الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يَقُولُ إِذَا سَمِعَ الْمُنَادِي:
Bab: Is bare mein ke azan ka jawab kis tarah dena chahiye.
Show diacritics
Hadith Number: 611
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عطاء بن يزيد الليثي، عن ابي سعيد الخدري، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إذا سمعتم النداء فقولوا مثل ما يقول المؤذن".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne Ibn Shihab Zuhri se khabar di , unhon ne Ata bin Yazid Laithi se , unhon ne Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu se , unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam se ke jab tum azan suno to jis tarah moazzin kehta hai isi tarah tum bhi kaho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 612
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن محمد بن إبراهيم بن الحارث، قال: حدثني عيسى بن طلحة،" انه سمع معاوية يوما فقال مثله إلى قوله، واشهد ان محمدا رسول الله" حدثنا إسحاق بن راهويه، قال: حدثنا وهب بن جرير، قال: حدثنا هشام، عن يحيى نحوه.
Hum se Muaz bin Fazala ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hisham Dastawai ne Yahya bin Abi Kathir se bayan kiya , woh Muhammad bin Ibrahim bin Harith se kaha ke mujh se Isa bin Talha ne bayan kiya ke unhon ne Muawiya bin Abi Sufyan se ek din suna aap jawab mein moazzin ke hi alfaz ko dohra rahe thay . Ash-hadu anna Muhammadan Rasool Allah tak . Hum se Ishaq bin Rahwayh ne bayan kiya , kaha ke hum se Wahb bin Jarir ne bayan kiya , kaha ke hum se Hisham Dastawai ne Yahya bin Abi Kathir se isi tarah hadees bayan ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 613
قال يحيى: وحدثني بعض إخواننا، انه قال:" لما قال حي على الصلاة، قال: لا حول ولا قوة إلا بالله"، وقال: هكذا سمعنا نبيكم صلى الله عليه وسلم يقول.
Yahya ne kaha ke mujh se mere baaz bhaiyon ne hadees bayan ki ke jab moazzin ne hayya ala as-salat kaha to Muawiya raziyallahu anhu ne la hawla wa la quwwata illa billah kaha aur kehne lage ke hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se aisa hi kehte suna hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الدُّعَاءِ عِنْدَ النِّدَاءِ:
Bab: Azan ki dua ke bare mein.
Show diacritics
Hadith Number: 614
حدثنا علي بن عياش، قال: حدثنا شعيب بن ابي حمزة، عن محمد بن المنكدر، عن جابر بن عبد الله، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من قال حين يسمع النداء، اللهم رب هذه الدعوة التامة والصلاة القائمة آت محمدا الوسيلة والفضيلة وابعثه مقاما محمودا الذي وعدته، حلت له شفاعتي يوم القيامة".
Hum se Ali bin Ayyash Hamdani ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shoaib bin Abi Hamza ne bayan kiya , unhon ne Muhammad bin Al-Munkadir se bayan kiya , unhon ne Jabir bin Abdullah raziyallahu anhuma se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jo shakhs azan sun kar yeh kahe Allahumma rabba hazihi ad-dawat at-tamma wa as-salat al-qaaima aati Muhammadan al-waseelata wa al-fadeelata wa abathhu maqaman mahmoodan alladhi waadtahu isay qiyamat ke din meri shafaat mile gi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِسْتِهَامِ فِي الأَذَانِ:
Bab: Azan ke liye qur’ah daalne ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q615
ويذكر ان اقواما اختلفوا في الاذان فاقرع بينهم سعد.
Aur kehte hain ke azan dene par kuch logon mein ikhtilaf hua to Saad bin Waqqas ne fiysla ke liye un mein qurah dalwaya .


Show diacritics
Hadith Number: 615
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن سمي مولى ابي بكر، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" لو يعلم الناس ما في النداء والصف الاول ثم لم يجدوا إلا ان يستهموا عليه لاستهموا، ولو يعلمون ما في التهجير لاستبقوا إليه، ولو يعلمون ما في العتمة والصبح لاتوهما ولو حبوا".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , kaha ke humein Imam Malik ne Sumi se jo Abu Bakr Abdur Rahman bin Harith ke ghulam thay khabar di , unhon ne Abu Saleh Dhakwan se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke agar logon ko maloom hota ke azan kehne aur namaz pehli saff mein parhne se kitna sawab milta hai . Phir un ke liye qurah dalne ke siwa aur koi chara na baqi rehta , to albatta is par qurah andazi hi karte aur agar logon ko maloom ho jata ke namaz ke liye jaldi aane mein kitna sawab milta hai to is ke liye doosre se aage barhne ki koshish karte . Aur agar logon ko maloom ho jata ke isha aur subah ki namaz ka sawab kitna milta hai , to zaroor chotaron ke bal ghasitte hue un ke liye aate .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْكَلاَمِ فِي الأَذَانِ:
Bab: Azan ke dauraan baat karne ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: Q616
وتكلم سليمان بن صرد في اذانه، وقال الحسن: لا باس ان يضحك وهو يؤذن او يقيم.
Aur Sulaiman bin Surad sahaba ne azan ke dauran baat ki aur Hassan Basri ne kaha ke agar ek shakhs azan ya takbeer kehte hue hans de to koi harj nahi .


Show diacritics
Hadith Number: 616
حدثنا مسدد، قال: حدثنا حماد، عن ايوب، وعبد الحميد صاحب الزيادي، وعاصم الاحول، عن عبد الله بن الحارث، قال:" خطبنا ابن عباس في يوم ردغ، فلما بلغ المؤذن حي على الصلاة، فامره ان ينادي الصلاة في الرحال، فنظر القوم بعضهم إلى بعض، فقال: فعل هذا من هو خير منه وإنها عزمة".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya , kaha ke hum se Hammad bin Zaid ne Ayyub Sakhtiyani aur Abdul Hameed bin Dinar Sahib az-Ziyadi aur Aasim Ahwal se bayan kiya , unhon ne Abdullah bin Harith Basri se , unhon ne kaha ke Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne ek din hum ko juma ka khutba diya . Barish ki wajah se is din achhi khasi keechad ho rahi thi . Moazzin jab hayya ala as-salat par pohancha to aap ne is se as-salat fi ar-rihal kehne ke liye farmaya ke log namaz apni qiyam gahon par parh len . Is par log ek doosre ko dekhne lage . Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne kaha ke isi tarah mujh se jo afzal thay , unhon ne bhi kiya tha aur is mein shak nahi ke juma wajib hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَذَانِ الأَعْمَى إِذَا كَانَ لَهُ مَنْ يُخْبِرُهُ:
Bab: Is bayan mein ke nabina shakhs azan de sakta hai agar usay waqt batane wala aadmi maujood ho.
Show diacritics
Hadith Number: 617
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إن بلالا يؤذن بليل، فكلوا واشربوا حتى ينادي ابن ام مكتوم، ثم قال: وكان رجلا اعمى لا ينادي حتى يقال له اصبحت اصبحت".
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya Imam Malik se , unhon ne Ibn Shihab se , unhon ne Salim bin Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se , unhon ne apne walid Abdullah bin Umar se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke dekho Bilal raziyallahu anhu raat rahe azan dete hain . Is liye tum log khaate peete raho . Yahan tak ke Ibn Umm Maktum azan den . Raawi ne kaha ke woh nabina thay aur is waqt tak azan nahi dete thay jab tak un se kaha na jata ke subah ho gayi . Subah ho gayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الأَذَانِ بَعْدَ الْفَجْرِ:
Bab: Subah hone ke baad azan dena.
Show diacritics
Hadith Number: 618
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر، قال: اخبرتني حفصة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا اعتكف المؤذن للصبح وبدا الصبح صلى ركعتين خفيفتين قبل ان تقام الصلاة".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , kaha ke humein Imam Malik ne Nafi se khabar di , unhon ne Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma se , unhon ne kaha mujhe Umm ul Momineen Hafsa raziyallahu anha ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ki aadat thi ke jab moazzin subah ki azan subah sadiq ke tulu hone ke baad de chuka hota to aap salla Allahu alaihi wa sallam azan aur takbeer ke beech namaz qaim hone se pehle do halki si rakaten parhte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة