الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْمَشْيِ وَالرُّكُوبِ إِلَى الْعِيدِ بِغَيْرِ أَذَانٍ وَلاَ إِقَامَةٍ:
Bab: Namaz-e-eid ke liye paidal ya sawar ho kar jana aur namaz ka, khutba se pehle, azan aur iqamat ke baghair hona.
Show diacritics
Hadith Number: 958
حدثنا إبراهيم بن موسى، قال: اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم قال: اخبرني عطاء، عن جابر بن عبد الله، قال: سمعته يقول" إن النبي صلى الله عليه وسلم خرج يوم الفطر فبدا بالصلاة قبل الخطبة".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha ke hamein Hisham ne khabar di ke Ibn Jurayj ne unhein khabar di , unhon ne kaha ke mujhe Ata bin Abi Rabah ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se khabar di ke Aap ko mein ne yeh kehte hue suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Eid ul-Fitr ke din Eidgah tashreef le gaye to pehle namaaz parhi phir khutbah sunaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 959
قال قال واخبرني عطاء، ان ابن عباس ارسل إلى ابن الزبير في اول ما بويع له" إنه لم يكن يؤذن بالصلاة يوم الفطر إنما الخطبة بعد الصلاة".
Phir Ibn Jurayj ne kaha ke mujhe Ata ne khabar di ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Ibn Zubair razi Allahu anhu ke paas aik shakhs ko us zamana mein bheja jab (shuroo shuroo un ki khilafat ka zamana tha Aap ne kahlaya ke) Eid ul-Fitr ki namaaz ke liye azaan nahi di jati thi aur khutbah namaaz ke baad hota tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 960
واخبرني عطاء، عن ابن عباس، وعن جابر بن عبد الله، قالا:" لم يكن يؤذن يوم الفطر ولا يوم الاضحى".
Aur mujhe Ata ne Ibn Abbas aur Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ke waasta se khabar di ke Eid ul-Fitr aur Eid al-Adha ki namaaz ke liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Khulafa-e-Rashideen ke ahd mein azaan nahi di jati thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 961
وعن جابر بن عبد الله، قال: سمعته يقول:" إن النبي صلى الله عليه وسلم قام فبدا بالصلاة، ثم خطب الناس بعد، فلما فرغ نبي الله صلى الله عليه وسلم نزل فاتى النساء فذكرهن وهو يتوكا على يد بلال، وبلال باسط ثوبه يلقي فيه النساء صدقة"، قلت لعطاء: اترى حقا على الإمام الآن ان ياتي النساء فيذكرهن حين يفرغ، قال: إن ذلك لحق عليهم وما لهم ان لا يفعلوا.
Aur Jabir bin Abdullah se riwayat hai ke (Eid ke din) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kharay hue , pehle Aap salla Allahu alaihi wasallam ne namaaz parhi phir khutbah diya , is se farigh ho kar Aap salla Allahu alaihi wasallam auraton ki taraf gaye aur unhein nasihat ki . Aap salla Allahu alaihi wasallam Bilal razi Allahu anhu ke haath ka sahara liye hue thay aur Bilal razi Allahu anhu ne apna kapra phaila rakkha tha , auraten is mein khairat daal rahi theen . Main ne is par Ata se poocha ke kya is zamana mein bhi aap Imam par yeh haq samajhte hain ke namaaz se farigh hone ke baad woh auraton ke paas aa kar unhein nasihat kare . Unhon ne farmaya ke beshak yeh un par haq hai aur sabab kya jo woh aisa na karein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْخُطْبَةِ بَعْدَ الْعِيدِ:
Bab: Eid mein namaz ke baad khutba parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 962
حدثنا ابو عاصم، قال: اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني الحسن بن مسلم، عن طاوس، عن ابن عباس، قال:" شهدت العيد مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، وابي بكر، وعمر، وعثمان رضي الله عنهم فكلهم كانوا يصلون قبل الخطبة".
Hum se Abu Aasim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Ibn Jurayj ne khabar di , unhon ne kaha mujhe Hasan bin Muslim ne khabar di , unhein Tawus ne , unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne Aap ne farmaya ke main Eid ke din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar aur Usman razi Allahu anhum sab ke sath gaya hoon yeh log pehle namaaz parhte , phir khutbah diya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 963
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، قال: حدثنا ابو اسامة، قال: حدثنا عبيد الله، عن نافع، عن ابن عمر، قال:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم، وابو بكر، وعمر رضي الله عنهما يصلون العيدين قبل الخطبة".
Hum se Yaqub bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Usamah Hammad bin Abu Usamah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ubaidullah ne Nafi se byaan kiya , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam , Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma Eidein ki namaaz khutbah se pehle parha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 964
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن عدي بن ثابت، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس،" ان النبي صلى الله عليه وسلم صلى يوم الفطر ركعتين لم يصل قبلها ولا بعدها، ثم اتى النساء ومعه بلال فامرهن بالصدقة، فجعلن يلقين تلقي المراة خرصها وسخابها".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne , unhon ne Adi bin Sabit se , unhon ne Saeed bin Jubayr se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Eid ul-Fitr ke din do rakatein parhein na in se pehle koi nafal parha na in ke baad . Phir (khutbah parh kar) Aap salla Allahu alaihi wasallam auraton ke paas aaye aur Bilal Aap ke sath thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne auraton se farmaya khairat karo . Woh khairat dene lageen koi apni baali paish karne lagi koi apna haar dene lagi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 965
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة قال: حدثنا زبيد، قال: سمعت الشعبي، عن البراء بن عازب، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:"إن اول ما نبدا في يومنا هذا ان نصلي، ثم نرجع فننحر، فمن فعل ذلك فقد اصاب سنتنا، ومن نحر قبل الصلاة فإنما هو لحم قدمه لاهله ليس من النسك في شيء"، فقال رجل من الانصار يقال له ابو بردة بن نيار: يا رسول الله ذبحت وعندي جذعة خير من مسنة، فقال: اجعله مكانه، ولن توفي او تجزي عن احد بعدك.
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Zubayd ne byaan kiya , kaha ke main ne Shabi se suna , un se Bara bin Azib ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hum is din pehle namaaz parhein ge phir khutbah ke baad wapas ho kar qurbani karein ge . Jis ne is tarah kiya us ne hamari Sunnat ke mutabiq amal kiya aur jis ne namaaz se pehle qurbani ki to us ka zabiha gosht ka jaanwar hai jise woh ghar walon ke liye laya hai , qurbani se us ka koi bhi talluq nahi . Aik Ansari razi Allahu anhu jin ka naam Abu Burdah bin Niyar tha bole ke ya Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam main ne to (namaaz se pehle hi) qurbani kar di lekin mere paas aik saal ki pathiya hai jo dondi hui bakri se bhi achhi hai . Aap ne salla Allahu alaihi wasallam farmaya ke achha isi ko bakri ke badla mein qurbani kar lo aur tumhare baad yeh kisi aur ke liye kaafi na hogi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنْ حَمْلِ السِّلاَحِ فِي الْعِيدِ وَالْحَرَمِ:
Bab: Eid ke din aur haram ke andar hathyaar baandhna makrooh hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q966
وقال الحسن نهوا ان يحملوا السلاح يوم عيد إلا ان يخافوا عدوا.
Aur Imam Hasan Basri rahmahu Allah ne farmaya ke Eid ke din hathiyar le jaane ki mamanat thi magar jab dushman ka khauf hota .


Show diacritics
Hadith Number: 966
حدثنا زكرياء بن يحيى ابو السكين، قال: حدثنا المحاربي، قال: حدثنا محمد بن سوقة، عن سعيد بن جبير، قال:" كنت مع ابن عمر حين اصابه سنان الرمح في اخمص قدمه، فلزقت قدمه بالركاب فنزلت فنزعتها وذلك بمنى فبلغ الحجاج فجعل يعوده، فقال الحجاج: لو نعلم من اصابك، فقال ابن عمر: انت اصبتني، قال: وكيف؟ قال: حملت السلاح في يوم لم يكن يحمل فيه، وادخلت السلاح الحرم ولم يكن السلاح يدخل الحرم".
Hum se Zakaria bin Yahya Abu al-Sakeen ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdur Rahman Muharibi ne byaan kiya , kaha ke hum se Muhammad bin Suqa ne Saeed bin Jubayr se byaan kiya , unhon ne kaha ke main (Haj ke din) Ibn Umar razi Allahu anhuma ke sath tha jab neze ki ani Aap ke talway mein chubh gayi jis ki wajah se Aap ka paon rakab se chipak gaya . Tab main ne utar kar ise nikala . Yeh waqia Mina mein paish aaya tha . Jab Hajjaj ko maloom hua jo is zamana mein Ibn Zubair razi Allahu anhuma ke qatal ke baad Hajjaj ka ameer tha to woh bimar pursi ke liye aaya . Hajjaj ne kaha ke kaash hamein maloom ho jata ke kis ne Aap ko zakhmi kiya hai . Is par Ibn Umar razi Allahu anhuma ne farmaya ke tu ne hi to mujh ko neza mara hai . Hajjaj ne poocha ke woh kaise? Aap ne farmaya ke tum is din hathiyar apne sath laye jis din pehle kabhi hathiyar sath nahi laya jata tha (Eidein ke din) tum hathiyar Haram mein laye halanke Haram mein hathiyar nahi laya jata tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة