الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ يَقْصُرُ إِذَا خَرَجَ مِنْ مَوْضِعِهِ:
Bab: Jab aadmi safar ki niyyat se apni basti se nikal jaye to qasr kare.
Hadith Number: Q1089
وخرج علي بن ابي طالب عليه السلام فقصر وهو يرى البيوت فلما رجع قيل له هذه الكوفة قال لا حتى ندخلها.
Aur Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu (Kufa se safar ke iradah se) nikle to namaaz qasar karni usi waqt se shuru kar di jab abhi Kufa ke makanat dikhayi de rahe thay aur phir wapsi ke waqt bhi jab aap ko bataya gaya ke yeh Kufa saamne hai to aap ne farmaya ke jab tak hum shehar mein daakhil na ho jayen namaaz poori nahi parhen ge .
Hadith Number: 1089
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا سفيان، عن محمد بن المنكدر، وإبراهيم بن ميسرة، عن انس رضي الله عنه، قال:" صليت الظهر مع النبي صلى الله عليه وسلم بالمدينة اربعا وبذي الحليفة ركعتين".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sufyan ne , Muhammad bin Munkadir aur Ibrahim bin Maysarah se byaan kiya , un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Madina Munawwarah mein zuhar ki chaar rakat parhi aur Zul-Hulaifah mein asar ki do rakat parhi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1090
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثنا سفيان، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" الصلاة اول ما فرضت ركعتين، فاقرت صلاة السفر واتمت صلاة الحضر"، قال الزهري: فقلت لعروة: ما بال عائشة تتم، قال: تاولت ما تاول عثمان.
Hum se Abdullah bin Muhammad Musnadi ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne Zuhri se byaan kiya , un se Urwah ne aur un se Ayesha razi Allahu anha ne kaha ke pehle namaaz do rakat farz hui thi baad mein safar ki namaaz to apni isi halat par reh gayi albatta hazar ki namaaz poori (chaar rakat) kar di gayi . Zuhri ne byaan kiya ke main ne Urwah se poocha ke phir khud Ayesha razi Allahu anha ne kyun namaaz poori parhi thi unhon ne is ka jawab yeh diya ke Usman razi Allahu anhu ne is ki jo taweel ki thi wahi unhon ne bhi ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يُصَلِّي الْمَغْرِبَ ثَلاَثًا فِي السَّفَرِ:
Bab: Maghrib ki namaz safar mein bhi teen hi rak’at hain.
Hadith Number: 1091
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، قال: رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اعجله السير في السفر يؤخر المغرب حتى يجمع بينها وبين العشاء، قال سالم: وكان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يفعله إذا اعجله السير.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamen Shu'aib ne khabar di , Zuhri se unhon ne kaha ke mujhe Salim ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di aap ne farmaya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha jab safar mein chalne ki jaldi hoti to Aap salla Allahu alaihi wasallam maghrib ki namaaz der se parhte yahan tak ke maghrib aur isha aik saath mila kar parhte . Salim ne kaha ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ko bhi jab safar mein jaldi hoti to is tarah karte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1092
وزاد الليث قال: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال سالم: كان ابن عمر رضي الله عنهما يجمع بين المغرب والعشاء بالمزدلفة، قال سالم: واخر ابن عمر المغرب وكان استصرخ على امراته صفية بنت ابي عبيد فقلت له: الصلاة، فقال: سر، فقلت: الصلاة، فقال: سر، حتى سار ميلين او ثلاثة، ثم نزل فصلى، ثم قال: هكذا رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي إذا اعجله السير، وقال عبد الله:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم إذا اعجله السير يؤخر المغرب فيصليها ثلاثا ثم يسلم، ثم قلما يلبث حتى يقيم العشاء فيصليها ركعتين ثم يسلم، ولا يسبح بعد العشاء حتى يقوم من جوف الليل".
Laith bin Saad ne is riwayat mein itna ziyada kiya ke mujh se Yunus ne Ibn Shihab se byaan kiya , ke Salim ne byaan kiya ke Ibn Umar razi Allahu anhuma Muzdalifah mein maghrib aur isha aik saath jama kar ke parhte thay . Salim ne kaha ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne maghrib ki namaaz us din der mein parhi thi jab unhen un ki biwi Safiyyah bint Abi Ubaid ki sakht bimari ki ittila mili thi (chalte huay) main ne kaha ke namaaz! (yani waqt khatam hua chahta hai) lekin aap ne farmaya ke chale chalo phir dobara main ne kaha ke namaaz! aap ne phir farmaya ke chale chalo is tarah jab hum do ya teen meel nikal gaye to aap utre aur namaaz parhi phir farmaya ke main ne khud dekha hai ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam safar mein tezi ke saath chalna chahte to isi tarah karte thay Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne yeh bhi farmaya ke main ne khud dekha ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (manzil-e-maqsood tak) jaldi pohanchna chahte to pehle maghrib ki takbeer kehlwate aur Aap is ki teen rakat parha kar salam pherte . Phir thori der thehar kar isha parhate aur is ki do hi rakat par salam pherte . Isha ke farz ke baad aap sunnaten waghaira nahi parhte thay aadhi raat ke baad kharay ho kar namaaz parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَلاَةِ التَّطَوُّعِ عَلَى الدَّوَابِّ وَحَيْثُمَا تَوَجَّهَتْ بِهِ:
Bab: Nafl namaz sawari par, agarche sawari ka rukh kisi taraf ho.
Hadith Number: 1093
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا عبد الاعلى، قال: حدثنا معمر، عن الزهري، عن عبد الله بن عامر بن ربيعة، عن ابيه، قال:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم يصلي على راحلته حيث توجهت به".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul A'la ne byaan kiya , kaha ke hum se Ma'mar ne Zuhri se byaan kiya , un se Abdullah bin Aamir ne aur un se un ke baap ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke oontni par namaaz parhte rehte khwah us ka munh kisi taraf ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1094
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن محمد بن عبد الرحمن، ان جابر بن عبد الله اخبره،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي التطوع وهو راكب في غير القبلة".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shayban ne kaha , un se Yahya ne byaan kiya , un se Muhammad bin Abdur Rahman ne byaan kiya , ke Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne unhen khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam nafil namaaz apni oontni par ghair qibla ki taraf munh kar ke bhi parhte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1095
حدثنا عبد الاعلى بن حماد، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا موسى بن عقبة، عن نافع، قال:" وكان ابن عمر رضي الله عنهما يصلي على راحلته ويوتر عليها، ويخبر ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يفعله".
Hum se Abul A'la bin Hammad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Wuhaib ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Musa bin Uqbah ne byaan kiya , un se Nafey ne byaan kiya , unhon ne kaha ke Ibn Umar razi Allahu anhuma nafil namaaz sawari par parhte thay . Isi tarah witr bhi . Aur farmate ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi aisa karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِيمَاءِ عَلَى الدَّابَّةِ:
Bab: Sawari par ishare se namaz parhna.
Hadith Number: 1096
حدثنا موسى، قال: حدثنا عبد العزيز بن مسلم، قال: حدثنا عبد الله بن دينار، قال:" كان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما يصلي في السفر على راحلته اينما توجهت يومئ، وذكر عبد الله ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يفعله".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdul Aziz bin Muslim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdullah bin Dinar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma safar mein apni oontni par namaaz parhte khwah us ka munh kisi taraf hota . Aap isharon se namaaz parhte . Aap ka byaan tha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi isi tarah karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ يَنْزِلُ لِلْمَكْتُوبَةِ:
Bab: Namazi farz namaz ke liye sawari se utar jaye.
Hadith Number: 1097
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبد الله بن عامر بن ربيعة، ان عامر بن ربيعة اخبره، قال: رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو على الراحلة يسبح يومئ براسه قبل اي وجه توجه، ولم يكن رسول الله صلى الله عليه وسلم يصنع ذلك في الصلاة المكتوبة.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya unhon ne kaha ke hum se Laith ne byaan kiya , un se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , un se Abdullah bin Aamir bin Rabee'ah ne ke Aamir bin Rabee'ah ne unhen khabar di unhon ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko oontni par namaaz nafil parhte dekha . Aap salla Allahu alaihi wasallam sar ke isharon se parh rahe thay is ka khayal kiye baghair ke sawari ka munh kidhar hota hai lekin farz namazon mein Aap salla Allahu alaihi wasallam is tarah nahi karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة