الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ أَقَامَ الْبَيِّنَةَ بَعْدَ الْيَمِينِ:
Bab: Jis mudda'i ne (mudda'i alaih ki) qasam kha lene ke baad gawah pesh kiye.
Show diacritics
Hadith Number: 2680
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن زينب، عن ام سلمة رضي الله عنها، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إنكم تختصمون إلي ولعل بعضكم الحن بحجته من بعض، فمن قضيت له بحق اخيه شيئا بقوله فإنما اقطع له قطعة من النار، فلا ياخذها".
Hum se Abdullah Bin Muslima ne bayan kiya Imam Malik se, un se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke baap ne, un se Zainab ne aur un se Umm-ul-Salama (Radi Allahu Anha) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum log mere yahan apne muqadmat late ho aur kabhi aisa hota hai ke ek tum mein doosre se daleel bayan karne mein barh kar hota hai (quwwat-e-bayaniya barh kar rakhta hai) phir mein is ko agar is ke bhai ka haq (ghalati se) dila doon, to wo halal (na samjhe) is ko na le, mein is ko dozakh ka ek tukra dila raha hoon."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَمَرَ بِإِنْجَازِ الْوَعْدِ:
Bab: Jis ne wada poora karne ka hukm diya.
Show diacritics
Hadith Number: Q2681
وفعله الحسن، وذكر إسماعيل إنه كان صادق الوعد وقضى ابن الاشوع بالوعد، وذكر ذلك عن سمرة بن جندب، وقال المسور بن مخرمة: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، وذكر صهرا له، قال: وعدني فوفى لي، قال ابو عبد الله: ورايت إسحاق بن إبراهيم يحتج بحديث ابن اشوع.
Aur Imam Hasan Basri (Rahimahullah) ne is ko poora kar diya. Aur Sayyidna Ismail (Alaihis Salam) ka zikar Allah Ta'ala ne is wasf se kiya hai ke wo wade ke sace thay. Aur Saeed Bin Al-Ashwa ne wada poora karne ke liye hukm diya tha. Aur Samura Bin Jundub (Radi Allahu Anhu) se aisa hi naqal kiya, aur Miswar Bin Makhrama (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) apne ek damad (Abu Al-Aas) ka zikar farma rahe thay, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke unhon ne mujh se wada kiya tha ise poora kiya, Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Ishaq Bin Ibrahim ko mein ne dekha ke wo wada poora karne ke wujoob par Ibn Ashwa ki hadees se daleel lete thay
.


Show diacritics
Hadith Number: 2681
حدثنا إبراهيم بن حمزة، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، ان عبد الله بن عباسرضي الله عنهما اخبره، قال: اخبرني ابو سفيان، ان هرقل، قال له: سالتك، ماذا يامركم؟ فزعمت انه" امركم بالصلاة والصدق والعفاف والوفاء بالعهد واداء الامانة"، قال: وهذه صفة نبي.
Hum se Ibrahim Bin Hamza ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se Salih Bin Kaisan ne, un se Ibn Shihab ne, un se Ubaidullah Bin Abdullah ne ke Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne unhein khabar di, unhon ne bayan kiya ke unhein Abu Sufyan (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke Herqal ne un se kaha tha ke mein ne tum se poocha tha ke wo (Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) tumhein kis baat ka hukm dete hain to tum ne bataya ke wo tumhein namaz, sacchai, iffat, ahad ke poora karne aur amanat ke ada karne ka hukm dete hain. Aur ye Nabi ki sifat hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2682
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن ابي سهيل نافع بن مالك بن ابي عامر، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" آية المنافق ثلاث: إذا حدث كذب، وإذا اؤتمن خان، وإذا وعد اخلف".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ismail Bin Jafar ne bayan kiya, un se Abu Suhail, Nafi Bin Malik Bin Abi Aamir ne bayan kiya, un se un ke baap ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Munafiq ki teen nishaniyan hain. Jab baat kahi to jhoot kahi, amanat di gayi to us ne is mein khayanat ki aur wada kiya to ise poora nahi kiya."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2683
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن ابن جريج، قال: اخبرني عمرو بن دينار، عن محمد بن علي، عن جابر بن عبد اللهرضي الله عنهم، قال:" لما مات النبي صلى الله عليه وسلم جاء ابا بكر مال من قبل العلاء بن الحضرمي، فقال ابو بكر: من كان له على النبي صلى الله عليه وسلم دين او كانت له قبله عدة فلياتنا. قال جابر: فقلت: وعدني رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يعطيني هكذا وهكذا وهكذا، فبسط يديه ثلاث مرات. قال جابر: فعد في يدي خمس مائة، ثم خمس مائة، ثم خمس مائة".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hamein Hisham ne khabar di, un se Ibn Juraij ne bayan kiya, unhein Amr Bin Dinar ne khabar di, unhein Muhammad Bin Ali ne aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya, kaha Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki wafat ke baad Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ke paas (Bahrain ke aamil) Alaa Bin Hazrami (Radi Allahu Anhu) ki taraf se mal aaya. Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne elan kara diya ke jis kisi ka bhi Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par koi qarz ho, ya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka is se wada ho to wo hamare paas aaye. Jabir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke is par mein ne un se kaha ke mujh se Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne wada farmaya tha ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) itna mal mujhe ata farmayein ge. Chunanchay Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne teen martaba apne hath barhaye aur mere hath par panch so, phir panch so aur phir panch so gin diye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2684
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، اخبرنا سعيد بن سليمان، حدثنا مروان بن شجاع، عن سالم الافطس، عن سعيد بن جبير، قال:" سالني يهودي من اهل الحيرة، اي الاجلين قضى موسى؟ قلت: لا ادري حتى اقدم على حبر العرب، فاساله، فقدمت، فسالت ابن عباس، فقال:قضى اكثرهما، واطيبهما إن رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا قال فعل".
Hum se Muhammad Bin Abdur Raheem ne bayan kiya, kaha hum ko Saeed Bin Suleman ne khabar di, un se Marwan Bin Shuja ne bayan kiya, un se Salim Afat-s ne aur un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya ke Heera ke Yahudi ne mujh se poocha, Musa (Alaihis Salam) ne (apne mehar ke ada karne mein) kaun si muddat poori ki thi? (Yani aath saal ki ya das saal ki, jin ka Quran mein zikar hai) mein ne kaha ke mujhe maloom nahi, han! Arab ke bare aalim ki khidmat mein hazir ho kar pooch loon (to phir tumhein bata doon ga) chunanchay mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se poocha to unhon ne bataya ke Aap ne bari muddat poori ki (das saal ki) jo donon muddaton mein behtar thi. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) bhi jab kisi se wada karte to poora karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُسْأَلُ أَهْلُ الشِّرْكِ عَنِ الشَّهَادَةِ وَغَيْرِهَا:
Bab: Mushrikon ki gawahi qabool na ho gi.
Show diacritics
Hadith Number: Q2685
وقال الشعبي: لا تجوز شهادة اهل الملل بعضهم على بعض، لقوله تعالى: فاغرينا بينهم العداوة والبغضاء سورة المائدة آية 14، وقال ابو هريرة: عن النبي صلى الله عليه وسلم، لا تصدقوا اهل الكتاب ولا تكذبوهم، وقولوا آمنا بالله وما انزل سورة البقرة آية 136 الآية.
Aur Shuba ne kaha ke doosre deen walon ki gawahi ek doosre ke khilaf leni jaiz nahi hai. Allah Ta'ala ke is irshad ki wajah se ke "Fa-aghrainaa bainahumul-adawata wal-baghdaa-a" "Hum ne un mein baaham dushmani aur bughz ko hawa de di hai." Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal kiya ke Ahl-e-Kitab ki (in mazhabi Riwayaat mein) na tasdeeq karo aur na takzeeb balkay ye keh liya karo ke Allah par aur jo kuch us ne nazil kiya sab par hum iman laye
.


Show diacritics
Hadith Number: 2685
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن عبد الله بن عباس رضي الله عنهما، قال: يا معشر المسلمين، كيف تسالون اهل الكتاب، وكتابكم الذي انزل على نبيه صلى الله عليه وسلم احدث الاخبار بالله تقرءونه لم يشب، وقد حدثكم الله ان اهل الكتاب بدلوا ما كتب الله، وغيروا بايديهم الكتاب، فقالوا: هو من عند الله، ليشتروا به ثمنا قليلا، افلا ينهاكم ما جاءكم من العلم عن مساءلتهم، ولا والله ما راينا منهم رجلا قط يسالكم عن الذي انزل عليكم".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Lais ne bayan kiya, Yunus se, un se Ibn Shihab ne, un se Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba ne ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha, Ae Musalmano! Ahl-e-Kitab se kyun sawalat karte ho. Halankay tumhari kitab jo tumhare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par nazil hui hai, Allah Ta'ala ki taraf se sab se baad mein nazil hui hai. Tum ise parhte ho aur is mein kisi qisam ki aamezish bhi nahi hui hai. Allah Ta'ala to tumhein pehle hi bata chuka hai ke Ahl-e-Kitab ne is kitab ko badal diya, jo Allah Ta'ala ne unhein di thi aur khud hi is mein taghayyur kar diya aur phir kehne lage ye kitab Allah ki taraf se hai. Un ka maqsad is se sirf ye tha ke is tarah thori poonji (duniya ki) hasil kar sakein pas kya jo ilm (Quran) tumhare paas aaya hai wo tum ko in (Ahl-e-Kitab se poochne ko nahi rokta. Allah ki qasam! hum ne un ke kisi aadmi ko kabhi nahi dekha ke wo in aayat ke mutalliq tum se poochta ho jo tum par (tumhare Nabi ke zariya) nazil ki gayi hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقُرْعَةِ فِي الْمُشْكِلاَتِ:
Bab: Mushkilat ke waqt qur'a andazi karna.
Show diacritics
Hadith Number: Q2686
وقوله عز وجل: إذ يلقون اقلامهم ايهم يكفل مريم سورة آل عمران آية 44، وقال ابن عباس اقترعوا فجرت الاقلام مع الجرية، وعال قلم زكرياء الجرية، فكفلها زكرياء، وقوله فساهم اقرع فكان من المدحضين سورة الصافات آية 141 من المسهومين، وقال ابو هريرة: عرض النبي صلى الله عليه وسلم على قوم اليمين، فاسرعوا، فامر ان يسهم بينهم ايهم يحلف.
Aur Allah Ta'ala ka irshad "Iz yulqoona aqlamahum ayyuhum yakfulu Maryama" "Jab wo apni qalmein dalne lage (qura andazi ke liye taake) faisla kar sakein ke Maryam ki kafalat kaun kare." Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne (ayat-e-mazkoora ki tafseer mein farmaya) ke jab sab logon ne (nehar-e-Urdun mein) apne apne qalam dale, to tamam qalam pani ke bahao ke sath beh gaye, lekin Zakariya (Alaihis Salam) ka qalam is bahao mein upar aa gaya. Is liye unhon ne hi Maryam (Alaihas Salam) ki tarbiyat apne zimme li aur Allah Ta'ala ke irshad "Fas-haama" ke maani hain pas unhon ne qura dala. "Fakaana minal-mudhazeen" (mein "mudhazeen" ke maani hain) "minal-mashumeen" yani qura unhein ke naam par nikla. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (kisi muqadma mein mudda-alai-hi hone ki bina par) kuch logon se qasam khane ke liye farmaya, to wo sab (ek sath) aage barhe. Is liye Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un mein qura dalne ke liye hukm farmaya taake faisla ho ke sab se pehle qasam kaun aadmi khaye
.


Show diacritics
Hadith Number: 2686
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني الشعبي، انه سمع النعمان بن بشير رضي الله عنهما، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" مثل المدهن في حدود الله والواقع فيها، مثل قوم استهموا سفينة، فصار بعضهم في اسفلها وصار بعضهم في اعلاها، فكان الذي في اسفلها يمرون بالماء على الذين في اعلاها فتاذوا به، فاخذ فاسا، فجعل ينقر اسفل السفينة، فاتوه، فقالوا: ما لك؟ قال: تاذيتم بي، ولا بد لي من الماء، فإن اخذوا على يديه انجوه ونجوا انفسهم، وإن تركوه اهلكوه واهلكوا انفسهم".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyas ne bayan kiya, kaha hum se hamare walid ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne, kaha ke hum se Shubi ne bayan kiya, unhon ne Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhuma) se suna, wo kehte thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah ki hudood mein sasti bartne wale aur is mein mubtala ho jane wale ki misal ek aaisi qoum ki si hai jis ne ek kashti (par safar karne ke liye jagah ke bare mein) qura andazi ki. Phir natije mein kuch log neeche sawaar hue aur kuch upar. Neeche ke log pani le kar upar ki manzil se guzarte thay aur is se upar walon ko takleef hoti thi. Is khayal se neeche wala ek aadmi kulhari se kashti ka neeche ka hissa katne laga (taake neeche hi samandar se pani le liya kare) ab upar wale aaye aur kehne lage ke ye kya kar rahe ho? Us ne kaha ke tum logon ko (mere upar aane jane se) takleef hoti thi aur mere liye bhi pani zaroori tha. Ab agar unhon ne neeche wale ka hath pakar liya to unhein bhi najat di aur khud bhi najat payi. Lekin agar ise yun hi chor diya to unhein bhi halak kiya aur khud bhi halak ho gaye."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة