarzu ki kash! Mein un se zabardast zyada umar walon ke beech mein hota. Ek ne meri taraf isharah kiya, aur pucha chacha! Aap Abu Jahl ko bhi pehchante hain? Mein ne kaha ke haan! Lekin bete tum logon ko is se kya kaam hai? Larke ne jawab diya mujhe maloom hua hai ke wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko galiyan deta hai, is zaat ki qasam! Jis ke hath mein meri jaan hai agar mujhe wo mil gaya to is waqt tak mein is se juda na hoon ga jab tak hum mein se koi jis ki qismat mein pehle marna hoga, mar na jaye, mujhe is par badi hairat hui. Phir doosre ne isharah kiya aur wahi baatein us ne bhi kahein. Abhi chand minute hi guzre thay ke mujhe Abu Jahl dikhayi diya jo logon mein (kuffar ke lashkar mein) ghoomta phir raha tha. Mein ne in larkon se kaha ke jis ke mutaliq tum log mujh se puch rahe thay, wo samne (phirta hua nazar aa raha) hai. Dono ne apni talwarain sanbhalein aur is par jhapat pade aur hamla kar ke ise qatl kar dala. Is ke baad Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho kar Aap ko khabar di, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne pucha ke tum dono mein se kis ne ise mara hai? Dono nau-jawanon ne kaha ke mein ne qatl kiya hai. Is liye Aap ne un se pucha ke kya apni talwarain tum ne saaf kar li hain? Unhon ne arz kiya ke nahi. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne dono talwaron ko dekha aur farmaya ke tum dono hi ne ise mara hai. Aur is ka saman Muaz Bin Amr Bin Jamuh ko milega. Wo dono nau-jawan Muaz Bin Afra aur Muaz Bin Amr Bin Jamuh thay. Muhammad ne kaha Yusuf ne Salih se suna aur Ibrahim ne apne baap se suna
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3142
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن يحيى بن سعيد، عن ابن افلح، عن ابي محمد مولى ابي قتادة، عن ابي قتادة رضي الله عنه، قال: خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم عام حنين فلما التقينا كانت للمسلمين جولة، فرايت رجلا من المشركين علا رجلا من المسلمين فاستدرت حتى اتيته من ورائه حتى ضربته بالسيف على حبل عاتقه، فاقبل علي فضمني ضمة وجدت منها ريح الموت، ثم ادركه الموت فارسلني فلحقت عمر بن الخطاب، فقلت: ما بال الناس، قال: امر الله ثم إن الناس رجعوا وجلس النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" من قتل قتيلا له عليه بينة فله سلبه فقمت فقلت من يشهد لي ثم جلست، ثم قال: من قتل قتيلا له عليه بينة فله سلبه فقمت، فقلت: من يشهد لي ثم جلست، ثم قال: الثالثة مثله فقمت، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ما لك يا ابا قتادة فاقتصصت عليه القصة، فقال: رجل صدق يا رسول الله وسلبه عندي فارضه عني، فقال: ابو بكر الصديق رضي الله عنه لاها الله إذا لا يعمد إلى اسد من اسد الله يقاتل عن الله ورسوله صلى الله عليه وسلم يعطيك سلبه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: صدق فاعطاه فبعت الدرع فابتعت به مخرفا في بني سلمة، فإنه لاول مال تاثلته في الإسلام".
Hum se Abdullah Bin Maslama ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne, un se Yahya Bin Said ne, un se Ibn Aflah ne, un se Abu Qatada ke ghulam Abu Muhammad ne aur un se Abu Qatada (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Ghazwa Hunain ke saal hum Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath rawana hue. Phir jab hamara dushman se samna hua to (ibtida mein) Islami lashkar haarne laga. Itne mein mein ne dekha ke Mushrikeen ke lashkar ka ek shakhs ek Musalman ke upar chadha hua hai. Is liye mein fauran hi ghoom pada aur is ke peechhe se aa kar talwar is ki gardan par mari. Ab wo shakhs mujh par toot pada, aur mujhe itni zor se us ne bhaincha ke meri rooh jaise qabz hone ko thi. Aakhir jab us ko maut ne aa dabocha, tab kahin ja kar us ne mujhe chhoda. Is ke baad mujhe Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) mile, to mein ne un se pucha ke Musalman ab kis halat mein hain? Unhon ne kaha ke jo Allah ka hukm tha wahi hua. Lekin Musalman haarne ke baad phir muqabala par sanbhal gaye to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) baith gaye aur farmaya ke jis ne bhi kisi kafir ko qatl kiya ho aur is par wo gawah bhi pesh kar de to maqtool ka sara saaz-o-saman ise hi milega (Abu Qatada Radi Allahu Anhu ne kaha) mein bhi khada hua. Aur mein ne kaha ke meri taraf se kaun gawahi dega? Lekin (jab meri taraf se koi na utha to) mein baith gaya. Phir dobara Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke (aaj) jis ne kisi kafir ko qatl kiya aur is par is ki taraf se koi gawah bhi ho to maqtool ka sara saman ise milega. Is martaba phir mein ne khade ho kar kaha ke meri taraf se kaun gawahi dega? Aur phir mujhe baithna pada. Teesri martaba phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne wahi irshad doharaya aur is martaba jab mein khada hua to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne khud hi daryaft farmaya, kis cheez ke mutaliq keh rahe ho Abu Qatada! Mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne sara waqiya bayan kar diya, to ek sahab (Aswad Bin Khuzaee Aslami) ne bataya ke Abu Qatada sach kehte hain, Ya Rasul Allah! Aur is maqtool ka saman mere paas mahfooz hai. Aur mere haq mein unhein razi kar dijiye (ke wo maqtool ka saman mujh se na lein) lekin Abu Bakr Siddique (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke nahi Allah ki qasam! Allah ke ek sher ke sath, jo Allah aur us ke Rasul ke liye lade, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) aisa nahi kareinge ke un ka saman tumhein de dein, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Abu Bakr ne sach kaha hai. Phir Aap ne saman Abu Qatada (Radi Allahu Anhu) ko ata farmaya. Abu Qatada ne kaha ke phir is ki zirah bech kar mein ne Bani Salima mein ek bagh khareed liya aur ye pehla mal tha jo Islam lane ke baad mein ne hasil kiya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة