الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي الْعِتْقِ وَفَضْلِهِ:
Bab: Ghulam azad karne ka sawab.
Hadith Number: Q2517
وقوله تعالى: فك رقبة {13} او إطعام في يوم ذي مسغبة {14} يتيما ذا مقربة {15} سورة البلد آية 13-15.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Al-Balad mein) farmaya "Fakku raqabah. Aw it'amun fi yaumin zi masgabah. Yatiman za maqrabah" "Kisi gardan ko azad karna ya bhook ke dinon mein kisi qarabath dar yatim bacche ko khana khilana"
.
.
Hadith Number: 2517
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا عاصم بن محمد، قال: حدثني واقد بن محمد، قال: حدثني سعيد بن مرجانة صاحب علي بن حسين، قال: قال لي ابو هريرة رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ايما رجل اعتق امرا مسلما استنقذ الله بكل عضو منه عضوا منه من النار". قال سعيد بن مرجانة: فانطلقت به إلى علي بن حسين، فعمد علي بن حسين رضي الله عنهما إلى عبد له قد اعطاه به عبد الله بن جعفر عشرة آلاف درهم او الف دينار، فاعتقه.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Asim Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Waqid Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Ali Bin Hussain ke sathi Saeed Bin Marjana ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jis shaks ne bhi kisi Musalman (ghalam) ko azad kiya to Allah Ta'ala is ghalam ke jism ke har uzv ki azadi ke badle is shaks ke jism ke bhi ek ek uzv ko dozakh se azad kare ga. Saeed Bin Marjana ne bayan kiya ke phir mein Ali Bin Hussain (Zain-ul-Abideen Rahimahullah) ke yahan gaya (aur un se hadees bayan ki) wo apne ek ghalam ki taraf mutawajja hue. Jis ki Abdullah Bin Jafar das hazar dirham ya ek hazar dinar qeemat de rahe thay aur Aap ne ise azad kar diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَيُّ الرِّقَابِ أَفْضَلُ:
Bab: Kaisa ghulam azad karna afzal hai?
Hadith Number: 2518
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن ابي مراوح، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال: سالت النبي صلى الله عليه وسلم، اي العمل افضل؟ قال: إيمان بالله وجهاد في سبيله، قلت: فاي الرقاب افضل؟ قال: اغلاها ثمنا، وانفسها عند اهلها، قلت: فإن لم افعل؟ قال: تعين ضايعا او تصنع لاخرق، قال: فإن لم افعل؟ قال: تدع الناس من الشر، فإنها صدقة تصدق بها على نفسك".
Hum se Ubaidullah Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Bin Urwah ne, un se un ke walid ne, un se Abu Marwah ne aur un se Abu Zar Ghifari (Radi Allahu Anhu) ne ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha ke kaun sa amal afzal hai, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Allah par iman lana aur is ki rah mein jihad karna. Mein ne poocha aur kis tarah ka ghalam azad karna afzal hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jo sab se zyada qeemti ho aur malik ki nazar mein jo bahut zyada pasandida ho. Mein ne arz kiya ke agar mujh se ye na ho saka? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ke phir kisi Musalman karigar ki madad kar ya kisi be-hunar ki. Unhon ne kaha ke agar mein ye bhi na kar saka? Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke phir logon ko apne shar se mehfooz kar de ke ye bhi ek sadqa hai jise tum khud apne upar karo ge
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُسْتَحَبُّ مِنَ الْعَتَاقَةِ فِي الْكُسُوفِ وَالآيَاتِ:
Bab: Sooraj girhan aur doosri nishaniyon ke waqt ghulam azad karna mustahab hai.
Hadith Number: 2519
حدثنا موسى بن مسعود، حدثنا زائدة بن قدامة، عن هشام بن عروة، عن فاطمة بنت المنذر، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، قالت:" امر النبي صلى الله عليه وسلم بالعتاقة في كسوف الشمس". تابعه علي، عن الدراوردي، عن هشام.
Hum se Musa Bin Masood ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Zaida Bin Qudama ne bayan kiya, un se Hisham Bin Urwah ne, un se Fatima Bin Munzir ne aur un se Asma Bint Abi Bakr (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne sooraj garehan ke waqt ghalam azad karne ka hukm farmaya hai. Musa ke sath is hadees ko Ali Bin Madini ne bhi Abdul Aziz Dara-wardi se Riwayat kiya hai. Unhon ne Hisham se
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2520
حدثنا محمد بن ابي بكر، حدثنا عثام، حدثنا هشام، عن فاطمة بنت المنذر، عن اسماء بنت ابي بكر رضي الله عنهما، قالت:"كنا نؤمر عند الخسوف بالعتاقة".
Hum se Muhammad Bin Abi Bakr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Assam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham ne bayan kiya, un se Fatima Bint Munzir ne bayan kiya aur un se Asma Bint Abi Bakr (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke hamein sooraj garehan ke waqt ghalam azad karne ka hukm diya jata tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا أَعْتَقَ عَبْدًا بَيْنَ اثْنَيْنِ أَوْ أَمَةً بَيْنَ الشُّرَكَاءِ:
Bab: Agar mushtarka ghulam ya laundi ko azad kar diya jaye.
Hadith Number: 2521
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن سالم، عن ابيه رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"من اعتق عبدا بين اثنين، فإن كان موسرا قوم عليه، ثم يعتق".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyaina ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne, un se Salim ne aur un se un ke walid ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya do sajhiyon ke darmiyan sajhe ke ghalam ko agar kisi ek sajhi ne azad kiya, to agar azad karne wala maldar hai to baqi hisson ki qeemat ka andaza kiya jaye ga. Phir (isi ki taraf se) poore ghalam ko azad kar diya jaye ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2522
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" من اعتق شركا له في عبد فكان له مال يبلغ ثمن العبد، قوم العبد عليه قيمة عدل، فاعطى شركاءه حصصهم وعتق عليه العبد، وإلا فقد عتق منه ما عتق".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Nafi ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jis ne kisi mushtarka ghalam mein apne hisse ko azad kar diya aur is ke paas itna mal hai ke ghalam ki poori qeemat ada ho sake to is ki qeemat insaf ke sath lagayi jaye gi aur baqi sajhiyon ko un ke hisse ki qeemat (isi ke mal se) de kar ghalam ko isi ki taraf se azad kar diya jaye ga. Warna ghalam ka jo hissa azad ho chuka wo ho chuka. Baqi hisson ki azadi ke liye ghalam ko khud koshish kar ke qeemat ada karni ho gi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2523
حدثنا عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من اعتق شركا له في مملوك فعليه عتقه كله إن كان له مال يبلغ ثمنه، فإن لم يكن له مال يقوم عليه قيمة عدل، فاعتق منه ما اعتق". حدثنا مسدد، حدثنا بشر، عن عبيد الله اختصره.
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, un se Abu Usama ne bayan kiya, un se Ubaidullah ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jis ne kisi mushtarka ghalam ke apne hisse ko azad kiya aur is ke paas ghalam ki poori qeemat ada karne ke liye mal bhi hai to poora ghalam ise azad karana lazim hai lekin agar is ke paas itna mal na ho jis se poore ghalam ki sahi qeemat ada ki ja sake. To phir ghalam ka jo hissa azad ho gaya wahi azad hua. Hum se Musaddad ne bayan kiya, un se Bishr ne bayan kiya aur un se Ubaidullah ne ikhtisar ke sath
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2524
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من اعتق نصيبا له في مملوك او شركا له في عبد، وكان له من المال ما يبلغ قيمته بقيمة العدل فهو عتيق". قال نافع: وإلا فقد عتق منه ما عتق، قال ايوب: لا ادري اشيء قاله نافع، او شيء في الحديث.
Hum se Abu Al-Numan ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Ayub Sakhtiyani ne, un se Nafi ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jis ne kisi (sajhe) ghalam ka apna hissa azad kar diya. Ya (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne) ye alfaz farmaye "shirkan lahu fi abdin" (shak raavi-e-hadees Ayub Sakhtiyani ko hua) aur is ke paas itna mal bhi tha jis se poore ghalam ki munasib qeemat ada ki ja sakti thi to wo ghalam poori tarah azad samjha jaye ga. (Baqi hisson ki qeemat is ko deni ho gi) Nafi ne bayan kiya warna is ka jo hissa azad ho gaya bas wo azad ho gaya. Ayub ne kaha ke mujhe maloom nahi ye (aakhri tukra) khud Nafi ne apni taraf se kaha tha ya ye bhi hadees mein shamil hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2525
حدثنا احمد بن مقدام، حدثنا الفضيل بن سليمان، حدثنا موسى بن عقبة، اخبرني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، انه كان يفتي في العبد او الامة يكون بين شركاء فيعتق احدهم نصيبه منه، يقول: قد وجب عليه عتقه كله إذا كان للذي اعتق من المال ما يبلغ، يقوم من ماله قيمة العدل، ويدفع إلى الشركاء انصباؤهم، ويخلى سبيل المعتق". يخبر ذلك ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ورواه الليث، وابن ابي ذئب، وابن إسحاق، وجويرية، ويحيى بن سعيد، وإسماعيل بن امية، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم مختصرا.
Hum se Ahmad Bin Miqdam ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fazil Bin Suleman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Musa Bin Uqbah ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh ko Nafi ne khabar di ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ghalam ya bandi ke bare mein ye fatwa diya karte thay ke agar wo kai sajhiyon ke darmiyan mushtarka ho aur ek shareek apna hissa azad kar de to Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) farmate thay ke is shaks par poore ghalam ke azad karane ki zimmedari ho gi lekin ye is soorat mein jab shaks-e-mazkoor ke paas itna mal ho jis se poore ghalam ki qeemat ada ki ja sake. Ghalam ki munasib qeemat laga kar doosre sajhiyon ko un ke hisson ke mutabiq adayigi kar di jaye gi aur ghalam ko azad kar diya jaye ga. Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ye fatwa Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal karte thay aur Lais Bin Abi Zaib, Ibn Ishaq, Juwairiyah, Yahya Bin Saeed aur Ismail Bin Umayya bhi Nafi se is hadees ko Riwayat karte hain, wo Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) se aur wo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se mukhtasar taur par
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة