الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ يَنْزِلُ لِلْمَكْتُوبَةِ:
Bab: Namazi farz namaz ke liye sawari se utar jaye.
Hadith Number: 1098
وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: قال سالم: كان عبد الله يصلي على دابته من الليل وهو مسافر ما يبالي حيث ما كان وجهه، قال ابن عمر:" وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يسبح على الراحلة قبل اي وجه توجه ويوتر عليها، غير انه لا يصلي عليها المكتوبة".
Aur Laith bin Saad ne byaan kiya ke mujh se Yunus ne byaan kiya , unhon ne Ibn Shihab ke waasta se byaan kiya unhon ne kaha ke Salim ne byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma safar mein raat ke waqt apne janwar par namaaz parhte kuch parwah na karte ke us ka munh kis taraf hai . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi oontni par nafil namaaz parha karte chahe us ka munh kidhar hi ho aur witr bhi sawari par parh lete thay albatta farz is par nahi parhte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1099
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن محمد بن عبد الرحمن بن ثوبان، قال: حدثني جابر بن عبد الله،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي على راحلته نحو المشرق، فإذا اراد ان يصلي المكتوبة نزل فاستقبل القبلة".
Hum se Muaz bin Fudalah ne byaan kiya kaha ke hum se Hisham ne Yahya se byaan kiya un se Muhammad bin Abdur Rahman bin Sauban ne byaan kiya unhon ne byaan kiya ke mujh se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni oontni par mashriq ki taraf munh kiye huay namaaz parhte thay aur jab farz parhte to sawari se utar jate aur phir qibla ki taraf rukh kar ke parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَلاَةِ التَّطَوُّعِ عَلَى الْحِمَارِ:
Bab: Nafl namaz gadhe par baithe hue ada karna.
Hadith Number: 1100
حدثنا احمد بن سعيد، قال: حدثنا حبان، قال: حدثنا همام، قال: حدثنا انس بن سيرين، قال:" استقبلنا انسا بن مالك حين قدم من الشام، فلقيناه بعين التمر فرايته يصلي على حمار ووجهه من ذا الجانب يعني عن يسار القبلة، فقلت: رايتك تصلي لغير القبلة، فقال: لولا اني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم فعله لم افعله"، رواه إبراهيم ابن طهمان، عن حجاج، عن انس بن سيرين، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ahmad bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke hum se Hibban bin Hilal ne byaan kiya , kaha ke hum se Hammam bin Yahya ne byaan kiya , kaha ke hum se Anas bin Sireen ne byaan kiya , unhon ne kaha ke Anas razi Allahu anhu Shaam se jab (Hajjaj ki khalifa se shikayat kar ke) wapas huay to hum un se Ain al-Tamr mein mile . Main ne dekha ke aap gadhay par sawar ho kar namaaz parh rahe thay aur aap ka munh qibla se baayin taraf tha . Is par main ne kaha ke main ne aap ko qibla ke siwa doosri taraf munh kar ke namaaz parhte huay dekha hai . Unhon ne jawab diya ke agar main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko aisa karte na dekhta to main bhi na karta . Is riwayat ko Ibrahim Ibn Tahman ne bhi Hajjaj se , unhon ne Anas bin Sireen se , unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se byaan kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يَتَطَوَّعْ فِي السَّفَرِ دُبُرَ الصَّلاَةِ وَقَبْلَهَا:
Bab: Safar mein jis ne farz namaz se pehle aur peechhe sunnaton ko nahi parha.
Hadith Number: 1101
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: حدثني عمر بن محمد، ان حفص بن عاصم حدثه، قال:" سافر ابن عمر رضي الله عنهما، فقال: صحبت النبي صلى الله عليه وسلم فلم اره يسبح في السفر، وقال الله جل ذكره: لقد كان لكم في رسول الله اسوة حسنة سورة الاحزاب آية 21".
Hum se Yahya bin Sulaiman Kufi ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , kaha ke mujh se Umar bin Muhammad bin Yazid ne byaan kiya ke Hafs bin Asim bin Umar ne un se byaan kiya ke main ne safar mein sunnaton ke mutaliq Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se poocha aap ne farmaya ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki sohbat mein raha hoon . Main ne Aap ko safar mein kabhi sunnaten parhte nahi dekha aur Allah jalla zikruhu ka irshad hai ke tumhare liye Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki zindagi behtareen namuna hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1102
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن عيسى بن حفص بن عاصم، قال: حدثني ابي، انه سمع ابن عمر يقول:" صحبت رسول الله صلى الله عليه وسلم فكان لا يزيد في السفر على ركعتين"، وابا بكر، وعمر، وعثمان كذلك رضي الله عنهم.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Isa bin Hafs bin Asim ne , unhon ne kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya , unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ko yeh farmate suna ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki sohbat mein raha hoon , Aap salla Allahu alaihi wasallam safar mein do rakat (farz) se ziyada nahi parha karte thay . Abu Bakr , Umar aur Usman razi Allahu anhum bhi aisa hi karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ تَطَوَّعَ فِي السَّفَرِ فِي غَيْرِ دُبُرِ الصَّلَوَاتِ وَقَبْلَهَا:
Bab: Farz namazon ke baad aur pehli sunnaton ke ilawa aur doosre nafl safar mein parhna.
Hadith Number: Q1103
وركع النبي صلى الله عليه وسلم ركعتي الفجر في السفر.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne safar mein fajr ki sunnaton ko parha hai .
Hadith Number: 1103
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، عن عمرو، عن ابن ابي ليلى، قال:" ما اخبرنا احد انه راى النبي صلى الله عليه وسلم صلى الضحى غير ام هانئ، ذكرت ان النبي صلى الله عليه وسلم يوم فتح مكة اغتسل في بيتها، فصلى ثماني ركعات فما رايته صلى صلاة اخف منها، غير انه يتم الركوع والسجود".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha ke hum se Shu'bah ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Ibn Abi Laila ne , unhon ne kaha ke hamen kisi ne yeh khabar nahi di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko unhon ne chasht ki namaaz parhte dekha haan Umm Hani razi Allahu anha ka byaan hai ke Fatah Makkah ke din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke ghar ghusal kiya tha aur is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aath rakaten parhi thin , main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi itni halki phulki namaaz parhte nahi dekha albatta Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku aur sajdah poori tarah karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1104
وقال الليث: حدثني يونس، عن ابن شهاب، قال: حدثني عبد الله بن عامر، ان اباه اخبره، انه" راى النبي صلى الله عليه وسلم صلى السبحة بالليل في السفر على ظهر راحلته حيث توجهت به".
Aur Laith bin Saad rahimahullah ne kaha ke mujh se Yunus ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne , unhon ne kaha ke mujh se Abdullah bin Aamir bin Rabee'ah ne byaan kiya ke unhen un ke baap ne khabar di ke unhon ne khud dekha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam (raat mein) safar mein nafil namazen sawari par parhte thay , woh jidhar Aap salla Allahu alaihi wasallam ko le jati udhar hi sahi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1105
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم بن عبد الله، عن ابن عمر رضي الله عنهما،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يسبح على ظهر راحلته حيث كان وجهه يومئ براسه"، وكان ابن عمر يفعله.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamen Shu'aib ne khabar di , unhen Zuhri ne aur unhen Salim bin Abdullah bin Umar ne apne baap Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam apni oontni ki peeth par khwah us ka munh kisi taraf hota nafil namaaz sar ke isharon se parhte thay . Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma bhi isi tarah kiya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْجَمْعِ فِي السَّفَرِ بَيْنَ الْمَغْرِبِ وَالْعِشَاءِ:
Bab: Safar mein maghrib aur isha ek sath mila kar parhna.
Hadith Number: 1106
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: سمعت الزهري، عن سالم، عن ابيه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يجمع بين المغرب والعشاء إذا جد به السير".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Zuhri se suna , unhon ne Salim se aur unhon ne apne baap Abdullah bin Umar se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko agar safar mein jald chalna manzoor hota to maghrib aur isha aik saath mila kar parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة