الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْجَمْعِ فِي السَّفَرِ بَيْنَ الْمَغْرِبِ وَالْعِشَاءِ:
Bab: Safar mein maghrib aur isha ek sath mila kar parhna.
Hadith Number: 1107
وقال إبراهيم بن طهمان، عن الحسين المعلم، عن يحيى بن ابي كثير، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يجمع بين صلاة الظهر والعصر إذا كان على ظهر سير، ويجمع بين المغرب والعشاء.
Aur Ibrahim bin Tahman ne kaha ke un se Hussain Mu'allim ne byaan kiya , un se Yahya bin Abi Kaseer ne byaan kiya , un se Ikrimah ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam safar mein zuhar aur asar ki namaaz aik saath mila kar parhte , isi tarah maghrib aur isha ki bhi aik saath mila kar parhte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1108
وعن حسين، عن يحيى بن ابي كثير، عن حفص بن عبيد الله بن انس، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم يجمع بين صلاة المغرب والعشاء في السفر، وتابعه علي بن المبارك، وحرب، عن يحيى، عن حفص، عن انس، جمع النبي صلى الله عليه وسلم.
Aur Ibn Tahman hi ne byaan kiya ke un se Hussain ne , un se Yahya bin Abi Kaseer ne , un se Hafs bin Ubaidullah bin Anas razi Allahu anhu ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam safar mein maghrib aur isha aik saath mila kar parhte thay . Is riwayat ki mutabi'at Ali bin Mubarak aur Harb ne Yahya se ki hai . Yahya , Hafs se aur Hafs Anas razi Allahu anhu se riwayat karte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (maghrib aur isha) aik saath mila kar parhi thin .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يُؤَذِّنُ أَوْ يُقِيمُ إِذَا جَمَعَ بَيْنَ الْمَغْرِبِ وَالْعِشَاءِ:
Bab: Jab maghrib aur isha mila kar parhe to kya un ke liye azan wa takbeer kahi jayegi?
Hadith Number: 1109
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اعجله السير في السفر يؤخر صلاة المغرب حتى يجمع بينها وبين العشاء"، قال سالم: وكان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يفعله إذا اعجله السير ويقيم المغرب فيصليها ثلاثا ثم يسلم، ثم قلما يلبث حتى يقيم العشاء فيصليها ركعتين ثم يسلم، ولا يسبح بينهما بركعة ولا بعد العشاء بسجدة حتى يقوم من جوف الليل.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , kaha ke hamen Shu'aib ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Salim ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di . Aap ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko jab jaldi safar tey karna hota to maghrib ki namaaz mu'akhkhar kar dete . Phir use isha ke saath mila kar parhte thay . Salim ne byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma bhi agar safar sur'at ke saath tey karna chahte to isi tarah karte thay . Maghrib ki takbeer pehle kahi jati aur aap teen rakat maghrib ki namaaz parh kar salam pher dete . Phir maamooli se tawaqquf ke baad isha ki takbeer kahi jati aur aap is ki do rakaten parh kar salam pher dete . Donon namazon ke darmiyan aik rakat bhi sunnat waghaira na parhte aur isi tarah isha ke baad bhi namaaz nahi parhte thay . Yahan tak ke darmiyan shab mein aap uthte (aur Tahajjud ada karte) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1110
حدثنا إسحاق، حدثنا عبد الصمد، حدثنا حرب، حدثنا يحيى، قال: حدثني حفص بن عبيد الله بن انس، ان انسا رضي الله عنه حدثه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يجمع بين هاتين الصلاتين في السفر يعني المغرب والعشاء".
Hum se Ishaq ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdus Samad bin Abdul Waris ne byaan kiya . Unhon ne kaha hum se Harb bin Shaddad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Abi Kaseer ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Hafs bin Ubaidullah bin Anas ne byaan kiya ke Anas razi Allahu anhu ne un se yeh byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam in do namazon yani maghrib aur isha ko safar mein aik saath mila kar parha karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يُؤَخِّرُ الظُّهْرَ إِلَى الْعَصْرِ إِذَا ارْتَحَلَ قَبْلَ أَنْ تَزِيغَ الشَّمْسُ:
Bab: Musafir jab sooraj dhalne se pehle kuch kare to zuhr ki namaz mein asr ka waqt aane tak der kare.
Hadith Number: Q1111
ابن عباس عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is ko Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se riwayat kiya hai .
Hadith Number: 1111
حدثنا حسان الواسطي، قال: حدثنا المفضل بن فضالة، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا ارتحل قبل ان تزيغ الشمس اخر الظهر إلى وقت العصر ثم يجمع بينهما، وإذا زاغت صلى الظهر ثم ركب".
Hum se Hassan Wasiti ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mufaddal bin Fudalah ne byaan kiya , un se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam agar sooraj dhalne se pehle safar shuru karte to zuhar ki namaaz asar tak na parhte phir zuhar aur asar aik saath parhte aur agar sooraj dhal chuka hota to pehle zuhar parh lete phir sawar hote .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا ارْتَحَلَ بَعْدَ مَا زَاغَتِ الشَّمْسُ صَلَّى الظُّهْرَ ثُمَّ رَكِبَ:
Bab: Safar agar sooraj dhalne ke baad shuru ho to pehle zuhr parh le phir sawar ho.
Hadith Number: 1112
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا المفضل بن فضالة، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا ارتحل قبل ان تزيغ الشمس اخر الظهر إلى وقت العصر ثم نزل فجمع بينهما، فإن زاغت الشمس قبل ان يرتحل صلى الظهر ثم ركب".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mufaddal bin Fudalah ne byaan kiya , un se Aqeel ne , un se Ibn Shihab ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jab sooraj dhalne se pehle safar shuru karte to zuhar asar ka waqt aane tak na parhte . Phir kahin (raaste mein) theharte aur zuhar aur asar mila kar parhte lekin agar safar shuru karne se pehle sooraj dhal chuka hota to pehle zuhar parhte phir sawar hote .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَلاَةِ الْقَاعِدِ:
Bab: Namaz baith kar parhne ka bayan.
Hadith Number: 1113
حدثنا قتيبة بن سعيد، عن مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، انها قالت:" صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم في بيته وهو شاك فصلى جالسا وصلى وراءه قوم قياما، فاشار إليهم ان اجلسوا، فلما انصرف قال: إنما جعل الإمام ليؤتم به، فإذا ركع فاركعوا وإذا رفع فارفعوا".
Hum se Qutaibah bin Saeed ne byaan kiya , un se Imam Malik rahimahullah ne , un se Hisham bin Urwah ne , un se un ke baap Urwah ne , un se Ayesha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bimar thay is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apne ghar mein baith kar namaaz parhayi , baaz log Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche kharay ho kar parhne lage . Lekin Aap salla Allahu alaihi wasallam ne unhen isharah kiya ke baith jao . Namaaz se farigh hone ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke imam is liye hai ke us ki pairwi ki jaye is liye jab woh ruku kare to tum bhi ruku karo aur jab woh sar uthaye to tum bhi sar uthao .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1114
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا ابن عيينة، عن الزهري، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" سقط رسول الله صلى الله عليه وسلم من فرس فخدش او فجحش شقه الايمن، فدخلنا عليه نعوده، فحضرت الصلاة فصلى قاعدا فصلينا قعودا، وقال: إنما جعل الإمام ليؤتم به، فإذا كبر فكبروا، وإذا ركع فاركعوا، وإذا رفع فارفعوا، وإذا قال سمع الله لمن حمده فقولوا ربنا ولك الحمد".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne Zuhri se byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ghoray se gir pare aur is ki wajah se Aap salla Allahu alaihi wasallam ke daayin pehlu par zakham aa gaye . Hum mizaaj pursi ke liye gaye to namaaz ka waqt aa gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne baith kar namaaz parhayi . Hum ne bhi baith kar Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche namaaz parhi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne isi mauqa par farmaya tha ke imam is liye hai taake us ki pairwi ki jaye . Is liye jab woh takbeer kahe to tum bhi takbeer kaho , jab woh ruku kare to tum bhi ruku karo , jab woh sar uthaye to tum bhi sar uthao aur jab woh «sami Allahu liman hamidah» kahe to tum «Rabbana wa lakal hamd» kaho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1115
حدثنا إسحاق بن منصور، قال: اخبرنا روح بن عبادة، اخبرنا حسين، عن عبد الله بن بريدة، عن عمران بن حصين رضي الله عنه، انه سال نبي الله صلى الله عليه وسلم، واخبرنا إسحاق، قال: اخبرنا عبد الصمد، قال: سمعت ابي، قال: حدثنا الحسين، عن ابي بريدة، قال:حدثني عمران بن حصين، وكان مبسورا قال: سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم عن صلاة الرجل قاعدا، فقال:" إن صلى قائما فهو افضل، ومن صلى قاعدا فله نصف اجر القائم، ومن صلى نائما فله نصف اجر القاعد".
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , unhon ne kaha hamen Rooh bin Ubadah ne khabar di , unhon ne kaha hamen Hussain ne khabar di , unhen Abdullah bin Buraidah ne , unhen Imran bin Hussain razi Allahu anhuma ne ke aap ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poocha (doosri sanad) aur hamen Ishaq bin Mansoor ne khabar di , kaha ke hamen Abdus Samad ne khabar di , kaha ke main ne apne baap Abdul Waris se suna , kaha ke hum se Hussain ne byaan kiya aur un se Ibn Buraidah ne kaha ke mujh se Imran bin Hussain razi Allahu anhuma ne byaan kiya , woh bawaseer ke mareez thay unhon ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kisi aadmi ke baith kar namaaz parhne ke baare mein poocha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke afzal yahi hai ke kharay ho kar parhe kyunki baith kar parhne wale ko kharay ho kar parhne wale se aadha sawab milta hai aur laitay laitay parhne wale ko baith kar parhne wale se aadha sawab milta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة