الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ بَدْءُ الأَذَانِ:
Bab: Is bayan mein ke azan kyun kar shuru hui.
Hadith Number: Q603
وقوله عز وجل: وإذا ناديتم إلى الصلاة اتخذوها هزوا ولعبا ذلك بانهم قوم لا يعقلون سورة المائدة آية 58 وقوله: إذا نودي للصلاة من يوم الجمعة سورة الجمعة آية 9.
Aur Allah Taala ke is irshad ki wazahat ke aur jab tum namaz ke liye azan dete ho , to woh is ko mazaaq aur khel bana lete hain . Yeh is wajah se ke yeh log nasamajh hain . Aur Allah Taala ka irshad hai ke jab tumhein juma ke din namaz juma ke liye pukara jaye . To Allah ki yaad karne ke liye foran chale aao .
Hadith Number: 603
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا عبد الوارث، حدثنا خالد الحذاء، عن ابي قلابة، عن انس، قال: ذكروا النار والناقوس، فذكروا اليهود، والنصارى،: ذكروا النار" فامر بلال ان يشفع الاذان وان يوتر الإقامة".
Hum se Imran bin Maisara ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdul Warith bin Saeed ne bayan kiya , kaha ke hum se Khalid Haza ne Abu Qalaba Abdullah bin Zaid se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke namaz ke waqt ke elaan ke liye logon ne aag aur naqoos ka zikr kiya . Phir yahood wa nasara ka zikr aa gaya . Phir Bilal raziyallahu anhu ko yeh hukm hua ke azan ke kalimat do do martaba kahen aur iqamat mein ek ek martaba .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 604
حدثنا محمود بن غيلان، قال: حدثنا عبد الرزاق، قال: اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني نافع، ان ابن عمر كان، يقول: كان المسلمون حين قدموا المدينة يجتمعون فيتحينون الصلاة ليس ينادى لها، فتكلموا يوما في ذلك، فقال بعضهم: اتخذوا ناقوسا مثل ناقوس النصارى، وقال بعضهم: بل بوقا مثل قرن اليهود، فقال عمر: اولا تبعثون رجلا ينادي بالصلاة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا بلال قم فناد بالصلاة".
Hum se Mahmood bin Ghailan ne bayan kiya , kaha ke hum se Abdur Razzaq bin Hammam ne , kaha ke humein Abdul Malik Ibn Juraij ne khabar di , kaha ke mujhe Nafi ne khabar di ke Abdullah bin Umar raziyallahu anhuma kehte thay ke jab musalman hijrat kar ke Madina pohanche to waqt muqarrar kar ke namaz ke liye aate thay . Is ke liye azan nahi di jati thi . Ek din is baray mein mashwara hua . Kisi ne kaha nasara ki tarah ek ghanta le liya jaye aur kisi ne kaha ke yahoodiyon ki tarah narsinga bugal bana lo , is ko phoonk diya karo lekin Umar raziyallahu anhu ne farmaya ke kisi shakhs ko kyun na bhej diya jaye jo namaz ke liye pukar diya kare . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne isi raye ko pasand farmaya aur Bilal se farmaya ke Bilal! uth aur namaz ke liye azan de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الأَذَانُ مَثْنَى مَثْنَى:
Bab: Is bare mein ke azan ke kalimaat do do martaba duhraye jayen.
Hadith Number: 605
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا حماد بن زيد، عن سماك بن عطية، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن انس، قال:" امر بلال ان يشفع الاذان وان يوتر الإقامة، إلا الإقامة".
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Hammad bin Zaid ne Simak bin Attiya se , unhon ne Ayyub Sakhtiyani se , unhon ne Abu Qalaba se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke Bilal raziyallahu anhu ko hukm diya gaya ke azan ke kalimat do do martaba kahen aur siwa qad qamat as-salat ke takbeer ke kalimat ek ek dafa kahen .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 606
حدثنا محمد، قال: اخبرنا عبد الوهاب الثقفي، قال: اخبرنا خالد الحذاء، عن ابي قلابة، عن انس بن مالك، قال: لما كثر الناس، قال:" ذكروا ان يعلموا وقت الصلاة بشيء يعرفونه، فذكروا ان يوروا نارا او يضربوا ناقوسا، فامر بلال ان يشفع الاذان وان يوتر الإقامة".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , kaha hum se Abdul Wahab Thaqafi ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Mehran Haza ne Abu Qalaba Abdur Rahman bin Zaid Harami se bayan kiya , unhon ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se ke jab musalman zyada ho gaye to mashwara hua ke kisi aisi cheez ke zariye namaz ke waqt ka elaan ho jisay sab log samajh len . Kuch logon ne zikr kiya ke aag roshan ki jaye . Ya narsinga ke zariye elaan karen . Lekin aakhir mein Bilal ko hukm diya gaya ke azan ke kalimat do do dafa kahen aur takbeer ke ek ek dafa .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِقَامَةُ وَاحِدَةٌ، إِلاَّ قَوْلَهُ قَدْ قَامَتِ الصَّلاَةُ:
Bab: Is bare mein ke siwaye «qad qamat-is-salah» ke iqamat ke kalimaat ek ek dafa kahe jayen.
Hadith Number: 607
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا إسماعيل بن إبراهيم، حدثنا خالد، عن ابي قلابة، عن انس، قال:" امر بلال ان يشفع الاذان وان يوتر الإقامة"، قال إسماعيل: فذكرت لايوب، فقال: إلا الإقامة.
Hum se Ali bin Abdullah bin Madini ne bayan kiya , kaha ke hum se Ismail bin Ibrahim bin Aliya ne bayan kiya , kaha hum se Khalid Haza ne Abu Qalaba se bayan kiya , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke Bilal raziyallahu anhu ko hukm diya gaya ke azan ke kalimat do do dafa kahen aur takbeer mein yahi kalimat ek ek dafa . Ismail ne bataya ke mein ne Ayyub Sakhtiyani se is hadees ka zikr kiya to unhon ne kaha magar lafz qad qamat as-salat do hi dafa kaha jayega .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ التَّأْذِينِ:
Bab: Azan dene ki fazilat ke bayan mein.
Hadith Number: 608
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إذا نودي للصلاة ادبر الشيطان وله ضراط حتى لا يسمع التاذين، فإذا قضى النداء اقبل حتى إذا ثوب بالصلاة ادبر، حتى إذا قضى التثويب اقبل حتى يخطر بين المرء ونفسه، يقول اذكر كذا اذكر كذا لما لم يكن يذكر حتى يظل الرجل لا يدري كم صلى".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , kaha humein Imam Malik ne Abul Zinad se khabar di , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya jab namaz ke liye azan di jati hai to shaitan paadta hua bari tezi ke sath peeth mor kar bhagta hai . Taake azan ki awaz na sun sake aur jab azan khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai . Lekin jun hi takbeer shuru hui woh phir peeth mor kar bhagta hai . Jab takbeer bhi khatam ho jati hai to shaitan dobara aa jata hai aur namazi ke dil mein waswase dalta hai . Kehta hai ke falaa baat yaad kar falaa baat yaad kar . Un baton ki shaitan yaad dahani karata hai jin ka isay khayal bhi na tha aur is tarah is shakhs ko yeh bhi yaad nahi rehta ke is ne kitni rakaten parhi hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ رَفْعِ الصَّوْتِ بِالنِّدَاءِ:
Bab: Is bayan mein ke azan buland awaaz se honi chahiye.
Hadith Number: Q609
وقال عمر بن عبد العزيز: اذن اذانا سمحا وإلا فاعتزلنا.
Umar bin Abdul Aziz khalifa ne apne moazzin se kaha ke sidhi sadhi azan diya kar , warna hum se alag ho ja .
Hadith Number: 609
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن عبد الرحمن بن ابي صعصعة الانصاري، ثم المازني عن ابيه، انه اخبره، ان ابا سعيد الخدري، قال له:" إني اراك تحب الغنم والبادية، فإذا كنت في غنمك او باديتك فاذنت بالصلاة فارفع صوتك بالنداء، فإنه لا يسمع مدى صوت المؤذن جن ولا إنس ولا شيء إلا شهد له يوم القيامة"، قال ابو سعيد: سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Abdullah bin Yusuf Tinnisi ne bayan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik ne Abdur Rahman bin Abdullah bin Abi Sasa Ansari se khabar di , phir Abdur Rahman Mazni apne walid Abdullah se bayan karte hain ke un ke walid ne unhein khabar di ke Abu Saeed Khudri raziyallahu anhu sahaba ne un se bayan kiya ke mein dekhta hun ke tumhein bakriyan aur jangal mein rehna pasand hai . Is liye jab tum jangal mein apni bakriyon ko liye hue mojood ho aur namaz ke liye azan do to tum buland awaz se azan diya karo . Kyunke jinn wa ins balkay tamam hi cheezen jo moazzin ki awaz sunti hain qiyamat ke din is par gawahi dengi . Abu Saeed raziyallahu anhu ne farmaya ke yeh mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se suna hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُحْقَنُ بِالأَذَانِ مِنَ الدِّمَاءِ:
Bab: Azan ki wajah se khoon-rezi rukna.
Hadith Number: 610
حدثنا قتيبة بن سعيد، قال: حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن حميد، عن انس بن مالك،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان إذا غزا بنا قوما لم يكن يغزو بنا حتى يصبح وينظر، فإن سمع اذانا كف عنهم، وإن لم يسمع اذانا اغار عليهم، قال: فخرجنا إلى خيبر فانتهينا إليهم ليلا، فلما اصبح ولم يسمع اذانا ركب وركبت خلف ابي طلحة وإن قدمي لتمس قدم النبي صلى الله عليه وسلم، قال: فخرجوا إلينا بمكاتلهم ومساحيهم، فلما راوا النبي صلى الله عليه وسلم، قالوا: محمد والله، محمد والخميس، قال: فلما رآهم رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: الله اكبر الله اكبر، خربت خيبر، إنا إذا نزلنا بساحة قوم فساء صباح المنذرين".
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Ismail bin Jafar Ansari ne Humaid se bayan kiya , unhon ne Anas raziyallahu anhu se unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam humein sath le kar kahin jihad ke liye tashreef le jate , to foran hi hamla nahi karte thay . Subah hoti aur phir aap intizar karte agar azan ki awaz sun lete to hamla ka irada tark kar dete aur agar azan ki awaz na sunai deti to hamla karte thay . Anas raziyallahu anhu ne kaha ke hum Khaibar ki taraf gaye aur raat ke waqt wahan pohanche . Subah ke waqt jab azan ki awaz nahi sunai di to aap apni sawari par baith gaye aur mein Abu Talha raziyallahu anhu ke peechay baith gaya . Chalne mein mere qadam Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke qadam mubarak se chhoo chhoo jate thay . Anas raziyallahu anhu ne kaha ke Khaibar ke log apne tokron aur kodalon ko liye hue apne kaam kaaj ko bahar nikle . To unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ko dekha , aur chilla uthe ke Muhammad wallah Muhammad salla Allahu alaihi wa sallam poori fauj samet aa gaye . Anas raziyallahu anhu ne kaha ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne unhein dekha to aap ne farmaya Allahu Akbar , Allahu Akbar Khaibar par kharabi aa gayi . Beshak jab hum kisi qoum ke maidan mein utar jayen to daraye hue logon ki subah buri ho gi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة