الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يَحِلُّ لأَحَدٍ أَنْ يَرْجِعَ فِي هِبَتِهِ وَصَدَقَتِهِ:
Bab: Kisi ke liye halal nahi ke apna diya hua hadiya ya sadaqa wapas le le.
Hadith Number: 2621
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، وشعبة، قالا: حدثنا قتادة، عن سعيد بن المسيب، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" العائد في هبته، كالعائد في قيئه".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Hisham aur Shuba ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Qatada ne bayan kiya Saeed Bin Musayyib se aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Apna diya hua hadiya wapas lene wala aisa hai jaise apni ki hui qai ko chat-ne wala."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2622
حدثنا عبد الرحمن بن المبارك، حدثنا عبد الوارث، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليس لنا مثل السوء الذي يعود في هبته، كالكلب يرجع في قيئه".
Hum se Abdur Rahman Bin Mubarak ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya, kaha ke hum se Ayub ne bayan kiya Ikrimah se aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Hum Musalmanon ko buri misal na ikhtiyar karni chahiye. Is shaks ki si jo apna diya hua hadiya wapas le le, wo is kutte ki tarah hai jo apni qai khud chat-ta hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2623
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا مالك، عن زيد بن اسلم، عن ابيه، سمعت عمر بن الخطاب رضي الله عنه، يقول: حملت على فرس في سبيل الله فاضاعه الذي كان عنده، فاردت ان اشتريه منه، وظننت انه بائعه برخص، فسالت عن ذلك النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: لا تشتره، وإن اعطاكه بدرهم واحد، فإن العائد في صدقته كالكلب يعود في قيئه".
Hum se Yahya Bin Qaza ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya Zaid Bin Aslam se, un se un ke baap ne ke unhon ne Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) se suna. Aap ne farmaya ke mein ne ek ghora Allah ke raste mein jihad ke liye (ek shaks ko) diya). Jise mein ne wo ghora diya tha, us ne ise dubla kar diya. Is liye mera irada hua ke is se apna wo ghora khareed loon, mera ye bhi khayal tha ke wo shaks wo ghora saste damon par bech de ga. Lekin jab mein ne is ke bare mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha to aap ne farmaya ke tum ise na khareedo, khwah tumhein wo ek hi dirham mein kyun na de. Kyunke apne sadqa ko wapas lene wala shaks is kutte ki tarah hai jo apni hi qai khud chat-ta hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: ...
Hadith Number: 2624
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني عبد الله بن عبيد الله بن ابي مليكة،"ان بني صهيب مولى ابن جدعان ادعوا بيتين وحجرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم اعطى ذلك صهيبا، فقال مروان: من يشهد لكما على ذلك؟ قالوا: ابن عمر، فدعاه، فشهد لاعطى رسول الله صلى الله عليه وسلم صهيبا بيتين وحجرة، فقضى مروان بشهادته لهم".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum ko Hisham Bin Yusuf ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne khabar di, kaha ke mujhe Abdullah Bin Ubaidullah Bin Abi Mulaika ne khabar di ke Ibn Jud'an ke ghalam Banu Suhaib ne dawa kiya ke do makan aur ek hujra Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Suhaib (Radi Allahu Anhu) ko inayat farmaya tha (jo wirasat mein unhein milna chahiye) Khalifa Marwan Bin Hakam ne poocha ke tumhare haq mein is dawe par gawah kaun hai? Unhon ne kaha ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma). Marwan ne aap ko bulaya to aap ne gawahi di ke waqai Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Suhaib (Radi Allahu Anhu) ko do makan aur ek hujra diya tha. Marwan ne aap ki gawahi par faisla un ke haq mein kar diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا قِيلَ فِي الْعُمْرَى وَالرُّقْبَى:
Bab: Umra aur ruqba ke bare mein riwayaat.
Hadith Number: Q2625
اعمرته الدار فهي عمرى جعلتها له استعمركم فيها جعلكم عمارا.
(Agar kisi ne kaha ke) mein ne umar bhar ke liye tumhein ye makan de diya to ise umra kehte hain (matlab ye hai ke is ki umar bhar ke liye) makan mein ne is ki milkiyat mein de diya. Qurani lafz "asta'marakum fiha" ka mafhoom ye hai ke us ne tumhein zameen mein basaya
.
.
Hadith Number: 2625
حدثنا ابو نعيم، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن جابر رضي الله عنه، قال:" قضى النبي صلى الله عليه وسلم بالعمرى انها لمن وهبت له".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, un se Shaiban ne bayan kiya, un se Yahya ne, un se Abu Salama ne aur un se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne umra ke mutalliq faisla kiya tha ke wo is ka ho jata hai jise hiba kiya gaya ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2626
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا همام، حدثنا قتادة، قال: حدثني النضر بن انس، عن بشير بن نهيك، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" العمرى جائزة". وقال عطاء: حدثني جابر، عن النبي صلى الله عليه وسلم نحوه.
Hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya, un se Qatada ne bayan kiya, un se Nazr Bin Anas ne bayan kiya, un se Bashir Bin Nuhaik ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Umra jaiz hai." Aur Ata ne kaha ke mujh se Jabir (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se isi tarah bayan kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اسْتَعَارَ مِنَ النَّاسِ الْفَرَسَ:
Bab: Jis ne kisi se ghora aariyatan liya.
Hadith Number: 2627
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن قتادة، قال: سمعت انسا، يقول: كان فزع بالمدينة،" فاستعار النبي صلى الله عليه وسلم فرسا منابي طلحة يقال له المندوب، فركب، فلما رجع، قال: ما راينا من شيء، وإن وجدناه لبحرا".
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya Qatada se ke mein ne Anas (Radi Allahu Anhu) se suna. Aap ne bayan kiya ke Madine par (dushman ke hamle ka) khauf tha. Is liye Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Abu Talha (Radi Allahu Anhu) se ek ghora jis ka naam Mandoob tha mustaar liya, phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) is par sawaar hue (Sahaba bhi sath thay) phir jab wapas hue to farmaya, hamein to koi khatra ki cheez nazar na aayi, albatta ye ghora samandar ki tarah (teiz daurta) paya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِسْتِعَارَةِ لِلْعَرُوسِ عِنْدَ الْبِنَاءِ:
Bab: Shab-e-arusi mein dulhan ke liye koi cheez aariyatan lena.
Hadith Number: 2628
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عبد الواحد بن ايمن، قال: حدثني ابي، قال:" دخلت على عائشة رضي الله عنها وعليها درع قطر ثمن خمسة دراهم، فقالت: ارفع بصرك إلى جاريتي انظر إليها، فإنها تزهى ان تلبسه في البيت، وقد كان لي منهن درع على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فما كانت امراة تقين بالمدينة، إلا ارسلت إلي تستعيره".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahid Bin Aiman ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere baap ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mein Aisha (Radi Allahu Anha) ki khidmat mein hazir hua to aap qatar (Yaman ka ek dabeez khardara kapra) ki qameez qeemti panch dirham ki pehne hue theen. Aap ne (mujh se) farmaya. Zara nazar utha kar meri is londi ko to dekh. Ise ghar mein bhi ye kapre pehnne se inkar hai. Halankay Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein mere paas isi ki ek qameez thi. Jab koi larki dulhan banayi jati to mere yahan aadmi bhej kar wo qameez aariyatan manga leti thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ الْمَنِيحَةِ:
Bab: Tahfa «maniha» ki fazilat ke bare mein.
Hadith Number: 2629
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" نعم المنيحة اللقحة الصفي منحة، والشاة الصفي تغدو بإناء وتروح بإناء". حدثنا عبد الله بن يوسف، وإسماعيل، عن مالك، قال: نعم الصدقة.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abu-uz-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, kya hi umda hai hadiya is doodh dene wali ontni ka jis ne abhi haal hi mein baccha jana ho aur doodh dene wali bakri ka jo subah-o-shaam apne doodh se bartan bhar deti hai. Hum se Abdullah Bin Yusuf aur Ismail ne bayan kiya, un se Imam Malik ne bayan kiya ke (doodh dene wali ontni ka) sadqa kya hi umda hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة