الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ كَلاَمِ الإِمَامِ وَالنَّاسِ فِي خُطْبَةِ الْعِيدِ، وَإِذَا سُئِلَ الإِمَامُ عَنْ شَيْءٍ وَهْوَ يَخْطُبُ:
Bab: Eid ke khutbe mein imam ka aur logon ka baatein karna.
Show diacritics
Hadith Number: Q983
وإذا سئل الإمام عن شيء وهو يخطب.‏
Aur Imam ka jawab dena jab khutbe mein us se kuch poocha jaye .


Show diacritics
Hadith Number: 983
حدثنا مسدد، قال: حدثنا ابو الاحوص، قال: حدثنا منصور بن المعتمر، عن الشعبي، عن البراء بن عازب، قال: خطبنا رسول الله صلى الله عليه وسلم يوم النحر بعد الصلاة، فقال:" من صلى صلاتنا ونسك نسكنا فقد اصاب النسك، ومن نسك قبل الصلاة فتلك شاة لحم، فقام ابو بردة بن نيار، فقال: يا رسول الله والله لقد نسكت قبل ان اخرج إلى الصلاة وعرفت ان اليوم يوم اكل وشرب فتعجلت واكلت واطعمت اهلي وجيراني، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: تلك شاة لحم، قال: فإن عندي عناق جذعة هي خير من شاتي لحم فهل تجزي عني، قال: نعم، ولن تجزي عن احد بعدك".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu al-Ahwas Salam bin Sulaym ne byaan kiya , kaha ke hum se Mansoor bin Mutamar ne byaan kiya ke in se Aamir Shabi ne , in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne , unhon ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Baqar Eid ke din namaaz ke baad khutbah diya aur farmaya ke jis ne hamari tarah ki namaaz parhi aur hamari tarah ki qurbani ki , us ki qurbani durust hui . Lekin jis ne namaaz se pehle qurbani ki to woh zabiha sirf gosht khane ke liye hoga . Is par Abu Burdah bin Niyar ne arz kiya ke ya Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam qasam Allah ki main ne to namaaz ke liye aane se pehle qurbani kar li main ne yeh samjha ke aaj ka din khane peene ka din hai . Isi liye main ne jaldi ki aur khud bhi khaya aur ghar walon ko aur parosiyon ko bhi khilaya . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bahar-haal yeh gosht (khane ka) hua (qurbani nahi) unhon ne arz kiya ke mere paas aik bakri ka saal bhar ka bacha hai woh do bakriyon ke gosht se zyada behtar hai . Kya meri (taraf se is ki) qurbani durust hogi? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan magar tumhare baad kisi ki taraf se aise bachay ki qurbani kaafi na hogi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 984
حدثنا حامد بن عمر، عن حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، ان انس بن مالك قال:" إن رسول الله صلى الله عليه وسلم صلى يوم النحر، ثم خطب، فامر من ذبح قبل الصلاة ان يعيد ذبحه، فقام رجل من الانصار فقال: يا رسول الله جيران لي إما قال بهم خصاصة وإما قال بهم فقر وإني ذبحت قبل الصلاة وعندي عناق لي احب إلي من شاتي لحم، فرخص له فيها".
Hum se Hamid bin Amr ne byaan kiya , in se Hammad bin Zayd ne , in se Ayub Sakhtiyani ne , in se Muhammad ne , in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Baqar Eid ke din namaaz parh kar khutbah diya Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis shakhs ne namaaz se pehle jaanwar zibah kar liya use dobara qurbani karni hogi . Is par Ansar mein se aik sahab uthe ke ya Rasool Allah! mere kuch ghareeb bhookay parosi hain ya yun kaha woh muhtaaj hain . Is liye main ne namaaz se pehle zibah kar diya albatta mere paas aik saal ki aik pathiya hai jo do bakriyon ke gosht se bhi zyada mujhe pasand hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne unhein ijazat de di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 985
حدثنا مسلم، قال: حدثنا شعبة، عن الاسود، عن جندب، قال:" صلى النبي صلى الله عليه وسلم يوم النحر، ثم خطب، ثم ذبح، فقال: من ذبح قبل ان يصلي فليذبح اخرى مكانها، ومن لم يذبح فليذبح باسم الله".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , in se Aswad bin Qais ne , in se Jundub ne , unhon ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Baqar Eid ke din namaaz parhne ke baad khutbah diya phir qurbani ki . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne namaaz se pehle zibah kar liya ho to use doosra jaanwar badla mein qurbani karna chahiye aur jis ne namaaz se pehle zibah na kiya ho woh Allah ke naam par zibah kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ خَالَفَ الطَّرِيقَ إِذَا رَجَعَ يَوْمَ الْعِيدِ:
Bab: Jo shakhs eidgah ko ek raaste se jaye woh ghar ko doosre raaste se aaye.
Show diacritics
Hadith Number: 986
حدثنا محمد، قال: اخبرنا ابو تميلة يحيى بن واضح، عن فليح بن سليمان، عن سعيد بن الحارث، عن جابر، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا كان يوم عيد خالف الطريق"، تابعه يونس بن محمد، عن فليح، وقال محمد بن الصلت، عن فليح، عن سعيد، عن ابي هريرة وحديث جابر اصح.
Hum se Muhammad bin Salam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Abu Tumaila Yahya bin Waazih ne khabar di , unhein Fulaikh bin Sulayman ne , unhein Saeed bin Harith ne , unhein Jabir razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Eid ke din aik raasta se jaate phir doosra raasta badal kar aate . Is riwayat ki mutabi'at Yunus bin Muhammad ne Fulaikh se ki , in se Saeed ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya lekin Jabir ki riwayat zyada sahi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا فَاتَهُ الْعِيدُ يُصَلِّي رَكْعَتَيْنِ:
Bab: Agar kisi ko jama’at se eid ki namaz na mile to phir do rak’at parh le.
Show diacritics
Hadith Number: Q987
لقول النبي صلى الله عليه وسلم هذا عيدنا اهل الإسلام وامر انس بن مالك مولاهم ابن ابي عتبة بالزاوية فجمع اهله وبنيه وصلى كصلاة اهل المصر وتكبيرهم، وقال عكرمة: اهل السواد يجتمعون في العيد يصلون ركعتين كما يصنع الإمام، وقال عطاء: إذا فاته العيد صلى ركعتين.
Aur auraten bhi aisa hi karein aur woh log bhi jo gharon aur dehaton waghaira mein hon aur jamaat mein na aa sakein (woh bhi aisa hi karein) kyunke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka farmaan hai ke Islam walo! yeh hamari Eid hai . Anas bin Malik razi Allahu anhu ke ghulam Ibn Abi Utbah Zawiya nami gaon mein rehte thay . Unhein Aap ne hukm diya tha ke woh apne ghar walon aur bachon ko jama kar ke shehar walon ki tarah namaaz-e-Eid parhein aur takbeer kahein . Ikrima ne shehar ke qurb o jawar mein aabaad logon ke liye farmaya ke jis tarah Imam karta hai yeh log bhi Eid ke din jama ho kar do rakat namaaz parhein . Ata ne kaha ke agar kisi ki Eid ki namaaz (jamaat) chhoot jaye to do rakat (tanha) parh le .


Show diacritics
Hadith Number: 987
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة،" ان ابا بكر رضي الله عنه دخل عليها وعندها جاريتان في ايام منى تدففان وتضربان والنبي صلى الله عليه وسلم متغش بثوبه، فانتهرهما ابو بكر فكشف النبي صلى الله عليه وسلم عن وجهه، فقال: دعهما يا ابا بكر، فإنها ايام عيد وتلك الايام ايام منى.
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha ke in se Layth bin Saad ne byaan kiya , in se Aqeel ne , in se Ibn Shihab ne , in se Urwah ne , in se Aisha razi Allahu anha ne kaha Abu Bakr razi Allahu anhu in ke yahan (Mina ke dinon mein) tashreef laaye is waqt ghar mein do larki'an daf baja rahi theen aur Bu'as ki larayi ki nazmein ga rahi theen . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chehra mubarak par kapra daale hue tashreef farma thay . Abu Bakr razi Allahu anhu ne in dono ko danta . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne chehra mubarak se kapra hata kar farmaya ke Abu Bakr jaane bhi do yeh Eid ke din hain (aur woh bhi Mina mein) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 988
وقالت عائشة: رايت النبي صلى الله عليه وسلم يسترني وانا انظر إلى الحبشة وهم يلعبون في المسجد فزجرهم عمر، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: دعهم امنا بني ارفدة يعني من الامن".
Aur Aisha razi Allahu anha ne kaha main ne (aik dafa) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekha ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe chhupa rakkha tha aur main Habshah ke logon ko dekh rahi thi jo masjid mein teeron se khel rahe thay . Umar razi Allahu anhu ne unhein danta lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jaane do aur un se farmaya ay Bani Arfidah! tum be-fikr ho kar khel dikhao .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّلاَةِ قَبْلَ الْعِيدِ وَبَعْدَهَا:
Bab: Eidgah mein eid ki namaz se pehle ya us ke baad nafl namaz parhna kaisa hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q989
وقال ابو المعلى: سمعت سعيدا عن ابن عباس كره الصلاة قبل العيد.
Aur Abu Ma'la Yahya bin Maymun ne kaha ke main ne Saeed se suna , woh Ibn Abbas razi Allahu anhuma se riwayat karte thay ke Aap Eid se pehle nafal namaaz parhna makrooh jaante thay .


Show diacritics
Hadith Number: 989
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثني عدي بن ثابت، قال: سمعت سعيد بن جبير، عن ابن عباس،" ان النبي صلى الله عليه وسلم خرج يوم الفطر فصلى ركعتين لم يصل قبلها ولا بعدها ومعه بلال".
Hum se Abu Waleed ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke mujhe Adi bin Sabit ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna , woh Ibn Abbas razi Allahu anhuma se byaan karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Eid ul-Fitr ke din nikle aur (Eidgah) mein do rakat namaaz-e-Eid parhi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne na is se pehle nafal namaaz parhi aur na is ke baad . Aap salla Allahu alaihi wasallam ke sath Bilal razi Allahu anhu bhi thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة